Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday, 30 September 2014

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK SABSE BADI JAHALAT HAI
SHIRK TAMAAM NAIK AAMAAL KO ZAAYA KAR DETA HAI KHAWAH NABI HI KYU NA HO

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in se kaho phir kya ae jahilo! tum Allah ta'ala k siwa kisi aur ki bandagi karne k liye mujhse kehte ho? (halankey) tumhari taraf aur tumse pehle guzare hue tamaam ambiya ki taraf ye wahi bheji ja chuki hai k agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaaya ho jayega aur tum khasarey mein rahoge". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45-46)


SHIRK INSAN KO AASMAN KI BULANDIYO SE ZAMEEN KI PASTI MEIN GIRA DETA HAI, JAHA WO MUSALSAL MUKHTALIF GUMRAHIYO MEIN DHASTA CHALA JATA HAI HATTA K HALAAK AUR BARBAAD HO JATA HAI

"Aur jisne Allah ta'ala k saath shirk kiya wo gooya aasaman se gir pada ab ya to use parindey (yaani shayateen) achak le jayenge ya hawa (khawahishaat e nafs) usko aesi jagah le ja kar phenk degi jaha uske cheethdey (botiya botiya) oudh jayenge". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 31)


MUSHRIK KO TAUHEED KA ZIKR BADA NA-GAWAAR MEHSOOS HOTA HAI

"Jab ek Allah ta'ala ka zikr kiya jata hai to aakhirat par emaan na rakhne walo k dil kudhne lagte hai aur jab uske siwa doosro ka zikr hota hai to yakayak khushi se khil uthtey hai". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45)


SHIRK K MUAMALEY MEIN WALIDAYEN YA KISI AALIM YA KISI MURSHID KI ITA'AT KARNA HARAAM HAI

"Humne insan ko hidayat ki hai k wo walidayen k saaath naik sulook kare lekin agar walidayen zoor daaley k tu mere saath kisi (aese mabood) ko shareek thehray jise (shareek ki hesiyat se) tu nahi jaanta to unki ita'at na kar, meri hi taraf tum sab ko palat kar aana hai phir mein tumko bataunga k tum kya karte rahe ho". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 8)


MUSHRIK MARD YA AURAT KA TAUHEED PARAST AURAT YA MARD SE NIKAH HARAAM HAI

"Mushrik aurato se nikah hargiz na karo jab tak wo emaan na le aye ek momin loondi mushrik aazaad aurat se behtar hai agarche wo (yaani mushrik aurat) tumhey pasand hi ho aur apni aurato k nikah mushrik mardo se bhi hargiz na karo jab tak wo emaan na le aaye, ek gulam momin, aazaad mushrik se behtar hai khawah wo mushrik tumhey kitna hi pasand ho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 221)


HALAT E SHIRK MEIN FAUT HONE WALE MUSHRIKO K LIYE DUA E MAGFIRAT KARNA MANA HAI

"Nabi ko aur un loogo ko jo emaan laye hai zaiba nahi hai k mushriko k liye magfirat ki dua kare chahey wo unke rishtedaar hi kyu na ho jab k un par ye baat khul chuki hai k wo jahannam k mustahiq hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 113)


MUSHRIK PAR JANNAT HARAAM HAI AUR WO HAMESHA HAMESHA K LIYE JAHANNAM MEIN RAHEGA

"Hazrat Isa Alaihis Salaam ne (apni qaum Bani Israeel) se kaha, ae bani israeel Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera bhi rabb hai aur tumhara bhi, jisne Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraya us par Allah ta'ala ne jannat haraam kardi aur uska thikaana jahannam hai, aur aese zalimo ka koi madadgaar nahi". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 72)

"Ahle kitab aur mushriko mein se jin loogo ne kufr kiya wo yaqeenan jahannam ki aag mein jayenge aur hamesha usme rahenge aese loog bad'tareen makhlooq hai". (Surah Bayyina Surah no. 98 Ayat no. 6)


HAQEEQAT E SHIRK SAMJHAANE K LIYE QURAN MAJEED KI CHAND HAKEEMANA MISALEY

1. "Jin loogo ne Allah ta'ala ko chood kar doosrey sarparast bana liye hai unki misaal makdi jesi hai jo apna ek ghar banati hai aur sab gharo se zayada kamzoor ghar makdi ka hi hota hai kaash ye loog is haqeeqat ko jaantey". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 41)

2. "Ae loogo! ek misaal di jaati hai use zara gaur se suno, Allah ta'ala ko chood kar jin maboodo ko tum pukaarte ho wo sab mil kar ek makkhi bhi paida nahi kar saktey balkey makkhi agar unse koi cheez cheen le jaye to wo use chuda (wapas nahi le sakte) bhi nahi sakte, madad chahne (maangne) wala bhi kamzoor aur jinse madad chaahi (maangi) jaati hai wo bhi kamzoor, in loogo ne Allah ta'ala ki qadar hi nahi pehchaani jesa k uske pehchaan'ne ka haqq tha haqeeqat ye hai k quwwat aur izzat wala to Allah hi hai". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 73-74)

3. "Allah ta'ala ko chood kar jinhe ye (mushrik) loog pukaate hai wo (maboodaan e baatil) unki duwaon ka koi jawab nahi de sakte unhe pukaarna to aesa hi hai jese koi shaks paani ki taraf haath phaila kar us'se darkhawast kare k tu mere muh tak pahunch ja, halanakey paani us tak pahunchne wala nahi bas isi tarah kaafiro ki duwaye bekaar jaane wali hai". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 14)

4. "Allah ta'ala ek misaal deta hai, ek gulam to wo hai jiske malik hone mein bahut se kujh khalk aaqa shareek hai jo use apni apni taraf khechte hai aur doosra shaks mukammal taur par sirf ek hi aaqa ka gulam hai, kya un dono ka haal yaksa (ek jesa) ho sakta hai? Alhamdullah (aesa nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 29)

5. "Allah ta'ala tumhey tumhari zaat se hi ek misaal deta hai kya tumhare in gulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hai kuch gulam aese bhi hai jo hamare diye hue maal wa dolat mein tumhare saath barabar k shareek ho aur kya tum unse is tarah darte ho jis tarah aapas mein apne hamsaro se darte ho? is tarah hum aayat khool kar paish karte hai un loogo k liye jo aqal se kaam lete hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 28)

