Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 24 June 2015

A'IMMA E MASAJID KO NAMAZ AWWAL WAQT PAR PADHAANI CHAHIYE

A'IMMA E MASAJID KO NAMAZ AWWAL WAQT PAR PADHAANI CHAHIYE

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tera kya haal hoga, jis waqt tujh par aese imam (hakim) hongey jo namaz mein dair karengey ya uske waqt se qaza karengey?" mene kaha k aap mujhe us haal mein kya hukm farmate hai? aapne farmaya "Namaz ko uske waqt par padh (yaani awwal waqt par) phir agar tu us namaz (ki jamat) ko (jo tu padh chuka hai) unke saath paa le to (unke saath) dobaarah namaz padhle tehqeeq ye namaz tere liye nafil hogi". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 648)

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tehqeeq tum par mere baad aese imam hongey jinko baaz cheezey waqt par namaz padhne se baaz rakkhengi, yaha tak k uska waqt jata rahega, pas namaz waqt par padho (agarchey tanha padhni padey)" ek shaks bola, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein unke saath bhi namaz padhu? aapne farmaya "Han! agar tum chaaho". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 433)

No comments:

Post a Comment