Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 9 September 2015

ITMINAAN, NAMAZ KA RUKUN HAI

ITMINAAN, NAMAZ KA RUKUN HAI

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek shaks masjid mein dakhil hua, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam masjid k kooney mein tashreef farma they, us shaks ne namaz padhi (aur ruku, sujood, qoumey aur jalsey ki ri'aayat na ki aur jaldi jaldi namaz padh kar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur aapko salaam kiya, aapne farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM") wapas ja, phir namaz padh, is liye k tooney namaz nahi padhi" wo gaya phir namaz padhi (jis tarah pehle be-qaadah padhi thi) phir aaya aur salaam kiya aapne phir farmaya ("WA ALAIKUMUS SALAAM") ja phir namaz padh, kyunki tooney namaz nahi padhi, us shaks ne teesri ya choothi baar (be-qaadah) namaz padhne k baad kaha "Aap mujhey (namaz padhne ka sahih tareeqa) sikha de" to aapne farmaya "Jab namaz k iraadey se uthey to pehle khoob acchi tarah wuzu kar, phir qiblah rukh khada ho kar takbeer e tehrima keh, phir quran majeed mein se jo tere liye aasaan ho padh, phir ruku kar, yaha tak k itminaan se ruku (poora) kar, phir (ruku se) sar utha yaha tak k (qoumey mein) seedha khada ho ja, phir sajdah kar yaha tak k itminaan se sajdah (mukammal) kar, phir itminaan se apna sar utha aur (jalsa mein) baith ja, phir sajdah kar yaha tak itminaan se sajdah (poora) kar, phir (sajdey se) apna sar utha aur (doosri rakaat k liye) seedha khada ho ja, phir is tarah apni tamaam namaz poori kar". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 793, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 397)

Is hadees mein jis namazi ka zikr hai wo ruku aur sujood bahut jaldi jaldi karta tha, qouma aur jalsa itminaan se thehar thehar kar nahi karta tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne har baar usey farmaya k phir namaz padh kyunki tuney namaz padhi hi nahi, aapne un arkaan ki adaaigi mein adm itminaan ko namaz k baatil honey ka sabab qaraar diya hai.

Hazrat Huzaifa bin Yamaan Razi Allahu Anhu ne ek shaks ko namaz padhte hue dekha jo ruku aur sujood poori tarah ada nahi kar raha tha Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu ne usey kaha k "Tooney namaz hi nahi padhi aur agar tum (isi tarah namaz padhte hue) mar gaye to us tareeqey par nahi maroogey jis par Allah ta'ala ne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko paida kiya tha". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 791)

Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aadmi ki namaz durust nahi hoti yaha tak k ruku aur sujdey (se sar utha kar bilkul itminaan k saath khada ho kar ya baith kar) apni peeth seedhi na kare". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 855, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 265, Imam Tirmizi aur Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum se pucha k sharaabi, zaani aur choor k mutalliq tumhara kya gumaan hai (yaani unka gunah kitna hai)? Sahaba Razi Allahu Anhum ne kaha "Allah aur uske Rasool behtar jaante hai, aapne farmaya k ye gunah e kabeera hai aur un mein saza bahut hai, aur (kaan khool kar) suno bahut buri choori us aadmi ki hai jo apni namaz mein choori karta hai, Sahaba Razi Allahu Anhu ne kaha wo kis tarah? farmaya "Jo namaz ka ruku aur sajdah poora na kare wo namaz mein choori karta hai". (Muatta Imam Malik 1:167 Baab amal fi jamey salaat, Ibne Hibban wa Sunan al Kubra Behaqui 8:209-210 , ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Allahu Akbar! kis qadar khoof ka maqaam hai aah! hamari gair masnoon namazo ka kya hashar hoga? hamey namaz ko takbeer e oula se le kar salaam pherne tak masnoon tareeqey se ada karna chahiye.

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz mein shamil hue us waqt aap ruku mein they, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne saff mein pahunchne se pehle hi ruku kar liya aur usi haalat mein chal kar saff mein pahunchey, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat bataayi gayi, aapne farmaya "Allah tera shoonq ziyaadah kare aayindah aesa na karna". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 783)

Baaz loog is hadees se ye nukta lete hai k agar namazi halat e ruku mein imam k saath shamil ho to wo usey rakaat shumaar karega kyunki Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne rakaat nahi dohraayi na hi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam  ne unhey aesa karne ka hukm diya aur is se ye bhi maloom hua k qayaam zaroori hai na fatiha, ye moquf mahal e nazar hai kyunki:

1. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey rakaat lotaane ka hukm diya ya nahi? ya unhone az-khud rakaat lotaaya thi ya nahi? iske mutalliq hadees khamoosh hai is zaman mein jo kuch bhi kaha jata hai wo mehaz zann wa ehtamaal ki bunyaad par kaha jata hai.

2. Iske bar-aks aese sareeh dala'il mojood hai jo (har sahib e istata'at k liye) qayaam aur fatiha dono ko lazim qaraar dete hai.

3. Qaadah ye hai k jab ehtamaal aur sarahat aamney saamney aa jaye to ehtamaal ko chood diya jayega aur sarahat par amal kiya jayega.

4. Seedhi si baat hai k is hadees shareef ka markazi nukta Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka ye fa'al hai k pehle wo haalat e ruku mein imam k saath shamil hue phir isi kefiyat mein aagey badhte hue saff mein dakhil hue, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey isi fa'al se roka tha, jama'at mein shamil hoone ka shoonq baja magar us shoonq ki takmeel ka ye tareeqa behar-haal mustahsan na tha.

5. Lihaza is hadees ko iske asal nukte se hata kar qayaam aur fatiha se khaali rakaat k jawaaz par lazim lana durust maloom nahi hota. (Wallahu Aalam)

No comments:

Post a Comment