Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 21 September 2015

TASHAHUD AUR MASLA RAFA E SABBAABA

TASHAHUD AUR MASLA RAFA E SABBAABA

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam doosri rakaat k baad (doosre sajdey se uth kar) baaya paao bicha kar us par baithte aur daaya paao khada rakhte, unse kaha gaya aap to aesa nahi karte to farmane lagey mere pao mujhe sahara nahi de sakte. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 827)


MASLA RAFA E SABBAABA

Tashahud mein ungli ka uthana Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki badi ba-barkat aur azmat wali sunnat hai.

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz (k qaadah) mein baithte to apne dono haath apne dono ghutno par rakhte aur dahiney haath ki tamaam ungliya band kar lete aur apni daahini ungli jo anguthey k nazdeek hai utha lete, pas uske saath dua maangte aur baaya hath baaye ghutne par bicha lete. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 580)

Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab (namaz mein) tashahud padhne baithte to apna daaya hath daayi aur baaya haath baayi raan par rakhte aur shahadat ki ungli k saath ishaarah karte aur apna angootha apni darmiyaani ungli par rakhte, ek riwayat mein hai k baaya hath baayen ghutne par aur daaya hath daayi raan par rakhte. (Sahih Muslim Hadees no. 579)

Maloom hua k namazi ko rukhsat hai chahey dono haath ghutno par rakkhey chahey raan par.

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam doosre sajdey se uth kar qaadah mein baithte, do ungliyo ko buland kiya, angoothey aur darmiyan ki badi ungli se halqa banaya aur angasht shahadat (kalmey ki ungli) se ishaarah kiya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 726, Ise Imam Ibne Hibban 485 aur Ibne Khuzaima 713, 714 ne sahih kaha)

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ungli uthaayi aur usey hilaate they. (Nasayi Kitabul Iftaah Hadees no. 889, ise Ibne HIbban 485 aur ibne Khuzaima 714 ne sahih kaha)

Sheikh Albaani farmate hai ungli ko harkat na dene wali riwayat shaaz ya munkir hai, lihaza ise Hadees wayel bin Hujar k muqabiley mein lana jayez nahi hai.

Sirf (LA ILAHA ILLALLAH) kehne par ungli uthana aur kehne k baad rakh dena kisi riwayat se sabit nahi hai.

Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nazar (tashahud mein) unki ungli k ishaarey se tajawuz nahi karti thi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 990)

Hazrat Saad Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere paas se guzrey aur mein (tashahud mein) do ungliyo se ishaarah kar raha tha, aapne farmaya "Ek ungli se, ek ungli se (ishaarah karo) yaani shahadat ki ungli k saath ishaarah karo". (Nasayi Kitabus Sahu Hadees no. 1273)


TASHAHUD

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum namaz mein (qaadah k liye) baitho to ye dua padho:

"AT TAHIYAATU LILLAHI WAS SALAWAATU WAT TAYYIBAATU, ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABEEYU WA RAHMATULLHI WA BARAKATUHU, ASSALAAMU ALAINA WA ALAA IBADILLAHIS SAALIHEEN, ASH'HADU AN LA ILAHA ILLALLAHU WA ASH'HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU"

"(Meri saari) qauli (zubani), badni aur maali ibadat sirf Allah k liye khaas hai, ae Nabi aap par Allah ta'ala ki rahmat, salamati aur barkatey ho aur hum par aur Allah k (doosre) naik bando par (bhi) salamati ho, mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi hai aur mein gawahi deta hu k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur Rasool hai" phir jo dua pasand ho wo maang, in kalmaat ko ada karne se har naik bandey ko khawah wo zameen par ho ya aasmaan mein namazi ka salam pahunch jata hai. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 831, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 402)

Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare darmiyaan mojood rahe hum (ASSALAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) kehte rahe, jab aap faut ho gaye to humne khitaab ka saiga chood kar gaayib ka saiga padhna shuru kar diya, yaani phir hum (ASSALAMU ALAN NABI) padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Istazaan Hadees no. 6265)

Pehle jumle ka maana hai: "Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam aap par salamati ho" doosre jumle ka maana hai "Nabi Akaram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par salamati ho".

Is se maloom hua k Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aalim ul ghaib ya hazir nazir nahi samajhte they, wa garna wo (ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) ki jagah (ASSALAAMU ALAN NABI) na padhte, alfaaz e tashahud (ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) se shirkiya aqeedah (aapke aalim ul ghaib ya hazir nazir hoone) ki qata'an tayeed nahi hoti, kyunki musalman "ASSALAMU ALAIKA AYYUHAN NABI" is liye nahi balke sunnat ki pairvi ki bina par padhte hai, neez Allah ta'ala apne bando ka salaam Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak pahunchate hai. (Abu Dawood Kitabul Manasik Hadees no. 2042)

Jis tarah hum apne khatoot mein ba-saiga khitab ek doosre ko salaam bhajte hai usi tarah hamara salaam bhi Allah ta'ala aap tak pahuncha deta hai, ye salaam chunckey Allah ta'ala ki Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum se sabit hai is liye ye is Salat o Salaam ki daleel nahi ban sakta jo loog azaan se qabl ya uthte baithte "ASSALAATU WAS SALAAMU ALAIKA YA RASOOLALLAH" ye samajh kar padhte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamara salam sun rahe hai yaqeenan Sahaba ki pairvi mein kaamyabi hai aur khud-saakhta aamaal bida'at hai gumraahi mein le jaane ka sabab ban sakte hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam darmiyaani tashahud se farigh ho kar khade ho jate they. (Musnad Ahmad ibne Hambal 1:459m 4382 is ki sanad sahih hai) lihaza darmiyaani tashahud mein sirf tashahud kaafi hai, aur agar koi shaks tashahud k baad darood aur dua karna chahey to bhi jayez hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum do rakaat par baitho to At-Tahhiyaat k baad jo dua ziyaadah pasand ho wo karo". (Nasayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 1163)

Aur dua se pehle darood padhna chahiye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jab koi namaz padhey to pehle apne parwardigaar ki badaayi bayan kare, uski tareef kare phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood bhejay phir apne liye jo chahey dua maangey. (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1481, Ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Lihaza darmiyaani tashahud mein tashahud k baad darood aur dua bhi ki ja sakti hai.

Qaada e tashahud se teesri rakaat k liye khade ho to Allahu Akbar kehte hue uthey aur rafulyadain karey, Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do rakaat padh kar (tashahud k baad) khade hoote to Allahu Akbar kehte aur dono haath uthaate. (Sahih Bukhari Hadees no. 739)

Thursday 17 September 2015

JALSA (DO SAJDO K DARMIYAAN BAITHNA) AUR JALSEY KI DUWAYE

JALSA (DO SAJDO K DARMIYAAN BAITHNA) AUR JALSEY KI DUWAYE

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey se apna sar uthate aur apna baaya pao moodte (yaani bichaate) phir us par baithte, aur seedhey hote yaha tak k har haddi apne thikaane par aa jati (yaani pehle jadey se sar utha kar nihayat aaraam wa itminaan se baith jaate aur duwaye jo aagey aa rahi hai padh kar) phir (doosra) sajdah karte. (Abu Dawood Hadees no. 730, Tirmizi Hadees no. 304)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka mamool tha k baithte waqt apna daaya pao khada kar lete. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 828)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k namaz mein sunnat ye hi k daaya pao khada kiya jaye aur uski ungliya qiblah rukh ki jaaye aur baaye pao par baitha jaye. (Nasayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 1158, Ise Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne sahih kaha)

Aur kabhi kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne qadmo aur apni aediyo par baithte, Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se qadmo aur aediyo par baithne k baare mein pucha gaya to aapne farmaya k ye tumhare Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 536)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam khud bade itminaan se jalse mein baithte lekin afsoos k aam loog ko jalse ka pata hi nahi k wo kya hota hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jalsa sajdey k barabar hota tha, kabhi kabhi ziyaadah (dair tak) baithte yaha tak k baaz loog kehte k aap (doosra sajdah karna) bhool gaye. (Sahih Bukhari Hadees no. 821, Sahih Muslim Hadees no. 472)


JALSE KI MASNOON DUWAYE

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono sajdo k darmiyaan (ye) padhte they:

"ALLAHUM MAGFIRLI WARHAMNI WA AAFINI WAHDINI WARZUQNI"

"Ae Allah! mujhe baksh de, mujh par rahma farma, mujhe aafiyat se rakh, mujhe hidayat de aur mujhe roozi ata kar". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 850, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 284, ise Hakim, Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono sajdo k darmiyaan padha karte they" "RABBIG FIRLI, RABBIG FIRLI" "Ae mere rabb mujhe maaf farma, ae mere rabb mujhe maaf farma". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 874, Ibne Maja Hadees no. 897, Hakim 1:271 aur Zahbi ne sahih kaha)


DOOSRA SAJDAH

Jab aap poorey itminaan se jalse k fara'iz se faarigh ho to phir doosra sajdah karey aur pehle sajdey ki tarah us mein bhi badey khushu wa khuzu aur kaamil itminaan se duwaaye padhey aur phir uthey.

SAJDAH E TILAWAT

SAJDAH E TILAWAT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Jab aadam ka (momin) baita sajdey ki aayat padhta hai, phir (padhne aur sun'ne wala) sajdah karta hai to shaitaan rota hua ek taraf ho kar kehta hai haaye meri halakat, tabaahi aur barbaadi! Aadam k baite ko sajdey ka hukm diya gaya, usne sajdah kiya, pas uske liye bahisht hai aur mujhe sajdey ka hukm diya gaya mene nafarmani ki pas mere liye aagh hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 81)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdey ki aayat tilawat karte hai to aap sajdah karte, aur sahaba bhi aapke saath sajdah karte. (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1075, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 575)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey ki aayat tilawat karte aur sajdah tilawat mein ye padhte:

"SAJADA WAJ HIYA LILLAZI KHALAQAHU WA SHAQQA SAM'AHU WA BASARAHU BI HAULIHI WA QUWWATTIHI FATA BAARAKALLAHU AHSANUL KHALIQEEN"

"Mere chehrey ne us zaat ko sajdah kiya jisne apni taaqat aur quwwat se usey paida kiya uske kaan aur aankhey banaayi pas Allah behtareen takhleeq karne wala bada ba-barkat hai". (Abu Dawood Kitabus Sujood Hadees no. 1414, Ise Imam Tirmizi, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha aur "FATA BAARAKALLAHU AHSANUL KHALIQEEN" k alfaaz Mustadrak e Hakim 1:220 mein hai)

Hazrat Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne Surah Najam tilawat ki to aapne sajdah tilawat nahi kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1072, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 577) Maloom hua Sajdah e Tilawat wajib nahi.

Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne juma k din mimbar par Surah Nahal padhi jab sajdey ki aayat aayi to mimbar par se utrey aur sajdah kiya aur loogo ne bhi unke saath sajdah kiya, doosre juma ko phir yahi surah padhi aur sajdah nahi kiya, phir farmaya "Loogo jab hum sajdey ki aayat padhte ho to jo koi sajdah kare usne accha kiya aur jo koi na kare us par koi gunah nahi". (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1077)


SAJDAH E SHUKR

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas koi khushi ki khabar aati to Allah ka shukr ada karte hue sajdey mein gir jaate. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1394)

Allah Ta'ala ne Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu ki touba qabool ki to kisi ne buland aawaaz se pukaara ae Kaab bin Malik tere liye khush-khabri hai, aawaaz sunte hi Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu sajdey mein gir gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi Hadees no. 4218, Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees no. 2769)

SAJDEY KI DUWAYE

SAJDEY KI DUWAYE

Bismillahirrahmanirraheem

1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Khabardaar mein ruku aur sajdey mein quran e hakeem padhne se mana kiya gaya hu, pas tum ruku mein apne rabb ki azmat bayan karo aur sajdey mein khoob dua maango". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 479)

2. Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein (ye dua) padhte: "SUBHANA RABBI YAL AALAA" "Mera buland parwardigaar (har aeb se) paak hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 772)

Aap ye kalmaat teen dafa kehte they. (Ibne Maja Hadees no. 888)

3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne sajdey mein (ye) kehte they

"ALLAHUM MAGFIRLI ZANBI KULLAHU DIQQATU WA JILLATU WA AW-WALAHU WA AAKHIRATU WA ALAA NIYATU WA SIRRAHU"

"Ae Allah! mere choote aur bade, pehle aur pichle, zahir aur poshidah, tamaam gunah baksh de". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 483)

5. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku ya sajdey mein farmate they: "SUBHAANAKA WA BIHAMDIKA LA ILAHA ILLA ANTA" "Ae Allah! teri hi pakeezagi aur tareef hai, tere siwa koi (sachha) mabood nahi hai". (Sahih Muslim Hadees no. 485)

6. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein farmate:

"ALLAHUMMA A'OUZU BIRAZAAKA MIN SAKHATIKA WA BIMU'AA FAATIKA MIN UQOOBATIKA WA A'OUZU BIKA MINKA LA AHSEE SANA'AN ALAIKA ANTA KAMA ASNAITA ALA NAFSIKA"

"Ae Allah mein teri raza-mandi k zariye tere gussye se, teri aafiyat k zariye teri saza se aur teri rahmat k zariye tere azaab se panah chahta hu, mein teri tareef ko shumaar nahi kar sakta, tu wesa hi hai jis tarah tooney apni tareef khud farmaayi hai". (Sahih Muslim Hadees no. 486)

7. Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajde mein jaate to ye dua padhte:

"ALLAHUMMA LAKA SAJAD'TU WA BIKA AAMANTU WA LAKA ASLAMTU SAJADA WAJHIYA LILLAZI KHALAQATU WA SOOWARATU FA AHSANA SOORATU WA SHAQQA SAM'ATU WA BASARATU TABAARAKALLAHU AHSANUL KHALIQEEN"

"Ae Allah tere liye mene sajdah kiya, mein tujh par emaan laya, mein tera farmabardaar hu, mere chehrey ne us zaat ko sajdah kiya jisne usey paida kiya, uski acchi soorat banaayi, uske kaan aur aankh ko khoola, behtareen takhleeq karne wala Allah, bada hi ba-barkat hai". (Sahih Muslim Hadees no. 771)

Monday 14 September 2015

SAJDAH - NIHAYAT DARJAH QURB E ILAHI

SAJDAH - NIHAYAT DARJAH QURB E ILAHI

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Behsk bandah sajdey ki halat mein apne rabb se bahut nazdeek hota hai, pas (sajdey mein) bahut dua karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 482)

Allah ta'ala to bandey se har haal mein nazdeek hota hai lekin sajdey ki halat mein bandah uske bahut nazdeek hota hai, yahi wajah hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdhey mein badi aajazi aur ikhlaas se duwaye maangte they.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aam taur par zameen par sajdah karte they is liye k masjid e nabvi mein farsh na tha, Sahaba Razi Allahu Anhum sakht garmi mein namaz ada karte aur zameen ki garmi ki wajah se agar wo zameen par paishani na rakh sakte to sajdah ki jagah par kapda rakh lete aur us par sajdah karte. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 385, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 620)

Ramazaan ul Mubarak ki 21vi raat thi, baarish barasi aur masjid ki chatt tapak padi aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne keechad mein sajdah kiya, aapki paishani aur naak par keechad ka nishaan tha. (Sahih Bukhari Kitabul Aetakaaf Hadees no. 2040, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1167)

Ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne badi chataayi par namaz ada ki jo zameen par ziyaadah arsa padhi rehne se siyaah ho gayi thi. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 380, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 658)


LAMBA SAJDAH KARNA:

Aam taur par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka sajdah ruku k barabar hota tha, kabhi kabhi kisi aarza ki bina par ziyaadah lamba karte, ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar ya asar ki namaz mein Hazrat Hasan ya Hussain Razi Allahu Anhuma ko uthaye hue tashreef laaye, aap namaz ki imamat k liye aagey badhey aur unhey apne qadam mubarak k qareeb bitha liye, phir aapne namaz shuru ki aur lamba sajdah kiya, jab aapne namaz khatam ki to loogo ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ! aapne is namaz mein ek sajdah bahut lamba kiya yaha tak k hamey khayaal guzra k koi waqiya ru-numa ho gaya, ya phir wahi nazil ho rahi hai, aapne farmaya "Aesi koi baat nahi thi bas mera baita meri kamar par sawaar ho gaya to mene ye baat pasand na ki k sajdey se jaldi sar utha kar usey pareshani mein mubtala karu". (Nasaayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 2:229, 230, 1141, ise Imam Hakim 3:627, ibne Khuzaima 1037 ne sahih kaha)


BAHISHT MEIN RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA SAATH:

Hazrat Rabee'a bin Kaab Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein raat guzaarta tha, aapke wuzu ka paani aur aapki (daigar) zarooriyaat (miswaak wagairah) lata tha, (ek raat khush ho kar) Aapne mujhe farmaya "(kuch deen wa dunya ki bhalaayi) maang" mene arz kiya k bahisht mein aapki rifaqat chahta hu aapne farmaya "Uske alawa koi aur cheez?" mene kaha bas yahi! phir aapne farmaya "Pas apni zaat k liye sajdo ki kasrat se meri madad kar". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 489)

Is hadees se maloom hua k zindah buzurgo se mulaqaat k doraan unse dua karwaana jayez hai, is hadees mein ye kahi nahi hai k mein chunkey kul makhlooq ka haajat-rawa aur mushkil-kusha hu lihaza mujhse har qisam ki ghaibi madad maanga karo, iske bar-aks Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Janab Rabee'a bin kaab Razi Allahu Anhu se madad maang rahe hai k sajdo ki kasrat se meri madad kar.

Jis tarah Ma'alij mareez ko kahe k husool e shifa k liye mein tere liye koshih karta hu aur tu meri hidayaat k mutabiq dawaayi aur parhaiz karne k saath meri madad kar, isi tarah aapne rabee'a ko farmaya k mein tere husool e mad'aa k liye dua se koshih karta hu aur tu sajdo ki kasrat k saath meri koshih mein meri madad kar, isi tarah tujhe bahisht mein meri rifaqat hasil hogi.

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se jannat mein le jaane wala amal pucha to aapne farmaya "Allah k liye (Pooey khuloos wa huzoor k saath) sajdo ki kasrat laazim kar, pas tere har sajdey k badle Allah ta'ala tera darja buland karega aur uske sabab se gunah (bhi) mita dega". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 488)

AURATEY SAJDEY MEIN BAAZU NA BICHAAYE

AURATEY SAJDEY MEIN BAAZU NA BICHAAYE

Bismillahirrahmanirraheem

Bahut si autey sajdey mein baazu bicha leti hai aur pait ko raano se mila kar rakhti hai aur dono qadmo ko bhi zameen par khade nahi karti, wazey ho k ye tareeqa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k farmaan aur sunnat k khilaaf hai suniye! Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Tum mein se koi (mard ya aurat) apne baazu sajdey mein is tarah na bichaaye jis tarah kutta bichaata hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 822, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 493)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is farmaan se saaf pata chalta hai k namazi (mard ya aurat) ko apne dono haath zameen par rakh kar dono kohniyo (yaani baazu) zameen se utha kar rakhne chahiye neez pait bhi raano se juda rahe aur seena bhi zameen se uncha ho, meri mu'azzaz musalman behno! apne piyaare Rasool e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k irshad k mutabiq namaz padho.

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum sajdah karo to apne dono haath zameen par rakkho aur apni dono kohniyo ko buland karo". (Sahih Muslim Hadees no. 494)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdah karte to agar bakri ka baccha baahon k nichey se guzarna chahta to guzar sakta tha. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 496)

Baaz loog ye fuzool uzr paish karte hai k is tarah sajdey mein bibi ki chaati zameen se buland ho jaati hai jo be-pardagi hai halankey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aurat k liye oudhni ko lazim qaraar diya hai ye oudhni doraan e sajdah bhi pardey ka taqaaza poora karti hai phir aaj ki koi khatoon Sahabiyaan Razi Allahu Anha ki gairat aur sharm wa haya ko nahi pahunch sakti jab unhone hamesha sunnat k mutabiq namaz ada ki to aaj ki khatoon ko bhi unhi ki raah par chalna chahiye.

