Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 22 December 2015

NAMAZ E JUMA AUR FARZIYAT

NAMAZ E JUMA AUR FARZIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

JUMA BEHTAREEN DIN:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Behtareen din, jis par suraj tulu ho kar chamkey, juma ka din hai, isi din Aadam Alaihis Salaam paida hue, isi din jannat mein dakhil kiye gaye, isi din jannat se (zameen par) utaarey gaye aur qayamat bhi juma k din qayim hogi". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 854)

Hazrat Abu Lubaba Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma ka din dino ka sardar hai, Allah k nazdeek bada din hai aur ye Allah k nazdeek eid ul azha aur eid ul fitr se bhi bada hai, is mein 5 baatey hai:
1. Is mein Allah ta'ala ne Aadam Alaihis Salaam ko paida kiya
2. Is mein Allah ta'ala ne Aadam Alaihis Salaam ko zameen par utaara
3. Is din Aadam Alaihis Salaam faut hue
4. Is mein ek ghadi hai jo bandah us ghadi mein Allah ta'ala se sawal karta hai wo usko de deta hai jab tak wo haraam cheez ka sawal na kare
5. Is din qayamat qayim hogi, koi muqarrab farishta na aasmaan mein, na zameen mein, na hawa mein, na pahaad mein aur na darya mein magar wo juma se darte hai". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1084, ise Bosiri ne hasan kaha)


JUMA KI FARZIYAT:

Allah ta'ala farmata hai: "Ae ehle emaan! jab juma k din namaz (juma) k liye azaan di jaye to Allah k zikr (khutba aur namaz) ki taraf doodho (bhaago) aur (us waqt) kaar-o-baar chood do, agar tum samjho to ye tumhare haqq mein behtar hai". (Surah Juma Surah no. 62 Ayat no. 9)

Hazrat Abul Jaad Zumri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks susti ki wajah se teen juma chood de to Allah ta'ala uske dil par muhar laga deta hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1052, Tirmizi Hadees no. 499, ise Hakim 1:280, Ibne Khuzaima 1858, Ibne Hibban 554 aur Imam Zehbi ne sahih kaha)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loog juma choodne se baaz aa jaye warna Allah ta'ala unke dilo par muhar laga dega phir wo ghalib ho jayenge". (Sahih Mulsim Kitabuj Juma Hadees no. 865)

Hazrat Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k mera dil chahta hai k mein kisi shaks ko hukm du k wo loogo ko namaz padhaaye phir mein un loogo k gharon ko jala du jo bila uzr juma mein nahi aatey. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 605)

Maloom hua k juma ka chood dena bahut bada gunah hai, is par shadeed wa'eed hai, lihaza har musalman par juma padhna farz hai, is mein hargiz susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimbar par chadhey aur azaan ho jaye to saare kaar-o-baar haraam ho jate hai.

No comments:

Post a Comment