Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 12 May 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 2 OF 3

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 2 OF 3

Bismillahirrahmanirraheem

MUTTAQI AUR ACCHEY AKHLAAQ WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya kaun sa amal sabse ziyaadah loogo k jannat mein jaane ka sabab banega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Taqwa aur accha akhlaaq" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Kaun sa amal sabse ziyaadah loogo k aagh mein jaane ka ba'as banega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "mana aur sharm-gaah". (Sunan Tirmizi Kitabul Birr wa Silah)

YATEEM KI KIFALAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Yateem ki kifalat karne wala khawah yateem ka hi rishtedaar ho ya koi aur ho, aur mein jannat mein un do ungliyo ki tarah (saath saath) hongey imam Malik Rahimahullah ne angisht aur shahadat aur darmiyaani ungli se isharah kar ke bataya". (Sahih Muslim Kitabuz Zuhad)

HAJJ E MABROOR ADA KARNE WALA HAAJI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Umrah un tamaam gunaaho ka kaffarah hai jo mojoodah aur guzishta umraah k darmiyaan sarzad hue ho aur hajj e mabroor ka badla to jannat hi hai". (Muttafiqun Alaih, Kitabul Umrah)

MASJID BANAANE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Jisne Allah k liye masjid banaayi Allah ta'ala uske liye usi tarah ka ghar jannat mein banayega". (Sahih Muslim Kitabul Zuhad)

SHARM-GAAH AUR ZUBAAN KI HIFAZAT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks mujhe zamanat de us cheez ki jo do cheezo k darmiyaan hai (yaani zubaan) aur us cheez ki jo do taango k darmiyaan hai (yaani sharmgaah ki) mein use jannat ki zamanat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

HAMSAAYA (PADOOSI) SE HUSN E SALOOK KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! falah aurat din ko roozey rakhti hai aur raat ko qayaam karti hai lekin hamsiyo ko azeeyat pahunchati hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye aurat jahannam mein hai" phir Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne (ek doosri aurat k baare mein) arz kiya "falah aurat sirf farz namaz ada karti hai aur mamooli khaane peene ki cheez sadqa karti hai lekin hamsiyo ko azeeyat nahi pahunchati" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye aurat jannati hai". (Musnad Ahmad tamalul minhu bayanul khisal al mojbata bil jannah Hadees no. 136)

ALLAH TA'ALA K 99 NAAM YAAD KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala k 1 kam 100 yaani 99 naam hai jisne yaad kiye wo jannat mein dakhil huwa". (Muttafiqun Alaih, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 1714)

HAFIZ E QURAAN JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hafiz E Quraan jab jannat mein dakhil hoga to use kaha jayega quraan ki tilawat karta ja aur darje par chadhta ja chunanchey wo har aayat k badle mein ek darja buland hota jayega hatta k aakhiri aayat tak pahunchega jo use yaad hogi aur wahi uska (mustaqil) darja hoga". (Sunan Ibne Maja Kitabul Adab)

KASRAT SE SALAAM KARNE WALE LOOG JANNAT MEIN DAKHIL HONGEY

Hazrat Abdullah bin Salaam Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo! salaam phelao (yaani kasrat se kiya karo) (loogo ko) khana khilaao, aur jab (doosre) loog soo rahe ho to namaz padho (un aamaal k nateeje mein) salamati k saath jannat mein dakhil hongey". (Sunan Tirmizi Abwabul Sifatul Qiyaamah)

MAREEZ KI IYAADAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mareez ki iyadat karne wala jab tak wapas na aa jaye tab tak jannat k baagh mein rehta hai". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)

ALLAH KI RAZA K LIYE DEEN KA ILM SEEKHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ilm e deen hasil karne k liye raasta tey kare Allah ta'ala uske liye jannat ka raasta (tey karna) aasaan farma dete hai". (Sahih Muslim Kitabul Zikr wa Dua)

ACCHI TARAH WUZU KARNE K BAAD KALMA E SHAHADAT PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo shaks acchi tarah poora wuzu kare phir kahe "ASH'HADU ALLA ILAHA ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU (yaani mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur uske rasool hai)" uske liye jannat k aatho (8) darwaazey khool diye jaate hai jis se chaahey dakhil ho". (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

