Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 24 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

Bismillahirrahmanirraheem

NAIKI KARNE AUR GUNAH SE BACHNE KI TOFEEK DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Hazrat Shuyeb Alaihis Salaam ne apni qaum se kaha, mein apni istata'at k mutabiq islaah karna chahta hu aur jo kuch karna chahta hu uska sara inhasaar Allah ta'ala ki tofeek par hai usi par mene bharosa kiya hai aur usi ki taraf ruju karta hu". (Surah Hood Surah no. 11 Ayat no. 88)

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakad kar farmaya "Ae Muaaz! Allah ta'ala ki qasam mujhe tum se bahut muhabbat hai, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Muaaz! mein tujhe taakeed karta hu k kisi (farz) namaz k baad ye kalmaat kehna na choodna "ALLAHUMMA INNI ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBAADATIK" Yani "Ya Allah! mujhe, shukr aur behtareen ibadat karne ki tofeeq ata farma". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1522)


NAFA AUR NUKSAAN KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
TAQDEER KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in munafiko se kaho kaun hai jo tumhare muamaley mein Allah ta'ala k faisley ko rookne ka kuch bhi ikhtayaar rakhta hai agar wo tumhey nuksaan pahuchana chahey ya nafa pahuchana chahye? tumhare aamaal se Allah ta'ala poori tarah ba'khabar hai". (Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 11)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai ek din mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (sawaar) tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae ladkey mein tujhey chand kalmey sikhata hu (jo ye hai) Allah ta'ala k ahkaam ki hifazat kar Allah ta'ala (deen wa dunya k fitno mein) tumhari hifazat farmayega, Allah ta'ala ko yaad kar tu, to use apne saath payega, jab sawal karna ho to sirf Allah ta'ala se sawal kar, jab madad maangni ho to sirf Allah ta'ala se maang, aur acchi tarah jaan le k agar saare loog tujhe nafa pahuchaane k liye ikatthey ho jaye to kuch bhi nafa nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai aur agar saare loog tujhe nuksaan pahuchaana chahey to tujhey kuch bhi nuksan nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai, qalam (taqdeer likhne wale) utha liye gaye hai aur saheefey jinme taqdeer likhi gayi hai khushk ho chukey hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani)

Wazahat: Taqdeer ki do qismey hai pehli taqdeer e mubram (yaani faisla kun) ye kisi soorat mein nahi badalti, doosri tadeer e mu'allaq ye dua karne se badal jaati hai, aur uske baare mein bhi Allah ta'ala k han likha ja chuka hai falah shaks ki falah taqdeer falah dua karne se badal jayegi, taqdeer k baare hi mein Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai "Taqdeer nahi badali magar dua se".


ZINDAGI AUR MAUT SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jo zinda karta hai aur maarta hai aur jab kisi baat ka faisla kar leta hai to bas ek hukm deta hai k ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 68)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa zaatir riqa'a mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they (dooran e safar) ek ghaney saaye wala darakht aya jise humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k (aaraam k liye) chood diya itne mein ek mushrik aadmi aya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar jo, darakht k saath latak rahi thi, soont kar boola "Kya tum mujh se darte ho (ya nahi)?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nahi" mushrik kehne laga tumhey mujhse kaun bachayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" ise Bukhari ne riwayat kiya hai, Abu Bakr Ismaeel ne apni Sahih mein ye baat bhi riwayat ki hai (k jab) mushrik ne kaha "tumhey mujhse kaun bachayega to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" is par talwar mushrik k haath se choot kar nichey gir padhi aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne utha li phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Tujhey mujh se kaun bachayega?" mushrik ne kaha "Tum behtar pakadne wale bano" (yaani mujh par raham karo aur chood do) (Riyazus Saliheen Baab fi yaqeen wa tawakkal hadees no. 267)


TAUHEED E SIFAAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR:

1. Umoor e qainaat aur nizm e kainaat ki tadbeer mein Allah ta'ala k siwa kisi doose Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

2. Zameen wa aasman k tamaam khazano mein tasarruf ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hai is mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

3. Qayamat k rooz kisi ko sifarish kane ki ijazat dene ya na dene, sifarish qubool karne ya na karne, kisi ko sawab ya azaab dene, kisi ko pakadne ya choodne ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hoga, Allah ta'ala k is ikhtayaar mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

4. Gaib ka ilm rakhne wala aur har jagah hazir wa naazir sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

5. Dilo ko phairne wala, hidayat dene wala, naiki ki tofeed dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

6. Rizk ki tangi ya faraakhi, sehat aur beemari, nafa aur nuksan, zindagi aur maut dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

7. Aulaad dene ya na dene wala aur baitiya dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko is par qaadir samajhna shirk hai.

8. Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna shirk hai.

9. Dilo mein chupey raaz aur bhaid sirf Allah ta'ala hi jaanta hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah k baare mein ye aqeedah rakhna shirk hai.

No comments:

Post a Comment