Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 4 June 2015

WUZU K DAIGAR MASA'IL

WUZU K DAIGAR MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Wuzu k aazaa ka do do baar aur ek ek baar dhona bhi aaya hai, Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ka aksar amal teen teen baar dhooney par raha hai, Ibne Jazam Rahimahullah farmate hai k sab ulama ka ittefaaq hai k aazaa ka ek ek baar dhona bhi kafi hai.

2. Ek Aaraabi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir ho kar wuzu ki kaifiyat daryaft ki to Aapne use aazaa ka teen teen baar dhona sikhaya aur farmaya "Is tarah kamil wuzu hai, phir jo shaks us (teen teen baar dhoone) par ziyaadah kare pas tehqeeq usne (tark e sunnat ki bina par) bura kiya aur (masnoon hadees se tajawuz kar k) ziyaadati ki aur (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki mukhalifat karke apni jaan par) zulm kiya". (Abu Dawood Kitabut Taharah hadees no. 135, Nasaayi 1:88, 140, ise Imam Ibne Khuzaima aur Imam Nauvi ne sahih jabke Hafiz ibne Hajar ne jaid kaha)

3. Wuzu k baad aazaa teen baar aur baaz do baar dhoona bhi durust hai. (Sahih Bukhari Hadees no. 185, Sahih Muslim Hadees no. 235)


KHUSHK AEDIYO KO AZAAB

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath makkey se madeene ki taraf lootey, raaste mein hamey paani mila, hum mein se ek jamaat ne namaz e asar k liye jald baazi mein wuzu kiya, unki aediya khushk thi unko paani nahi pahuncha tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(khushk) aediyo k liye aagh se kharaabi hai, pas wuzu poora kiya karo". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 241)

Is hadees se maloom hua k wuzu badi aehayaat se sawaar kar aur poora karna chahiye aazaa ko khoob acchi tarah aur teen teen baar dhoona chahiye takey zarrah barabar jagah khushk na rahey

Ek shaks ne wuzu kiya aur apne qadam par nakhoon k barabar jagah khushk chood di, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use dekh kar farmaya "Wapas ja aur acchi tarah wuzu kar". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 243)


TAHYATUL WUZU SE JANNAT LAZIM

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks wuzu kare aur khoob sawaar kar accha wuzu kare, phir khada ho kar dil aur muh se (zahiri wa batili taur par) mutawajjah ho kar do rakaat (nafil) namaz ada kare to uske liye jannat wajib ho jaati hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 234)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e fajr k waqt Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu se farmaya "Ae Bilal! mere saamne apna wo amal bayan kar jo tooney islam mein kiya aur jis par tujhey sawab ki bahut ziyaadah ummeed hai kyunki mene apne aagey jannat mein teri jootiyo ki awaaz suni hai" Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahut ziyaadah ummeed hai wo ye hai k mein raat ya din mein jab bhi wuzu kiya to us wuzu k saath jis qadr e nafs namaz mere muqaddas mein thi zaroor padhi (yaani har wuzu k baad nawafil padhey)". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1149, Sahih Muslim Kitabul Faza'il e Sahaba Hadees no. 2458)


KOI SHAKS APNE SAATHI KO WUZU KARAAYE TO JAYEZ HAI

Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu ek safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they, jab aap wuzu karne lagey to Hazrat Mugeera Razi Allahu Anhu aap par paani daalne lagey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu kiya. (Sahih Bukhari Hadees no. 182, Sahih Muslim Hadees no. 274)


EK WUZU SE KAYI NAMAZEY

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k fatah makka k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kayi namazey ek wuzu se padhi aur moozo par masah bhi kiya, Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne arz kiya Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aaj k din aapne wo kaam kiya jo aap pehle nahi kiya karte they, Aapne farmaya "Ae Umar mene aesa jaan boojh kar kiya (takey loogo ko ek wuzu se kayi namazey padhne ka jawaaz maloom ho jaye)". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 277)

Maloom hua k har namaz k liye wuzu farz nahi afzal hai.


DOODH PEENE SE KULLI KARNA

Beshak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doodh piya phir kulli ki aur farmaya isme chiknaayi hai. (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 211, Sahih Muslim Kitabut Haiz Hadees no. 358)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bakri ka shaana khaya uske baad namaz padhi aur dobara wuzu na kiya. (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 207, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 354)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sattu khaya phir kulli karke namaz padhi aur wuzu nahi kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 209)

No comments:

Post a Comment