Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 25 May 2015

ISTIHAAZA KA MASLA

ISTIHAAZA KA MASLA

Bismillahirrahmanirraheem

Istihaza wo khoon hota hai jo ayyaam e haiz k baad khaki ya zard rang ka jaari hota hai, ye ek marz hai, jab aurat apne haiz ki iddat k din poore karle phir use gusal karke namaz shuru kar deni chahiye kyunki khoon e istihaaza ka hukm khoon e haiz k hukm se mukhtalif hai

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Fatima bintey Jaish Razi Allahu Anha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aayi aur arz kiya "Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mujhe khoon e istihaaza aata hai aur mein (boja khoon istihaaza) paak nahi hoti kya mein namaz chood du? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi" khoon e istihaaza ek (androoni) ragg se (behta) hai ye khoon haiz nahi hai, pas jab tujhe haiz ka khoon aaye to namaz chood de aur jis waqt khoon e haiz band ho jaye (aur khoon e istihaaza shuru ho) to apne istihaaza k khoon ko dho aur namaz padh". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 306, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 333)

Hazrat Fatima binte Abi Jaish Razi Allahu Anha ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Haiz ka khoon siyaah rang ka hota hai aur pehchana jata hai agar ye aaye to namaz se ruk ja aur agar koi aur rang ho to wuzu kar aur namaz pad is liye k ye rang (istihaaza) ka khoon hai". (Abu Dawood Kitabul Taharah Hadees no. 286)

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha bayan karti hai k "Hum haiz k alawa baaqi dino mein peele ya matyaale rang ki kuch parwah nahi karti thi". (Sahih Bukhari Hadees no. 326, Abu Dawood Hadees no. 307)

Hasil kalaam ye k mustahaaza paak aurat ki tarah hai

Khoon e haiz baloogat ki alamat hai agar ye aadat k mutabiq aaye to ye sehat ki alamat hai, iske bar-aks istihaaza bimaari ki alamat hai chunkey ye khoon, haiz se pehle bhi aata hai aur haiz ki muddat guzar jaane k ba-wajood nahi rukta is liye baaz khawateen use bhi haiz samajh kar namaz choode rakhti hai lihaza is masle ko ba-luzahat samajhna zaroori hai:

1. Khoon e haiz gadha, siyaah aur kisi qadr badbudaar hota hai, jab uski muddat khatam hoti hai to khake ya zard rang ka khoon agar jaari rehta hai to wo istihaaza ka khoon hai.

2. Agar khatoon, haiz aur istihaaza ka farq pehchaan leti hai to wo uske mutabiq amal karegi yaani haiz aane par namaz chood degi aur haiz k baad istihaaza k doraan har namaz k liye alag wuzu karke namaz ada karegi.

3. Agar use dono khoono ki pehchaan nahi hai albatta haiz use aadat k mutabiq aata hai to wo aadat k dino mein namaz tark karegi aur unke baad jo khoon aayega use istihaaza samjhegi.

4. Agar use dono khoono ki pehchaan nahi hai aur haiz bhi adat k mutabiq nahi aata to wo apni qareebi rishtedaar khatoon (jo mizaaj aur umar mein us jesi ho masalan behan wagairah) ki aadat k mutabiq amal karegi hatta k use pehchaan ho jaye ya uski apni aadat ban jaye. (Wallahu Aalam bis Sawaab)


MUSTAHAAZA K AHKAAM:

1. Haiz k khatimey k baad aurat gusal karegi.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Fatima bintey Jaish Razi Allahu Anha ko hukm diya k har namaz k liye wuzu kiya karo. (Sahih Bukhari Hadees no. 228)

3. Aurat har wo kaam karegi jo ek paak aurat karti hai yaani wo namaz ada karegi, rooza rakkhegi, aetakaaf karegi, khana kaba ka tawaaf karegi

4. Mustahaaza aurat se sohbat karna jayez hai, Jumnah bintey Jahash se riwayat hai k "Unhey istihaaza ka khoon aata tha aur unke khawind (is haal mein) unse sohbat karte they". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 310)

No comments:

Post a Comment