Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 2 December 2015

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud ka hasan aur taweel bayan nahi ho sakta. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1147)

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tahajjud mein (itna lamba) qayaam kiya k is ek aayat ko baar baar padh kar subah kardi:

"IN TU'AZZIB HUM FA INNA HUM IBAADUKA WA IN TAGHFIR LAHUM FA INNAKA ANTAL AZEEZUL HAKEEM". (Surah Ma'ida Ayat no. 118)

"Agar tu unhey azaab de to wo yaqeenan tere bande hai aur agar tu unhey maaf karde to yaqeenan tu ghalib (aur) hikmat wala hai". (Nasayi Kitabul Iftatah Hadees no. 1010, ise Hakim 1:24 aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu ne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko tahajjud padhte hue dekha, wo kehte hai surah fatiha k baad aapne surah baqarah padhi, phir ruku kiya, aapka ruku aapke qayaam k maanind tha (yaani qayaam ki tarah ruku bhi kaafi taweel kiya) phir aapne ruku se sar uthaaya aapka qauma aapke ruku k maanind tha, aapka sajdah aapke qaumey k maanind tha, aap dono sajdo k darmiyaan (jalsa mein) apne sajde ki maanind baithte they (yaani sajdey ki tarah jalsa mein bhi dair lagaayi aur khoob itminaan se kiya) pas aapne chaar rakaateo mein surah baqarah, surah Aale Imraan, Surah Nisa aur Surah Ma'idah padhi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 874, ise Imam Hakim ne sahih kaha)

Subhan-Allah! ye thi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud, sirf chaar rakaat mein sava saat paarey padhey, phir ruku, qaumey, sajdey aur jalse ki darazi aur unmey tasbeeho aur duwaon ko kasrat se padhna aap par khatam tha.

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mein ek raat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath nafli namaz mein shareek hua, aapne (Surah Fatiha k baad) Surah Baqarah shuru ki, mene socha k aap 100 aayaat padh kar ruku mein jayengey magar aap padhte chale gaye, mene khayal kiya k Surah Baqarah ko do rakaato mein taqseem karengey lekin aap padhte rahe, Aapne Surah Baqarah khatam karke Surah Nisa shuru karli, phir usey khatam karke Surah Aale Imran ko padhna shuru kar diya usko bhi khatam kar daala, aap nihayat aahistagi se padhte jaate they, jab aese aayat ki tilawat karte jisme Subhan-Allah kehne ka hukm hota to Subhan-Allah kehte, agar kuch maangne ka zikr hota to sawal karte, agar panah maangne ka zikr hota (AOUZU BILLAH) padhte Aale Imran khatam karke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku kiya. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 772)

Is Hadees se maloom hua k tilawat e quraan mein tarteeb ka khayal rakhna zaroori nahi hai kyunki Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Aale Imraan ki tilawat Nisa k baad ki halankey Aale Imraan tarteeb mein Nisa se pehle hai.


TAAQAT SE BADH KAR MASHAKKAT KI MUMANIYAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se (Ba-taur e sawal) daryaft kiya "Mujhe batlaya gaya hai k tum sari raat nafil padhte ho aur din ko rooza rakhte ho, agar tum aesa karoge to tumhari aankhey kamzoor aur tabiyat sust ho jayegi is liye rooza rakkho aur iftaar bhi karo, raat ko qayaam karo aur neend bhi, ek maah mein ek quraan paak khatam kar liya karo, unhone arz ki mein is se ziyaadah tilawat karne ki taaqat rakta hu, aapne farmaya "to 20 din mein khatam kar liya karo" unhone kaha mein us se bhi ziyaadah taaqat rakhta hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "7 din mein khatam kar liya karo, is se ziyaadah ki ijazat nahi, kyunki tumhari beewi ka tum par haqq hai, tumhare mulaqaatiyon (tumse milne walo) ka tum par haqq hai, tumhare badan ka tum par haqq hai, aur shayad tumhari umar ziyaadah ho (aur tum ye kaam budhaape mein na kar sako) Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu jab boodhey hue to aarzo karte they k kaash mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rukhsat qabool kar leta". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail E Quran Hadees no. 5054, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1159)

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey quran paak 3 din mein khatam karne ki ijazat de di aur farmaya "Quran paak se us shaks ko kuch samajh hasil nahi ho sakti jo teen din se kam muddat mein quran paak khatam karta hai". (Tirmizi Kitabul Qiraat Hadees no. 2949, Abu Dawood Kitab Shahr Ramazaan Hadees no. 1390, Imam Tirmizi ne ise Hasan Sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid k andar do satoono k darmiyan latki hui rassi dekhi to pucha ye kya hai? loogo ne kaha "Ye Hazrat Zainab Razi Allahu Anha ki rassi hai wo (raat ko nafil) namaz padhti rehti hai phir jab sust ho jaati hai ya thak jaati hai to us rassi ko pakad leti hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is rassi ko khool daalo har shaks apni khushi k muwafiq namaz padhey phir jab sust ho jaye ya thak jaye to aaraam kare". (Sahih Muslim Kitabus Salaaltul Musafireen Hadees no. 784)

Is se maloom hua k jayez lazzato se kinaarah kushi aur jismaani takaleef par mushtamil soofiyaana riyazato aur mujaharaat ka islam mein koi tasawwur nahi hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Itna amal ikhtiyaar karo jis qadar tumhey taqat ho, Allah ki qasam! Allah sawab dene se nahi thakta lekin tum amal karne se thak jaogey". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 785)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks raat ko nawafil mein 200 aayaat tilawat karta hai wo ita'at guzaar aur mukhlis loogo mein shumaar hota hai". (Daarmi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 3451, Ise Imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TEEN DUWAYE:

Hazrat Khabbab bin Arat Razi Allahu Anhu jo Badri (jo jang e badar mein they) Sahabi hai ek raat Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they farmate hai k Aap tamaam raat baidaar rahe aur nawafil ada karte rahe yaha tak k subah sadiq ho gayi, jab aapne namaz se salam phera to Khabbab Razi Allahu Anhu ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ! mere maa baap aap par qurban, aaj raat jis tarah aapne nawafil padhey us se pehle mene kabhi aapko is tarah namaz ada karte nahi dekha, Aapne farmaya "Tumne durust kaha namaz aesi ibadat hai jisme Allah k saath ishtiyaaq badhaaya jata hai aur uske azaab se panah maangi jaati hai, chunanchey mene Allah ta'ala se teen sawal kiye jisme se do qabool hue, Ek sawal ye k Allah meri ummat ko saabaqa ummato ki tarah barbaad na kare usko Allah ne qabool farmaya, Doosra sawal ye k meri (sari) ummat par (baik waqt) dushmano ko ghalba hasil na ho, ye bhi qabool kar liya gaya, phir mene sawal kiya k Ummat e Muhammadiya mein ikhtalaaf roonuma na ho lekin usey qabool nahi kiya gaya". (Tirmizi Kitabul Fitan Hadees no. 2175, Ibne Hibban Hadees no. 1830, Imam Tirmizi ne ise Hasan gareeb sahih kaha)

No comments:

Post a Comment