6. "Allah ta'ala ek misaal deta hai ek to hai gulam jo doosre ka mamlook hai aur khud koi ikhtiyaar nahi rakhta, (jese muskriko k thehraye hue shuraka) doosra shaks wo hai jise humne apni taraf se accha rizk ata kiya hai aur wo usme se khuley aur acchey (apni marzi se) kharch karta hai (yaani poori tarah ba'ikhtiyaar hai jese Allah ta'ala) batao kya dono barabar hai? Alhamdulillah (hargiz nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 75)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KI BAARGAH MEIN FARISHTE AMBIYA WA RUSUL AUR AULIYA AUR SULHA UN MUSHRIKEEN K KHILAAF GAWAHI DENGE JO DUNYA MEIN UNHE ALLAH TA'ALA KA SHAREEK THEHRAATE RAHE HONGE
QAYAMAT K ROOZ MUSHRIKEEN K MABOOD UNKE KISI KAAM NAHI AYENGE

1. MALAIKA (FARISHTE)

"Aur jis din Allah ta'ala tamaam insano ko jama karega phir farishto se puchega "kya ye (mushrik) loog tumhari hi ibadat kiya karte they?" faishte jawab denge paak hai teri zaat , hamara talluq to aap se hai na k in loogo se, dar'asal ye hamari nahi jinno ki ibadat karte they, in (mushrikeen) mein se aksar unhi par emaan laaye hue they". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 40-41)

2. AMBIYA WA RUSUL

"Jis rooz Allah ta'ala sab Rasoolo ko jama kar k puchega k tumhey kya jawab diya gaya to wo arz karenge "hame kuch ilm nahi, ghaib ki baatey to aap hi k ilm mein hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 109)

"(Qayamat k din) jab Allah ta'ala farmayega "Ae Isa bin Mariyam! kya tooney looogo se kaha tha k khuda k siwa mujhe aur meri maa ko bhi khuda banao?" to wo jawab mein arz karega k "Subhan Allah" mera ye kaam na tha k wo baat kehta jiske kehne ka mujhe koi haq nahi tha, agar mene aesi baat kahi hoti to mujhe zaroor ilm hota tu jaanta hai, jo kcuh mere dil mein hai aur mein nahi jaanta jo tere dil mein hai beshak tu saari poshidah baato se waqif hai, mene unse is k siwa kuch nahi kaha jiska tooney hukm diya tha wo ye k Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera rabb hai aur tumhara rabb bhi, mein us waqt tak unka nigraan tha jab tak k mein unke darmiyaan tha, jab tooney mujhe wapas bula liya to phir tu hi in par nigraan tha aur tu saari hi cheezo par nigraan hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 116-117)

3. AULIYA WA SULHA

"Aur jis rooz Allah ta'ala un (mushriko) ko bhi ikattha kar layega aur unke un maboodo ko bhi bulayega, jinhey aaj ye Allah ta'ala ko chood kar poojh rahe hai phir wo un (maboodo) se puchega "Kya tumne mere in bando ko gumrah kiya tha ya ye khud raah e raast se bhatak gaye they?" wo arz karenge "Paak hai teri zaat hamari to ye majaal na thi k tere siwa kisi doosre ko apna maula banate, magar tooney unko unke baap dada ko bartane ko nematey di hatta k ye (tere) irshadaat ko bhool gaye aur ye halaak hone wale loog they". (Surah Furqaan Surah no. 25 Ayat no. 17-18)

"Aur jis rooz hum un sab (yaani shareek thehraye gaey aur shareek thehraane wale loogo) ko ek saath ikattha karenge to un looog se jinhone shirk kiya hai kahenge k thehar jao tum sabhi aur tumhare thehraye hue shareek bhi, phir hum inke darmiyaan se ajnabiyat ka pardah hata denge (yaani wo mushrik aur unke thehraye hue shareek ek doosre ko pehchaan lenge) tab unke thehraye hue shareek kahenge "Tum hamari ibadat to nahi karte they (aur us baat par) hamare aur tumhare darmiyaan Allah ta'ala ki gawahi kaafi hai k (agar tum hamari ibadat karte bhi they to) hum tumhari is ibadat se bilkul be-khabar they". (Surah Younus Surah no. 10 Ayat no. 28-29)


QAMAYAT K ROOZ MUSHRIKO AUR SHURAKA KI HALAT E ZAAT PAR QURAN MAJEED KA EK TANZIYA TABSIRAH

"(Qayamat k rooz hukm hoga) ghair lao un sab zalimo ko, unke saathiyo ko aur un maboodo ko jinki wo Allah ta'ala ko chood kar ibadat kiya karte they, phir un sab ko jahannam ka raasta dikhao aur (han) zara unhe thehrao unse kuch puchna hai "Kya ho gaya tumhey tum ek doosre ki madad kyu nahi kar rahe?" arey aaj to ye sab bade farmabardaar bane hue hai? (yaani har baat par bila chu wa chira amal kar rahe hai). (Surah Saffat Surah no. 37 Ayat no. 22-26)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK AZAAB DEKH KAR SHIRK SE INKAAR AUR TAUHEED KA IQRAAR KAREGA LEKIN US WAQT TAUHEED KA IQRAAR USE KOI FAIDA NAHI DEGA

"Jab inhone hamara azaab dekh liya to pukar uthenge k humne maan liya Allah wahdahu la shareek lahu ko, aur hum inkaar karte hai un sab maboodo ka jinhey hum uska shareek thehraate they, magar hamara azaab dekh lene k baad inka emaan unke liye kuch bhi nafa bakhs na ho sakta tha kyunki yahi Allah ta'ala ka qanoon  hai jo hamesha se uske bando mein chala aa raha hai, chunanchey us waqt kafir loog khasarey mein padh jayenge". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 84-85)


MUSHRIKO K LIYE QURAN MAJEED KI DAWAT E FIKR

1. "Ae Nabi! inse pucho, sehra aur samandar ki tareekiyo mein kaun tumhey khatraat se bachata hai? kaun hai jis'se tum museebat k waqt gidgida gidgida kar aur chupkey chupkey duwaye maangte ho? kis se kehte ho k agar is bala se usne hame bacha liya to hum zaroor shukr guzaar honge? kaho Allah ta'ala tumhey us'se aur har takleef se nijaat deta hai phir tum doosro ko uska shareek thehraate ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 63-64)

2. "Mushriko se kaho batao, agar tum jaante ho k ye zameen aur jo kuch isme hai wo sab kiski milkiyat hai? ye zaroor kahenge Allah ta'ala ki, kaho phir tum hoosh mein kyu nahi aatey" inse pucho saato aasman aur arsh e azeem ka malik kaun hai? ye zaroor kahenge Allah, kaho tum darte kyu nhi? inse kaho batao agar tum jaante ho k har cheez par iqtadaad kiska hai aur kaun hai jo panah deta hai aur uske muqabiley mein koi panah nahi de sakta? ye zaroor kahenge Allah, kaho phir kaha se tum ko dhooka lagta hai?. (Surah Mominoon Surah no. 23 Ayat no. 84-89)

