Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 18 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 1

TAUHEED E SIFAAT PART 1

Bismillahirrahmanirraheem

KAINAAT KI HAR CHEEZ KA HAQEEQI MALIK AUR BAADSHAH SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jiske alawa koi ila (mabood) nahi wo baadshah hai nihayat muqaddas hai, sarasar salamati aur aman dene wala, nigehbaan, sab par gaalib, zabardast badayi wala, paak hai Allah ta'ala us shirk se jo loog kar rahe hai". (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 23)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz Allah ta'ala aasmaano ko lapaitega phir unhe apne daaye hath mein lega phir farmayega mein hu baadshah aaj kaha hai (dunya mein) bade ban'ne wale aur takabbur karne wale? phir zameeno ko apne baaye hath main lapait lega". (Sahih Muslim, Mishkaat Kitabul Faan)


KAINAAT MEIN HUKUMAT AUR TAMAAM IKHTAYARAAT SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI

"Hukm dena sirf Allah ta'ala hi ka haq hai usi ne hukm diya hai k uske siwa kisi ki ibadat na ki jaye, yahi seedha raasta hai lekin aksar loog nahi jaante". (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya: "Tum jitni martaba hamare paas aatey ho us se zayada martaba kyu nahi aate? is par ye aayat nazil hue "Ae Nabi hum tumhare rabb k hukm k bagair nahi aatey jo kuch hamare aagey aur pichey hai neez jo kuch uske darmiyaan hai uska malik wahi hai aur tumhara rabb boolne wala nahi" ye ayat Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutaalbey ka jawab thi (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se kiya tha). (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

Wazahat: Mazkoora Ayat Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 64 ki hai.


NAZM E KAINAAT AUR UMOOR E KAINAAT KA MUDABBIR SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah hi hai jisne aasmano ko aese satoono k bagair qayam kiya jo tumko nazar nahi aatey hai phir wo arsh par julu (qaayam) farma hua, sooraj aur chaand ko (ek kanoon ka) paband banaya, (kainaat ki) har cheez (uske hukm se) ek waqt muqarrar tak k liye chal rahi hai Allah ta'ala hi (kainaat k) saare umoor ki tadbeer farma raha hai, Allah ta'ala (apni tauheed ki) nishaniya khool khool kar bayan kar raha hai takey tum apne rabb se mulaqaat ka yaqeen kar lo". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 2)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Allah ta'ala azz wa jall farmata hai ibne Adam zamaney ko gaali deta hai halankey wo zamana to mein hu din raat mere qabzey qudrat mein hai". (Sahih Muslim Kitabul Faaz minal Adab)


ZAMEEN AUR AASMAAN K TAMAAM KHAZAANO KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Ae Nabi! in se kaho mein tumse ye nahi kehta k mere paas Allah ta'ala k khazaane hai na mein gaib ka ilm rakhta hu aur na ye kehta hu k mein farishta hu mein to sirf us wahi ki pairvi karta hu jo mujh par nazil ki jaati hai phir unse pucho, kya andha aur aanhko wala dono barabar ho sakte hai? kya tum gaur nahi karte". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 50)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ka haath bhara hua hai kharch karne se usme kami nahi aati raat din uski bakhshish jaari hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zara gaur karo zameen wa aasman ki takhleeq par Allah ta'ala ne kitna kharch kiya lekin us se uske khazane mein kuch bhi kami nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


QAYAMAT K ROOZ SIFARISH KARNE KI IJAZAT DENE YA NA DENE NEEZ SIFARISH QUBOOL KARNE YA NA KARNE KA SARA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Kya Allah ko chood kar un loogo ne doosro ko sifarishi bana rakkha hai? unse kaho wo sifarish karenge khawah unke ikhtayaar mein kuch bhi na ho aur khawah wo (murdey tumhari baatey) samajhte bhi na ho kaho sifarish saari ki saari Allah ta'ala k ikhtayaar mein hai (jise chaahe ijazat de jise chahey na de aur jiski sifarish chahe qubool kare jiski chahey na qubool kare) aasmano aur zameen ki baadshahi ka wahi malik hai phir usi ki taraf tum sab (marne k baad) paltaaye jane wale ho". (Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 43-44)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala qayamat k din loogo ko ikattha karega kahenge k apne parwardigaar k huzoor kisi ki sifarish karwani chahe takey wo us takleef jahannam se nijaat dila de chunanchey loog Hazrat Aadam Alaihis Salaam k paas ayenge aur kahenge Aap wo hai jise Allah ta'ala ne apne haatho se banaya aur phir usme apni rooh phunki farisho ko hukm diya k Aapko sajdah kare lihaza hamare rabb k huzoor hamare liye sifarish kare, Hazrat Aadam Alaihis Salaam kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge loogo se kahenge Aap loog Hazrat Nooh Alaihis Salaam k paas jao wo pehle Rasool they jinhey Allah ta'ala ne bheja, loog unke paas (sifarish ka mutalba le kar) jayenge wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge aur loog se kahenge k tum Ibraheem Alaihis Salaam k paas jao unhe Allah ta'ala ne apna doost banaya hai, loog Ibraheem Alaihis Salaam k paas jayenge aur wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge Ibraheem Alaihis Salaam kahenge tum Moosa Alaihis Salaam k paas jao unse Allah ta'ala ne kalaam kiya hai chunchey loog Hazrat Moosa Alaihis Salaam k paas jayenge wo kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge Moosa Alaihis Salaam kahenge tum loog Isa Alaihis Salaam k paas jao chunanchey loog Isa Alaihis Salaam k paas ayenge wo bhi kahenge mein is layak kaha albatta tum loog Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jao Allah ta'ala ne unke agley pichley saare gunah maaf kar rakkhey hai chunanchey loog mere paas ayenge aur mein apne rabb se haziri ki ijazat talab karunga jab mein Allah ta'ala ko dekhunga to sajdey mein gir jaunga jab tak Allah ta'ala chahega mujhe sajdeh mein pada rehne dega phir farmayega "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam sar uthao aur maango diya jayega, baat kaho to suni jayegi, sifarish karo to maani jayegi, chunanchey (ijazat milne k baad) apna sar sajdey se uthaunga aur apne rabb ki wo hamd wa sana karunga jo us waqt Allah ta'ala mujhe sikhlayega uske baad (loogo k liye) sifarish karunga chunanchey mere liye hadd muqarrar kardi jayegi us hadd k andar jo loog honge (sirf) unko jahannam se nikaal kar bahisht (jannat) mein le jaunga phir mein dobara apne rabb k huzoor hazir hounga aur usi tarah sajdey mein gir jaunga chunanchey teesri ya choothi baar mein arz karunga "Parwardigaar! ab to jahannam se wahi loog baaqi reh gaye hai jo quran k hukm k mutabiq hamesha hamesha jahannam mein rehne wale hai (yaani kafir aur mushrik)". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

To Be continued......

No comments:

Post a Comment