SAJDEY K AHKAAM

SAJDEY K AHKAAM

Bismillahirrahmanirraheem

1. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi sajdah kare to unth ki tarah na baithey balke apne dono haath ghutno se pehle rakkhey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 840, Imam Nawawi aur Zarqaani ne iski sanad ko jaid kaha)

Sajdah mein ghtune pehle rakhne wali Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu ki riwayat (Abu Dawood Hadees no. 838) ko imam Daare Qutni, Behaqaui aur Hafiz ibne Hajar Rahimahullh ne zaeef kaha hai, jab k Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki, haath pehle rakhne wali riwayat sahih hai aur Ibne Umar ki darj e zail hadees is par shahid hai:

Hazrat Nafey Rahimahullh riwayat karte hai k Ibne Umar Razi Allahu Anhu apne haath ghutno se pehle rakhte aur farmate k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi karte they. (Sahih Ibne Khuzaima 1:319 Hadees no. 628, Mustadrak e Hakim 1:1226, ise Hakim, Zahbi aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Ghutno se pehle haath rakhne ko imam Auzaayi, Imam Malik, Imam Ahmad ibne Hambal aur Sheikh Ahmad Shakir Rahimahullh ne ikhtiyaar kiya hai, Ibne Abu Dawood ne kaha: Mera rujhaan Hadees e Ibne Umar Razi Allahu Anhu ki taraf hai kyunki is baare mein Sahaba aur Tabaeen se bahut se riwayaat hai.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein apni naak aur paishani zameen k saath lagaate aur haath apne pehluon se alag rakhte (yaani apne baazu ko baglon se na milaate they) aur dono haatho ko kandho k barabar rakhte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 734, ise Imam Ibne Khuzaima 1640 aur Tirmizi 304 ne sahih kaha)

3. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein apne sar ko dono haatho k darmiyaan mein rakhte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 726, ise Imam ibne Hibban Hadees no. 485 ne sahih kaha)

4. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab ruku karte to ungliyo ko kushaadah karte aur jab sajdah karte to haatho ki ungliyo ko mila kar karte. (Mustadrak e Hakim 1:227, Behaqui 2:112, Hakim aur Zahbi ne ise sahih kaha)

5. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Mujhe hukm diya gaya hai k mein saat haddiyo par sajdah karu paishani aur haath se naak ki taraf ishaarah kiya dono haatho, dono ghutno aur dono qadmo k panjo par aur (ye k hum namaz mein) apne kapdo aur baalo ko ikattha na kare". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 812, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 490)

Har behan bhai k liye zaroori hai k wo sajdey mein un saat aazaa ko khoob acchi tarah (mukammal taur par) zameen par tika kar rakkhey aur itminaan se sajdah kare, aur mard namaz mein apne aasteeno ko na jhukaaye kyunki kapda ikattha karna mana hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sajdey mein apni hatheliyo aur ghutno ko zameen par tikaaya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 858, 859, ise Imam Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

6. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k us shaks ki namaz nahi jiski naak paishani ki tarah zameen par nahi lagti. (Daare Qutni 1:348, ise Hakim aur Ibne Jauzi ne sahih kaha)

7. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sajdah ki halat mein dekha aapke paao ki dono aediya mili hui thi aur paao ki ungliyo k sirey qiblah rukh they. (Behaqui 2:116, ise Ibne Khuzaima 654, Hakim 1:1228 aur Zahbi ne sahih kaha)

8. Sajdey ki halat mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni kalaiyo ko zameen par nahi lagaate they balke unhey utha kar rakhte aur pehluon se door rakhte aur paao ki ungliyo k sirey qibley ki taraf mudey hue hoote they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 828)

Hazrat Abdullah bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdah karte to apne haatho ko itna khoolte k unke baglon ki safaidi nazar aati. (Sahih Bukhari Hadees no. 807, Sahih Muslim Hadees no. 495)

Thursday 10 September 2015

QOUMEY KA BAYAN

QOUMEY KA BAYAN

Bismillhairrahmanirraheem

Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku se sar uthaate hue seedhey khade ho jaate they yaha tak k har haddi apne maqaam par aa jati thi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 828)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab imam (ruku se uth'te hue) kahe ("SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH") "Allah ne uski sun li jisne uski tareef ki" to tum kaho ("ALLAHUMMA RABBANA WA LAKAL HAMD") "Ae mere rabb! tere hi waaste tareef hai" jiska kehna farishto k kehne k saath mil gaya uske pichle gunah maaf ho jayengey. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 796, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 409)

Hazrat Rafa'ah bin Raafey Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz padh rahe they, jab aapne ruku se sar uthaaya to farmaya ("SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH") ek muqtadi ne kaha ("RABBANA WA LAKAL HAMDU HAMDAN KASEERAN TAYYIBAM MUBAARAN FEEHI") phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz se faarig hue to farmaya "Boolne wala kaun tha?" (yaani kisne ye kalmey padhey hai?) ek shaks ne kaha ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene teen se zaayid farishte dekhey jo un kalmaat ka sawab likhne mein jaldi kar rahe they". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 799)

Hazrat Abdullah bin Abi Aufi Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku se ruhte to (qouma mein ye dua padhte):

"SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH, ALLAHUMMA LAKAL HAMDU MIL US SALAWAATI WA MIL UL ARZI WA MIL'U MA SHEETA MIN SHAI'IN BAADU"

"Allah ne sun li us (bande) ki baat jisne uski tareef ki ae hamare Allah! tere hi liye saari tareef hai aasmaano, zameen aur har us cheeez k bharaao k barabar jo tu chaahey". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 476)

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab apna sar ruku se uthaate to ye dua padhte:

"RABBANA LAKAL HAMDU MIL US SAMAWAATI WA MIL UL ARZI WA MIL'U MA SHEETA MIN SHAI'IN BAADU AHLIS SANAA'I WAL MAJDI, A HAQQU MA QAALAL ABDU, WA KULLUNA LAKA ABDUN, ALLAHUMMA LA MA-NI'A LIMA AATAI'TA, WALA MUTIYA LIMA MANAATA, WALA YANFA'U ZAL JADDI MINKAL JADDU"

"Ae hamare parwardigaar! har qisam ki tareef sirf tere liye hai aasmaano aur zameen aur har us cheez k bharao k barabar jo to chahta hai aur bandey ne jo teri tareef aur buzurgi ki wo tere laayaq hai aur hum sab tere hi bande hai ae Allah! koi rookne wala nahi us cheez ko jo toone di aur koi dene wala nahi us cheez ko jo toone rook di aur dolat-mand ko dolat-mandi tere azaab se nahi bacha sakti". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 477)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam qoumey mein farmate:

"ALLAHUMMA RABBANA LAKAL HAMDU MIL US SAMAWAATI WA MIL UL ARZI WA MIL'U MA SHEETA MIN SHAI'IN BAADU ALLAHUMMA TAHHIRNI BIS SALJI WAL BARADI WAL MAA'IL BAARIDI, ALLAHUMMA TAHHIRNI MINAZ ZUNOOBI WAL KHATAAYA KAMA YU NAQQAS SAUBUL ABYAZU MINAL WASAKHI"

"Ae Allah! tere hi liye saari tareef hai aasmaano aur zameen aur har us cheez k bharaao k barabar jo to chaahey, ae Allah! mujhe baraf, ouley aur thande paani se paak karde, ae Allah! mujhe gunaho aur khataaon se aesa paak karde jis tarah safaid kapda mail kuchail se saaf kiya jata hai". (Sahih Muslim Hadees no. 476)


TANBIYAH:

Bahut se loog qoumey ka pata nahi k wo kya hota hai, wazey ho k ruku k baad itminaan se seedha khade hoone ko qouma kehte hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku se sar utha kar seedhey khade ho kar bade itminaan se qoumey ki dua padhte they.

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ruku, sajdah, do sajdo k darmiyaan baithna aur ruku se (uth kar qoumey mein) khade hona barabar hota tha siwaye qayaam aur tashahud baithne k (yaani ye chaaro cheezey: ruku, sajdah, jalsa aur qouma tilawat mein taqreeban barabar hoti thi). (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 792, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 471)

Baaz auqaat Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka qouma bahut lamba hota tha, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam is qadar lamba qouma karte k kehne wala kehta k aap bhool gaye hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 821, Sahih Muslim Kitabul Salaat Hadees no. 472)

Magar afsoos k aaj musalmaan qouma lamba karna to raha darkinaar, peeth seedhi karna bhi gawaarah nahi karte foran sajdah karne ki koshish karte hai, Allah hum sabko hidayat de. (Aameen)

Wednesday 9 September 2015

ITMINAAN, NAMAZ KA RUKUN HAI

ITMINAAN, NAMAZ KA RUKUN HAI

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek shaks masjid mein dakhil hua, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam masjid k kooney mein tashreef farma they, us shaks ne namaz padhi (aur ruku, sujood, qoumey aur jalsey ki ri'aayat na ki aur jaldi jaldi namaz padh kar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur aapko salaam kiya, aapne farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM") wapas ja, phir namaz padh, is liye k tooney namaz nahi padhi" wo gaya phir namaz padhi (jis tarah pehle be-qaadah padhi thi) phir aaya aur salaam kiya aapne phir farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM") ja phir namaz padh, kyunki tooney namaz nahi padhi, us shaks ne teesri ya choothi baar (be-qaadah) namaz padhne k baad kaha "Aap mujhey (namaz padhne ka sahih tareeqa) sikha de" to aapne farmaya "Jab namaz k iraadey se uthey to pehle khoob acchi tarah wuzu kar, phir qiblah rukh khada ho kar takbeer e tehrima keh, phir quran majeed mein se jo tere liye aasaan ho padh, phir ruku kar, yaha tak k itminaan se ruku (poora) kar, phir (ruku se) sar utha yaha tak k (qoumey mein) seedha khada ho ja, phir sajdah kar yaha tak k itminaan se sajdah (mukammal) kar, phir itminaan se apna sar utha aur (jalsa mein) baith ja, phir sajdah kar yaha tak itminaan se sajdah (poora) kar, phir (sajdey se) apna sar utha aur (doosri rakaat k liye) seedha khada ho ja, phir is tarah apni tamaam namaz poori kar". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 793, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 397)

Is hadees mein jis namazi ka zikr hai wo ruku aur sujood bahut jaldi jaldi karta tha, qouma aur jalsa itminaan se thehar thehar kar nahi karta tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne har baar usey farmaya k phir namaz padh kyunki tuney namaz padhi hi nahi, aapne un arkaan ki adaaigi mein adm itminaan ko namaz k baatil honey ka sabab qaraar diya hai.