3. "Kya in loogo k banaye hue arzi mabood aese hai k (be-jaan mein jaan daal kar) utha khada karte ho? agar aasman wa zameen mein ek Allah ta'ala k siwa doosre mabood bhi hote to (zameen wa aasman) dono ka nizaam bigad jata, pas arsh ka malik Allah paak hai un baato se jo ye loog bana rahe hai". (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 21-22)

4. "Kaun hai jisne zameen ko jaye qaraar banaya aur uske andar darya rawa kiye aur usme (pahado ki) maikhey gaadh di aur paani k do zakheero k darmiyaan pardey hayel kar diye? kya Allah k saath koi aur Allah bhi (in kaamo mein shareek) hai? "nahi" balkey inme aksar loog nadaan hai". (Surah Namal Surah no. 27 Ayat no. 61)

Saturday, 27 September 2014

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK KI 2 QISMEY HAI 1. SHIRK E AKBAR, 2. SHIRK E ASGAR
ALLAH TA'ALA APNI ZAAT, IBADAT AUR SIFAAT MEIN AKELA AUR BE-MISL HAI KISI JAANDAAR YA BE JAAN, ZINDA YA FAUT SHUDA MAKHLOOQ KO USKI ZAAT MEIN YA IBADAT MEIN YA USKI SIFAAT MEIN SHAREEK KARNA YA USKE HAMSAR SAMAJHNA SHIRK E AKBAR KEHLATA HAI
SHIRK E AKBAR KA MURTAKIB HAMESHA JAHANNAM MEIN RAHEGA

Hazrat Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mara k Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraata tha wo aag mein dakhil kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


SHIRK FIZ ZAAT, SHIRK FIL IBAADAAT AUR SHIRK FIS SIFAAT K ALAWA BAAZ AESE DEGAR UMOOR JINKE LIYE AHADEES MEIN SHIRK KA LAFZ ISTEMAAL HUA HAI MASALAN RIYA YA GAIRULLAH KI QASAM KHANA WAGAIRAH SHIRK E ASGAR KEHLATA HAI

Hazrat Mahmood bin Labeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhare baare mein mujhe jin cheezo ka khauf hai unme se zayada daraaney wali cheez shirk e asgar hai" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shirk e asgar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Riya". (Musnad Ahmad, Mishkaat Baab Riya was Sam'ah)

Wazahat: Shirk e akbar ka murtakib daaira e islam se kharij ho jata hai aur ho hamesha hamesha jahannam mein rahega jabkey shirk e asgar ka murtakib daaira e islam se kharij nahi hota lekin kabeera gunah ka murtakib hota hai jis ki saza jahannam hai (jab tak Allah chahey) yaad rahey shirk e asgar se tauba na karna shirk e akbar ka ba'as (sabab) ban sakta hai.


SHIRK E KHAFI SE MURAAD CHIPA HUA SHIRK HAI JO INSAAN K ANDAR KI CHUPI HUI KAIFIYAT KA NAAM HAI, SHIRK E KHAFI SHIRK E ASGAR BHI HO SAKTA HAI JESA K RIYA-KAAR KA SHIRK AUR SHIRK E AKBAR BHI HO SAKTA HAI JESA K MUNAFIQ KA SHIRK

Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye hum loog aapas mein maseeh dajjal ka zikr kar rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya mein tumhey aesi cheez ki khabar na du jiska mujhe tumhare baare mein maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai" humne arz kiya "Kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmya "Wo hai shirk khafi yaani ye k aadmi namaz padhne k liye khada hua aur jab use mehsoos hua k koi use dekh raha hai to apni namaz lambi kardi (yaani dikhaavey ki namaz)". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 3389)

Wednesday, 24 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

Bismillahirrahmanirraheem

NAIKI KARNE AUR GUNAH SE BACHNE KI TOFEEK DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Hazrat Shuyeb Alaihis Salaam ne apni qaum se kaha, mein apni istata'at k mutabiq islaah karna chahta hu aur jo kuch karna chahta hu uska sara inhasaar Allah ta'ala ki tofeek par hai usi par mene bharosa kiya hai aur usi ki taraf ruju karta hu". (Surah Hood Surah no. 11 Ayat no. 88)

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakad kar farmaya "Ae Muaaz! Allah ta'ala ki qasam mujhe tum se bahut muhabbat hai, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Muaaz! mein tujhe taakeed karta hu k kisi (farz) namaz k baad ye kalmaat kehna na choodna "ALLAHUMMA INNI ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBAADATIK" Yani "Ya Allah! mujhe, shukr aur behtareen ibadat karne ki tofeeq ata farma". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1522)


NAFA AUR NUKSAAN KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
TAQDEER KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in munafiko se kaho kaun hai jo tumhare muamaley mein Allah ta'ala k faisley ko rookne ka kuch bhi ikhtayaar rakhta hai agar wo tumhey nuksaan pahuchana chahey ya nafa pahuchana chahye? tumhare aamaal se Allah ta'ala poori tarah ba'khabar hai". (Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 11)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai ek din mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (sawaar) tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae ladkey mein tujhey chand kalmey sikhata hu (jo ye hai) Allah ta'ala k ahkaam ki hifazat kar Allah ta'ala (deen wa dunya k fitno mein) tumhari hifazat farmayega, Allah ta'ala ko yaad kar tu, to use apne saath payega, jab sawal karna ho to sirf Allah ta'ala se sawal kar, jab madad maangni ho to sirf Allah ta'ala se maang, aur acchi tarah jaan le k agar saare loog tujhe nafa pahuchaane k liye ikatthey ho jaye to kuch bhi nafa nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai aur agar saare loog tujhe nuksaan pahuchaana chahey to tujhey kuch bhi nuksan nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai, qalam (taqdeer likhne wale) utha liye gaye hai aur saheefey jinme taqdeer likhi gayi hai khushk ho chukey hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani)

Wazahat: Taqdeer ki do qismey hai pehli taqdeer e mubram (yaani faisla kun) ye kisi soorat mein nahi badalti, doosri tadeer e mu'allaq ye dua karne se badal jaati hai, aur uske baare mein bhi Allah ta'ala k han likha ja chuka hai falah shaks ki falah taqdeer falah dua karne se badal jayegi, taqdeer k baare hi mein Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai "Taqdeer nahi badali magar dua se".


ZINDAGI AUR MAUT SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jo zinda karta hai aur maarta hai aur jab kisi baat ka faisla kar leta hai to bas ek hukm deta hai k ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 68)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa zaatir riqa'a mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they (dooran e safar) ek ghaney saaye wala darakht aya jise humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k (aaraam k liye) chood diya itne mein ek mushrik aadmi aya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar jo, darakht k saath latak rahi thi, soont kar boola "Kya tum mujh se darte ho (ya nahi)?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nahi" mushrik kehne laga tumhey mujhse kaun bachayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" ise Bukhari ne riwayat kiya hai, Abu Bakr Ismaeel ne apni Sahih mein ye baat bhi riwayat ki hai (k jab) mushrik ne kaha "tumhey mujhse kaun bachayega to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" is par talwar mushrik k haath se choot kar nichey gir padhi aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne utha li phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Tujhey mujh se kaun bachayega?" mushrik ne kaha "Tum behtar pakadne wale bano" (yaani mujh par raham karo aur chood do) (Riyazus Saliheen Baab fi yaqeen wa tawakkal hadees no. 267)


TAUHEED E SIFAAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR:

1. Umoor e qainaat aur nizm e kainaat ki tadbeer mein Allah ta'ala k siwa kisi doose Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

2. Zameen wa aasman k tamaam khazano mein tasarruf ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hai is mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

3. Qayamat k rooz kisi ko sifarish kane ki ijazat dene ya na dene, sifarish qubool karne ya na karne, kisi ko sawab ya azaab dene, kisi ko pakadne ya choodne ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hoga, Allah ta'ala k is ikhtayaar mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

4. Gaib ka ilm rakhne wala aur har jagah hazir wa naazir sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

5. Dilo ko phairne wala, hidayat dene wala, naiki ki tofeed dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

6. Rizk ki tangi ya faraakhi, sehat aur beemari, nafa aur nuksan, zindagi aur maut dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

7. Aulaad dene ya na dene wala aur baitiya dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko is par qaadir samajhna shirk hai.

8. Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna shirk hai.

9. Dilo mein chupey raaz aur bhaid sirf Allah ta'ala hi jaanta hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah k baare mein ye aqeedah rakhna shirk hai.

Sunday, 21 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 3

TAUHEED E SIFAAT PART 3

Bismillahirrahmanirraheem

HAR WAQT AUR HAR JAGAH BANDO KI DUA SUN'NE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
HAR JAGAH HAZIR NAZIR (APNI QUDRAT AUR ILM K SAATH) SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Aur ae Nabi mere bandey jab tumse mere mutalliq puchey to unhe bata do k mein unse qareeb hi hu pukaarne wala jab mujhe pukaarta hai mein uski pukaar sunta hu aur jawab deta hu lihaza unhe chahiye k meri dawat par labbaik kahe aur mujh par emaan laye takey loog raah e raast pa ley". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

"Aur Allah ta'ala tumhare saath hai jaha bhi tum ho aur jo kaam bhi tum karte ho use wo dekh raha hai". (Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 4)

Hazrat Abu Musa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek safar mein they loog buland aawaaz se takbeer kehne lagey to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Apni jaano par narmi karo, (yaani anpi aawaaz nichi rakkho) kyunki tum kisi behrey ya gayib ko nahi pukaar rahe ho balkey use pukaar rahe ho jo (har jagah) sun'ne wala hai tumhare nazdeek hai aur (har waqt apne ilm aur qudrat k sabab) tumhare saath hai". (Sahih Muslim Kitabuz zikr wa dua)


DILO MEIN CHUPEY BHAID SIRF ALLAH TA'ALA HI JAANTA HAI

"Tum loog khawah aahista baat karo ya unchi aawaaz se (Allah ta'ala k liye yaksa hai kyunki) wo dilo k bhaid jaanta hai, kya wahi na jaanega jisne loogo ko paida kiya hai? halankey wo poshida baato se bhi ba'khabar hai". (Surah Mulk Surah no. 67 Ayat no. 13-14)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam maheena bhar ruku k baad qunoot padhte rahe jime banu saleem k qaba'il k liye bad'dua farmate rahe Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne chalees (40) qura (yaani ulama) ko baaz mushriko k paas (deen sikhaane k liye) bhejey banu saleem k loog muqabile mein utar aye aur un qura ko qatal kar daala halankey banu saleem aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k darmiyaan ahad tha (lekin banu saleem ne gaddari ki) Hazrat Anas Razi Allahu kehte hai mene Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko itna ranjeeda kabhi nahi dekha jitan us maoukey par dekha tha. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad was Sabr)


DEEN WA DUNYA KI TAMAAM BHALAIYA SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI JISE CHAHTA HAI ATA KARTA HAI JIS'SE CHAHTA HAI CHEEN LETA HAI

"Kaho ae Allah! kainaat k baadshah, tu jise chahey hukumat de, jis’se chahey cheen le jise chahaye izzat bakhshey jisko chahey zaleel kare, bhalayi tere ikhtiyaar mein hai, beshak tu har cheez par qadir hai". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 36)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dua ba'kasrat maanga karte they "RABBANA AATINA FID DUNYA HASANATAU WAFIL AAKHIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR" "Ya Allah! hame duya mein bhi bhalayi ata farma aur aakhirat mein bhi hame aag k azaab se bacha le". (Muttafiqun Alai, Mishkaat baab jamey dua fasal awwal)


DILO KO PHAIRNE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Ae loogo jo emaan laye ho, Allah ta'ala aur uske Rasool ki pukaar par labbaik kaho jab k Rasool tumhe us cheez ki taraf bulata hai jo tumhey zindagi bakhshne wali hai aur jaan rakko k Allah ta'ala bandey aur uske dil k darmiyaan hayil hai aur usi ki taraf tum ikatthey kiye jaoge". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 42)

Hazrat Shahar bin Hoshab Razi Allahu Anhu kehte hai mene ummul momineen hazrat e Salma Razi Allahu Anha se arz kiya "Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab aap k paas hote to konsi dua sabse zayada padhte? Hazrat Ummul Momineed Salma Razi Allahu Anha ne farmaya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zayada tar dua ye hoti "YA MUQALLABIL QULOOBI SABBAT QALBI ALA DEENIKA" (Ae loogo k phairne wale mera dil apne deen par jama de) mein (ummey Salma) ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap aksar ye dua kyu maangte hai aapne irshad farmaya: Ae Ummey Salma! koi aadmi aesa nahi jiska dil Allah ta'ala ki do ungliyo k darmiyaan na ho phir jise wo chaahta hai (deen e haqq par) qayam rakhta hai jise chahta hai (raah e raast) se hata deta hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2792)


RIZK DENE AUR NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
RIZK MEIN TANGI YA FARAKHI KARNE WALA BHI SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Aur apni aulaad ko gurbat k darr se qatal na karo hum unhe bhi rizk denge aur tumhe bhi, darhaqeeqat aulaad ka qatal ek bada gunah hai". (Surah Bani Israeel Surah no. 17 Ayat no. 31)
"Ae Nabi inse kaho mera rabb jise chahta hai kushaada rizk deta hai jise chahta hai tang deta hai lekin aksar loog (iski haqeeqat) nahi jaante". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 36)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo Ahadees Allah ta'ala se riwayat karte hai (unmey se ek ye hai) k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab bhookey ho siwaye uske jise mein khilau pas mujse khana maango mein tumhey khilaunga, ae mere bando tum sab nangey ho siwaye uske jise mein pehnaau pas tum mujhse libaas maango mein tumhey (libaas) pehnaaunga". (Sahih Muslim Baab fi tahreemul zulm)


