Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 23 December 2015

JUMA K MUTAFARRIQ MASA'IL

JUMA K MUTAFARRIQ MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ghulam, aurat, bacchey aur beemaar k alawah juma padhna har musalman par wajib hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1067, Imam Nawawi ne ise sahih kaha)

2. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai: Masjid e nabawi k baad jo sabse pehla juma padha gaya wo behreen k gaon jawaasi abdul qais ki masjid mein tha. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 892)

Is se sabit hua k gaon mein bhi juma padhna zaroori hai agar loog gaon mein juma nahi padhengey to gunahgaar hongey.

As'ad bin Zurarah Razi Allahu Anhu ne "Naqeeul khazmaat" k ilaaqey mein banu bayaaza ki basti "Hizmul Nabeet" (jo madeena se ek meel k fasiley par thi) mein juma qayim kiya, unke saath chalees namazi they. (Abu Dawood Kitabuj Juma Hadees no. 1069, Hakim 1:281, Imam Ibne Khuzaima  1724 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Adbullah bin Umar Razi Allahu Anhu Makka aur Madeena k darmiyan basney  wale loogo ko juma padhte dekhte to aetaraaz na karte. (Musannaf ibne Abdur Razzaaq 3:170, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

3. Hunain k din barish ho rahi thi to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mu'azzin ko hukm diya "Aaj apni, apni qayaam gaahon mein namaz padhne ka aelaan kardo, aur wo juma ka din tha". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1057, 1059, ise Imam Hakim 1:293, Imam Ibne Khuzaima 1863, Imam Ibne Hibban 439, 440 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Maloom hua k barish k rooz juma ki namaz padhni wajib nahi, yaani agar barish k rooz juma padh liya jaye to jayez hai aur barish k ba'as agar juma chood kar zuhar padh li jaye to juma choodne ka gunah nahi hoga.

4. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aaj k din do eidain (eid aur juma) ikatthi ho gayi hai, jo shaks sirf eid padhna chahey to usey wo kafi hai, lekin hum (eid aur juma) dono padhengey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1073, ise Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu k zamaney mein juma k din eid hui to unhoney namaz e eid padhaayi juma na padhaaya, is waqiye ki khabar Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ko mili to unhone farmaya "Unka ye amal sunnat k mutabiq hai". (Nasayi Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 1592, Abu Dawood Hadees no. 1071, Imam Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)

5. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar gunja'ish ho to juma k liye roozana istemaal hone wale kapdo k alawah kapde banaaye". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1096, Abu Dawood Hadees no. 178, Imam Ibne Hibban aur Imam Ibne Khuzaima 1765 ne ise sahih kaha)

6. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shiddat ki sardi mein juma ki namaz sawerey padhte they, aur shiddat ki garmi mein dair se padhte they. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 906)

7. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Imam k saath) jitni namaz paa lo wo padho aur jo reh jaye usey poora karo". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 602)

Is Hadees ki rooh se namaz e juma ki doosri rakaat k sajdah ya tashahud ko paane wala (salam pherne k baad uth kar) do rakaatey hi padhega (chaar nahi) kyunki uski faut shudah namaz do rakaatey hai chaar rakaatey nahi.


DORAAN E KHUTBA DO RAKAATEY PADH KAR BAITHO

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma ka khutba irshaad farma rahe they k Saleek Ghatfaani Razi Allahu Anhu Masjid mein aaye aur do rakaatey padhey baghair baith gaye, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya tumne do rakaatey padhi hai? unhone arz ki "nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam  ne hukm diya "Khade ho jao aur do rakaatey padh kar baitho" phir aapne (sari ummat k liye) hukm de diya: "Jab tum mein se koi aese waqt masjid mein aaye k imam khutba (juma) de raha ho to usey mukhtasar si do rakaatey padh leni chahiye". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 930, 1166, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 875)

Maloom hua k imam khutba mein muqtadi se kalaam kar sakta hai aur usko koi hukm bhi de sakta hai.


JUMA SE PEHLE NAWAFIL KI TADAAD MUQARRAR NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jisne ghusal kiya, juma mein aaya jitni taqdeer mein thi namaz padhi khutba se farigh hone tak chup raha phir imam k saath namaz padhi uske juma se guzishta juma tak aur teen din k aur gunah maaf ho gaye, aur jo kankariyo se kheley usne fuzool kaam kiya". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 857)

Is riwayat se ye bhi maloom hua k juma se pehle rakaatey muqarrar nahi hai balke imam k khutba shuru karne se pehle jis qadar ho sake nawafil ada karta rahey, magar do rakaat zaroori hai.


GARDANEY NA FAANGON

Hazrat Abdullah bin Basar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba de rahe they k ek shaks loogo ki gardaney phalaangta hua aaney laga to aapne ye dekh kar farmaya "Baith jao! tumne (loogo ko) takleef di aur dair lagaayi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1118, Imam Hakim 1:288, Imam Ibne Khuzaima 1816, Ibne Hibban 572 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Maloom hua k namaz e juma k liye aaney walo ko chahiye unhey jaha jagah miley wahi baith jaye.

No comments:

Post a Comment