Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 26 June 2015

NAMAZ K MAMNOOA AUQAAT

NAMAZ K MAMNOOA AUQAAT

Bismillahirrahmanirrahemm

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne subah (ki namaz) k baad namaz padhne se mana farmaya hatta ke suraj khoob zahir ho jaye aur (namaz) e asar k baad namaz padhne se mana farmaya hatta ke suraj acchi tarah gayeb ho jaye. (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 581, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 826)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey teen fitno mein namaz padhne aur mayyat dafan karne se mana farmaya:
1. Jab Suraj tulu ho raha ho yaha tak k buland ho jaye
2. Aeyn dopahar k waqt
3. Jab suraj guroob ho raha ho yaha tak k poori tarah guroob ho jaye. (Sahih Muslim Hadees no. 831)

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Suraj k nikalte waqt aur guroob hote waqt namaz na padh kyunki suraj shaitaan k singho k darmiyaan se tulu hota hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 582, Sahih Muslim Hadees no. 828)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Asar k baad namaz na padho illa ye k suraj buland ho". (Abu Dawood Kitut Tahtawi Hadees no. 1274, Nasayi Hadees no. 573, Ise ibne Khuzaima, Ibne Hibban, Ibne Hazam aur Hafiz ibne Hajar ne sahih kaha)

Is hadees se zahir hai k asar k baad namz ki mumaniyat muttalaq nahi hai, kareeb muwalli ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne asar k baad do rakaatey padhi, aap se iski wajah daryaft ki gayi to farmaya "Baat ye hai k mere paas qabeela abdul qais k loog (ahkaam e deen seekhne k liye) aaye they unhone (yaani unke saah meri masroofiyat ne) mujhe zuhar k baad ki do sunnato se baaz rakkha, pas ye wo dono thi (jo mene asar k baad padhi hai)". (Sahih Bukhari Kitabus Sahu Hadees no. 1233, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 834)

Imam Shafi Rahimahullah is hadees se istadlaal karte hue tahyatul masjid ya tahyatul wuzu ki adaaygi fajar aur asar ki namaz k baad bhi jayez qaraar dete hai.

Imam Qudaama Rahimahullh ne asar k baad sunnato ki qaza k jawaaz par ye daleel bhi di hai k asar k baad ki mumaniyat khafeef (halki) hai, jabke ibne Hazam ne 23 Sahaba Razi Allahu Anhum jinme Khulafa e Arba aur kubaar sahaba shamil hai) se asar k baad 2 rakaat padhna zikr kiya hai.

Fajar k baad mumaniyat ka aagaaz tulu e fajar se hota hai, jab fajar tulu ho gayi to fajar ki sunnato k alawa baaqi nawafil mamnoo hai.

Ibne Umar Razi Allahu Anhu ka gulaam Yasaar bayan karte hai k Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne mujhe tulu e fajar k baad (nafil) namaz padhte hue dekha to farmaya "Ae Yasaar! hum is tarah (nafil) namaz padh rahe they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur farmaya k "Jo loog yaha mojood hai wo un loogo ko ye baat bata de k tulu e fajar k baad do rakaat (sunnato) k alawa koi namaz na padho". (Abu Dawood Kitabut Tahtawi Hadees no. 1278)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne tulu e aaftaab (k aagaaz) se pehle namaz e fajar ki ek rakaat padhli wo apni namaz poori kare, aur jisne guroob aafaatb (k aagaaz) se pehle namaz e asar ki ek rakaat padhli wo apni namaz poori kare, usne fajar aur asar ki namaz paa li". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 579, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 608)

Ye riwayat us shaks k liye hai jo kisi shari uzr ki wajah se late ho gaya warna mehaz susti ki bina par namaz ko is qadar late karna sarasar munafiqat hai.

Hazrat Jubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae manaaf k baito! raat ho ya din jis waqt bhi koi shaks us ghar ka tawaaf karna chahey aur namaz ada karna chaahey usey mat rooko". (Tirmizi Kitabul Hajj Hadees no. 868)

Maloom hua fajar aur asar ki namaz k baad mamnooa auqaat mein bhi tawaaf aur uske baad ki do rakaat ada ki ja sakti hai.

No comments:

Post a Comment