Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 22 December 2015

DUA E QUNOOT

DUA E QUNOOT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam teen witr padhte aur dua e qunoot ruku se pehle padhte they". (Nasayi Qayamul Layl Hadees no. 1699, 3:235, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1182, ise Ibne Tarkumani aur Ibne Sakan ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Mas'ood aur Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum qunoot e witr ruku se pehle padhte they. (Musannaf ibne Abi Shaiba, ise Ibne Tarkumani ne sahih aur Hafiz ibne Hajar ne hasan kaha)

Witr mein ruku k baad qunoot ki tamaam riwayaat zaeef hai aur jo riwayaat sahih hai un mein sarahat nahi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ruku k baad wala qunoot, qunoot e witr tha ya qunoot e nazilah, lihaza sahih tareeqa ye hai k witr mein qunoot ruku se qabl kiya jaye.

Hazrat Hasan bin Ali Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe kuch kalmaat sikhaye takey mein unko qunoot e witr mein kahu:

"ALLAHUM-MAHDINI FEEMAN HADAITA WA AAFINI FEEMAN AAFAITA WATA WALLANI FEEMAN TAWALLAITA WA BAARIK LI FEEMA AATAITA WA QINI SARRA MA QAZAITA INNAKA TAQZI WALA YUQZA ALAIKA WA INNAHU LA YAZILLU MAU WA LAITA WALA YA'IZZU MAN AADAITA TABARAKTA RABBANA WATA AALAITA".

"Ae Allah! mujhe hidayat de kar un loogo mein shamil farma jinhey tuney rashd o hidayat se nawaza hai aur mujhe aafiyat de kar un loogo mein shamil farma jinhey tuney aafiyat bakshi hai, aur jin loogo ko tuney apna dost banaya hai un mein mujhe bhi shamil karke apna dost banale jo kuch tuney mujhe ata farmaya hai us mein mere liye barkat daal de aur jis shar wa buraayi ka tuney faisla farmaya hai us se mujhe mehfooz rakh aur bachale, yaqeenan tu hi faisla farmata hai tere khilaf faisla saadir nahi kiya ja sakta aur jiska tu dost bana wo kabhi zaleel wa khuwaar aur ruswa nahi ho sakta aur wo shaks izzat nahi pa sakta jise tu dushman kahe, ae hamare rabb! tu (bada) hi ba-barkat wala aur buland wa baala hai". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1425, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 463, Imam Tirmizi ne ise hasan aur Imam Ibne Khuzaima 2:151, 152 Hadees no. 1095 ne sahih kaha)


TAMBIHAAT:

Dua e qunoot e witr mein hath uthane k baare mein koi marfoo riwayat nahi hai albatta Musannaf Ibne Abi Shaiba mein baaz Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum k aasaar milte hai.

"RABBANA WATA AALAITA" k baad "NASTAGH FIRUKA WA NATOOBU ILAIKA" k alfaz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ahadees mein mojood nahi hai balke ye dua mein izaafa hai.

"SALLALLAHU ALANNABIYI" Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu se sabit hai k wo Hazrat Ujrah Razi Allahu Anhu k door mein ramazaan mein qayamul layl karte aur qunoot mein Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood bhejte they, is tarah Hazrat Muaaz Ansari Razi Allahu Anhu se bhi sabit hai. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 1100) lihaza akhir mein "SALLALLAHU ALANNABIYI" padhna jayez hai.

No comments:

Post a Comment