Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 5 September 2015

NAMAZ KI MASNOON QIRA'AT

NAMAZ KI MASNOON QIRA'AT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jab tu namaz k liye khada ho to takbeer keh aur quran majeed mein se jo kuch yaad ho us mein se jo kuch aasaani se padh sakey wo padh". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 793, Sahih Muslim Hadees no. 397)

Namaz mein agarchey hum jaha se chahey quran padh sakte hai lekin yaha hum Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qira'at ka zikr karte hai k aap kaun kaun si surat kis kis namaz mein padhte they.


SURAH IKHLAAS KI AHMIYAT

Ek Ansari masjid e quba mein imamat karate they, unka mamool tha k surah fatiha k baad koi doosri surat padhne se pehle "QUL HU WALLAHU AHAD" tilawat farmate har rakaat mein isi tarah karte, muqtadiyo ne imam se kaha k aap "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat karte hai phir baad mein doosri surat milaate hai kya ek surat tilawat k liye kaaf nahi hai? agar "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat kaafi nahi to usko chood de aur doosri surat ki tilawat kiya kare, imam ne jawab diya mein "QUL HU WALLAHU AHAD" ki tilawat nahi choor sakta, unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein masla paish kiya to Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne imam se kaha k "Tum muqtadiyo ki baat kyu tasleem nahi karte is surat ko har rakaat mein kyu laazim padhte ho? usne kaha mujhe is surat k saath muhabbat hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is surat k saath teri muhabbat tujhe jannat mein dakhil karegi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 774, Tirmizi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 2901, Imam Tirmizi ne hasan sahih gareeb kaha)

Hadees mazkoor se maloom hota hai k namaz mein surato ko tarteeb se tilawat karna zaroori nahi, Allahu Aalam

Ek Sahabi ne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kaha k mera ek padoosi raat ko qayaam mein sirf "QUL HU WALLAHU AHAD" tilawat karta hai doosri koi ayat tilawat nahi karta, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske qabzey mein meri jaan hai ye surat tihaayi quran k barabar hai". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 5013)


NAMAZ E JUMA AUR EIDAIN MEIN TILAWAT

Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono eidain aur juma (ki namazo) mein "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" aur "QUL ATAAKA HADEESUL GASHIYAH" padhte they jab eidain aur juma ek din mein jama hote to phir bhi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dono suratey dono namazo mein padhte. (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 878)

Hazrat Ubaidullah bin abi Ribaah se riwayat hai k Marwaan ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madina ka governer muqarrar kiya aur khud makkah chaley gaye, waha Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne juma ki namaz padhaayi aur us mein surah "juma" aur "munafiqoon" padhi aur kaha k in surato ko juma mein padhte hue mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko suna tha. (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 877)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul azha aur eid ul fitr mein "QAAF WAL QUR'AANI MAJEED" aur "IQTARABATIS SAA'ATU" padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Eidain Hadees no. 891)


JUMA K DIN NAMAZ E FAJAR KI QIRA'AT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma k din fajar ki namaz mein "ALIF LAAM MEEM TANZEELUL" pehli rakaat mein aur "QUL ATA ALAL INSAANI" doosri rakaat mein padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 891, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 880)


NAMAZ E FAJAR KI MASNOON QIRA'AT

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e fajar mein surat "QAAF WAL QURAA'IN MAJEED" aur uski maanind (koi aur surat) padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 458)

Hazrat Abdullah ibne Saayib Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey makkah fatah hone k baad fajar ki namaz padhaayi pas surah mominoon "QUL AFLAHAL MUMINOONA" shuru ki yaha tak k Musa Alaihis Salaam aur Haroon Alaihis Salaam ka zikr aaya (to) Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko khaansi aa gayi aur aap ruku mein chale gaye. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 455)

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e fajar mein "WAL LAILI IZA AS'ASA" yaani "IZASH SHAMSU KUWWIRAT" padhte hue suna. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 456)

Hazrat Abu Barzah Salmi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam subah ki namaz mein 60 se lekar 100 aayaat tak tilawat farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 461)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki unthani ki mahaar ko pakde hue chal raha tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (Safar mein) namaz e subah k liye utrey aur aapne subah ki namaz mein "QUL AOUZU BI RABBIL FALAQ" aur "QUL AOUZU BI RABBIN NAAS" padhi. (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1462, ise Hakim 1:240 Zahbi, Ibne Khuzaima aur Ibne Hibban ne sahih kaha)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e fajar mein dono rakaato mein "IZA ZUL ZILATIL" tilawat farmaayi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 816, ise Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam fajar ki sunnat ki dono rakaato mein nihayat halki qira'at farmate yaha tak k mein kehti k aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne surah fatiha bhi padhi hai ya nahi". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1171, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 724)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam sunnato ki pehli rakaat mein "QUL YA AYYUHAL KAFIROON" aur doosri rakaat mein "QUL HU WALLAHU AHAD" padhte. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 726)


