Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 19 June 2015

NAMAZ KI FARZIYAT

NAMAZ KI FARZIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Namaz wo aham fareeza hai jiska Allah ta'ala ne meraaj ki raat bara e raast Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hukm diya meraaj ki raat Allah ta'ala ne pachaas namazey farz ki Musa Alaihis Salaam ne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaya k tumhari ummat ko itni taqat na hogi tum Allah k paas loot kar aur takhfeef chaho Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam loot kar gaye hatta k paanch namazey reh gayi Allah ta'ala ne farmaya "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo din raat ki paanch namazey hai, har namaz mein das namazo ka sawaab hai to ye wahi pachaas namazey huyi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 162)

Subhan Allah, Allah ta'ala ki apne bando par kitni inayat hai k paanch namazey padhi pachaas ka ajr miley

Quran Majeed mein bahut si aayaat mein namaz ka zikr hai:

1. Beshak Namaz be-hayaai aur munkir baato se rookti hai. (Surah Ankaboot Ayat no. 45)

2. Beshak falah paa gaya jisne pakeezagi ikhtiyaar ki aur apne rabb ka naam zikr kiya phir namaz ada ki. (Surah Aala Ayat no. 14, 15)

3. Emaandaar loog kaamyaab ho gaye jo apni namazo mein aajazi karte hai. (Surah Mominoon Ayat no. 2)

4. Aur jo apni namazo par muhafizat karte hai, yahi loog aese waris hai jo jannatul firdaus k malik hongey aur usme hamesha rahengey. (Surah Mominoon Ayat no. 9-11)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu ko yaman bhejte hue farmaya "Unko dawat do k wo is baat ka iqraar kare k Allah k siwa koi mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k Rasool hai, agar wo ye baat maan le to unko batao k Allah ne tum par din raat mein paanch namazey farz ki hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat Hadees no. 1395, Sahih Muslim Hadees no. 19)


IS FARZIYAT SE BACCHEY AUR PAGAL MUTSHANA HAI:

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen insaan marfu ul qalam hai:
1. Soya hua jaagne tak
2. Na-baligh baccha baligh hone tak
3. Pagal insaan aqal dursut hone tak". (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 4403)


AULAAD KO NAMAZ SIKHANE KA HUKM:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne baccho ko namaz padhne ka hukm do jab wo saat saal k ho jaye aur jab wo das baras k hon to unhey tark e namaz par maaro aur unke bistar juda kardo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 495, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 407, ise Imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Is hadees mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam baccho k waledayn ko irshad farma rahey hai k wo apni aulaad ko saat baras ki umar mein hi namaz ki taleem de kar namaz ka aadi banane ki koshish kare aur agar das baras k ho kar namaz na padhey to waledayn tadeebi karwaahi kare unhey saza de kar namaz ka paband banaye aur das baras ki umar ka zamana chunkey baloogat k qareeb ka zamana hai is liye unhey ikattha na sooney diya jaye.


TARK NAMAZ KUFR KA ELAAN HAI:

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aadmi aur sihrk wa kufr k darmiyaan farq, namaz ka chood dena hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 82)

Is ka matlab ye hai k islam aur kufr k darmiyaan namaz diwaar ki tarah hayil hai, doosre lafzo mein namaz ka tark musalman ko kufr tak pahunchane wala amal hai.

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hamare aur munafiqo k darmiyaan ahad namaz hai, jisne namaz chood di pas usne kufr kiya". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1079, Tirmizi Kitabul Emaan Hadees no. 2621, Ise Tirmizi, Hakim 1:6,7 aur Zahbi ne sahih kaha)

Is hadees ka matlab ye hai k munafiqo ko jo aman hasil hai wo qatal nahi kiye jaate aur unke saath musalmano jesa salook rawa rakkha jata hai to uski wajah ye hai k wo namaz padhte hai aur unka namaz padhna goya musalmano k darmiyaan ek ahad hai jiske sabab munafiqo ki jaan aur unka maal musalmano ki talwaar aur yalqaar se mehfooz hai aur jisne namaz tark ki to usne apne kufr ka izhaar kar diya, musalmaan bhaiyo! gaur karo kis qadr khauf ka muqaam hai tark e namaz, kufr ka aelaan hai.

Abdullah bin Shafeeq Rahimahullah riwayat karte hai "Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum aamaal mein se kisi cheez k tark ko kufr nahi samajhate they siwa e namaz k". (Tirmizi Kitabul Emaan Hadees no. 2622, ise Imam Hakim 1:7 aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Dardah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Jo shaks farz namaz jaan boojh kar chood de to yaqeenan us (ki babat Allah ka maaf karne) ka zimma khatam ho gaya". (Ibne Maja Kitabul Fitan Hadees no. 4034 iski sanad Imam Zahbi aur Ibne Hajar ki shart par hasan hai)

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ki namaz faut ho jaye to goya uska ahal aur maal halaak kar diya gaya". (Sahih Bukhari Mawaqeetus Salaat Hadees no. 552, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 626)

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz e asar chood di pas uske aamaal batil ho gaye". (Sahih Bukhari Mawaqeetus Salaat Hadees no. 594)

No comments:

Post a Comment