AULAAD DENE YA NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
BAITEY AUR BAITIYA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Allah ta'ala zameen aur aasmaan ki baadshahi ka malik hai jo kuch chaahta hai paida karta hai jise chahta hai ladkiya deta hai jise chahta hai ladkey deta hai jise chahta hai ladkey aur ladkiya mila jula kar deta hai aur jise chahta hai baanj kar deta hai wo sab kuch jaanta hai aur har cheez par qaadir hai". (Surah Shura Surah no. 42 Ayat no. 49-50)

Ibne Shahaab kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ruqaiyya Razi Allahu Anha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad unki behan Hazat Ummey Kulsoom Razi Allahu Aaha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nikah bhi Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu se hi kar diya, Hazrat Ruqaiya Razi Allahu Anha Hazrat Usman Razi Allahu Anhu k aqd e nikah mein hi faut hui lekin unke han koi aulaad na hui. (Tabraani Hadees no. 75)


SEHAT AUR SHIFA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Allah ta'ala ne mujhe paida kiya wahi meri rehnumayi farmata hai wahi mujhe khilaata hai aur pilaat hai aur jab mein bimaar ho jata hu to mujhe shifa deta hai wahi mujhe maut dega aur phir dobaara zindagi bakhshega usi se mein ummed rakhta hu k rooz e jaza meri khata maaf farmayega". (Surah Shu’ara Surah no. 26 Ayat no. 78-82)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baaz bimaar loogo k jism par dahina haath phairte aur ye dua farmate "AZHIBIL BAASA RABBAN NAASI WASHFI ANTASH SHAAFI LA SIFA'A ILLA SHIFA’UKA SHIFA'AN LA YUGAADIRU SAQAMA" yaani "Ae loogo k rabb! bimaari door farma aur shifa inayat kar kyunki tu hi shifa dene wala hai asal shifa wahi hai jo tu inayat farmaye aesi sehat ata farma k kisi qism ki bimaari baaqi na rahey". (Sahih Bukhari Kitabut Tibb)


HIADAYAT DENA SIRF ALLAH ATA'ALA HI K IKHTAYAAR MEIN HAI

"Ae Nabi tum jise chaho use hidayat nahi de sakte lekin Allah jise chahta hai hidayat deta hai aur Allah ta'ala un loogo se khoob wakif hai jo hidayat qubool karne wale hai". (Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 56)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jin hadeeso mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala se riwayat karte hai unme se ek ye hai k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab gumraah ho siwaye uske jise mein hidayat du pas mujhse hidayat maango mein tumhey hidayat dunga". (Sahih Muslim Kitabul Ilm Baab Tahreemul Ilm)

To Be Continued......

Friday, 19 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 2

TAUHEED E SIFAAT PART 2

Bismillahirrahmanirraheem

QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Allah ta'ala kafiro k muamaley mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat mein thi magar unhone apne un shoharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala k muqabaley mein un (beewiyo) k kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya k jao aag mein jaane walo k saath tum bhi (aag mein) chali jao". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 10)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jab (quran majeed ki) ye aayat nazil hui "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apne rishtedaaro ko (qayamat se) darao to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar farmaya Ae quraish k loogo! ya aesa hi koi jumla kaha, apni jaaney bachao (qayamat k din) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae abd e Munaaf k baito! (qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae Abbas bin Abdul Muttalib mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam na aa sakunga Ae Safeeya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k phoopi! mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga aur ae Fatima binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (dunya mein) mere maal se jo chaho maanglo (lekin qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


GUNAH MAAF KARNE YA NA KARNE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! khawah un (munafiko) k liye maafi darkhwast karo ya na karo (ek hi baat hai) agar tum sattar (70) martaba bhi unhe maaf karne ki darkhwast karoge to Allah ta'ala unhe hargiz maaf nahi karega is liye k unhone Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath kufr kiya aur Allah ta'ala faasiq loogo ko hidayat nahi deta". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 80)

Hazrat Ummey Ala Ansariya Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki qasam! mein nahi jaanta halankey mein Allah ka Rasool hu (marne k baad) mere saath kya muamla hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)


MASHEEYAT AUR IRADEY KI TAKMEEL KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI
ALLAH TA'ALA APNI MASHEEYAT AUR IRAADAH POORA KARNE K LIYE KISI DOOSRE KI MASHEEYAT YA IJAZAT KA MOHTAAJ NAHI

"Allah ta'ala jab kisi kaam ka irada karta hai to uska kaam bas ye hai k use hukm de ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no. 82)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur guftagu karte hue kaha "Jo Allah ta'ala chahey aur Aap chahey" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone mujhe Allah ta'ala ka shareek bana liya hai" (ek riwayat mein hamsar k alfaaz hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(aesa na karo) balkey yu kaho jo Allah ta'ala chahey". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 139)


SHARIYAT SAAZI, HALAAL WA HARAAM JAYEZ WA NA'JAYEZ K TA'AYEEN KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ta'ala ne tumhare liye halal ki hai, (kya) tum apni beewiyo ki khushi chahte ho? Allah ta'ala bakhshaney wala raham farmane wala hai". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 1)


ILM E GHAIB SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam unse kaho mein apni zaat k liye kisi nafa aur nuksan ka ikhtayaar nahi rakhta Allah ta’ala hi jo kuch chahta hai hota hai aur agar mujhe ghaib ka ilm hota to mein bahut se faidey apne liye hasil kar leta aur mujhe kabhi koi nuksan na pahunchta, mein to mehaz ek khabardaar karne wala hu aur khushkhabri sunane wala hu un loogo k liye jo meri baat suney". (Surah Aaraf Surah no. 7 Ayat no. 188)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek rooz Raool E Akam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k darmiyaan tashreef farma they k ek shaks aya aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! qayamat kab ayegi?" Aapne farmaya "jis se puch rahe ho wo puchne wale se jayada nahi jaanta han albatta mein tujhe uski nishaniya bata deta hu (pehli nishani ye hai k) jab aurat apna malik janey to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (doosri nishani ye hai k) jab barhana badan aur barhana pao phirne wale loog sardaar baney to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (teesri nishani ye hai k) jab raiwad charaney wale bade bade mehal taameer kare to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (phir farmaya) qayamat to un paanch cheezo mein se hai jinka ilm Allah ta'ala k siwa kisi no nahi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "INNALLAHA INDAHU ILMUS SAA'AH (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)"
Tarjuma: 1. qayamat ka waqt sirf Allah ta'ala hi jaanta hai
2. Wahi baarish barsaata hai
3. wahi jaanta hai reham e maadar mein kya hai?
4. koi shaks ye nahi jaanta kal kya karega aur
5. koi shaks ye nahi jaanta k use konsi jagah maut ayegi, beshak Allah ta'ala har baat jaan'ne wal aar ba'khabar hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: "Aurat apna malik janey" ka matlab ye hai k aulad apne walidayn ki is qadr nafarmaan hogi k unke saath gulaamo aur loondiyo jesa sulook karegi.

To Be Continued......

Thursday, 18 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 1

TAUHEED E SIFAAT PART 1

Bismillahirrahmanirraheem

KAINAAT KI HAR CHEEZ KA HAQEEQI MALIK AUR BAADSHAH SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jiske alawa koi ila (mabood) nahi wo baadshah hai nihayat muqaddas hai, sarasar salamati aur aman dene wala, nigehbaan, sab par gaalib, zabardast badayi wala, paak hai Allah ta'ala us shirk se jo loog kar rahe hai". (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 23)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz Allah ta'ala aasmaano ko lapaitega phir unhe apne daaye hath mein lega phir farmayega mein hu baadshah aaj kaha hai (dunya mein) bade ban'ne wale aur takabbur karne wale? phir zameeno ko apne baaye hath main lapait lega". (Sahih Muslim, Mishkaat Kitabul Faan)


KAINAAT MEIN HUKUMAT AUR TAMAAM IKHTAYARAAT SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI

"Hukm dena sirf Allah ta'ala hi ka haq hai usi ne hukm diya hai k uske siwa kisi ki ibadat na ki jaye, yahi seedha raasta hai lekin aksar loog nahi jaante". (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya: "Tum jitni martaba hamare paas aatey ho us se zayada martaba kyu nahi aate? is par ye aayat nazil hue "Ae Nabi hum tumhare rabb k hukm k bagair nahi aatey jo kuch hamare aagey aur pichey hai neez jo kuch uske darmiyaan hai uska malik wahi hai aur tumhara rabb boolne wala nahi" ye ayat Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutaalbey ka jawab thi (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se kiya tha). (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

Wazahat: Mazkoora Ayat Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 64 ki hai.


NAZM E KAINAAT AUR UMOOR E KAINAAT KA MUDABBIR SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah hi hai jisne aasmano ko aese satoono k bagair qayam kiya jo tumko nazar nahi aatey hai phir wo arsh par julu (qaayam) farma hua, sooraj aur chaand ko (ek kanoon ka) paband banaya, (kainaat ki) har cheez (uske hukm se) ek waqt muqarrar tak k liye chal rahi hai Allah ta'ala hi (kainaat k) saare umoor ki tadbeer farma raha hai, Allah ta'ala (apni tauheed ki) nishaniya khool khool kar bayan kar raha hai takey tum apne rabb se mulaqaat ka yaqeen kar lo". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 2)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Allah ta'ala azz wa jall farmata hai ibne Adam zamaney ko gaali deta hai halankey wo zamana to mein hu din raat mere qabzey qudrat mein hai". (Sahih Muslim Kitabul Faaz minal Adab)


ZAMEEN AUR AASMAAN K TAMAAM KHAZAANO KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Ae Nabi! in se kaho mein tumse ye nahi kehta k mere paas Allah ta'ala k khazaane hai na mein gaib ka ilm rakhta hu aur na ye kehta hu k mein farishta hu mein to sirf us wahi ki pairvi karta hu jo mujh par nazil ki jaati hai phir unse pucho, kya andha aur aanhko wala dono barabar ho sakte hai? kya tum gaur nahi karte". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 50)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ka haath bhara hua hai kharch karne se usme kami nahi aati raat din uski bakhshish jaari hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zara gaur karo zameen wa aasman ki takhleeq par Allah ta'ala ne kitna kharch kiya lekin us se uske khazane mein kuch bhi kami nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


QAYAMAT K ROOZ SIFARISH KARNE KI IJAZAT DENE YA NA DENE NEEZ SIFARISH QUBOOL KARNE YA NA KARNE KA SARA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Kya Allah ko chood kar un loogo ne doosro ko sifarishi bana rakkha hai? unse kaho wo sifarish karenge khawah unke ikhtayaar mein kuch bhi na ho aur khawah wo (murdey tumhari baatey) samajhte bhi na ho kaho sifarish saari ki saari Allah ta'ala k ikhtayaar mein hai (jise chaahe ijazat de jise chahey na de aur jiski sifarish chahe qubool kare jiski chahey na qubool kare) aasmano aur zameen ki baadshahi ka wahi malik hai phir usi ki taraf tum sab (marne k baad) paltaaye jane wale ho". (Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 43-44)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala qayamat k din loogo ko ikattha karega kahenge k apne parwardigaar k huzoor kisi ki sifarish karwani chahe takey wo us takleef jahannam se nijaat dila de chunanchey loog Hazrat Aadam Alaihis Salaam k paas ayenge aur kahenge Aap wo hai jise Allah ta'ala ne apne haatho se banaya aur phir usme apni rooh phunki farisho ko hukm diya k Aapko sajdah kare lihaza hamare rabb k huzoor hamare liye sifarish kare, Hazrat Aadam Alaihis Salaam kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge loogo se kahenge Aap loog Hazrat Nooh Alaihis Salaam k paas jao wo pehle Rasool they jinhey Allah ta'ala ne bheja, loog unke paas (sifarish ka mutalba le kar) jayenge wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge aur loog se kahenge k tum Ibraheem Alaihis Salaam k paas jao unhe Allah ta'ala ne apna doost banaya hai, loog Ibraheem Alaihis Salaam k paas jayenge aur wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge Ibraheem Alaihis Salaam kahenge tum Moosa Alaihis Salaam k paas jao unse Allah ta'ala ne kalaam kiya hai chunchey loog Hazrat Moosa Alaihis Salaam k paas jayenge wo kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge Moosa Alaihis Salaam kahenge tum loog Isa Alaihis Salaam k paas jao chunanchey loog Isa Alaihis Salaam k paas ayenge wo bhi kahenge mein is layak kaha albatta tum loog Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jao Allah ta'ala ne unke agley pichley saare gunah maaf kar rakkhey hai chunanchey loog mere paas ayenge aur mein apne rabb se haziri ki ijazat talab karunga jab mein Allah ta'ala ko dekhunga to sajdey mein gir jaunga jab tak Allah ta'ala chahega mujhe sajdeh mein pada rehne dega phir farmayega "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam sar uthao aur maango diya jayega, baat kaho to suni jayegi, sifarish karo to maani jayegi, chunanchey (ijazat milne k baad) apna sar sajdey se uthaunga aur apne rabb ki wo hamd wa sana karunga jo us waqt Allah ta'ala mujhe sikhlayega uske baad (loogo k liye) sifarish karunga chunanchey mere liye hadd muqarrar kardi jayegi us hadd k andar jo loog honge (sirf) unko jahannam se nikaal kar bahisht (jannat) mein le jaunga phir mein dobara apne rabb k huzoor hazir hounga aur usi tarah sajdey mein gir jaunga chunanchey teesri ya choothi baar mein arz karunga "Parwardigaar! ab to jahannam se wahi loog baaqi reh gaye hai jo quran k hukm k mutabiq hamesha hamesha jahannam mein rehne wale hai (yaani kafir aur mushrik)". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

To Be continued......