ASAR WA ZOHAR KI NAMAZ KI QIRA'AT

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar ki pehli do rakaato mein surah fatiha aur koi ek surah padhte aur pichli do rakaato mein sirf fatiha padhte they aur kabhi hamey ek aayat (buland aawaaz se padh kar) suna dete they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 776, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 451)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar mein "WAL LAILI IZA YAGSHA" padhte they ek aur riwayat mein hai k "SABBI HISMA RABBI KAL AALAA" aur asar mein (bhi) iski manind (koi surat) padhte they aur fajar mein lambi suratey padhte they. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 459, 460)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar mein "WAS SAMAA'I ZAATIL BUROOJ" aur "WAS SAMAA'I WAT TAARIQ" ya is jesi surat padhte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 805, Ibne Hibban Hadees no. 465 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kabhi zohar ki aakhiri dono rakaato mein 15 aayaat k barabar qira'at farmate jabke namaz e asar ki pehli dono rakaato mein har rakaat k andar 15 aayaat tilawat farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 452)

Maloom hua k zohar ki aakhiri dono rakaato mein surah fatiha k baad qira'at karna bhi masnoon hai.

Abu Maamar Rahimahullah ne khabbab Razi Allahu Anhu se kaha kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar aur asar mein qira'at karte they? Hazrat Khabbab Razi Allahu Anhu ne kaha "Han" pucha gaya k aapko kese maloom hua? Hazrat Khabbab Razi Allahu Anhu farmaane lagey k aapki dadhi ki jumbish se. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 777)

Maloom hua k zohar aur asar ki namazo mein aap dil mein qira'at karte they, kabhi aapki qira'at taweel hoti, Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek dafa zohar ki jamaat ki iqamat hui to mein apne ghar se baqee qabristan ki jaanib qaza e haajar k liye gaya waha se farigh ho kar ghar pahuncha wuwu kiya phir masjid aaya to maloom hua k abhi tak Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli rakaat mein hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 454)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k hum loog gumaan karte hai k aap pehli rakaat ko itna lamba is liye farmaate they k namazi pehli rakaat mein hi shareek ho sakey. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 800)


NAMAZ E MAGRIB KI QIRA'AT

Hazrat Marwaan bin Hakam se Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu ne kaha k "Tum magrib ki namaz mein chooti suratey kyu padhte ho? mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko lambi suratey padhte hue suna". (Sahih Bukhari Hadees no. 764)

Hazrat Jubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e magrib mein "SURAH TOOR" padhte hue suna. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 765, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 463)

Ummey Fazal binte Haris Razi Allahu Anha kehti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko (namaz) e magrib mein surah "WAL MURSALAATI URFAN" padhte suna hai. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 763, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 462)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e magrib mein "SURAH AARAAF" padhi aur us surat ko dono rakaato mein mutafarriq padha. (Nasaayi Hadees no. 991, 2:170 ise Imam Nawawi ne hasan kaha)


NAMAZ E ISHA KI QIRA'AT

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e isha mein "WAT-TEENI WAZ-ZAITOON" padhte hue suna aur mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ziyaadah khush aawaaz kisi ko nahi suna. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 769, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 464)

Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Haadi e Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu se kaha "Jab tum jamaat karao "WASH SHAMSI WA ZUHAHA" aur "WAL LAILI IZA YAGSHA" aur "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" ki tilawat karo is liye k tere pichey budhey, kamzoor aur zaroorat mand (bhi) namaz ada karte hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 705, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 465)


MUKHTALIF AAYAAT KA JAWAB

Hamare han ye riwaaj hai k imam jab baaz makhsoos aayaat ki tilawat karte hai to baaz muqtadi namaz mein ba-aawaaz buland unka jawab dete hai, ye durust nahi hai kyunki sun'ne wale ko aayaat ka jawab dene k baare mein koi sahih sareeh riwayat nahi hai, han baaz aayaat ki tilawat k baad imam ya munfarid qaari (apne taur par) unka jawab de to jayez hai chunanchey Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud ki kefiyat bayan karte hai k jab aap tasbeeh wali aayat padhte to tasbeeh karte jab sawal wali aayat tilawat karte to sawal karte aur jab taawuz wali aayat padhte to Allah ki panah pakadte. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 772)

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab "SABBI HISMA RABBIKAL AALA" padhte to "SUBHANA RABBI YAL AALA" kehte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 883, ise Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)
Surah Gashiyah k ikhtataam par "ALLAHUMMA HASIBNI HISABAN YASEERA" kehne ki koi daleel nahi kisi hadees mein adna sa isharah bhi nahi k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne in kalmaat ko surah Gashiyah k ikhtitaam par kaha ho.

No comments:

Post a Comment