Hazrat Huzaifa bin Yamaan Razi Allahu Anhu ne ek shaks ko namaz padhte hue dekha jo ruku aur sujood poori tarah ada nahi kar raha tha Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu ne usey kaha k "Tooney namaz hi nahi padhi aur agar tum (isi tarah namaz padhte hue) mar gaye to us tareeqey par nahi maroogey jis par Allah ta'ala ne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko paida kiya tha". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 791)

Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aadmi ki namaz durust nahi hoti yaha tak k ruku aur sujdey (se sar utha kar bilkul itminaan k saath khada ho kar ya baith kar) apni peeth seedhi na kare". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 855, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 265, Imam Tirmizi aur Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum se pucha k sharaabi, zaani aur choor k mutalliq tumhara kya gumaan hai (yaani unka gunah kitna hai)? Sahaba Razi Allahu Anhum ne kaha "Allah aur uske Rasool behtar jaante hai, aapne farmaya k ye gunah e kabeera hai aur un mein saza bahut hai, aur (kaan khool kar) suno bahut buri choori us aadmi ki hai jo apni namaz mein choori karta hai, Sahaba Razi Allahu Anhu ne kaha wo kis tarah? farmaya "Jo namaz ka ruku aur sajdah poora na kare wo namaz mein choori karta hai". (Muatta Imam Malik 1:167 Baab amal fi jamey salaat, Ibne Hibban wa Sunan al Kubra Behaqui 8:209-210 , ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Allahu Akbar! kis qadar khoof ka maqaam hai aah! hamari gair masnoon namazo ka kya hashar hoga? hamey namaz ko takbeer e oula se le kar salaam pherne tak masnoon tareeqey se ada karna chahiye.

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz mein shamil hue us waqt aap ruku mein they, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne saff mein pahunchne se pehle hi ruku kar liya aur usi haalat mein chal kar saff mein pahunchey, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat bataayi gayi, aapne farmaya "Allah tera shoonq ziyaadah kare aayindah aesa na karna". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 783)

Baaz loog is hadees se ye nukta lete hai k agar namazi halat e ruku mein imam k saath shamil ho to wo usey rakaat shumaar karega kyunki Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne rakaat nahi dohraayi na hi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam  ne unhey aesa karne ka hukm diya aur is se ye bhi maloom hua k qayaam zaroori hai na fatiha, ye moquf mahal e nazar hai kyunki:

1. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey rakaat lotaane ka hukm diya ya nahi? ya unhone az-khud rakaat lotaaya thi ya nahi? iske mutalliq hadees khamoosh hai is zaman mein jo kuch bhi kaha jata hai wo mehaz zann wa ehtamaal ki bunyaad par kaha jata hai.

2. Iske bar-aks aese sareeh dala'il mojood hai jo (har sahib e istata'at k liye) qayaam aur fatiha dono ko lazim qaraar dete hai.

3. Qaadah ye hai k jab ehtamaal aur sarahat aamney saamney aa jaye to ehtamaal ko chood diya jayega aur sarahat par amal kiya jayega.

4. Seedhi si baat hai k is hadees shareef ka markazi nukta Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka ye fa'al hai k pehle wo haalat e ruku mein imam k saath shamil hue phir isi kefiyat mein aagey badhte hue saff mein dakhil hue, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey isi fa'al se roka tha, jama'at mein shamil hoone ka shoonq baja magar us shoonq ki takmeel ka ye tareeqa behar-haal mustahsan na tha.

5. Lihaza is hadees ko iske asal nukte se hata kar qayaam aur fatiha se khaali rakaat k jawaaz par lazim lana durust maloom nahi hota. (Wallahu Aalam)

RUKU KA BAYAN

RUKU KA BAYAN 

Bismillahirrahmanirraheem 

Ruku mein jaate waqt Allahu Akbar keh kar dono haath kandho (ya kaano) tak uthaiye, jesa k Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab ruku k liye takbeer kehte to apne dono haath kandho tak uthaate they". (Sahih Bukhai Hadees no. 735, Sahih Muslim Hadees no. 390) 

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku mein peeth (pusht) bilkul seedhi rakhte sar na to uncha hota tha aur na nicha. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 498) 

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku kiya to apni hatheliyo ko ghutno par rakkha aur unhey mazboot pakada ungliya kushaadah rakkhi aur dono baazu taan kar rakkhey aur kohniyo ko pehluon se door rakkha. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 734, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 260, Ise Tirmizi aur Nawawi ne sahih kaha) 

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku mein farmate "SUBHANA RABBI YAL AZEEM" 
"Mera rabb azeem (har aeb se) paak hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 772) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam  ye kalmaat teen dafa kehte they. (Ibne Maja Hadees no. 888) 

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ruku aur sajdey mein aksar kehte they "SUBHANA KALLA HUMMA RABBANA WA BI HAMDI KALLAHUM-MAGFIRLI" 
"Ae hamare parwardigaar Allah! tu paak hai, hum teri tareef bayan karte hai, ya ilahi mujhe baksh de". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 794, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 484) 

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ruku aur sajdey mein kehte they "SUBBUHUN QUDDOOSUN RABBUL MALAA'IKATI WAR ROOH"
"Farishto aur rooh (Jibraeel) ka parwardigaar nihayat paak hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 487) 

Hazrat Aouf bin Malik Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ruku mein kehte they "SUBHANA ZIL JABAROOTI WAL MALAKOOTI WAL KIBRIYAA'I WAL AZAMATI"
"Qehar (galbey) baadshahi, badaayi aur buzurgi ka malik Allah (nihayat hi) paak hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 873, Nasaayi Hadees no. 1049, 2:191) 

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku mein ye padhte "ALLAHUMMA LAKA RAKAATU WA BIKA AAMANTU WA LAKA ASLAMTU KHASHA'A LAKA SAM'E WA BASAREE WA MUKKHEE WA AZMEE WA ASABEE"
"Ae Allah mein tere aagey jhuk gaya, tujh par emaan laaya, tera farmabardaar hua, mera kaan, meri aankh, mera magaz, meri haddi aur mere pitthey tere aagey aajiz ban gaye". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 771)

Tuesday 8 September 2015

RAFULYADAIN NA KARNE WALO K DALA'IL KA TAJZIYA

RAFULYADAIN NA KARNE WALO K DALA'IL KA TAJZIYA

Bismillahirrahmanirraheem

Jin Ahadees se rafulyadain na karne ki daleel li jaati hai unka mukhtasar tajziya mulahiza farmaiye:

PEHLI HADEES:

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya baat hai k mein tum ko is tarah haath uthaate dekhta hu gooya k wo sarkash ghoodo ki dumey hai, namaz mein sakoon ikhtiyaar kiya karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 430)

Tajziya: Is Hadees mein us maqaam ka zikr nahi jis par Sahaba Razi Allahu Anhum haath uthaa rahe they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey mana farmaya, Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu hi se muslim mein is hadees se mutasal do riwayaat aur bhi hai jo baat ko poori tarah wazey kar rahi hai:

1. Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath jab hum namaz padhte to namaz k khatima par daaye baaye "AS SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kehte hue haath se ishaarah bhi karte thye ye dekh kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum apne haath se is tarah ishaarah karte ho jese shareer ghoodo ki dumey hilti hai, tumhey yahi kaafi hai k qaada mein apni raano par haath rakkhey hue daaye aur baaye muh mood kar "AS SALALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kaho". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 431)

2. Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu farmate hai "Hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz k khatimey par "AS SALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kehte hue haath se ishaarah bhi karte they ye dekh kar aapne farmaya tumhey kya ho gaya hai tum apne haatho se is tarah ishaarah karte ho gooya wo shareer ghoodo ki dumey hai, tum namaz k khatimey par sirf zuban se "AS SALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kaho aur haath se ishaarh na karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 431 ki zaili hadees)

Imam Nawawi Rahimahullah "Al Majmooa" mein farmate hai Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu ki is riwayat se ruku mein jaate aur uthte waqt rafulyadain na karne ki daleel lena ajeeb baat aur sunnat se jahalat ki qabeeh qism hai, kyunki ye hadees ruku ko jaate aur uthte waqt k rafulyadain k baare mein nahi balkey tashahud mein salaam k waqt dono jaanib haath se ishaarah karne ki mumaniyat k baarey mein hai, Muhaddiseen aur jin ko Muhaddiseen k saath thoda sa bhi talluq hai unke darmiyaan is baare mein koi ikhtalaaf nahi, iske baad Imam Nawawi Imam Bukhari Rahimahullah ka qaul naqal karte hai k is hadees se baaz jahil loogo ka daleel pakadna sahih nahi kyunki ye salaam k waqt haath uthaane k baare mein hai aur jo aalim hai wo is tarah ki daleel nahi pakadta kyunki ye maroof wa mash'hoor baat hai, is mein kisi ka ikhtalaaf nahi aur agar ye baat sahih hoti to ibtidaayi namaz aur namaz e eidain mein rafulyadain bhi mana ho jaatey kyunki is mein kisi khaas rafulyadain ko bayan nahi kiya gaya, Imam Bukhari farmate hai pas un loogo ko is baat se darna chahiye k wo Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wo baat keh rahe hai jo aapne nahi kahi kyunki Allah farmata hai "FAL YAH ZARIL LAZEENA YUKHALIFOONA AN AMRIHI IN TUSIBAHUM FITNATUN AU YUSIBAHUM AZAABUN ALEEM" Yaani "Pas un logoo ko jo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki mukhalifat karte hai us baat se darna chahiye k unhey (dunya mein) koi fitna ya (aakhirat mein) dard-naak azaab pahunchey". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 63)

DOOSRI HADEES:

Hazrat Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu ne farmaya "Kya mein tumhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz na bataau? unhone namaz padhi aur haath na uthaaye magar pehli martaba". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 748, Tirmizi Hadees no. 257)

Tajziya: Imam Abu Dawood is hadees k baad farmate hai "ye hadees in alfaaz k saath sahih nahi hai". (Abu Dawood hawala mazkoor)

Darus Salaam riyaaz aur baitul ifkaar ruliya ki shaaya kardah Abu Dawood mein ye tabsirah mojood hai k Imam Tirmizi ne Abdullah bin Mubarak Rahimahullah ka qaul naqal kiya hai "Hazrat Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu k tark e rafulyadain ki hadees sabit nahi hai". (Tirmizi Hadees no. 254) Imam Ibne Hibban Rahimahullah ne to yaha tak likh diya k is mein bahut si illatey hai jo isey batil bana rahi hai (masalan is mein sufyaan suri mudallis hai aur an se riwayat karte hai mudallis ki an wali riwayat tafarrud ki soorat mein zaeef hoti hai)

TEESRI HADEES:

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha aap jab namaz shuru karte to dono haath kaano tak uthaate (SUMMA LAM YA'OODU) phir nahi uthaate they. (Abu Dawood Hadees no. 749)

Tajziya: Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai k ye hadees zaeef hai isey Sufyaan bin Uyena, Imam Shaafi, Imam Bukhari k ustaad Imam Humaidi aur Imam Ahmad ibne Hambal jese Aa'imma e Hadees Rahimahullah ne zaeef qaraar diya hai kyunki Yazeed bin ibi Ziyaad pehle (LAM YA'OOD) nahi kehta tha, Ahle koofa k padhaane par usne ye alfaaz badha diye, mazeed ye k yazeed bin ziyaad zaeef aur shia bhi tha, aakhiri umar mein haafiza kharaab ho gaya tha (Taqreeb) neez mudallis tha.

Alawa azee Rafulyadain ki Ahadees oula hai kyunki wo musbat hai aur naafi par musbat ko tarjeeh hasil hoti hai.

Baaz loog daleel dete hai k munafiqeen aasteeno aur baglo mein butt rakh laatey they buto ko giraane k liye rafulyadain kiya gaya, baad mein chood diya gaya, lekin kutub e ahadees mein iska kahi saboot nahi hai, albatta ye qaul johla ki zubaano par goomta rehta hai.

Darj e zail haqa'iq is qaul ki kamzoori waazey kar dete hai:

1. Makkah mein butt they magar jamaat farz nahi thi, Madeena mein jamaat farz hui magar butt nahi they, phir munafiqeen Madeena kin buton ko baglo mein dabaaye masjido mein chale aatey they?

2. Tajjub hai k jahil loog is gapp (jhoot) ko sahih maante hai aur uske saath saath Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aalim ul ghaib bhi maante hai halankey agar aap alim ul ghaib hotey to rafulyadain karwaane k bagair bhi jaan sakte they k falah falah shaks masjid mein butt le aaya hai.

3. Butt giraane they to ye, takbeer e tehrima kehte waqt jo rafulyadain ki jaati hai aur usi tarah ruku aur sujood k doraan bhi gir sakte they iske liye alag se rafulyadain ki sunnat jaari karne ki qata'an zaroorat nahi thi.

4. Munafiqeen bhi kis qadar bewakoof they k butt jaibon mein laane k bajaaye unhey baglo mein daba laaye?

5. Yaqeenan jahil loog aur unke paishwa ye bataane se qasir hai k unke ba-qaul agar rafulyadain k doraan munafiqeen ki baglo se butt girey they to phir aapne unhey kya saza di thi?

Darasal ye kahani mehaz khanasaaz afsaana hai, jiska haqeeqat k saath adna sa talluq bhi nahi hai.

Ye bhi daleel di jaati hai k Ibne Jubair Razi Allahu Anhu kehte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne rafulyadain kiya tha aur baad mein chood diya". (Nasbur Raaya 1:404 lekin ye riwayat bhi mursal aur zaeef hai)

Tehqeeq to ye hai k masla rafulyadin mein nuskh hua hi nahi hai, kyunki nuskh hamesha waha hota hai jaha:

1. Do hadeesey aapas mein takraati ho
2. Dono maqbool ho
3. Unka koi mushtarka mafhoom na nikalta ho
4. Dala'il se sabit ho jaye k un dono mein se fala pehle door ki hai aur falah baad mein irshaad farmayi gayi, tab baad wali hadees, pehli hadees ko mansookh kar deti hai.

Magar yaha rafulyadain karne ki ahadees ziyaadah bhi hai aur sahih bhi, jabkey na karne ki ahadees kam bhi hai aur kamzoor bhi (un par muhaddiseen ki jarah hai) ab na to maqbool aur mardood ahadees ka mushtarka mafhoom ikhtiyaar karna jayez hai aur na hi mardood ahadees se maqbool ahadees ko mansookh kiya ja sakta hai, rafuladain k mansookh na hone k dala'il mulahiza farmaiye:

1. Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne hayaat e tayyaba k aakhiri (9 hijri aur 10 hijri) mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se rafulyadain karna riwayat kiya hai.

2. Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ahad e Naboowat k baad bhi rafulyadain k qayil wa fa'al rahey.

3. Kaha jata hai k chaaro aa'imma barhaq hai agar aesa hai to un chaaro mein se teen rafulyadain karne k qayil hai.

4. Jin Muhaddiseen e Kiraam Rahimahullah ne rafulyadain ki ahadees ko apni mukhtalif maqbool sanado k saath riwayat kiya hai un mein se kisi ne tabsirah nahi kiya k "Rafulyadain mansookh hai" sabit hua k Sahaba, Tabaeen aur fuqaha wa muhaddiseen Rahimahullah k nazdeek rafulyadain mansookh nahi balkey sunnat e nabvi hai, aur zahir hai k sunnat choodne k liye nahi, apnaane k liye hoti hai, ab jo shaks ek gair masoom ummati k amal ko sunnat e nabvi par tarjeeh deta hai aur sunnat ko hamesha choodey hue hai, usey jab Rasool ka daawa karna jachta nahi hai, Allah ta'ala hum sabko hidayat de. (Aameen)

Isi tarah is silsiley mein ek aur riwayat bhi paish ki jaati hai k Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam wa Abu Bakr wa Umar Razi Allahu Anhum k saath namaz padhi ye loog shuru namaz k alawa haath nahi uthaate they". (Behaqui 2:79, 80)

Imam Daare Qutni likhte hai k iska raavi Muhammad bin Jabir zaeef hai, balkey ulama (Ibne Jauzi, Ibne Taimiyah wagairah) ne ise moozu kaha hai, (Yaani ye riwayat Ibne Mas'ood ki bayan kardah nahi hai balkey kisi ne khud taraash kar unki taraf mansoob kardi hai)

Lihaza aesi riwayat paish karna jayez nahi hai.

Khulasa: Rafulyadain ki Ahadees ba-kasrat aur sahih tareen asnaad se marvi hai, adm rafulyadain ki Ahadees maani ya sanadan sabit nahi, Imam Bukhari Rahimahullah likhte hai k ahle ilm k nazdeek kisi ek sahabi se bhi adm rafulyadain sabit nahi hai.

RAFULYADAIN

RAFULYADAIN

Bismillahirrahmanirraheem

Rafulyadain yaani dono haatho ka uthana namaz mein chaar jagah sabit hai:
1. Shuru namaz mein takbeer e tehrima k waqt
2. ruku se qabl
3. ruku k baad aur
4. teesri rakaat ki ibtida mein
in muqamaat par rafulyadain karne k dala'il darj e zail hai:

1. Hazrat Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu farmate hai "Mene Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu k pichey namaz padhi wo namaz k shuru mein aur ruku se pehle aur jab ruku se sar uthaate they to apne dono haath (kandho tak) uthaate they aur kehte they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi namaz k shuru mein, ruku se pehle aur ruku se sar uthaane k baad (isi tarah) rafulyadain karte they". (Behaqui 2: 73, iske raavi siqa hai)

2. Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ek martaba loogo ko namaz ka tareeqa batane ka iraadah kiya to qiblah rukh ho kar khade ho gaye aur dono haatho ko kandho tak uthaaya, phir Allahu Akbar kaha, phir ruku kiya aur usi tarah (haatho ko buland) kiya aur ruku se sar utha kar bhi rafulyadain kiya. (Behaqui fil khalaqiyaati war rijaal asnaada marufoon, Nasbur Raaya 1:415, 416)

3. Hazrat Ali Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k shuru mein, ruku mein jaane se pehle aur ruku se sar uthaane k baad aur do rakaatey padh kar khade hote waqt rafulyadain karte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 744, Ibne Maja Hadees no. 864, ise Imam Tirmizi ne Kitabud Dawaat Hadees no. 3423 ne hasan sahih kaha)

4. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shuru namaz mein, ruku se pehle aur ruku k baad apne dono haath kandho tak uthaya karte they aur sajdey mein aesa nahi karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 735, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 390)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu (khud bhi) shuru namaz mein, ruku se pehle, ruku k baad aur do rakaatey padh kar khade hote waqt rafulyadain karte they aur farmate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 739, Sahih Muslim Hadees no. 390)

Imam Bukhari Rahimahullah k ustaad Ali bin Madeeni Rahimahullah farmate hai k hadees ibne Umar Razi Allahu Anhu ki bina par musalmaano par rafulyadain karna zaroori hai. (Al Talkheesul Habeer jild 1 Safa no. 218 tabey jadeed, wa hamish sahih bukhari darsi nuskha)

5. Hazrat Malik bin Huwairis Razi Allahu Anhu shuru namaz mein rafulyadain karte, phir jab ruku karte to rafulyadain karte, aur jab ruku se sar uthaate to rafulyadain karte aur ye farmaate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah kiya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 737, Sahih Muslim Hadees no. 391)

6. Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha, jab aap namaz shuru karte to Allahu Akbar kehte aur apne dono haath uthaate, phir apne haath kapde mein dhaank lete phir daya haath baaye par rakhte, jab ruku karne lagte to kapdo se haath nikaalte, Allahu Akbar kehte aur rafulyadain karte, jab ruku se uthtey to (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) kehte aur rafulyadain karte. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 401)

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu 9 hijri aur 10 hijri mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aaye, lihaza sabit hua k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam 10 hijri tak rafulyadain karte they, 11 hijri mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat paayi lihaza iski mansookhi ki koi daleel mojood nahi.

7. Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu ne 10 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k ek majmey mein bayan kiya k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz shuru karte aur jab ruku mein jaate, jab ruku se sar uthaate aur jab do rakaatey padh kar khade hote to rafulyadain karte they, tamaam Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum ne kaha "Tum sach bayan karte ho, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isi tarah namaz padhte they". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 730, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 304, Ibne Hibban 5:182 ise Imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)

Imam Ibne Khuzaima Rahimahullah is hadees ko riwayat karne k baad farmate hai k mein Muhammad bin Yahya ko ye kehte hue suna k jo shaks hadees e Abu Humaid sun'ne k ba-wajood ruku mein jaate aur us se sar uthaate waqt rafulyadain nahi karta to uski namaz naqis hogi. (Sahih Ibne Khuzaima 1:298, 588)

8. Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu ne (ek din loogo se) farmaya "Kya mein tumhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz na batau? ye keh kar unhone namaz padhi jab takbeer e tehrima kahi to rafulyadain kiya, phir jab ruku kiya to rafulyadain kiya aur takbeer kahi aur ruku se sar uthate waqt (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) keh kar dono haath (kandho tak) uthaaye phir farmaya "Isi tarah kiya karo". (Daare Qutni 1:292, Hafiz Ibne Hajar ne kaha hai k iske raavi siqa hai, Al Talkhees 1:219)

9. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shuru namaz mein ruku se pehle aur ruku k bad apne dono haath (kandho tak) uthaaya karte they. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 860, ise Imam Ibne Khuzaima 1:344, Hadees no. 694 ne sahih kaha)

10. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu jab namaz shuru karte, jab ruku karte aur jab ruku se sar uthaate to rafulyadain karte aur farmaate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah karte they. (Musnad Siraaj, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 868, Hafiz ibne Hajar ne kaha hai k iske raavi siqa hai)

Saturday 5 September 2015

NAMAZ MEIN KHAYAL AANA

NAMAZ MEIN KHAYAAL AANA

Bismillahirrahmanirraheem

Doraan e namaz koi sooch aaney par namaz batil nahi hoti.

Hazrat Uqba bin Haaris Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz e asar padhi, namaz k baad aap fauran khade ho gaye aur azwaaj e mutahharaat k paas tashreef le gaye phir wapas tashreef laaye, Sahaba Razi Allahu Anhum k chehro par tajjub k aasaar dekh kar farmaya "Mujhe namaz k doraan yaad aaya k hamare ghar mein soona rakkha hua hai aur mujhe ek din ya ek raat k liye bhi apne ghar mein soona rakhna pasand nahi lihaza mene usey taqseem karne ka hukm diya". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 851)

NAMAZ KI MASNOON QIRA'AT

NAMAZ KI MASNOON QIRA'AT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jab tu namaz k liye khada ho to takbeer keh aur quran majeed mein se jo kuch yaad ho us mein se jo kuch aasaani se padh sakey wo padh". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 793, Sahih Muslim Hadees no. 397)

Namaz mein agarchey hum jaha se chahey quran padh sakte hai lekin yaha hum Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qira'at ka zikr karte hai k aap kaun kaun si surat kis kis namaz mein padhte they.


SURAH IKHLAAS KI AHMIYAT

Ek Ansari masjid e quba mein imamat karate they, unka mamool tha k surah fatiha k baad koi doosri surat padhne se pehle "QUL HU WALLAHU AHAD" tilawat farmate har rakaat mein isi tarah karte, muqtadiyo ne imam se kaha k aap "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat karte hai phir baad mein doosri surat milaate hai kya ek surat tilawat k liye kaaf nahi hai? agar "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat kaafi nahi to usko chood de aur doosri surat ki tilawat kiya kare, imam ne jawab diya mein "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat nahi choor sakta, unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein masla paish kiya to Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne imam se kaha k "Tum muqtadiyo ki baat kyu tasleem nahi karte is surat ko har rakaat mein kyu laazim padhte ho? usne kaha mujhe is surat k saath muhabbat hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is surat k saath teri muhabbat tujhe jannat mein dakhil karegi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 774, Tirmizi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 2901, Imam Tirmizi ne hasan sahih gareeb kaha)

Hadees mazkoor se maloom hota hai k namaz mein surato ko tarteeb se tilawat karna zaroori nahi, Allahu Aalam

Ek Sahabi ne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kaha k mera ek padoosi raat ko qayaam mein sirf "QUL HU WALLAHU AHAD" tilawat karta hai doosri koi ayat tilawat nahi karta, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske qabzey mein meri jaan hai ye surat tihaayi quran k barabar hai". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 5013)


NAMAZ E JUMA AUR EIDAIN MEIN TILAWAT

Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono eidain aur juma (ki namazo) mein "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" aur "QUL ATAAKA HADEESUL GASHIYAH" padhte they jab eidain aur juma ek din mein jama hote to phir bhi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dono suratey dono namazo mein padhte. (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 878)

Hazrat Ubaidullah bin abi Ribaah se riwayat hai k Marwaan ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madina ka governer muqarrar kiya aur khud makkah chaley gaye, waha Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne juma ki namaz padhaayi aur us mein surah "juma" aur "munafiqoon" padhi aur kaha k in surato ko juma mein padhte hue mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko suna tha. (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 877)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul azha aur eid ul fitr mein "QAAF WAL QUR'AANI MAJEED" aur "IQTARABATIS SAA'ATU" padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Eidain Hadees no. 891)


JUMA K DIN NAMAZ E FAJAR KI QIRA'AT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma k din fajar ki namaz mein "ALIF LAAM MEEM TANZEELUL" pehli rakaat mein aur "QUL ATA ALAL INSAANI" doosri rakaat mein padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 891, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 880)


NAMAZ E FAJAR KI MASNOON QIRA'AT

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e fajar mein surat "QAAF WAL QURAA'IN MAJEED" aur uski maanind (koi aur surat) padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 458)

Hazrat Abdullah ibne Saayib Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey makkah fatah hone k baad fajar ki namaz padhaayi pas surah mominoon "QUL AFLAHAL MUMINOONA" shuru ki yaha tak k Musa Alaihis Salaam aur Haroon Alaihis Salaam ka zikr aaya (to) Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko khaansi aa gayi aur aap ruku mein chale gaye. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 455)

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e fajar mein "WAL LAILI IZA AS'ASA" yaani "IZASH SHAMSU KUWWIRAT" padhte hue suna. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 456)

Hazrat Abu Barzah Salmi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam subah ki namaz mein 60 se lekar 100 aayaat tak tilawat farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 461)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki unthani ki mahaar ko pakde hue chal raha tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (Safar mein) namaz e subah k liye utrey aur aapne subah ki namaz mein "QUL AOUZU BI RABBIL FALAQ" aur "QUL AOUZU BI RABBIN NAAS" padhi. (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1462, ise Hakim 1:240 Zahbi, Ibne Khuzaima aur Ibne Hibban ne sahih kaha)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e fajar mein dono rakaato mein "IZA ZUL ZILATIL" tilawat farmaayi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 816, ise Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam fajar ki sunnat ki dono rakaato mein nihayat halki qira'at farmate yaha tak k mein kehti k aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne surah fatiha bhi padhi hai ya nahi". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1171, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 724)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam sunnato ki pehli rakaat mein "QUL YA AYYUHAL KAFIROON" aur doosri rakaat mein "QUL HU WALLAHU AHAD" padhte. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 726)


ASAR WA ZOHAR KI NAMAZ KI QIRA'AT

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar ki pehli do rakaato mein surah fatiha aur koi ek surah padhte aur pichli do rakaato mein sirf fatiha padhte they aur kabhi hamey ek aayat (buland aawaaz se padh kar) suna dete they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 776, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 451)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar mein "WAL LAILI IZA YAGSHA" padhte they ek aur riwayat mein hai k "SABBI HISMA RABBI KAL AALAA" aur asar mein (bhi) iski manind (koi surat) padhte they aur fajar mein lambi suratey padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 459, 460)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar mein "WAS SAMAA'I ZAATIL BUROOJ" aur "WAS SAMAA'I WAT TAARIQ" ya is jesi surat padhte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 805, Ibne Hibban Hadees no. 465 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kabhi zohar ki aakhiri dono rakaato mein 15 aayaat k barabar qira'at farmate jabke namaz e asar ki pehli dono rakaato mein har rakaat k andar 15 aayaat tilawat farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 452)

Maloom hua k zohar ki aakhiri dono rakaato mein surah fatiha k baad qira'at karna bhi masnoon hai.

Abu Maamar Rahimahullah ne khabbab Razi Allahu Anhu se kaha kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar mein qira'at karte they? Hazrat Khabbab Razi Allahu Anhu ne kaha "Han" pucha gaya k aapko kese maloom hua? Hazrat Khabbab Razi Allahu Anhu farmaane lagey k aapki dadhi ki jumbish se. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 777)

Maloom hua k zohar aur asar ki namazo mein aap dil mein qira'at karte they, kabhi aapki qira'at taweel hoti, Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek dafa zohar ki jamaat ki iqamat hui to mein apne ghar se baqee qabristan ki jaanib qaza e haajar k liye gaya waha se farigh ho kar ghar pahuncha wuwu kiya phir masjid aaya to maloom hua k abhi tak Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli rakaat mein hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 454)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k hum loog gumaan karte hai k aap pehli rakaat ko itna lamba is liye farmaate they k namazi pehli rakaat mein hi shareek ho sakey. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 800)


NAMAZ E MAGRIB KI QIRA'AT

Hazrat Marwaan bin Hakam se Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu ne kaha k "Tum magrib ki namaz mein chooti suratey kyu padhte ho? mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko lambi suratey padhte hue suna". (Sahih Bukhari Hadees no. 764)

Hazrat Jubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e magrib mein "SURAH TOOR" padhte hue suna. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 765, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 463)

Ummey Fazal binte Haris Razi Allahu Anha kehti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko (namaz) e magrib mein surah "WAL MURSALAATI URFAN" padhte suna hai. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 763, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 462)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e magrib mein "SURAH AARAAF" padhi aur us surat ko dono rakaato mein mutafarriq padha. (Nasaayi Hadees no. 991, 2:170 ise Imam Nawawi ne hasan kaha)