Sunday, 14 September 2014

TAUHEED E IBADAT

TAUHEED E IBADAT

Bismillahirrahmanirraheem

IBADAT KI TAMAAM QIMEY (ZUBANI, MAALI AUR JISMAANI) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"kaho meri namaz, mere tamaam marasim abudiyat mera jeena mera marna sabkuch Allah ta'ala rabbul alameen k liye hai jiska koi shareek nahi usi baat ka mujhe hukm diya gaya hai aur sabse pehle sar ita'at jhukaane wala hu." (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 162-163)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey quran majeed ki kisi surah ki tarah tashahud bhi sikhaya karte they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "tamaam zubani ba'barkat ibadatey aur tamaam badni wa maali ibadatey Allah ta'ala hi k liye (makhsoos) hai ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap par salamati aur Allah ta'ala ki rahmatey aur barkatey nazil ho, salam ho hum par aur Allah ta'ala ki naik bando par mein gawahi deta hu k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur mein gawahi deta hu k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah k Rasool hai". (Sahih Muslim, Mishkaat tash'had fasal awwal)


NAMAZ KI TARAH KA QAYAAM YA BE HAS WA HARKAT BA'ADAB HAATH BAAND KAR KHADE HONA ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Apni namazo ki hifazat karo aur (khaas taur par) namaz e Asr ki aur Allah ta'ala k saamne is tarah adab se khade ho jese farmabardaar gulaam khade hote hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Muaviyah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks ye pasand kare k loog uske saamne tasweer ki tarah (be has wa harkat aur ba'adab) khade rahey wo apni jagah jahannam mein bana le". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2212)


RUKU AUR SAJDAH ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Ae loogo jo emaan laye ho! ruku karo, sajdah karo aur ibdat karo apne rabb ki aur naik kaam karo takey falah paa sako". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 77)

Hazrat Qais bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai mein hirah (yaman ka shehar) aya to waha k loogo ko apne hakim k aage sajdah karte dekha mene khayal kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (un haakimo k muqabiley mein) sajdah k zayada haqdaar hai chunanchey jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidamt e aqdas mein hazir hua to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene hirah k loogo ko apne haakim k saamne sajdah karte dekha hai halankey Aap sajdah k zayada haqdaar hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Accha batao agar tumhara guzar meri qabar par ho to kya tum meri qabar par sajdah karoge?" mene arz kiya "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir ab bhi mujhe sajdah na karo agar mein kisi ko sajdah karne ka hukm deta to aurato ko hukm deta k wo apne shoharo ko sajdah kare is haqq k badley mein jo Allah ta'ala ne mardo k liye muqarrar kiya hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1873)


TAWAAF (SAWAB KI NIYAT SE KISI JAGAH K GIRD CHAKKAR LAGANA) AUR AETAKAAF (KISI JAGAH SAWAB KI NIYAT SE BAITHNA) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Aur humne Ibraheem aur Ismaeel (Alaihis Salaam) ko taakeed ki thi k mere is ghar ko tawaaf, aetakaaf, ruku aur sajdah karne walo k liye paak saaf rakkho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 125)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kisi qabr par baithne se ye behtar hai k aadmi aag k ingaarey par baith jaye jo uske kapde aur khaal tak ko jala de". (Sahih Muslim Kitabul Janaiz)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab tak qabeela e doos ki aurato ki peethey zill khalsah k gird tawaaf na karne lage". (Muttafiqun Alih, Sahih Muslim Kitabul Faan)

Wazahat: Zill Khalsah zamana e jahiliyat mein qabeela e doos ka butt tha jiske gird mushrik tawaaf kiya karte they.


NAZR, NIYAAZ, MANNAT AUR CHADHAAWA SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KA HONA CHAHIYE

"Beshak Allah ta'ala ne tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur wo har cheez jo Allah ta'ala k alawa kisi doosre k naam kardi jaye, haraam kar diya hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 173)

Hazrat Tariq bin Shihaad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek aadmi sirf makkhi ki wajah se jannat mein chala gaya aur doosra jahannam mein" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kese?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do aadmi ek qabiley k paas se guzrey, us qabiley ka ek butt tha jis par chadhawa chadhaye bagair koi aadmi waha se nahi guzar sakta tha, chunanchey unme se ek shaks se kaha gaya k is butt par chadhawa chadhao, usne kaha k mere paas aesi koi cheez nahi, qabiley k loogo ne kaha tumhey chadhawa zaroor chadhaana hoga khawah makkhi hi pakad kar chadhao, musafir ne makkhi pakdi aur butt ki nazar kardi loogo ne use jaane diya aur wo jahannam mein dakhil ho gaya, qabiley k loogo ne doosre aadmi se kaha tum bhi koi cheez butt ki nazar karo, usne kaha mein Allah ta'ala azz wa jall k awala kisi doosre k naam ka chadhawa nahi chadhunga, loogo ne use qatal kar diya aur wo jannat mein chala gaya". (Musnad Ahmad Kitabut Tauheed)


QURBANI SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KI DENI CHAHIYE

"Aur jis jaanwar ko Allah ta'ala k naam par zibah na kiya gaya ho uska goosht na khao aesa karna fisk hai, shayateen apne sathiyo k dilo mein shukook wa shubhaat daalte hai takey (shayateen k saathi shirk k liye) tumse jhagda kare lekin agar tumne unki ita'at qubool karli to tum mushrik ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 121)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne laanat farmayi hai us shaks par jo gairullah k naam par janwar zibah kare jo zameen ki hadey tabdeel kare jo apne walidayen par lanat kare aur jo bida'ati ko panah de". (Sahih Muslim Kitabul Azha)


DUA SIRF ALLAH TA'ALA HI SE BARAH E RAAST MAANGNI CHAHIYE

"Ae Nabi! mere bande jab tumse mere mutalliq puchey (to unhe bata do) k mein unke qareeb hi hu jab koi dua karne wala mujhse dua karta hai to mein qubool karta hu pas unhe chahiye k wo mera hukm maaney mujh par emaan laye takey raah e raast pa ley". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

Hazrat Nomaan bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dua ibadat hai" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Tumhara rabb kehta hai mujhse dua karo mein tumhari dua qubool karunga jo loog meri ibadat se muh moodte hai mein unhe jald hi ruswa karke jahannam mein dakhil karunga". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2685)
PANAH SIRF ALLAH TA'ALA HI SE MAANGNI CHAHIYE

"Kaho mein panah maangta hu insaano k rabb, insano k baadshah, insaano k haqeeqi mabood ki, us waswasa daalne wale k shar se jo baar baar palat kar aata hai, jo loogo k dilo mein waswasa daalta hai, khawah wo jinno mein se ho ya insaano mein se". (Surah Naas Surah no. 114 Ayat no. 1-6)

Hazrat Haula binte Hakeem Razi Allahu Anha kehti hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai jo shaks kisi jagah thehrey aur ye dua padhey "Mein Allah ta'ala k mukammal kalmaat k zariye saari makhloqaat k shar se Allah ta'ala ki panah maangta hu" tu use us jagah se rawana hone tak koi cheez nuksaan nahi pahuchayegi. (Sahih Muslim Baab raqi babul raqeeyata bi tarbatul arz)


TAWAKKAL AUR BHAROOSA SIRF ALLAH TA'ALA HI PAR KARNA CHAHIYE

"Agar Allah ta'ala tumhari madad par ho to koi taakat tum par galib aane wali nahi aur agar wo tumhey chood de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kar sakta hai bas sacchey momino ko Allah ta'ala hi par tawakkal karna chahiye". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 160)

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Agar tum loog Allah ta'ala par tawakkal karo jesa tawakkal karne ka haqq hai to wo tumhey usi tarah rizk de jis tarah parindo ko deta hai, parindey subah khaali pait nikalte hai aur shaam ko pait phar kar wapas aatey hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 3359)


RAZA AUR KHUDNUDI SIRF ALLAH TA'ALA HI KI TALAB KARNI CHAHIYE

"Rishtedaar, miskeen aur musafir ko uska haqq ada karo yahi tarz e amal behtar hai un loogo k liye jo Allah ta'ala ki khushnudi chahte hai aur wahi loog falah paane wale hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 38)

Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu ne ummul momineen Hazrat e Ayesha Razi Allahu Anha ko khat likha k mujhe koi naseehat farmaiye lekin taweel (lambi) na ho, chunanchey Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne likha Assalamu Alaikum, Allah ki hamd o sana k baad, mene Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai "Jo shaks loogo ki naraazgi mool le kar Allah ta'ala ki raza dhoondta hai Allah ta'ala use loogo se mustagna kar deta hai, aur jo shaks loogo ki raza hasil karne k liye Allah ta'ala ki naraazgi mool leta hai Allah ta'ala use loogo k supurd kar deta hai" Wassalamu Alaik. (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1947)


TAMAAM MUHABBATO PAR GALIB ALLAH TA'ALA HI KI MUHABBAT HONI CHAHIYE

"Loogo mein se kuch loog aese hai jo Allah ta'ala k siwa doosro ko uska hamsar aur maddey muqabil banate hai, aur unse aesi muhabbat karte hai jesi muhabbat Allah ta'ala se karni chahiye halankey emaan wale to Allah ta'ala se toot kar muhabbat karte hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 165)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks mein ye teen khaslatey hongi wo unki wajah se emaan ki (haqeeqi) halawat aur mithaas mehsoos karega pehli ye k Allah aur Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baaqi tamaam loogo k muqabiley mein zayada muhabbat rakhta ho, doosri ye k kisi aadmi se Allah ta'ala k liye muhabbat karta ho, teesri ye k kufr jis se Allah ta'ala ne use bacha liya hai uski taraf palatna use itna napasand ho jitna aag mein dakhil hona". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


HAR QISM K DARR AUR KHAUF PAR ALLAH TA'ALA HI KA KHAUF AUR DARR GALIB HONA CHAHIYE

"Kya tum kafiro se darte ho halankey Allah ta'ala uska zayada haqdaar hai k tum us'se daro agar tum waqayi momin ho". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 13)


DEEN AUR DUNYA K TAMAAM MAAMLAAT MEIN ITA'AT SIRF ALLAH TA'ALA HI KI KARNI CHAHIYE

"Humne har ummat mein ek Rasool bheja aur uske zariye sabko khabardaar kar diya k "Allah ta'ala ki ita'at karo aur tagooto ki ita'at se bacho uske baad unmein se kisi ko Allah ta'ala ne hidayat bakhshi aur kisi par gumrahi musallat ho gayi". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 36)

Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Nabi E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur meri gardan mein sooney (gold) ki saleeb thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Adi! is butt (saleeb) ko utaar phenko" mene (us waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Surah Baqarah ki ye Ayat padhte hue suna "unhone (yaani ahle kitab ne) apne ulama aur darwaisho ko ila (mabood) k siwa apna rabb bana liya" tab (Hazrat Adi k sawal k jawab mein) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat irshad farmayi k wo (Ahle kitab) apne ulama aur darwaisho ki (zahiri) ibadat na karte they, lekin jab ulama kisi cheez ko halaal kehte to wo use halaal jaan lete aur jab ulama kisi cheez ko haraam tehraatey to wo use haraam jaan lete (aur wahi matlab hai ulama ko Allah ta'ala k siwa rabb banane ka). (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2479)


TAUHEED E IBADAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR

1. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne be has wa harkat, ya adab haath baandh kar khade hona shirk hai.

2. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne ruku ki tarah jhukna ya sajdah karna shirk hai.

3. Kisi mazaar par sawaab ki niyat se kam ya zayada waqt k liye qayam karna ya mujawar ban kar baithna ya tawaaf karna shirk hai.

4. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se dua maangna ya unhe dua mein waseela banana shirk hai.

5. Musibat ya takleef mein Allah ta'ala k siwa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagirah ko pukaarna unse faryaad karna unse panah talab karna shirk hai.

6. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub aya badaal wagairah k naam ka janwar zibah karna ya unke naam ki nazar, niyaaz dena ya unki mannat maan'na ya chadhawa chadhana shirk hai.

7. Dunya ya aakhirat mein nuqsaan k dar se Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se darna shirk hai.

8. Dunya ya aakhirat mein kaamyabi k husool k liye Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ki raza hasil karna shirk hai.

9. Allah ta'ala k muqabiley mein kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se badhkar muhabbat karna shirk hai.

10. Allah ta'ala k bajaye kisi faut shuda nabi, wali, guas, qutub ya abdaal wagairah par tawakkal karna shirk hai.

11. Allah ta'ala k muqarrar qardah halaal wa haraam k muqabiley mein kisi wali, gaus, qutub, abdaal ya murshid kisi mazhabi rehnuma ya kisi siyaasi leader ya kisi Parliament ya kisi assembly wagairah k mutayyin karda halaal wa haraam par amal karna shirk hai.