Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 17 September 2015

SAJDAH E TILAWAT

SAJDAH E TILAWAT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Jab aadam ka (momin) baita sajdey ki aayat padhta hai, phir (padhne aur sun'ne wala) sajdah karta hai to shaitaan rota hua ek taraf ho kar kehta hai haaye meri halakat, tabaahi aur barbaadi! Aadam k baite ko sajdey ka hukm diya gaya, usne sajdah kiya, pas uske liye bahisht hai aur mujhe sajdey ka hukm diya gaya mene nafarmani ki pas mere liye aagh hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 81)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdey ki aayat tilawat karte hai to aap sajdah karte, aur sahaba bhi aapke saath sajdah karte. (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1075, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 575)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey ki aayat tilawat karte aur sajdah tilawat mein ye padhte:

"SAJADA WAJ HIYA LILLAZI KHALAQAHU WA SHAQQA SAM'AHU WA BASARAHU BI HAULIHI WA QUWWATTIHI FATA BAARAKALLAHU AHSANUL KHALIQEEN"

"Mere chehrey ne us zaat ko sajdah kiya jisne apni taaqat aur quwwat se usey paida kiya uske kaan aur aankhey banaayi pas Allah behtareen takhleeq karne wala bada ba-barkat hai". (Abu Dawood Kitabus Sujood Hadees no. 1414, Ise Imam Tirmizi, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha aur "FATA BAARAKALLAHU AHSANUL KHALIQEEN" k alfaaz Mustadrak e Hakim 1:220 mein hai)

Hazrat Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne Surah Najam tilawat ki to aapne sajdah tilawat nahi kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1072, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 577) Maloom hua Sajdah e Tilawat wajib nahi.

Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne juma k din mimbar par Surah Nahal padhi jab sajdey ki aayat aayi to mimbar par se utrey aur sajdah kiya aur loogo ne bhi unke saath sajdah kiya, doosre juma ko phir yahi surah padhi aur sajdah nahi kiya, phir farmaya "Loogo jab hum sajdey ki aayat padhte ho to jo koi sajdah kare usne accha kiya aur jo koi na kare us par koi gunah nahi". (Sahih Bukhari Kitabul Sujood ul Quraan Hadees no. 1077)


SAJDAH E SHUKR

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas koi khushi ki khabar aati to Allah ka shukr ada karte hue sajdey mein gir jaate. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1394)

Allah Ta'ala ne Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu ki touba qabool ki to kisi ne buland aawaaz se pukaara ae Kaab bin Malik tere liye khush-khabri hai, aawaaz sunte hi Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu sajdey mein gir gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi Hadees no. 4218, Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees no. 2769)

No comments:

Post a Comment