NAMAZ E ISHA KI QIRA'AT

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e isha mein "WAT-TEENI WAZ-ZAITOON" padhte hue suna aur mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ziyaadah khush aawaaz kisi ko nahi suna. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 769, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 464)

Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Haadi e Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu se kaha "Jab tum jamaat karao "WASH SHAMSI WA ZUHAHA" aur "WAL LAILI IZA YAGSHA" aur "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" ki tilawat karo is liye k tere pichey budhey, kamzoor aur zaroorat mand (bhi) namaz ada karte hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 705, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 465)


MUKHTALIF AAYAAT KA JAWAB

Hamare han ye riwaaj hai k imam jab baaz makhsoos aayaat ki tilawat karte hai to baaz muqtadi namaz mein ba-aawaaz buland unka jawab dete hai, ye durust nahi hai kyunki sun'ne wale ko aayaat ka jawab dene k baare mein koi sahih sareeh riwayat nahi hai, han baaz aayaat ki tilawat k baad imam ya munfarid qaari (apne taur par) unka jawab de to jayez hai chunanchey Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud ki kefiyat bayan karte hai k jab aap tasbeeh wali aayat padhte to tasbeeh karte jab sawal wali aayat tilawat karte to sawal karte aur jab taawuz wali aayat padhte to Allah ki panah pakadte. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 772)

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" padhte to "SUBHANA RABBI YAL AALA" kehte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 883, ise Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)
Surah Gashiyah k ikhtataam par "ALLAHUMMA HASIBNI HISABAN YASEERA" kehne ki koi daleel nahi kisi hadees mein adna sa isharah bhi nahi k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne in kalmaat ko surah Gashiyah k ikhtitaam par kaha ho.

AADAAB E TILAWAT

AADAAB E TILAWAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam quraan majeed ki har aayat par toquf farmate (yaani baad wali aayat ko pehli aayat k saath nahi milaate they)". (Abu Dawood Kitabul Huroof wal Qira’at Hadees no. 4001, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Mazkoorah Hadees kasrat tark k saath marvi hai, is masley mein isko buniyaadi hesiyat hasil hai, aa'imma e salaf saaliheen ki ek jamaat har aayat par toquf farmati thi agar baad ki aayat maana k lihaaz se pehli aayat k saath mutalliq hoti thi phir bhi qataa karke padhte they, tilawat e quraan ka masnoon tareeqa yahi hai lekin aaj jamhoor qura is tarah tilawat karne se guraiz karte hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namazi apne rabb k saath sargooshi karta hai, usey khayaal karna chahiye k wo kis zaat se sargooshi kar raha hai aur tum quraan majeed unchi aawaaz k saath tilawat karke apne saathiyo ko iztaraab mein na daalo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1332, ise Imam ibne Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala k hukm k mutabiq aahista aahista quraan paak ki tilawat farmate balke ek ek harf alag alag padhte, yun maloom hota k chooti surat, lambi surat se bhi ziyaadah lambi hogi, chunanchey aapka irshad hai k "Hafiz e quran ko kaha jayega: Jis tarah tum dunya mein aahista aahista padha karte they usi tarah quran padhte jao aur jannat ki seedhiya chadhte chalo tumhari manzil waha hai jaha tumhara quran majeed (padhna) khatam hoga". (Abu Dawood Baab Istahbaab e tarteel fil qura Hadees no. 1464, Ibne Hibban aur Tirmizi Hadees no. 2914 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam quran majeed ko acchi aawaaz se padhne ka hukm farmate they. (Abu Dawood Hadees no. 1468, ise Imam Ibne Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu farmate hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki kitab ka ilm hasil karo usko zehan mein mehfooz karo aur usey khoobsurat aawaaz se padho, mujhe us zaat ki qasam jiske haat mein meri jaan hai ounth k ghutno ki rassi agar khool di jaaye to wo itni teezi se nahi bhaagta jitna teezi se quran paak hafiza se nikal jaata hai". (Daarmi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 3352, Musnad Ahmad 4:146, 12450)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala kisi awaaz k liye is qadar kaan nahi lagaata jis qadar acchi aawaaz k saath quran majeed padhne par lagaata hai". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 5023, Sahih Muslim Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 792)

Friday 4 September 2015

AAMEEN KA MASLA

AAMEEN KA MASLA

Bismillahirrahmanirraheem

Jab aap akele namaz padh rahe ho to aameen aahista kahe, jab zohar aur asar imam k pichey padhey to phir bhi aahista hi kahe, lekin jab zehri namaz mein imam k pichey ho to jis waqt imam "WALAZ ZAAALLEEN" kahe to aap ko unchi aawaaz se aameen kehni chahiye, balke imam bhi sunnat ki pairvi mein aameen pukaarke kahe, aur muqtadiyo ko imam k aameen shuru karne k baad aameen kehni chahiye.

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" padha phir aapne buland aawaaz se aameen kahi. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 248, Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 932, Tirmizi ne hasan jabke Hafiz ibne Hajar aur Imam Daar e Qutni ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" padhte to aap kehte aameen, (is qadar unchi aawaaz se) k pehli saff mein aapke ird gird k loog sun lete. (Behaqui 2:158, Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 571, Ibne Hibban Hadees no. 462, ise imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab imam aameen kahe to tum bhi aameen kaho, jis shaks ki aameen farishto ki aameen k muwafiq ho gayi to uske pichle gunah maaf kar diye jaate hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 780, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 410)

Is Hadees se maloom hua k jis muqtadi ne abhi surah fatiha shuru ya khatam nahi ki wo bhi aameen kahne mein doosro k saath shareek hoga, takey usey bhi guzishta gunaho ki maafi mil jaaye. (Wallahu Aalaam bis Sawaab)

Imam Ibne Khuzaima is hadees ki tashreeh mein farmate hai "Is hadees se sabit hua k imam unchi aawaaz se aameen kahe kyunki Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam  muqtadi ko imam ki aameen k saath aameen kehne ka hukm isi soorat mein de sakte hai jab muqtadi ko maloom ho k imam aameen keh raha hai, koi aalim tasawwur nahi kar sakta k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muqtadi ko imam ki aameen k saath aameen kehne ka hukm de jab k wo apne imam ki aameen ko sun na sakey". (Sahih Ibne Khuzaima 1:276)

Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu aur unke muqtadiyo ne itni buland aawaaz se aameen kahi k masjid goonj gayi. (Sahih Bukhari Taaleeqa baab Jahar imam bil tameem, Musannaf Abdur Razzaaq 2:96, Imam Bukhari Rahimahullah ne ise ba-saiga jazam zikr kiya hai)

Hazrat Akrama Razi Allahu Anhu farmate hai k "Mene dekha k imam jab "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" kehta to loogo k aameen ki wajah se masjid goonj jaati. (Musannaf Ibne abi Shaiba 2:187)

Hazrat Ata ibne Ibi Ribaah Rahimahullah farmate hai "Mene 200 Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ko dekha k baitullah mein jab imam "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" kehta to sab buland aawaaz se aameen kehte". (Behaqui 2:59 Kitabus Siqaat li bin Hibban, Iski sanad Imam Ibne Hibban ki shart par sahih hai)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis qadar yahoodi salaam aur aameen se chidhte hai itni kisi aur cheez se nahi chidhte". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 856, Ise Imam Ibne Khuzaima 1:288 Hadees no. 574, 3:38 Hadees no. 585 aur Bosiri ne sahih kaha)

Hafiz ibne Abdul Barr Rahimahullah ne zikr kiya k Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah us shaks par sakht naaraaz hoote jo buland aawaaz se aameen kehne ko makrooh samajhata, kyunki yahoodi aameen se chidhte hai.

SURAH FATIHA KA MASLA

SURAH FATIHA KA MASLA

Bismillahirrahmanirrahmeem

"BISMILLA HIR RAHMA NIR RAHEEM, ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN, AR RAHMA NIR RAHEEM, MALIKI YAUMUD DEEN, IYYAKA NA'ABUDU WA IYYAKA NASTAEEN, IHDINAS SIRAATAL MUSTAQEEM, SIRAATAL LAZEENA AN'AMTA ALAIHIM, GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN"

"Allah k naam se (shuru karta hu) jo nihayat meharbaan be-hadd raham karne wala, saari tareef Allah k liye hai jo tamaam makhlooqaat ka rabb hai, be-hadd raham karne wala be-hadd meharbaan, badle k din ka maalik hai, (Ae Allah!) hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad maangte hai, hamey seedhey raaste par chala, un loogo k raaste par jin par tuney inaam kiya jin par tera gazab nahi kiya gaya jo gumraah nahi huwe".

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Abu Bakr, Umar aur Usman Razi Allahu Anhum k pichey namaz padhi wo surah fatiha se pehle ya baad mein (buland aawaaz se) "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" nahi padhte they. (Sahih Muslim Hadees no. 399)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" aahista padhte they. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 495)


NAMAZ AUR SURAH FATIHA

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne (namaz mein) surah fatiha nahi padhi uski namaz nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 756, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 394)

Imam Bukhari Rahimahullah is hadees par yun baab baandhte hai: "Namaz mein surah fatiha padhna har namazi par wajib hai khawah imam ho ya muqtadi, muqeem ho ya musafir, namaz sirri ho ya zehri"

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum namaz mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey they aapne quran padha pas aap par padhna bhaari ho gaya, jab namaz se faarigh hue to farmaya "Shayad tum imam k pichey padha karte ho? humne kaha han, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aapne farmaya Surah fatiha k aur kuch na padha karo kyunki us shaks ki namaz nahi hoti jo fatiha na padhey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 823, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 311, ise Ibne Khuzaima 1581, Ibne Hibban 460, 461, Behaqui ne sahih jabke Imam Tirmizi aur Daar e Qutni ne hasan kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz padhi aur us mein surah fatiha na padhi pas wo (namaz) naqis hai, naqis hai, poori nahi" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se pucha gaya hum imam k pichey hote hai (phir bhi padhey?) to Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne kaha (han) to usko dil mein padh. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 395)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne Sahaba Razi Allahu Anhum ko namaz padhaayi, farigh ho kar unki taraf mutawajjah ho kar pucha kya tum apni namaz mein imam ki qiraat k doraan mein padhte ho? sab khamosh rahe, teen baar aapne unse pucha, to unhone jawab diya han! hum aesa karte hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa na karo tum sirf fatiha dil mein padha karo". (Ibne Hibban 5:152, 162, Behaqui 2:166, Majmua uz zawa'id mein Imam Behaqui farmate hai: iske sab raavi siqa hai aur isko ibne Hajar ne hasan kaha)

In Ahadees se sabit hua k muqtadiyo ko imam k pichey (chahey wo buland aawaaz se qiraat kare ya aahista aawaaz se) Alhamdu Shareef dil mein zaroor padhni chahiye.

Thursday 3 September 2015

TAAWUZ

TAAWUZ

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat ko namaz mein khade hote to Allahu Akbar kehte aur padhte:

"SUBHANA KALLA HUMMA WA BI-HAMDIKA WA TA-BAARA KASMUKA WA TA-AALA JADDUKA WA LA-ILAHA GAIRUKA LA ILAHA ILLALLAH, LA ILAHA ILLALLAH, LA ILAHA ILLALLAH, ALLAHU AKBARU KABEERAN, ALLAHU AKBARU KABEERAN, ALLAHU AKBARU KABEERAN"
"AOZU BILLAHIS SAMEE'IL ALEEMI MINASH SHAITANIR RAJEEMI MIN HAMZIHI WA NAFKHIHI WA NAFSHIHI"

Tarjuma: "Allah ki panah maangta hu jo (har aawaaz ko) sun'ne wala (aur har cheez ko) jaan'ne wala hai, mardood shaitaan (k sharr) se, uske khatre se, uski phunko se aur uske waswasey se". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 775, Ise Ibne Khuzaima Hadees no. 467 ne sahih kaha)

SANA

SANA

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam takbeer (oula) aur qiraat k darmiyaan kuch dair chup rehte, pas mene kaha "Mere maa baap aap par qurbaan, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aap takbeer aur qiraat k darmiyaan khamoosh reh kar kya padhte hai? aapne farmaya! mein ye padhta hu:

1. "ALLAHUMMA BA'ID BAINI WA BAINA KHATAYAYA KAMA BA'ATTA BAINAL MASHRIQI WAL MAGRIBI, ALLAHUMMA NAQQINI MINAL KHATAYA KAMA YU NAQQAS SAUBUL ABYAZU MINAD DANASI, ALLAHUM-MAGSIL KHATAYAYA BIL MAAA'I WAS-SALJI WAL BARDI"

Tarjuma: "Ya Allah! mere aur mere gunaho k darmiyaan doori daal de jese tooney mashriq aur magrib k darmiyaan doori rakkhi hai, Ae Allah! mujhe gunaho se is tarah paak kar jesa k safaid kapda mail se paak kiya jata hai, Ae Allah! mere gunaho ko (apni bakhshish k) paani, barf aur oulo se dhoo daal". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 744, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 598)

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz mein ek shaks ne kaha:

"ALLAHU AKBARU KABEERAN WAL HAMDU LILLAHI KASEERAN WA SUBHANALLAHI BUKRATAU WA ASEELA"

Tarjuma: "Allah sabse bada hai, bahut bada hai, saari tareef uski hai, wo (har aeb se) paak hai, subah aur shaam hum uski paaki bayan karte hai"

Ye sun kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Iske liye aasmaan k darwaazey khool diye gaye hai" Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Jab se mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ye baat suni hai, mene ye kalmaan ko kabhi nahi chooda". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 601)

3. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz shuru karte to kehte:

"SUBHANA KALLA HUMMA WA BI-HAMDIKA WA TA-BAARA KASMUKA WA TA-AALA JADDUKA WA LA-ILAHA GAIRUK"

Tarjuma: "Ae Allah to paak hai, (hum) teri tareef k saath (teri paaki bayan karte hai) tera naam (bada hi) ba-barkat hai, teri buzurgi buland hai, tere siwa koi mabood nahi". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 243, Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 776, Ibne Maja Kitab Iqamatus Salaat Hadees no. 806, ise Hakim 1:1235 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

AURATO AUR MARDO KI NAMAZ MEIN KOI FARQ NAHI

AURATO AUR MARDO KI NAMAZ MEIN KOI FARQ NAHI

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz us tarah padho jis tarah tum mujhe namaz padhte hue dekhte ho". (Sahih Bukhari Hadees no. 631)

Yaani ho-bahu mere tareeqey k mutabiq sab auratey aur sab mard namaz padhey, phir apni taraf se ye hukm lagana k auratey kandho tak haath uthaaye aur mard kaano tak, auratey seeney par haath baandhey aur mard zair e naaf aur auratey sajdah karte waqt zameen par koi aur heeyat ikhtiyaar kare aur mard koi aur.... ye deen mein mudakhalat hai, yaad rakkhey k takbeer e tehrima se shuru karke "ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kehne tak auratey aur mardo k liye ek heeyat aur ek hi shakal ki namaz hai, sabka qayaam, ruku, qouma, sajdah, jalsa e istarahat, qaada aur har har muqaam par padhne ki duwaye yaksa hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mard aur aurat ki namaz k tareeqey mein koi farq nahi bataya.

SEENEY PAR HAATH BAANDHNA

SEENEY PAR HAATH BAANDHNA

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhi to aapne apna daaya haath baaye hath par rakh kar, seeney par haath baandhey. (Sahih Ibne Khuzaima 1: 243, 479, ise ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Hazrat Halb Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko seeney par haath rakkhey hue dekha. (Musnad Ahmad 5: 226, 22313, Hafiz ibne Abdul Barr aur Allama Azeem Aabaadi ne ise sahih kaha)

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz ka tareeqa bayan karte hue farmate hai k aapne daaye haath ko baaye haath ki hatheli (ki pusht) uske jood aur kalaayi par rakkha. (Nasayi Kitabul Iftah Hadees no. 889, ise ibne Hibban Hadees no. 485, ibne Khuzaima Hadees no. 480 ne sahih kaha)

Hamey bhi daaya haath baaye hath par is tarah rakhna chahiye k daaya haath baaye haath ki pusht jood aur kalaayi par aa jaye aur dono ko seeney par baandha jaye takey tamaam riwayat par amal ho sakey.

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k loogo ko ye hukm diya jaata tha "Namaz mein daaya hath baayi kalaayi par rakkhey". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 740)

Rahi Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki riwayat k sunnat ye hai k hatheli ko hatheli par zair e naaf rakkha jaye. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 756) ise Imam Behaqui aur Hafiz ibne Hajar ne zaeef qaraar diya aur Imam Nawawi farmate hai k iske zaeef par sabka ittefaaq hai.

TAKBEER E OULA (NAMAZ KI PEHLI TAKBEER)

TAKBEER E OULA (NAMAZ KI PEHLI TAKBEER)

Bismillahirrahmanirraheem

Qiblah ki jaabib muh karke Allahu Akbar kehte hue rafulyadain kare, yaani dono haatho ko (kandho tak) uthaaye.

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha aapne namaz ki pehli takbeer kahi aur apne dono haath kandho tak uthaaye, ruku ki takbeer k waqt bhi aesa kiya aur jab "SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH" kaha to bhi aesa hi kiya aur farmaya "RABBANA WA LAKAL HAMD" aur sajdey mein jaate aur sajdey se sar uthaate waqt aesa na kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 738, Sahih Muslim Hadees no. 390)

ise takbeer e oula isliye kehte hai k ye namaz ki sabse pehli takbeer hai aur is se namaz shuru hoti hai aur ise takbeer e tehrima bhi kehte hai kyunki iske saath hi bahut si cheezey namazi par haraam ho jati hai.

Hazrat Malik bin Huwairis Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Beshak Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab takbeer kehte to haatho ko kaano tak buland farmate, jab ruku karte hatho ko kaano tak buland karte aur jab ruku se sar uthaate phir bhi aesa hi karte". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 391)

Sheikh Albani farmate hai k (rafulyadain karte waqt) haatho se kaano ko choone ki koi daleel nahi hai unka choona bidaat hai ya waswasa, masnoon tareeqa hatheliya kandho ya kaano tak uthaana hai, haath uthaane k maqaam mein mard aur aurat dono barabar hai, aesi koi sahih hadees mojood nahi jis mein ye tafreeq ho k mard kaano tak aur auratey kandho tak haath buland kare.

QAYAAM

QAYAAM

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai "WA QOOMOO LILLAHI QANITEEN" "Aur Allah k liye ba-adab khade hua karo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mujhe bawaseer ki takleef thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Mumkin ho to) khade ho kar namaz ada karo agar taqat na ho to baith kar agar baith kar ada karne ki bhi taqat na ho to lait kar (namaz ada karo)". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1117)

maloom hua k istata'at k ba-wajood baith kar farz namaz ada karna jayez nahi.

Albatta nafil namaz mein qayam ki qudrat hone k ba-wajood baithna jayez nahi agarchey uska aadha sawab milega

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks khade ho kar namaz padhey wo afzal hai aur jo baith kar padhey usko khade hone wale ka aadha sawab milega aur jo lait kar padhey usko baithne wale ka aadha sawab milega". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1116)

Jab Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki umar ziyaadah ho gayi to aapne ja-namaz k qareeb ek satoon tayyar karaaya jis par aap (namaz k doraan) taik lagaate they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 948, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Aapne baith kar namaz padhne ki bajaaye satoon k sahaare khade hone ko tarjeeh di, is se maloom hua k koi uzar ho to kisi cheez ka sahara le kar qayaam kiya ja sakta hai khawah farz namaz ho ya nafil. (Wallahu Aalam)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ka bada hissa khade ho kar nawafil ada karne aur kabhi baith kar, jab qiraat khade ho kar farmate to (usi halat) qayam se ruku ki halat mein muntaqil hote aur jab baith kar qiraat farmate to usi halat mein ruku aur sujood bhi farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 730)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kabhi baith kar namaz padhte nahi dekh yaha tak k aapki umar ziyaadah ho gayi to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baith kar qiraat farmate, jab qiraat se tees ya chalees aayaat baqi hoti to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar unki tilawat farmate phir ruku mein chale jaate doosri rakaat mein bhi aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka yahi mamool hota. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1119, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 731)