Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 22 December 2015

JUMA KI FAZILAT

JUMA KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma k din masjid mein hazir ho kar khamoshi aur sakoon k saath khutba suney, kisi musalman ki gardan na phaangey, kisi ko takleef na de to ye amal uske guzishta juma se le kar us juma tak aur teen din mazeed uske gunaho ka kaffarah ban jata hai, kyunki Allah ta'ala ne farmaya k har naiki k liye das guna (*10) sawaab hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1113)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jo shaks juma k rooz khoob acchi tarah nahaaye, aur masjid mein jaye kisi sawari par sawar na ho, imam k nazdeek ho kar dil jumi'e se khutba suney aur koi lagu baat na kare to usko har qadam par ek baras k roozo ka aur uski raato k qayam ka sawab hoga".(Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 496, Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 345, Ibne Hibban 559, Imam Hakim 1:281, 282 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Salman Faarsi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma ko nahaaye aur jis qadar paaki hasil ho sake kare, (muchey kutarwaye, nakhoon kataaye, zair e naaf baal moondhey aur baghlo k baal door kare wagairah) phir tail ya apne ghar se khushboo lagaaye aur (juma k liye) masjid ko jaye (waha) do aadmiyo k darmiyan raasta na banaaye (balkey jaha jagah miley baith jaye) phir apne muqaddar ki namaz padhey, phir doraan e khutba khamoosh rahe to uske guzishta juma se le kar us juma tak k gunah baksh diye jate hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 883)


JUMA MEIN PEHLE AANEY WALO KA SAWAB

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte juma k din masjid k darwazey par (sawab likhne k liye) thehar jaate hai aur sabse pehle aaney wale ka naam likh lete hai phir uske baad aaney wale ka (isi tarah number waar likhte jaate hai) jo shaks namaz e juma k liye awwal waqt masjid mein jata hai usko itna sawab milta hai jitna qurbani k liye ounth bhejne wale ko sawab milta hai, phir jo baad mein aata hai uko itna sawab milta hai jitna qurbani k liye gaaye bhejne wale ko sawab milta hai, uske baad aane wale ko dumba bhejne wale k barabar, uske baad aaney wale ko murgi aur uske baad aaney wale ko anda sadqa karne wale ki manind ajr milta hai phir jab imam khutba dene k liye nikalta hai to farishte daftar (likhte hue auraaq) lapait lete hai aur khutba sun'ne lagte hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 929, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 850)


JUMA K DIN QABOOLIYAT WALI GHADI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k din ek ghadi aesi hai k jo musalman us ghadi mein Allah ta'ala se bhalaayi ka sawal kare to Allah ta'ala usko qabool karta hai aur aapne haath se ishaarah kiya k ye waqt qaleel hota hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 935, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 852)

Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma ki qabooliyat ki ghadi imam k (mimbar par) baithne se le kar namaz k khatimey tak hai". (Sahih Muslim Hadees no. 853)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "is ghadi ko asar k baad talaash karo". (Abu Dawood Hadees no. 1048)

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is ghadi ko juma k din asar se ghuroob aaftaab tak talaash karo". (Tirmizi Hadees no. 489)

No comments:

Post a Comment