SUBAH WA SHAAM SAYYADUL ASTAGFAAR PADHNE WALA SHAKS JANNAT MEIN DAKHIL HOGA

Hazrat Shaddad bin Aous Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sabse afzal astagfaar ye hai k tum kaho "Ae Allah! to mera rabb hai tere siwa koi ila nahi tooney hi mujhe paida kiya hai mein tera banda hu, tujh se kiye hue waadey par apni istata'at k mutabiq qayam hu, apne kiye hue burey kaamo k wabaal se teri panah chahta hu, mujh par tere jo ehsanaat hai unka aetaraaf karta hu aur apne gunaaho ka iqraar karta hu, mujhe bakhs de kyunki tere siwa koi bakhashne wala nahi" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ye kalmaat yaqeen k saath din k waqt padhey aur shaam se qabl faut ho jaye to wo jannati hai aur jisne raat k waqt yaqeen k saath ye kalmaa kahe aur subah hoone se pehle faut ho gaya wo bhi jannati hai". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 2070)

JIS SHAKS KI BEENAAYI KHATAM HO JAYE AUR WO US PAR SABR KARE TO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Allah ta'ala farmata hai k jab mein apne bande ko uski do mehboob cheezo (aankho) se aazmaata hu aur wo us par sabr karta hai to uske badle mein use jannat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabul Marz)

MAA BAAP KI KHIDMAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Us shaks ki naak khaak aalood ho ruswa aur zaleel ho halaak ho jisne apne waledayn mein se kisi ek ko budhaape mein paya phir (unko raazi karke) jannat mein dakhil na hua". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)

MUSALMANO SE KISI PARESHANI YA TAKLEEF KO DOOR KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek darakht musalmano ko takleef deta tha ek shaks aaya usne wo darakhat kaat diya aur jannat mein chala gaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)

BEEMARI PAR SABR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ata bin Abi Ribah Rahimahullah kehte hai Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne mujhse kaha kya mein tujhe jannati aurat na dikhao? mene arz kiya kyu nhi? Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne (ek aurat ki taraf irsharah karke) kaha ye kaali aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya mein mirgi ki mareez hu aur (mirgi k doraan) mera satar khul jata hai Aap Allah ta'ala se mere liye dua farmaiye (Allah mujhe sehat ata farmaye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar tu chahey to sabr kar tere liye jannat hai aur agar tu chahey to Allah se tere liye dua karta hu wo tujhe sehat ata farma dega (is soorat mein jannat ka wada nahi karta) us aurat ne arz kiya mein sabr karungi lekin saath ye bhi arz kiya (mirgi k dooran) mera satar khul jata hai Allah ta'ala se dua farmaiye k mera satar na khuley Rasool E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske liye dua farmayi". (Sahih Bukhari Kitabus Sabr)

NABI, SHAHEED, SIDDEQUE, PAIDA HOTE HI FAUT HONE WALA BACCHA AUR ALLAH KI RAZA K LIYE APNE BHAAYI SE MULAQAAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
APNE SHOHAR SE MUHABBAT KARENE WALI, ZIYADAH BACCHO KO JANAM DENE KI TAKLEEF UTHAANE WALI AUR APNE SHOHAR K ZULM PAR SABR KARNE WALI KHATOORN JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tumhey jannat mein jaane wale mardo k baare mein na batlau? (suno!) Nabi jannati hai, shaheed jannati hai, siddeque jannati hai, paida hote hi faut hone wala baccha jannati hai, door daraaz se apne bhai ko mehaz Allah ki raza k liye milne wala jannati hai, kya mein tumhey jannat mein jaane wali aurato k baare mein na batlau? apne shohar se muhabbat karne wali, ziyaadah baccho ko janam dene (ki takleef uthaane) wali, aur wo naik aurat k jiska shohar us par zulam kare to kahe "Mera haath tere haath mein hai us waqt tak nahi sooungi jab tak to raazi na ho jaye". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2601)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment