Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 4 September 2015

AAMEEN KA MASLA

AAMEEN KA MASLA

Bismillahirrahmanirraheem

Jab aap akele namaz padh rahe ho to aameen aahista kahe, jab zohar aur asar imam k pichey padhey to phir bhi aahista hi kahe, lekin jab zehri namaz mein imam k pichey ho to jis waqt imam "WALAZ ZAAALLEEN" kahe to aap ko unchi aawaaz se aameen kehni chahiye, balke imam bhi sunnat ki pairvi mein aameen pukaarke kahe, aur muqtadiyo ko imam k aameen shuru karne k baad aameen kehni chahiye.

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" padha phir aapne buland aawaaz se aameen kahi. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 248, Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 932, Tirmizi ne hasan jabke Hafiz ibne Hajar aur Imam Daar e Qutni ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" padhte to aap kehte aameen, (is qadar unchi aawaaz se) k pehli saff mein aapke ird gird k loog sun lete. (Behaqui 2:158, Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 571, Ibne Hibban Hadees no. 462, ise imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab imam aameen kahe to tum bhi aameen kaho, jis shaks ki aameen farishto ki aameen k muwafiq ho gayi to uske pichle gunah maaf kar diye jaate hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 780, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 410)

Is Hadees se maloom hua k jis muqtadi ne abhi surah fatiha shuru ya khatam nahi ki wo bhi aameen kahne mein doosro k saath shareek hoga, takey usey bhi guzishta gunaho ki maafi mil jaaye. (Wallahu Aalaam bis Sawaab)

Imam Ibne Khuzaima is hadees ki tashreeh mein farmate hai "Is hadees se sabit hua k imam unchi aawaaz se aameen kahe kyunki Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam  muqtadi ko imam ki aameen k saath aameen kehne ka hukm isi soorat mein de sakte hai jab muqtadi ko maloom ho k imam aameen keh raha hai, koi aalim tasawwur nahi kar sakta k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muqtadi ko imam ki aameen k saath aameen kehne ka hukm de jab k wo apne imam ki aameen ko sun na sakey". (Sahih Ibne Khuzaima 1:276)

Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu aur unke muqtadiyo ne itni buland aawaaz se aameen kahi k masjid goonj gayi. (Sahih Bukhari Taaleeqa baab Jahar imam bil tameem, Musannaf Abdur Razzaaq 2:96, Imam Bukhari Rahimahullah ne ise ba-saiga jazam zikr kiya hai)

Hazrat Akrama Razi Allahu Anhu farmate hai k "Mene dekha k imam jab "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" kehta to loogo k aameen ki wajah se masjid goonj jaati. (Musannaf Ibne abi Shaiba 2:187)

Hazrat Ata ibne Ibi Ribaah Rahimahullah farmate hai "Mene 200 Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ko dekha k baitullah mein jab imam "GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN" kehta to sab buland aawaaz se aameen kehte". (Behaqui 2:59 Kitabus Siqaat li bin Hibban, Iski sanad Imam Ibne Hibban ki shart par sahih hai)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis qadar yahoodi salaam aur aameen se chidhte hai itni kisi aur cheez se nahi chidhte". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 856, Ise Imam Ibne Khuzaima 1:288 Hadees no. 574, 3:38 Hadees no. 585 aur Bosiri ne sahih kaha)

Hafiz ibne Abdul Barr Rahimahullah ne zikr kiya k Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah us shaks par sakht naaraaz hoote jo buland aawaaz se aameen kehne ko makrooh samajhata, kyunki yahoodi aameen se chidhte hai.

No comments:

Post a Comment