Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 26 June 2015

FAUT SHUDAH NAMAZEY

FAUT SHUDAH NAMAZEY

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks namaz bhool jaye ya soo jaye pas uska kaffarah ya hai k jis waqt usey yaad aaye us namaz ko padhle". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 597, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 684)

Is hadees se istadlaal karte hue jamhoor ulama subah aur asar ki namaz k baad faut shudah farz namaz ki adaaygi jayez samajhte hai aur fajar aur asar k baad nafil namaz padhna mana samajhte hai.

Is hadees se ye bhi maloom hua k agar koi shaks namaz padhna bhool jaye aur uska waqt guzar jaye to jis waqt yaad aye wo usi waqt poori namaz padhle aur usi tarah agar koi shaks soo jaye ya subah aankh hi aese waqt khule k suraj tulu ho chuka ho to jaagne wale ko usi waqt poori namaz padh leni chahiye aur us par kisi qism ka kaffarah nahi hai.

Qaza e umar wale masle ki shariyat mein koi asal nahi lihaza ye bidaat hai.

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek safar mein farmaya "Aaj raat kaun hamari hifazat karega? aea na ho k hum fajar ki namaz ko na jaagey, Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne kaha k mein khayaal rakkhunga phir unhone mashriq ki taraf muh kiya aur (kuch dair baad) Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu bhi gafil ho kar soo gaye, jab aaftaab garam hua to jaagey aur khade hue, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba bhi jaage, Aapne farmaya "Ounth ki nakeel pakad kar chalo kyunki ye shaitaan ki jagah hai" phir (nayi jagah pahunch kar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ko azaan dene ka hukm diya, Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne azaan di, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne do rakaatey padhi baaqi loogo ne bhi do sunnatey padhi phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne fajar ki namaz padhaayi aur farmaya "Jo shaks namaz bhool jaye use jab yaad aaye to namaz padhle". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 595, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 680)

Qarieen e kiraam! asal haqeeqat aapne jaan li k suraj tulu ho kar garam ho chuka tha tab Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne azaan di magar qawwalo ne ek aur hi qissa ghad liya:

"BILAL NE JAB TAK AZAAN E FAJAR NA DI"
"QUDRAT KHUDA KI DEKHIYE NA MUTLAQ E SAHAR HUI"

Yaani jab tak Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne azaan nahi di tab tak subah nahi hui

Is Hadees se maloom hua k ye qissa manghadat hai.

Note: Subah ki sunnatey padhne ka zikr Sahih Muslim mein hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fael se bilkul wazey hai k neend se baidaar hone par fauran namaz ada ki jaye, lihaza qaza namaz ki adayigi k liye iske baad wali namaz k waqt ka intazaar nahi karna chahiye, balke aese shaks ko sirf tauba e istaghfaar aur naiki ke mooqo mein sabqat le jaane ka ehtamaam karna chahiye.

No comments:

Post a Comment