Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 19 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 2

TAUHEED E SIFAAT PART 2

Bismillahirrahmanirraheem

QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Allah ta'ala kafiro k muamaley mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat mein thi magar unhone apne un shoharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala k muqabaley mein un (beewiyo) k kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya k jao aag mein jaane walo k saath tum bhi (aag mein) chali jao". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 10)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jab (quran majeed ki) ye aayat nazil hui "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apne rishtedaaro ko (qayamat se) darao to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar farmaya Ae quraish k loogo! ya aesa hi koi jumla kaha, apni jaaney bachao (qayamat k din) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae abd e Munaaf k baito! (qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae Abbas bin Abdul Muttalib mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam na aa sakunga Ae Safeeya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k phoopi! mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga aur ae Fatima binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (dunya mein) mere maal se jo chaho maanglo (lekin qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


GUNAH MAAF KARNE YA NA KARNE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! khawah un (munafiko) k liye maafi darkhwast karo ya na karo (ek hi baat hai) agar tum sattar (70) martaba bhi unhe maaf karne ki darkhwast karoge to Allah ta'ala unhe hargiz maaf nahi karega is liye k unhone Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath kufr kiya aur Allah ta'ala faasiq loogo ko hidayat nahi deta". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 80)

Hazrat Ummey Ala Ansariya Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki qasam! mein nahi jaanta halankey mein Allah ka Rasool hu (marne k baad) mere saath kya muamla hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)


MASHEEYAT AUR IRADEY KI TAKMEEL KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI
ALLAH TA'ALA APNI MASHEEYAT AUR IRAADAH POORA KARNE K LIYE KISI DOOSRE KI MASHEEYAT YA IJAZAT KA MOHTAAJ NAHI

"Allah ta'ala jab kisi kaam ka irada karta hai to uska kaam bas ye hai k use hukm de ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no. 82)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur guftagu karte hue kaha "Jo Allah ta'ala chahey aur Aap chahey" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone mujhe Allah ta'ala ka shareek bana liya hai" (ek riwayat mein hamsar k alfaaz hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(aesa na karo) balkey yu kaho jo Allah ta'ala chahey". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 139)


SHARIYAT SAAZI, HALAAL WA HARAAM JAYEZ WA NA'JAYEZ K TA'AYEEN KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ta'ala ne tumhare liye halal ki hai, (kya) tum apni beewiyo ki khushi chahte ho? Allah ta'ala bakhshaney wala raham farmane wala hai". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 1)


ILM E GHAIB SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam unse kaho mein apni zaat k liye kisi nafa aur nuksan ka ikhtayaar nahi rakhta Allah ta’ala hi jo kuch chahta hai hota hai aur agar mujhe ghaib ka ilm hota to mein bahut se faidey apne liye hasil kar leta aur mujhe kabhi koi nuksan na pahunchta, mein to mehaz ek khabardaar karne wala hu aur khushkhabri sunane wala hu un loogo k liye jo meri baat suney". (Surah Aaraf Surah no. 7 Ayat no. 188)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek rooz Raool E Akam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k darmiyaan tashreef farma they k ek shaks aya aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! qayamat kab ayegi?" Aapne farmaya "jis se puch rahe ho wo puchne wale se jayada nahi jaanta han albatta mein tujhe uski nishaniya bata deta hu (pehli nishani ye hai k) jab aurat apna malik janey to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (doosri nishani ye hai k) jab barhana badan aur barhana pao phirne wale loog sardaar baney to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (teesri nishani ye hai k) jab raiwad charaney wale bade bade mehal taameer kare to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (phir farmaya) qayamat to un paanch cheezo mein se hai jinka ilm Allah ta'ala k siwa kisi no nahi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "INNALLAHA INDAHU ILMUS SAA'AH (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)"
Tarjuma: 1. qayamat ka waqt sirf Allah ta'ala hi jaanta hai
2. Wahi baarish barsaata hai
3. wahi jaanta hai reham e maadar mein kya hai?
4. koi shaks ye nahi jaanta kal kya karega aur
5. koi shaks ye nahi jaanta k use konsi jagah maut ayegi, beshak Allah ta'ala har baat jaan'ne wal aar ba'khabar hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: "Aurat apna malik janey" ka matlab ye hai k aulad apne walidayn ki is qadr nafarmaan hogi k unke saath gulaamo aur loondiyo jesa sulook karegi.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment