Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 25 May 2015

HAIZ K MASA'IL

HAIZ K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

Haiz us khoon ko kehte hai jo baligha aurat k raham se har maah nikalta hai uska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyaadah se ziyaadah 15 din hai, aam taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.


HAIZ WA NIFAAS K AYYAAM MEIN MAMNOO AAMAAL:

1. NAMAZ AUR ROOZA KI MUMANIYAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab aurat haiz se hooti hai to wo namaz nahi padhti aur na rooza rakhti hai". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 304, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 79)

Ek aurat Muaazata ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaft kiya "Kya wajah hai k haiza aurat rooze ki qaza to deti hai, namaz ki nahi? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaane mein hamey haiz aaya karta tha to hamey rooze ki qaza ka hukm diya jata tha magar namaz ki qaza ka hukm nahi diya jata tha". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 335)


2. HAIZA SE SOHBAT KARNE KI MUMANIYAT:

Haiz ki haalat mein aurat se mujami'at karna sakhat gunah hai Allah ta'ala ne quran majeed mein farmaya "FAATAZILUN NISAA'A FIL MAHEEZ" "pas (ayyam) haiz mein aurato se kinara kashi karo (yaani sohbat na karo)"

Agar koi is gunah ka murtakib ho jaye to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ba-haalat e haiz apni aurat se sohbat kare to use chahiye k nisf dinaar khairaat kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 264, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 136, Imam Hakim (1:171-172) aur Zahbi ne ise sahih kaha)

Dinaar saade chaar maashey soone ka hota hai nisf dinaar sawa do maashey sona hua, soone ki qeemat sadqa kare yaani kisi mustahiq ko de de aur ayindah k liye tauba kare.

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai agar haiz ka rang surk hai to ek dinaar aur agar haiz ka rang peela hai to nisf dinaar khairaat kare. (Abu Dawood Kitabun Nikah Hadee no. 2169, Tirmizi Hadees no. 137, Albani ne moqoof riwayat ko sahih kaha)

3. TAWAAF E KABA KI MUMANIYAT:

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath hajj ko gayi, raaste mein mujhe haiz shuru ho gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere paas aye aur mein roo rahi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tujhe haiz aa gaya hai?" mene arz kiya k han! Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ye Allah ta'ala ka amr hai jo usne Aadam Alaihis Salaam ki baitiyo k liye rakh diya hai pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hai siwaye khana kaba k tawaaf k, aur wo tum (haiz se paak ho kar) gusal karne k baad karna". (Sahih Bukhari Kitabul Umrah Hadees no. 1785, Sahih Muslim Hadees no. 1216)


HAIZ AUR NIFAAS MEIN JAYEZ UMOOR:

Sayyadna Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab aurat haiz (yaani mahwari ka khoon) se hoti to yahoodi uske saath khate peete nahi they to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Haiza se har kaam karo siwaye jima k". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 302)

Yaani haiza se khana peena, uthna baithna, use choona aur boosa kinaar wagairah sab baatey jayez hai siwa e mujami'at k

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe (halat e haiz mein) izaar baandhne ka hukm dete, so mein izaar baandhti, Aap mujhe gale lagaate they aur mein haiz wali hoti thi. (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 300, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 293)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid (mein apni aetakaaf gaah) se mujhe booriya pakdaane ka hukm diya mene kaha mein haiza hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tera haiz tere haath mein nahi hai". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 298)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai "Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam meri good ko takiya bana kar quran e hakeem ki tilawat karte they halankey mein haiza hoti thi". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz hadees no. 297, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 301)


HAIZA KA QURAN MAJEED PADHNA AUR ZIKR AZKAAR KARNA:

Haalat e janabat wa haiz mein quran majeed ki tilawat k haraam hoone k baare mein koi sahih hadees nhi hai.

Azkaar ki baabat Imam Noovi farmate hai "Haiza k liye tasbeeh wa tahmeed, takbeer aur daigar duwaye aur azkaar bala jima jayez hai". (Majmua)

Is ki daleel Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki hadees hai Aap farmati hai mein hajj k dino mein haiza ho gayi to Rasool allah ne farmaya "Baitullah k tawaaf k alawah har wo kaam karo jo haaji karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 294, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1211)

Is hadees se ye bhi wazey hua k haiza tawaaf e kaba k alawa hajj k baaqi tamaam aamaal kar sakti hai.

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haiz wali aurato ko bhi eid k rooz eid-gaah jaane ka hukm diya takey wo loogo ki takbeero k saath takbeerey kahey aur unki duwa k saath duwa kare lekin namaz na padhey. (Sahih Bukhari Kitabul Eidayn Hadees no. 981, Sahih Muslim Hadees no. 890)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har haal mein Allah ka zikr karte they. (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 373)

In Ahadees se sabit hua k haiza aur junbi zikr, azkaar kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment