Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 30 September 2014

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK SABSE BADI JAHALAT HAI
SHIRK TAMAAM NAIK AAMAAL KO ZAAYA KAR DETA HAI KHAWAH NABI HI KYU NA HO

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in se kaho phir kya ae jahilo! tum Allah ta'ala k siwa kisi aur ki bandagi karne k liye mujhse kehte ho? (halankey) tumhari taraf aur tumse pehle guzare hue tamaam ambiya ki taraf ye wahi bheji ja chuki hai k agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaaya ho jayega aur tum khasarey mein rahoge". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45-46)


SHIRK INSAN KO AASMAN KI BULANDIYO SE ZAMEEN KI PASTI MEIN GIRA DETA HAI, JAHA WO MUSALSAL MUKHTALIF GUMRAHIYO MEIN DHASTA CHALA JATA HAI HATTA K HALAAK AUR BARBAAD HO JATA HAI

"Aur jisne Allah ta'ala k saath shirk kiya wo gooya aasaman se gir pada ab ya to use parindey (yaani shayateen) achak le jayenge ya hawa (khawahishaat e nafs) usko aesi jagah le ja kar phenk degi jaha uske cheethdey (botiya botiya) oudh jayenge". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 31)


MUSHRIK KO TAUHEED KA ZIKR BADA NA-GAWAAR MEHSOOS HOTA HAI

"Jab ek Allah ta'ala ka zikr kiya jata hai to aakhirat par emaan na rakhne walo k dil kudhne lagte hai aur jab uske siwa doosro ka zikr hota hai to yakayak khushi se khil uthtey hai". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45)


SHIRK K MUAMALEY MEIN WALIDAYEN YA KISI AALIM YA KISI MURSHID KI ITA'AT KARNA HARAAM HAI

"Humne insan ko hidayat ki hai k wo walidayen k saaath naik sulook kare lekin agar walidayen zoor daaley k tu mere saath kisi (aese mabood) ko shareek thehray jise (shareek ki hesiyat se) tu nahi jaanta to unki ita'at na kar, meri hi taraf tum sab ko palat kar aana hai phir mein tumko bataunga k tum kya karte rahe ho". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 8)


MUSHRIK MARD YA AURAT KA TAUHEED PARAST AURAT YA MARD SE NIKAH HARAAM HAI

"Mushrik aurato se nikah hargiz na karo jab tak wo emaan na le aye ek momin loondi mushrik aazaad aurat se behtar hai agarche wo (yaani mushrik aurat) tumhey pasand hi ho aur apni aurato k nikah mushrik mardo se bhi hargiz na karo jab tak wo emaan na le aaye, ek gulam momin, aazaad mushrik se behtar hai khawah wo mushrik tumhey kitna hi pasand ho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 221)


HALAT E SHIRK MEIN FAUT HONE WALE MUSHRIKO K LIYE DUA E MAGFIRAT KARNA MANA HAI

"Nabi ko aur un loogo ko jo emaan laye hai zaiba nahi hai k mushriko k liye magfirat ki dua kare chahey wo unke rishtedaar hi kyu na ho jab k un par ye baat khul chuki hai k wo jahannam k mustahiq hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 113)


MUSHRIK PAR JANNAT HARAAM HAI AUR WO HAMESHA HAMESHA K LIYE JAHANNAM MEIN RAHEGA

"Hazrat Isa Alaihis Salaam ne (apni qaum Bani Israeel) se kaha, ae bani israeel Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera bhi rabb hai aur tumhara bhi, jisne Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraya us par Allah ta'ala ne jannat haraam kardi aur uska thikaana jahannam hai, aur aese zalimo ka koi madadgaar nahi". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 72)

"Ahle kitab aur mushriko mein se jin loogo ne kufr kiya wo yaqeenan jahannam ki aag mein jayenge aur hamesha usme rahenge aese loog bad'tareen makhlooq hai". (Surah Bayyina Surah no. 98 Ayat no. 6)


HAQEEQAT E SHIRK SAMJHAANE K LIYE QURAN MAJEED KI CHAND HAKEEMANA MISALEY

1. "Jin loogo ne Allah ta'ala ko chood kar doosrey sarparast bana liye hai unki misaal makdi jesi hai jo apna ek ghar banati hai aur sab gharo se zayada kamzoor ghar makdi ka hi hota hai kaash ye loog is haqeeqat ko jaantey". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 41)

2. "Ae loogo! ek misaal di jaati hai use zara gaur se suno, Allah ta'ala ko chood kar jin maboodo ko tum pukaarte ho wo sab mil kar ek makkhi bhi paida nahi kar saktey balkey makkhi agar unse koi cheez cheen le jaye to wo use chuda (wapas nahi le sakte) bhi nahi sakte, madad chahne (maangne) wala bhi kamzoor aur jinse madad chaahi (maangi) jaati hai wo bhi kamzoor, in loogo ne Allah ta'ala ki qadar hi nahi pehchaani jesa k uske pehchaan'ne ka haqq tha haqeeqat ye hai k quwwat aur izzat wala to Allah hi hai". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 73-74)

3. "Allah ta'ala ko chood kar jinhe ye (mushrik) loog pukaate hai wo (maboodaan e baatil) unki duwaon ka koi jawab nahi de sakte unhe pukaarna to aesa hi hai jese koi shaks paani ki taraf haath phaila kar us'se darkhawast kare k tu mere muh tak pahunch ja, halanakey paani us tak pahunchne wala nahi bas isi tarah kaafiro ki duwaye bekaar jaane wali hai". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 14)

4. "Allah ta'ala ek misaal deta hai, ek gulam to wo hai jiske malik hone mein bahut se kujh khalk aaqa shareek hai jo use apni apni taraf khechte hai aur doosra shaks mukammal taur par sirf ek hi aaqa ka gulam hai, kya un dono ka haal yaksa (ek jesa) ho sakta hai? Alhamdullah (aesa nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 29)

5. "Allah ta'ala tumhey tumhari zaat se hi ek misaal deta hai kya tumhare in gulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hai kuch gulam aese bhi hai jo hamare diye hue maal wa dolat mein tumhare saath barabar k shareek ho aur kya tum unse is tarah darte ho jis tarah aapas mein apne hamsaro se darte ho? is tarah hum aayat khool kar paish karte hai un loogo k liye jo aqal se kaam lete hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 28)

6. "Allah ta'ala ek misaal deta hai ek to hai gulam jo doosre ka mamlook hai aur khud koi ikhtiyaar nahi rakhta, (jese muskriko k thehraye hue shuraka) doosra shaks wo hai jise humne apni taraf se accha rizk ata kiya hai aur wo usme se khuley aur acchey (apni marzi se) kharch karta hai (yaani poori tarah ba'ikhtiyaar hai jese Allah ta'ala) batao kya dono barabar hai? Alhamdulillah (hargiz nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 75)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KI BAARGAH MEIN FARISHTE AMBIYA WA RUSUL AUR AULIYA AUR SULHA UN MUSHRIKEEN K KHILAAF GAWAHI DENGE JO DUNYA MEIN UNHE ALLAH TA'ALA KA SHAREEK THEHRAATE RAHE HONGE
QAYAMAT K ROOZ MUSHRIKEEN K MABOOD UNKE KISI KAAM NAHI AYENGE

1. MALAIKA (FARISHTE)

"Aur jis din Allah ta'ala tamaam insano ko jama karega phir farishto se puchega "kya ye (mushrik) loog tumhari hi ibadat kiya karte they?" faishte jawab denge paak hai teri zaat , hamara talluq to aap se hai na k in loogo se, dar'asal ye hamari nahi jinno ki ibadat karte they, in (mushrikeen) mein se aksar unhi par emaan laaye hue they". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 40-41)

2. AMBIYA WA RUSUL

"Jis rooz Allah ta'ala sab Rasoolo ko jama kar k puchega k tumhey kya jawab diya gaya to wo arz karenge "hame kuch ilm nahi, ghaib ki baatey to aap hi k ilm mein hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 109)

"(Qayamat k din) jab Allah ta'ala farmayega "Ae Isa bin Mariyam! kya tooney looogo se kaha tha k khuda k siwa mujhe aur meri maa ko bhi khuda banao?" to wo jawab mein arz karega k "Subhan Allah" mera ye kaam na tha k wo baat kehta jiske kehne ka mujhe koi haq nahi tha, agar mene aesi baat kahi hoti to mujhe zaroor ilm hota tu jaanta hai, jo kcuh mere dil mein hai aur mein nahi jaanta jo tere dil mein hai beshak tu saari poshidah baato se waqif hai, mene unse is k siwa kuch nahi kaha jiska tooney hukm diya tha wo ye k Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera rabb hai aur tumhara rabb bhi, mein us waqt tak unka nigraan tha jab tak k mein unke darmiyaan tha, jab tooney mujhe wapas bula liya to phir tu hi in par nigraan tha aur tu saari hi cheezo par nigraan hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 116-117)

3. AULIYA WA SULHA

"Aur jis rooz Allah ta'ala un (mushriko) ko bhi ikattha kar layega aur unke un maboodo ko bhi bulayega, jinhey aaj ye Allah ta'ala ko chood kar poojh rahe hai phir wo un (maboodo) se puchega "Kya tumne mere in bando ko gumrah kiya tha ya ye khud raah e raast se bhatak gaye they?" wo arz karenge "Paak hai teri zaat hamari to ye majaal na thi k tere siwa kisi doosre ko apna maula banate, magar tooney unko unke baap dada ko bartane ko nematey di hatta k ye (tere) irshadaat ko bhool gaye aur ye halaak hone wale loog they". (Surah Furqaan Surah no. 25 Ayat no. 17-18)

"Aur jis rooz hum un sab (yaani shareek thehraye gaey aur shareek thehraane wale loogo) ko ek saath ikattha karenge to un looog se jinhone shirk kiya hai kahenge k thehar jao tum sabhi aur tumhare thehraye hue shareek bhi, phir hum inke darmiyaan se ajnabiyat ka pardah hata denge (yaani wo mushrik aur unke thehraye hue shareek ek doosre ko pehchaan lenge) tab unke thehraye hue shareek kahenge "Tum hamari ibadat to nahi karte they (aur us baat par) hamare aur tumhare darmiyaan Allah ta'ala ki gawahi kaafi hai k (agar tum hamari ibadat karte bhi they to) hum tumhari is ibadat se bilkul be-khabar they". (Surah Younus Surah no. 10 Ayat no. 28-29)


QAMAYAT K ROOZ MUSHRIKO AUR SHURAKA KI HALAT E ZAAT PAR QURAN MAJEED KA EK TANZIYA TABSIRAH

"(Qayamat k rooz hukm hoga) ghair lao un sab zalimo ko, unke saathiyo ko aur un maboodo ko jinki wo Allah ta'ala ko chood kar ibadat kiya karte they, phir un sab ko jahannam ka raasta dikhao aur (han) zara unhe thehrao unse kuch puchna hai "Kya ho gaya tumhey tum ek doosre ki madad kyu nahi kar rahe?" arey aaj to ye sab bade farmabardaar bane hue hai? (yaani har baat par bila chu wa chira amal kar rahe hai). (Surah Saffat Surah no. 37 Ayat no. 22-26)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK AZAAB DEKH KAR SHIRK SE INKAAR AUR TAUHEED KA IQRAAR KAREGA LEKIN US WAQT TAUHEED KA IQRAAR USE KOI FAIDA NAHI DEGA

"Jab inhone hamara azaab dekh liya to pukar uthenge k humne maan liya Allah wahdahu la shareek lahu ko, aur hum inkaar karte hai un sab maboodo ka jinhey hum uska shareek thehraate they, magar hamara azaab dekh lene k baad inka emaan unke liye kuch bhi nafa bakhs na ho sakta tha kyunki yahi Allah ta'ala ka qanoon  hai jo hamesha se uske bando mein chala aa raha hai, chunanchey us waqt kafir loog khasarey mein padh jayenge". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 84-85)


MUSHRIKO K LIYE QURAN MAJEED KI DAWAT E FIKR

1. "Ae Nabi! inse pucho, sehra aur samandar ki tareekiyo mein kaun tumhey khatraat se bachata hai? kaun hai jis'se tum museebat k waqt gidgida gidgida kar aur chupkey chupkey duwaye maangte ho? kis se kehte ho k agar is bala se usne hame bacha liya to hum zaroor shukr guzaar honge? kaho Allah ta'ala tumhey us'se aur har takleef se nijaat deta hai phir tum doosro ko uska shareek thehraate ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 63-64)

2. "Mushriko se kaho batao, agar tum jaante ho k ye zameen aur jo kuch isme hai wo sab kiski milkiyat hai? ye zaroor kahenge Allah ta'ala ki, kaho phir tum hoosh mein kyu nahi aatey" inse pucho saato aasman aur arsh e azeem ka malik kaun hai? ye zaroor kahenge Allah, kaho tum darte kyu nhi? inse kaho batao agar tum jaante ho k har cheez par iqtadaad kiska hai aur kaun hai jo panah deta hai aur uske muqabiley mein koi panah nahi de sakta? ye zaroor kahenge Allah, kaho phir kaha se tum ko dhooka lagta hai?. (Surah Mominoon Surah no. 23 Ayat no. 84-89)

3. "Kya in loogo k banaye hue arzi mabood aese hai k (be-jaan mein jaan daal kar) utha khada karte ho? agar aasman wa zameen mein ek Allah ta'ala k siwa doosre mabood bhi hote to (zameen wa aasman) dono ka nizaam bigad jata, pas arsh ka malik Allah paak hai un baato se jo ye loog bana rahe hai". (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 21-22)

4. "Kaun hai jisne zameen ko jaye qaraar banaya aur uske andar darya rawa kiye aur usme (pahado ki) maikhey gaadh di aur paani k do zakheero k darmiyaan pardey hayel kar diye? kya Allah k saath koi aur Allah bhi (in kaamo mein shareek) hai? "nahi" balkey inme aksar loog nadaan hai". (Surah Namal Surah no. 27 Ayat no. 61)

Saturday 27 September 2014

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK KI 2 QISMEY HAI 1. SHIRK E AKBAR, 2. SHIRK E ASGAR
ALLAH TA'ALA APNI ZAAT, IBADAT AUR SIFAAT MEIN AKELA AUR BE-MISL HAI KISI JAANDAAR YA BE JAAN, ZINDA YA FAUT SHUDA MAKHLOOQ KO USKI ZAAT MEIN YA IBADAT MEIN YA USKI SIFAAT MEIN SHAREEK KARNA YA USKE HAMSAR SAMAJHNA SHIRK E AKBAR KEHLATA HAI
SHIRK E AKBAR KA MURTAKIB HAMESHA JAHANNAM MEIN RAHEGA

Hazrat Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mara k Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraata tha wo aag mein dakhil kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


SHIRK FIZ ZAAT, SHIRK FIL IBAADAAT AUR SHIRK FIS SIFAAT K ALAWA BAAZ AESE DEGAR UMOOR JINKE LIYE AHADEES MEIN SHIRK KA LAFZ ISTEMAAL HUA HAI MASALAN RIYA YA GAIRULLAH KI QASAM KHANA WAGAIRAH SHIRK E ASGAR KEHLATA HAI

Hazrat Mahmood bin Labeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhare baare mein mujhe jin cheezo ka khauf hai unme se zayada daraaney wali cheez shirk e asgar hai" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shirk e asgar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Riya". (Musnad Ahmad, Mishkaat Baab Riya was Sam'ah)

Wazahat: Shirk e akbar ka murtakib daaira e islam se kharij ho jata hai aur ho hamesha hamesha jahannam mein rahega jabkey shirk e asgar ka murtakib daaira e islam se kharij nahi hota lekin kabeera gunah ka murtakib hota hai jis ki saza jahannam hai (jab tak Allah chahey) yaad rahey shirk e asgar se tauba na karna shirk e akbar ka ba'as (sabab) ban sakta hai.


SHIRK E KHAFI SE MURAAD CHIPA HUA SHIRK HAI JO INSAAN K ANDAR KI CHUPI HUI KAIFIYAT KA NAAM HAI, SHIRK E KHAFI SHIRK E ASGAR BHI HO SAKTA HAI JESA K RIYA-KAAR KA SHIRK AUR SHIRK E AKBAR BHI HO SAKTA HAI JESA K MUNAFIQ KA SHIRK

Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye hum loog aapas mein maseeh dajjal ka zikr kar rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya mein tumhey aesi cheez ki khabar na du jiska mujhe tumhare baare mein maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai" humne arz kiya "Kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmya "Wo hai shirk khafi yaani ye k aadmi namaz padhne k liye khada hua aur jab use mehsoos hua k koi use dekh raha hai to apni namaz lambi kardi (yaani dikhaavey ki namaz)". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 3389)

Wednesday 24 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

TAUHEED E SIFAAT PART 4 (FINAL)

Bismillahirrahmanirraheem

NAIKI KARNE AUR GUNAH SE BACHNE KI TOFEEK DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Hazrat Shuyeb Alaihis Salaam ne apni qaum se kaha, mein apni istata'at k mutabiq islaah karna chahta hu aur jo kuch karna chahta hu uska sara inhasaar Allah ta'ala ki tofeek par hai usi par mene bharosa kiya hai aur usi ki taraf ruju karta hu". (Surah Hood Surah no. 11 Ayat no. 88)

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakad kar farmaya "Ae Muaaz! Allah ta'ala ki qasam mujhe tum se bahut muhabbat hai, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Muaaz! mein tujhe taakeed karta hu k kisi (farz) namaz k baad ye kalmaat kehna na choodna "ALLAHUMMA INNI ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBAADATIK" Yani "Ya Allah! mujhe, shukr aur behtareen ibadat karne ki tofeeq ata farma". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1522)


NAFA AUR NUKSAAN KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
TAQDEER KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in munafiko se kaho kaun hai jo tumhare muamaley mein Allah ta'ala k faisley ko rookne ka kuch bhi ikhtayaar rakhta hai agar wo tumhey nuksaan pahuchana chahey ya nafa pahuchana chahye? tumhare aamaal se Allah ta'ala poori tarah ba'khabar hai". (Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 11)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai ek din mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (sawaar) tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae ladkey mein tujhey chand kalmey sikhata hu (jo ye hai) Allah ta'ala k ahkaam ki hifazat kar Allah ta'ala (deen wa dunya k fitno mein) tumhari hifazat farmayega, Allah ta'ala ko yaad kar tu, to use apne saath payega, jab sawal karna ho to sirf Allah ta'ala se sawal kar, jab madad maangni ho to sirf Allah ta'ala se maang, aur acchi tarah jaan le k agar saare loog tujhe nafa pahuchaane k liye ikatthey ho jaye to kuch bhi nafa nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai aur agar saare loog tujhe nuksaan pahuchaana chahey to tujhey kuch bhi nuksan nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai, qalam (taqdeer likhne wale) utha liye gaye hai aur saheefey jinme taqdeer likhi gayi hai khushk ho chukey hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani)

Wazahat: Taqdeer ki do qismey hai pehli taqdeer e mubram (yaani faisla kun) ye kisi soorat mein nahi badalti, doosri tadeer e mu'allaq ye dua karne se badal jaati hai, aur uske baare mein bhi Allah ta'ala k han likha ja chuka hai falah shaks ki falah taqdeer falah dua karne se badal jayegi, taqdeer k baare hi mein Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai "Taqdeer nahi badali magar dua se".


ZINDAGI AUR MAUT SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jo zinda karta hai aur maarta hai aur jab kisi baat ka faisla kar leta hai to bas ek hukm deta hai k ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 68)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa zaatir riqa'a mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they (dooran e safar) ek ghaney saaye wala darakht aya jise humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k (aaraam k liye) chood diya itne mein ek mushrik aadmi aya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar jo, darakht k saath latak rahi thi, soont kar boola "Kya tum mujh se darte ho (ya nahi)?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nahi" mushrik kehne laga tumhey mujhse kaun bachayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" ise Bukhari ne riwayat kiya hai, Abu Bakr Ismaeel ne apni Sahih mein ye baat bhi riwayat ki hai (k jab) mushrik ne kaha "tumhey mujhse kaun bachayega to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" is par talwar mushrik k haath se choot kar nichey gir padhi aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne utha li phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Tujhey mujh se kaun bachayega?" mushrik ne kaha "Tum behtar pakadne wale bano" (yaani mujh par raham karo aur chood do) (Riyazus Saliheen Baab fi yaqeen wa tawakkal hadees no. 267)


TAUHEED E SIFAAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR:

1. Umoor e qainaat aur nizm e kainaat ki tadbeer mein Allah ta'ala k siwa kisi doose Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

2. Zameen wa aasman k tamaam khazano mein tasarruf ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hai is mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

3. Qayamat k rooz kisi ko sifarish kane ki ijazat dene ya na dene, sifarish qubool karne ya na karne, kisi ko sawab ya azaab dene, kisi ko pakadne ya choodne ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hoga, Allah ta'ala k is ikhtayaar mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

4. Gaib ka ilm rakhne wala aur har jagah hazir wa naazir sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

5. Dilo ko phairne wala, hidayat dene wala, naiki ki tofeed dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

6. Rizk ki tangi ya faraakhi, sehat aur beemari, nafa aur nuksan, zindagi aur maut dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.

7. Aulaad dene ya na dene wala aur baitiya dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko is par qaadir samajhna shirk hai.

8. Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna shirk hai.

9. Dilo mein chupey raaz aur bhaid sirf Allah ta'ala hi jaanta hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah k baare mein ye aqeedah rakhna shirk hai.

Sunday 21 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 3

TAUHEED E SIFAAT PART 3

Bismillahirrahmanirraheem

HAR WAQT AUR HAR JAGAH BANDO KI DUA SUN'NE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
HAR JAGAH HAZIR NAZIR (APNI QUDRAT AUR ILM K SAATH) SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Aur ae Nabi mere bandey jab tumse mere mutalliq puchey to unhe bata do k mein unse qareeb hi hu pukaarne wala jab mujhe pukaarta hai mein uski pukaar sunta hu aur jawab deta hu lihaza unhe chahiye k meri dawat par labbaik kahe aur mujh par emaan laye takey loog raah e raast pa ley". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

"Aur Allah ta'ala tumhare saath hai jaha bhi tum ho aur jo kaam bhi tum karte ho use wo dekh raha hai". (Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 4)

Hazrat Abu Musa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek safar mein they loog buland aawaaz se takbeer kehne lagey to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Apni jaano par narmi karo, (yaani anpi aawaaz nichi rakkho) kyunki tum kisi behrey ya gayib ko nahi pukaar rahe ho balkey use pukaar rahe ho jo (har jagah) sun'ne wala hai tumhare nazdeek hai aur (har waqt apne ilm aur qudrat k sabab) tumhare saath hai". (Sahih Muslim Kitabuz zikr wa dua)


DILO MEIN CHUPEY BHAID SIRF ALLAH TA'ALA HI JAANTA HAI

"Tum loog khawah aahista baat karo ya unchi aawaaz se (Allah ta'ala k liye yaksa hai kyunki) wo dilo k bhaid jaanta hai, kya wahi na jaanega jisne loogo ko paida kiya hai? halankey wo poshida baato se bhi ba'khabar hai". (Surah Mulk Surah no. 67 Ayat no. 13-14)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam maheena bhar ruku k baad qunoot padhte rahe jime banu saleem k qaba'il k liye bad'dua farmate rahe Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne chalees (40) qura (yaani ulama) ko baaz mushriko k paas (deen sikhaane k liye) bhejey banu saleem k loog muqabile mein utar aye aur un qura ko qatal kar daala halankey banu saleem aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k darmiyaan ahad tha (lekin banu saleem ne gaddari ki) Hazrat Anas Razi Allahu kehte hai mene Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko itna ranjeeda kabhi nahi dekha jitan us maoukey par dekha tha. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad was Sabr)


DEEN WA DUNYA KI TAMAAM BHALAIYA SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI JISE CHAHTA HAI ATA KARTA HAI JIS'SE CHAHTA HAI CHEEN LETA HAI

"Kaho ae Allah! kainaat k baadshah, tu jise chahey hukumat de, jis’se chahey cheen le jise chahaye izzat bakhshey jisko chahey zaleel kare, bhalayi tere ikhtiyaar mein hai, beshak tu har cheez par qadir hai". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 36)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dua ba'kasrat maanga karte they "RABBANA AATINA FID DUNYA HASANATAU WAFIL AAKHIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR" "Ya Allah! hame duya mein bhi bhalayi ata farma aur aakhirat mein bhi hame aag k azaab se bacha le". (Muttafiqun Alai, Mishkaat baab jamey dua fasal awwal)


DILO KO PHAIRNE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Ae loogo jo emaan laye ho, Allah ta'ala aur uske Rasool ki pukaar par labbaik kaho jab k Rasool tumhe us cheez ki taraf bulata hai jo tumhey zindagi bakhshne wali hai aur jaan rakko k Allah ta'ala bandey aur uske dil k darmiyaan hayil hai aur usi ki taraf tum ikatthey kiye jaoge". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 42)

Hazrat Shahar bin Hoshab Razi Allahu Anhu kehte hai mene ummul momineen hazrat e Salma Razi Allahu Anha se arz kiya "Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab aap k paas hote to konsi dua sabse zayada padhte? Hazrat Ummul Momineed Salma Razi Allahu Anha ne farmaya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zayada tar dua ye hoti "YA MUQALLABIL QULOOBI SABBAT QALBI ALA DEENIKA" (Ae loogo k phairne wale mera dil apne deen par jama de) mein (ummey Salma) ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap aksar ye dua kyu maangte hai aapne irshad farmaya: Ae Ummey Salma! koi aadmi aesa nahi jiska dil Allah ta'ala ki do ungliyo k darmiyaan na ho phir jise wo chaahta hai (deen e haqq par) qayam rakhta hai jise chahta hai (raah e raast) se hata deta hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2792)


RIZK DENE AUR NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
RIZK MEIN TANGI YA FARAKHI KARNE WALA BHI SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Aur apni aulaad ko gurbat k darr se qatal na karo hum unhe bhi rizk denge aur tumhe bhi, darhaqeeqat aulaad ka qatal ek bada gunah hai". (Surah Bani Israeel Surah no. 17 Ayat no. 31)
"Ae Nabi inse kaho mera rabb jise chahta hai kushaada rizk deta hai jise chahta hai tang deta hai lekin aksar loog (iski haqeeqat) nahi jaante". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 36)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo Ahadees Allah ta'ala se riwayat karte hai (unmey se ek ye hai) k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab bhookey ho siwaye uske jise mein khilau pas mujse khana maango mein tumhey khilaunga, ae mere bando tum sab nangey ho siwaye uske jise mein pehnaau pas tum mujhse libaas maango mein tumhey (libaas) pehnaaunga". (Sahih Muslim Baab fi tahreemul zulm)


AULAAD DENE YA NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
BAITEY AUR BAITIYA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Allah ta'ala zameen aur aasmaan ki baadshahi ka malik hai jo kuch chaahta hai paida karta hai jise chahta hai ladkiya deta hai jise chahta hai ladkey deta hai jise chahta hai ladkey aur ladkiya mila jula kar deta hai aur jise chahta hai baanj kar deta hai wo sab kuch jaanta hai aur har cheez par qaadir hai". (Surah Shura Surah no. 42 Ayat no. 49-50)

Ibne Shahaab kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ruqaiyya Razi Allahu Anha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad unki behan Hazat Ummey Kulsoom Razi Allahu Aaha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nikah bhi Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu se hi kar diya, Hazrat Ruqaiya Razi Allahu Anha Hazrat Usman Razi Allahu Anhu k aqd e nikah mein hi faut hui lekin unke han koi aulaad na hui. (Tabraani Hadees no. 75)


SEHAT AUR SHIFA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Allah ta'ala ne mujhe paida kiya wahi meri rehnumayi farmata hai wahi mujhe khilaata hai aur pilaat hai aur jab mein bimaar ho jata hu to mujhe shifa deta hai wahi mujhe maut dega aur phir dobaara zindagi bakhshega usi se mein ummed rakhta hu k rooz e jaza meri khata maaf farmayega". (Surah Shu’ara Surah no. 26 Ayat no. 78-82)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baaz bimaar loogo k jism par dahina haath phairte aur ye dua farmate "AZHIBIL BAASA RABBAN NAASI WASHFI ANTASH SHAAFI LA SIFA'A ILLA SHIFA’UKA SHIFA'AN LA YUGAADIRU SAQAMA" yaani "Ae loogo k rabb! bimaari door farma aur shifa inayat kar kyunki tu hi shifa dene wala hai asal shifa wahi hai jo tu inayat farmaye aesi sehat ata farma k kisi qism ki bimaari baaqi na rahey". (Sahih Bukhari Kitabut Tibb)


HIADAYAT DENA SIRF ALLAH ATA'ALA HI K IKHTAYAAR MEIN HAI

"Ae Nabi tum jise chaho use hidayat nahi de sakte lekin Allah jise chahta hai hidayat deta hai aur Allah ta'ala un loogo se khoob wakif hai jo hidayat qubool karne wale hai". (Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 56)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jin hadeeso mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala se riwayat karte hai unme se ek ye hai k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab gumraah ho siwaye uske jise mein hidayat du pas mujhse hidayat maango mein tumhey hidayat dunga". (Sahih Muslim Kitabul Ilm Baab Tahreemul Ilm)

To Be Continued......

Friday 19 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 2

TAUHEED E SIFAAT PART 2

Bismillahirrahmanirraheem

QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Allah ta'ala kafiro k muamaley mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat mein thi magar unhone apne un shoharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala k muqabaley mein un (beewiyo) k kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya k jao aag mein jaane walo k saath tum bhi (aag mein) chali jao". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 10)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jab (quran majeed ki) ye aayat nazil hui "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apne rishtedaaro ko (qayamat se) darao to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar farmaya Ae quraish k loogo! ya aesa hi koi jumla kaha, apni jaaney bachao (qayamat k din) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae abd e Munaaf k baito! (qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae Abbas bin Abdul Muttalib mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam na aa sakunga Ae Safeeya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k phoopi! mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga aur ae Fatima binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (dunya mein) mere maal se jo chaho maanglo (lekin qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


GUNAH MAAF KARNE YA NA KARNE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! khawah un (munafiko) k liye maafi darkhwast karo ya na karo (ek hi baat hai) agar tum sattar (70) martaba bhi unhe maaf karne ki darkhwast karoge to Allah ta'ala unhe hargiz maaf nahi karega is liye k unhone Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath kufr kiya aur Allah ta'ala faasiq loogo ko hidayat nahi deta". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 80)

Hazrat Ummey Ala Ansariya Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki qasam! mein nahi jaanta halankey mein Allah ka Rasool hu (marne k baad) mere saath kya muamla hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)


MASHEEYAT AUR IRADEY KI TAKMEEL KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI
ALLAH TA'ALA APNI MASHEEYAT AUR IRAADAH POORA KARNE K LIYE KISI DOOSRE KI MASHEEYAT YA IJAZAT KA MOHTAAJ NAHI

"Allah ta'ala jab kisi kaam ka irada karta hai to uska kaam bas ye hai k use hukm de ho ja aur wo ho jata hai". (Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no. 82)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur guftagu karte hue kaha "Jo Allah ta'ala chahey aur Aap chahey" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone mujhe Allah ta'ala ka shareek bana liya hai" (ek riwayat mein hamsar k alfaaz hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(aesa na karo) balkey yu kaho jo Allah ta'ala chahey". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 139)


SHARIYAT SAAZI, HALAAL WA HARAAM JAYEZ WA NA'JAYEZ K TA'AYEEN KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi! tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ta'ala ne tumhare liye halal ki hai, (kya) tum apni beewiyo ki khushi chahte ho? Allah ta'ala bakhshaney wala raham farmane wala hai". (Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 1)


ILM E GHAIB SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam unse kaho mein apni zaat k liye kisi nafa aur nuksan ka ikhtayaar nahi rakhta Allah ta’ala hi jo kuch chahta hai hota hai aur agar mujhe ghaib ka ilm hota to mein bahut se faidey apne liye hasil kar leta aur mujhe kabhi koi nuksan na pahunchta, mein to mehaz ek khabardaar karne wala hu aur khushkhabri sunane wala hu un loogo k liye jo meri baat suney". (Surah Aaraf Surah no. 7 Ayat no. 188)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek rooz Raool E Akam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k darmiyaan tashreef farma they k ek shaks aya aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! qayamat kab ayegi?" Aapne farmaya "jis se puch rahe ho wo puchne wale se jayada nahi jaanta han albatta mein tujhe uski nishaniya bata deta hu (pehli nishani ye hai k) jab aurat apna malik janey to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (doosri nishani ye hai k) jab barhana badan aur barhana pao phirne wale loog sardaar baney to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (teesri nishani ye hai k) jab raiwad charaney wale bade bade mehal taameer kare to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (phir farmaya) qayamat to un paanch cheezo mein se hai jinka ilm Allah ta'ala k siwa kisi no nahi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "INNALLAHA INDAHU ILMUS SAA'AH (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)"
Tarjuma: 1. qayamat ka waqt sirf Allah ta'ala hi jaanta hai
2. Wahi baarish barsaata hai
3. wahi jaanta hai reham e maadar mein kya hai?
4. koi shaks ye nahi jaanta kal kya karega aur
5. koi shaks ye nahi jaanta k use konsi jagah maut ayegi, beshak Allah ta'ala har baat jaan'ne wal aar ba'khabar hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: "Aurat apna malik janey" ka matlab ye hai k aulad apne walidayn ki is qadr nafarmaan hogi k unke saath gulaamo aur loondiyo jesa sulook karegi.

To Be Continued......

Thursday 18 September 2014

TAUHEED E SIFAAT PART 1

TAUHEED E SIFAAT PART 1

Bismillahirrahmanirraheem

KAINAAT KI HAR CHEEZ KA HAQEEQI MALIK AUR BAADSHAH SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah ta'ala hi hai jiske alawa koi ila (mabood) nahi wo baadshah hai nihayat muqaddas hai, sarasar salamati aur aman dene wala, nigehbaan, sab par gaalib, zabardast badayi wala, paak hai Allah ta'ala us shirk se jo loog kar rahe hai". (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 23)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz Allah ta'ala aasmaano ko lapaitega phir unhe apne daaye hath mein lega phir farmayega mein hu baadshah aaj kaha hai (dunya mein) bade ban'ne wale aur takabbur karne wale? phir zameeno ko apne baaye hath main lapait lega". (Sahih Muslim, Mishkaat Kitabul Faan)


KAINAAT MEIN HUKUMAT AUR TAMAAM IKHTAYARAAT SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI

"Hukm dena sirf Allah ta'ala hi ka haq hai usi ne hukm diya hai k uske siwa kisi ki ibadat na ki jaye, yahi seedha raasta hai lekin aksar loog nahi jaante". (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya: "Tum jitni martaba hamare paas aatey ho us se zayada martaba kyu nahi aate? is par ye aayat nazil hue "Ae Nabi hum tumhare rabb k hukm k bagair nahi aatey jo kuch hamare aagey aur pichey hai neez jo kuch uske darmiyaan hai uska malik wahi hai aur tumhara rabb boolne wala nahi" ye ayat Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutaalbey ka jawab thi (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se kiya tha). (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

Wazahat: Mazkoora Ayat Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 64 ki hai.


NAZM E KAINAAT AUR UMOOR E KAINAAT KA MUDABBIR SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Wo Allah hi hai jisne aasmano ko aese satoono k bagair qayam kiya jo tumko nazar nahi aatey hai phir wo arsh par julu (qaayam) farma hua, sooraj aur chaand ko (ek kanoon ka) paband banaya, (kainaat ki) har cheez (uske hukm se) ek waqt muqarrar tak k liye chal rahi hai Allah ta'ala hi (kainaat k) saare umoor ki tadbeer farma raha hai, Allah ta'ala (apni tauheed ki) nishaniya khool khool kar bayan kar raha hai takey tum apne rabb se mulaqaat ka yaqeen kar lo". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 2)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Allah ta'ala azz wa jall farmata hai ibne Adam zamaney ko gaali deta hai halankey wo zamana to mein hu din raat mere qabzey qudrat mein hai". (Sahih Muslim Kitabul Faaz minal Adab)


ZAMEEN AUR AASMAAN K TAMAAM KHAZAANO KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI

"Ae Nabi! in se kaho mein tumse ye nahi kehta k mere paas Allah ta'ala k khazaane hai na mein gaib ka ilm rakhta hu aur na ye kehta hu k mein farishta hu mein to sirf us wahi ki pairvi karta hu jo mujh par nazil ki jaati hai phir unse pucho, kya andha aur aanhko wala dono barabar ho sakte hai? kya tum gaur nahi karte". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 50)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ka haath bhara hua hai kharch karne se usme kami nahi aati raat din uski bakhshish jaari hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zara gaur karo zameen wa aasman ki takhleeq par Allah ta'ala ne kitna kharch kiya lekin us se uske khazane mein kuch bhi kami nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


QAYAMAT K ROOZ SIFARISH KARNE KI IJAZAT DENE YA NA DENE NEEZ SIFARISH QUBOOL KARNE YA NA KARNE KA SARA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

"Kya Allah ko chood kar un loogo ne doosro ko sifarishi bana rakkha hai? unse kaho wo sifarish karenge khawah unke ikhtayaar mein kuch bhi na ho aur khawah wo (murdey tumhari baatey) samajhte bhi na ho kaho sifarish saari ki saari Allah ta'ala k ikhtayaar mein hai (jise chaahe ijazat de jise chahey na de aur jiski sifarish chahe qubool kare jiski chahey na qubool kare) aasmano aur zameen ki baadshahi ka wahi malik hai phir usi ki taraf tum sab (marne k baad) paltaaye jane wale ho". (Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 43-44)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala qayamat k din loogo ko ikattha karega kahenge k apne parwardigaar k huzoor kisi ki sifarish karwani chahe takey wo us takleef jahannam se nijaat dila de chunanchey loog Hazrat Aadam Alaihis Salaam k paas ayenge aur kahenge Aap wo hai jise Allah ta'ala ne apne haatho se banaya aur phir usme apni rooh phunki farisho ko hukm diya k Aapko sajdah kare lihaza hamare rabb k huzoor hamare liye sifarish kare, Hazrat Aadam Alaihis Salaam kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge loogo se kahenge Aap loog Hazrat Nooh Alaihis Salaam k paas jao wo pehle Rasool they jinhey Allah ta'ala ne bheja, loog unke paas (sifarish ka mutalba le kar) jayenge wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge aur loog se kahenge k tum Ibraheem Alaihis Salaam k paas jao unhe Allah ta'ala ne apna doost banaya hai, loog Ibraheem Alaihis Salaam k paas jayenge aur wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge Ibraheem Alaihis Salaam kahenge tum Moosa Alaihis Salaam k paas jao unse Allah ta'ala ne kalaam kiya hai chunchey loog Hazrat Moosa Alaihis Salaam k paas jayenge wo kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge Moosa Alaihis Salaam kahenge tum loog Isa Alaihis Salaam k paas jao chunanchey loog Isa Alaihis Salaam k paas ayenge wo bhi kahenge mein is layak kaha albatta tum loog Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jao Allah ta'ala ne unke agley pichley saare gunah maaf kar rakkhey hai chunanchey loog mere paas ayenge aur mein apne rabb se haziri ki ijazat talab karunga jab mein Allah ta'ala ko dekhunga to sajdey mein gir jaunga jab tak Allah ta'ala chahega mujhe sajdeh mein pada rehne dega phir farmayega "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam sar uthao aur maango diya jayega, baat kaho to suni jayegi, sifarish karo to maani jayegi, chunanchey (ijazat milne k baad) apna sar sajdey se uthaunga aur apne rabb ki wo hamd wa sana karunga jo us waqt Allah ta'ala mujhe sikhlayega uske baad (loogo k liye) sifarish karunga chunanchey mere liye hadd muqarrar kardi jayegi us hadd k andar jo loog honge (sirf) unko jahannam se nikaal kar bahisht (jannat) mein le jaunga phir mein dobara apne rabb k huzoor hazir hounga aur usi tarah sajdey mein gir jaunga chunanchey teesri ya choothi baar mein arz karunga "Parwardigaar! ab to jahannam se wahi loog baaqi reh gaye hai jo quran k hukm k mutabiq hamesha hamesha jahannam mein rehne wale hai (yaani kafir aur mushrik)". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

To Be continued......

Sunday 14 September 2014

TAUHEED E IBADAT

TAUHEED E IBADAT

Bismillahirrahmanirraheem

IBADAT KI TAMAAM QIMEY (ZUBANI, MAALI AUR JISMAANI) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"kaho meri namaz, mere tamaam marasim abudiyat mera jeena mera marna sabkuch Allah ta'ala rabbul alameen k liye hai jiska koi shareek nahi usi baat ka mujhe hukm diya gaya hai aur sabse pehle sar ita'at jhukaane wala hu." (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 162-163)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey quran majeed ki kisi surah ki tarah tashahud bhi sikhaya karte they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "tamaam zubani ba'barkat ibadatey aur tamaam badni wa maali ibadatey Allah ta'ala hi k liye (makhsoos) hai ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap par salamati aur Allah ta'ala ki rahmatey aur barkatey nazil ho, salam ho hum par aur Allah ta'ala ki naik bando par mein gawahi deta hu k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur mein gawahi deta hu k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah k Rasool hai". (Sahih Muslim, Mishkaat tash'had fasal awwal)


NAMAZ KI TARAH KA QAYAAM YA BE HAS WA HARKAT BA'ADAB HAATH BAAND KAR KHADE HONA ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Apni namazo ki hifazat karo aur (khaas taur par) namaz e Asr ki aur Allah ta'ala k saamne is tarah adab se khade ho jese farmabardaar gulaam khade hote hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Muaviyah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks ye pasand kare k loog uske saamne tasweer ki tarah (be has wa harkat aur ba'adab) khade rahey wo apni jagah jahannam mein bana le". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2212)


RUKU AUR SAJDAH ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Ae loogo jo emaan laye ho! ruku karo, sajdah karo aur ibdat karo apne rabb ki aur naik kaam karo takey falah paa sako". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 77)

Hazrat Qais bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai mein hirah (yaman ka shehar) aya to waha k loogo ko apne hakim k aage sajdah karte dekha mene khayal kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (un haakimo k muqabiley mein) sajdah k zayada haqdaar hai chunanchey jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidamt e aqdas mein hazir hua to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene hirah k loogo ko apne haakim k saamne sajdah karte dekha hai halankey Aap sajdah k zayada haqdaar hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Accha batao agar tumhara guzar meri qabar par ho to kya tum meri qabar par sajdah karoge?" mene arz kiya "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir ab bhi mujhe sajdah na karo agar mein kisi ko sajdah karne ka hukm deta to aurato ko hukm deta k wo apne shoharo ko sajdah kare is haqq k badley mein jo Allah ta'ala ne mardo k liye muqarrar kiya hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1873)


TAWAAF (SAWAB KI NIYAT SE KISI JAGAH K GIRD CHAKKAR LAGANA) AUR AETAKAAF (KISI JAGAH SAWAB KI NIYAT SE BAITHNA) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI

"Aur humne Ibraheem aur Ismaeel (Alaihis Salaam) ko taakeed ki thi k mere is ghar ko tawaaf, aetakaaf, ruku aur sajdah karne walo k liye paak saaf rakkho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 125)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kisi qabr par baithne se ye behtar hai k aadmi aag k ingaarey par baith jaye jo uske kapde aur khaal tak ko jala de". (Sahih Muslim Kitabul Janaiz)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab tak qabeela e doos ki aurato ki peethey zill khalsah k gird tawaaf na karne lage". (Muttafiqun Alih, Sahih Muslim Kitabul Faan)

Wazahat: Zill Khalsah zamana e jahiliyat mein qabeela e doos ka butt tha jiske gird mushrik tawaaf kiya karte they.


NAZR, NIYAAZ, MANNAT AUR CHADHAAWA SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KA HONA CHAHIYE

"Beshak Allah ta'ala ne tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur wo har cheez jo Allah ta'ala k alawa kisi doosre k naam kardi jaye, haraam kar diya hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 173)

Hazrat Tariq bin Shihaad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek aadmi sirf makkhi ki wajah se jannat mein chala gaya aur doosra jahannam mein" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kese?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do aadmi ek qabiley k paas se guzrey, us qabiley ka ek butt tha jis par chadhawa chadhaye bagair koi aadmi waha se nahi guzar sakta tha, chunanchey unme se ek shaks se kaha gaya k is butt par chadhawa chadhao, usne kaha k mere paas aesi koi cheez nahi, qabiley k loogo ne kaha tumhey chadhawa zaroor chadhaana hoga khawah makkhi hi pakad kar chadhao, musafir ne makkhi pakdi aur butt ki nazar kardi loogo ne use jaane diya aur wo jahannam mein dakhil ho gaya, qabiley k loogo ne doosre aadmi se kaha tum bhi koi cheez butt ki nazar karo, usne kaha mein Allah ta'ala azz wa jall k awala kisi doosre k naam ka chadhawa nahi chadhunga, loogo ne use qatal kar diya aur wo jannat mein chala gaya". (Musnad Ahmad Kitabut Tauheed)


QURBANI SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KI DENI CHAHIYE

"Aur jis jaanwar ko Allah ta'ala k naam par zibah na kiya gaya ho uska goosht na khao aesa karna fisk hai, shayateen apne sathiyo k dilo mein shukook wa shubhaat daalte hai takey (shayateen k saathi shirk k liye) tumse jhagda kare lekin agar tumne unki ita'at qubool karli to tum mushrik ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 121)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne laanat farmayi hai us shaks par jo gairullah k naam par janwar zibah kare jo zameen ki hadey tabdeel kare jo apne walidayen par lanat kare aur jo bida'ati ko panah de". (Sahih Muslim Kitabul Azha)


DUA SIRF ALLAH TA'ALA HI SE BARAH E RAAST MAANGNI CHAHIYE

"Ae Nabi! mere bande jab tumse mere mutalliq puchey (to unhe bata do) k mein unke qareeb hi hu jab koi dua karne wala mujhse dua karta hai to mein qubool karta hu pas unhe chahiye k wo mera hukm maaney mujh par emaan laye takey raah e raast pa ley". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

Hazrat Nomaan bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dua ibadat hai" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Tumhara rabb kehta hai mujhse dua karo mein tumhari dua qubool karunga jo loog meri ibadat se muh moodte hai mein unhe jald hi ruswa karke jahannam mein dakhil karunga". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2685)
PANAH SIRF ALLAH TA'ALA HI SE MAANGNI CHAHIYE

"Kaho mein panah maangta hu insaano k rabb, insano k baadshah, insaano k haqeeqi mabood ki, us waswasa daalne wale k shar se jo baar baar palat kar aata hai, jo loogo k dilo mein waswasa daalta hai, khawah wo jinno mein se ho ya insaano mein se". (Surah Naas Surah no. 114 Ayat no. 1-6)

Hazrat Haula binte Hakeem Razi Allahu Anha kehti hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai jo shaks kisi jagah thehrey aur ye dua padhey "Mein Allah ta'ala k mukammal kalmaat k zariye saari makhloqaat k shar se Allah ta'ala ki panah maangta hu" tu use us jagah se rawana hone tak koi cheez nuksaan nahi pahuchayegi. (Sahih Muslim Baab raqi babul raqeeyata bi tarbatul arz)


TAWAKKAL AUR BHAROOSA SIRF ALLAH TA'ALA HI PAR KARNA CHAHIYE

"Agar Allah ta'ala tumhari madad par ho to koi taakat tum par galib aane wali nahi aur agar wo tumhey chood de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kar sakta hai bas sacchey momino ko Allah ta'ala hi par tawakkal karna chahiye". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 160)

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Agar tum loog Allah ta'ala par tawakkal karo jesa tawakkal karne ka haqq hai to wo tumhey usi tarah rizk de jis tarah parindo ko deta hai, parindey subah khaali pait nikalte hai aur shaam ko pait phar kar wapas aatey hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 3359)


RAZA AUR KHUDNUDI SIRF ALLAH TA'ALA HI KI TALAB KARNI CHAHIYE

"Rishtedaar, miskeen aur musafir ko uska haqq ada karo yahi tarz e amal behtar hai un loogo k liye jo Allah ta'ala ki khushnudi chahte hai aur wahi loog falah paane wale hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 38)

Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu ne ummul momineen Hazrat e Ayesha Razi Allahu Anha ko khat likha k mujhe koi naseehat farmaiye lekin taweel (lambi) na ho, chunanchey Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne likha Assalamu Alaikum, Allah ki hamd o sana k baad, mene Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai "Jo shaks loogo ki naraazgi mool le kar Allah ta'ala ki raza dhoondta hai Allah ta'ala use loogo se mustagna kar deta hai, aur jo shaks loogo ki raza hasil karne k liye Allah ta'ala ki naraazgi mool leta hai Allah ta'ala use loogo k supurd kar deta hai" Wassalamu Alaik. (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1947)


TAMAAM MUHABBATO PAR GALIB ALLAH TA'ALA HI KI MUHABBAT HONI CHAHIYE

"Loogo mein se kuch loog aese hai jo Allah ta'ala k siwa doosro ko uska hamsar aur maddey muqabil banate hai, aur unse aesi muhabbat karte hai jesi muhabbat Allah ta'ala se karni chahiye halankey emaan wale to Allah ta'ala se toot kar muhabbat karte hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 165)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks mein ye teen khaslatey hongi wo unki wajah se emaan ki (haqeeqi) halawat aur mithaas mehsoos karega pehli ye k Allah aur Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baaqi tamaam loogo k muqabiley mein zayada muhabbat rakhta ho, doosri ye k kisi aadmi se Allah ta'ala k liye muhabbat karta ho, teesri ye k kufr jis se Allah ta'ala ne use bacha liya hai uski taraf palatna use itna napasand ho jitna aag mein dakhil hona". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


HAR QISM K DARR AUR KHAUF PAR ALLAH TA'ALA HI KA KHAUF AUR DARR GALIB HONA CHAHIYE

"Kya tum kafiro se darte ho halankey Allah ta'ala uska zayada haqdaar hai k tum us'se daro agar tum waqayi momin ho". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 13)


DEEN AUR DUNYA K TAMAAM MAAMLAAT MEIN ITA'AT SIRF ALLAH TA'ALA HI KI KARNI CHAHIYE

"Humne har ummat mein ek Rasool bheja aur uske zariye sabko khabardaar kar diya k "Allah ta'ala ki ita'at karo aur tagooto ki ita'at se bacho uske baad unmein se kisi ko Allah ta'ala ne hidayat bakhshi aur kisi par gumrahi musallat ho gayi". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 36)

Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Nabi E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur meri gardan mein sooney (gold) ki saleeb thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Adi! is butt (saleeb) ko utaar phenko" mene (us waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Surah Baqarah ki ye Ayat padhte hue suna "unhone (yaani ahle kitab ne) apne ulama aur darwaisho ko ila (mabood) k siwa apna rabb bana liya" tab (Hazrat Adi k sawal k jawab mein) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat irshad farmayi k wo (Ahle kitab) apne ulama aur darwaisho ki (zahiri) ibadat na karte they, lekin jab ulama kisi cheez ko halaal kehte to wo use halaal jaan lete aur jab ulama kisi cheez ko haraam tehraatey to wo use haraam jaan lete (aur wahi matlab hai ulama ko Allah ta'ala k siwa rabb banane ka). (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2479)


TAUHEED E IBADAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR

1. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne be has wa harkat, ya adab haath baandh kar khade hona shirk hai.

2. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne ruku ki tarah jhukna ya sajdah karna shirk hai.

3. Kisi mazaar par sawaab ki niyat se kam ya zayada waqt k liye qayam karna ya mujawar ban kar baithna ya tawaaf karna shirk hai.

4. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se dua maangna ya unhe dua mein waseela banana shirk hai.

5. Musibat ya takleef mein Allah ta'ala k siwa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagirah ko pukaarna unse faryaad karna unse panah talab karna shirk hai.

6. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub aya badaal wagairah k naam ka janwar zibah karna ya unke naam ki nazar, niyaaz dena ya unki mannat maan'na ya chadhawa chadhana shirk hai.

7. Dunya ya aakhirat mein nuqsaan k dar se Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se darna shirk hai.

8. Dunya ya aakhirat mein kaamyabi k husool k liye Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ki raza hasil karna shirk hai.

9. Allah ta'ala k muqabiley mein kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se badhkar muhabbat karna shirk hai.

10. Allah ta'ala k bajaye kisi faut shuda nabi, wali, guas, qutub ya abdaal wagairah par tawakkal karna shirk hai.

11. Allah ta'ala k muqarrar qardah halaal wa haraam k muqabiley mein kisi wali, gaus, qutub, abdaal ya murshid kisi mazhabi rehnuma ya kisi siyaasi leader ya kisi Parliament ya kisi assembly wagairah k mutayyin karda halaal wa haraam par amal karna shirk hai.

Friday 12 September 2014

TAUHEED E ZAAT

TAUHEED E ZAAT

Bismillhirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA APNI ZAAT MEIN AKELA AUR BE MISL HAI USKI BEEWI HAI NA AULAAD, MAA HAI NA BAAP
ALLAH TA'ALA NA KAINAAT KI KISI JAANDAAR YA BE-JAAN CHEEZ MEIN MADGAM HAI NA USKA JUZZ HAI, NA HI KAINAAT KI KOI JAANDAAR YA BE-JAAN CHEEZ ALLAH TA'ALA KI ZAAT MEIN MADGAM HAI NA USKA JUZZ HAI

Kaho Allah yakta (ek) hai, Allah ta'ala sabse be-niyaaz hai aur sab uske mohtaaj hai, na uski koi aulaad hai, na wo kisi ki aulaad hai, aur na koi uska hamsar hai. (Surah Ikhlas Surah no. 112 Ayat no. 1-4)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala farmata hai k ibne Aadam ne mujhe jhutlaaya hai aur ye uske liye munasib na tha, ibne Aadam ne mujhe gaali di aur ye uske liye munasib na tha, raha uska mujhe jhutlaana to wo uska ye kehna hai k Allah ta'ala mujhe hargiz dobara nahi paida karega jesa k usne pehli dafa paida kiya, halankey pehle paida karna dobara paida karne se zayada aasaan nahi hai aur uska mujhey gaali dena ye hai k usne kaha k Allah ta'ala ki aulaad hai halankey mein akela beniyaaz hu na meri koi aulaad hai aur na mein kisi ki aulaad hu aur na koi mera hamsar hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Surah Qul hu wallahu ahad)


ALLAH TA'ALA KI ZAAT AWWAL (AZLA) AUR AAKHIR (ABDI) HAI JISE FANA NAHI
ALLAH TA'ALA ZAHIR MEIN NIGAHO SE POSHIDA HAI LEKIN USKI QUDRAT HAR CHEEZ SE ZAHIR HAI

“Wahi Awwal bhi hai aur aakhir bhi, zahir bhi aur poshida bhi aur wo har cheez ka ilm rakhta hai”. (Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 3)

Hazrat Suhail bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai jab hum mein se koi soone lagta to Hazrat Abu Saaleh kehte dahini karwat par laito aur ye dua padho "ALLAHUMA RABBUS SAMAWAATI WA RABBUL ARZ...aakhir tak" "Ae Allah! zameen wa aasman aur arsh e azeem k malik, hamare parwardigaar aur har cheez k paalanhaar! daaney aur guthli ko zameen se ugtey waqt phaadne wale! toraat, injeel aur quran k nazil farmane wale! mein har cheez k shar se teri panah maangta hu jiski paishani tere kabzey mein hai, Ae Allah! tu sabse awwal hai tujhse pahle koi cheez nahi tu sabse aakhir hai tere baad koi cheez nahi tu kainaat ki har cheez se zahir hai, tujhse badh kar zahir koi cheez nahi tu (zahir bhi nigaho se) poshida hai tujhse zayada poshida koi cheez nahi hamara qarz ada karde aur mohtaaji door karde hamey gani banade" Abu Saaleh ye dua Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se aur wo Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte they. (Sahih Muslim Kituz Zikr wa Dua)


ALLAH TA'ALA APNI ZAAT K SAATH AASMNO K UPER ARSH E AZEEM PAR HAI

Allah wo hai jisne aasmano aur zameen aur jo kuch bhi in k darmiyan hai (sab) ki takhleeq 6 din mai ki phir arsh par qayam hua (Allah k saamne) Allah k elawa tum sabka koi madadgaar nahi aur na hi koi sifarish karne wala kya tum loog yaad nhi rakhte.(Surah Sajda Surah no. 32 Ayat no. 4)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab raat ka tihayi hissa baaqi rah jaata hai to hamara buzurg wa bartar parwardigaar aasamani dunya par nazil hota hai aur farmata hai kaun hai jo mujhse dua kare aur mein uski dua qubool karu? kaun hai jo mujhse apni haajaat maangey aur mein use ata karu? kaun hai jo mujhse bakhshish chahey aur mein use bakhs du?". (Sahih Bukhari Kitabud Daawaat)

Wazahat: Allah ta'ala apne ilm, qudrat aur ikhtasaar k sath har jagah mojood hai.


QAYAMAT K DIN AHLE JANNAT ALLAH TA'ALA KA DEDAAR KARENGE

"Bahut se chehre us din tar o taaza aur ba-ronak honge apne rabb ki taraf dekh rahey honge". (Surah Qiyamah Surah no. 75 Ayat no. 22-23)

Hazrat Jareej bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baitehy hue they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne choodvi k chaand ki taraf dekha aur farmaya "(jannnat mein) tum apne rabb ko is tarah dekhoge jis tarah is chaand ko dekh rahe ho Allah ta'ala ko dekhne mein tumhey koi waqt paish nahi ayega". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

Wazahat: Is dunya mein koi insaan Allah ta'ala ka dedaar nahi kar sakta hatta k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bhi is dunya mein Allah ta'ala ka dedaar nahi kiya, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai "Jo shaks ye kahe k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne rabb ka dedaar kiya wo jhoota hai. (Bukhari wa Muslim) quran majeed mein Hazrat Younus Alaihis Salaam ka diya gaya waqiya bhi iski tasdeek karta hai tafseel k liye mulahiza ho Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 143"


TAUHEED E ZAAT K BAAREY MEIN SHIRKIYA UMOOR

1. Kisi farishte ya Nabi ya kisi doosri makhlooq ko Allah ta'ala ka baita ya baiti samajhna ya Allah ki zaat ka juzz samajhna ya Allah k noor se noor samajhna shirk hai.

2. Allah ta'ala k baare main "teen mein se ek aur ek mein se teen" ka aqeedah rakhna shirk hai.

3. Allah ta'ala ki zaat e ba-barkaat ki har cheez mein mojood samajhna "wahdatul wajood" kehlata hai us par emaan rakhna shirk hai.

4. Bandey ka Allah ki zaat mein madgam ho jana ka aqeedah "Wahdatush Shahoor" kehlata hai is par emaan rakhna shirk hai.

5. Allah ta'ala ka bandey ki zaat mein madgam ho jane ka aqeedah "Hulool" kehlata hai is par emaan rakhna shirk hai.

(In tamaam point ka radd Surah Ikhlaas karti hai)

Thursday 11 September 2014

TAUHEED KI TAREEF AUR USKI IQSAAM

TAUHEED KI TAREEF AUR USKI IQSAAM

Bismillahirrahamanirraheem

TAUHEED KI TEEN QISMEY HAI, 1. TAUHEED FIZ ZAAT, 2. TAUHEED FIL IBADAT, 3. TAUHEED FIS SIFAAT
ALLAH TA'ALA APNI ZAAT MEIN WAHID AUR BE MISL HAI USKI BEEWI HAI NA AULAAD, MAA HAI NA BAAP, IS AQEEDEY KO TAUHEED FIZ ZAAT KEHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala farmata hai k ibne Aadam ne mujhe jhutlaaya hai aur ye uske liye munasib na tha, ibne Aadam ne mujhe gaali di aur ye uske liye munasib na tha, raha uska mujhe jhutlaana to wo uska ye kehna hai k Allah ta'ala mujhe hargiz dobara nahi paida karega jesa k usne pehli dafa paida kiya, halankey pehle paida karna dobara paida karne se zayada aasaan nahi hai aur uska mujhey gaali dena ye hai k usne kaha k Allah ta'ala ki aulaad hai halankey mein akela beniyaaz hu na meri koi aulaad hai aur na mein kisi ki aulaad hu aur na koi mera hamsar hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Surah Qul hu wallahu ahad)


HAR QISM KI IBADAT MASALAN DUA, NAZR, NIYAAZ, ISTA'AANAT, ISTAMDAAD, ISTA'AAZA, SAJDA AUR ITA'AT WAGAIRAH SIRF ALLAH TA'ALA HI K LAYAK HAI IS AQEEDEY KO TAUHEED FIL IBADAT KEHTE HAI

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey gadhey par sawaar tha jise uzair kaha jata hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (mujhse) pucha "Ae Muaaz! kya tu jaanta hai k Allah ta'ala ka apne bando par kya haqq hai aur bando ka Allah par kya haqq hai?" mene arz kiya "Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam behtar jaante hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Bando par Allah ta'ala ka haqq ye hai k wo sirf usi ki ibadat kare aur uske saath kisi ko shareek na thehraaye aur bando ka Allah par haqq ye hai k jo shaks shirk na kare use azaab ne de" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya mein loogo ko ye khushkhabri na sunao?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa na karo kyunki phir wo usi par bharosa kar bethengey". (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad)


ALLAH TA'ALA APNI SIFAAT MEIN WAHID AUR BE MISL HAI JINME USKA KOI HAMSAR NAHI ISE AQEEDAH E TAUHEED FIS SIFAAT KEHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala k ninavey (99) naam hai jo unhe yaad karle wo jannat mein dakhil hoga, Allah taaq hai aur taaq ko hi pasand karta hai". (Sahih Muslim Kitabuz Zikr wa Dua)

Wazahat: Yaad karne se muraad zubani yaad karna ya un naamo k waseeley se dua karna ya unpar imaan lana aur ita'at karna hai.

Wednesday 10 September 2014

TAUHEED QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

TAUHEED QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN 

Bismillahirrahamanirraheem 

ALLAH TA'ALA KHUD TAUHEED KI GAWAHI DETA HAI 

"Allah ta'ala ne khud shahadat di hai k uske siwa koi ila (mabood) nahi neez farishte aur ilm wale loog jo insaaf par qayim hai wo bhi (yahi shahadat dete hai) waqaye is zabardast aur hakeem k alawa koi ila (mabood) nahi hai". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 18) 


QURAN MAJEED NE LOOGO KO SIRF EK ALLAH TA'ALA KI IBADAT AUR BANDAGI KI DAAWAT DI HAI 

"Loogo! tumhara ila (mabood) to bas ek hi hai uske siwa koi ila (mabood) nahi wo bada meharbaan aur nihayat raham karne wala hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 163)

"Allah ta'ala k siwa kisi doosre ila (mabood) ko na pukaaro uske siwa koi ila (mabood) nahi uski zaat k siwa har cheez halaak hone wali hai, usi ka hukm hai aur usi ki taraf tum sab paltaaye jane wale ho". (Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 88) 

"Uske siwa koi ila (mabood) nahi wahi zindagi ata karta hai wahi maut deta hai wo tumhara bhi rabb hai tumhare aabaa wa ajdaad jo guzar chukey unka bhi rabb hai". (Surah Dukhaan Surah no. 44 Ayat no. 8) 


TAMAAM AMBIYA E KIRAAM AUR RASOOLO NE SAB SE PEHLE APNI APNI UMMATO KO AQEEDAH E TAUHEED KI DAWAT DI 


HAZRAT NOOH ALAIHIS SALAAM 

"Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja unhone kaha: Ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi mein tumhare haqq mein ek hoolnaak din k azaab se darata hu". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 59) 


HAZRAT HOOD ALAIHIS SALAAM 

"Aur qaum e Aad ki taraf humne unke bhai Hood (Alaihis Salaam) ko bheja, unhone kaha ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi phir kya tum galat roosh se parhaiz na karoge". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 65) 


HAZRAT SAALEH ALAIHIS SALAAM

"Aur qaum e Samood ki taraf unke bhai Saaleh (Alaihis Salaam) ko bhaja unhone kaha ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi hai tumhare paas tumhare rabb ki taraf se khuli daleel aa gayi hai ye Allah ta'ala ki ounthni tumhare liye ek nishani hai lihaza use chood do k Allah ta'ala ki zameen mein charti phirey usko kisi bade iradey se haath na lagana warna dardnaak azaab tumhey aa lega". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 73) 


HAZRAT SHUYEB ALAIHIS SALAAM 

"Aur madyan walo ki taraf humne unke bhai Shuyeb (Alihis Salaam) ko bheja unhone kaha: Ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi tumhare paas tumhare rabb ki taraf se wazey daleel aa gayi hai lihaza wazan aur paimaaney purey karo loogo ko unki cheezo mein ghaata na do aur zameen mein fasaad barpa na karo jabkey uski islaah ho chuki usi mein tumhari bhalayi hai agar tum waqayi momin ho". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 85) 


HAZRAT IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM 

"Aur Ibraheem (Alaihis Salaam) ne apni qaum se kaha: Allah ki bandagi karo aur usi se daro ye tumhare liye behtareen hai agar tum jaano, tum Allah ta'ala ko chood kar jinki ibadat kar rahe ho wo tu mehaz butt hai aur tum ek jhood ghadd rahe ho, dar-haqeeqat Allah ta'ala k siwa jinki tum parastish karte ho wo tumhe rizk tak dene ka ikhtayaar nahi rakhte (lihaza) Allah ta'ala se rizk maango aur usi ki bandagi karo aur usi ka shukr ada karo, usi ki taraf tum bulaye jaane wale ho". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 16, 17) 


HAZRAT YOUSUF ALIHIS SALAAM 

"Allah ta'ala ko chood kar jinki tum bandagi kar rahe ho wo iske siwa kuch nahi hai k bas chandd naam hai jo tumne aur tumhare aabaa wa ajdaad ne rakh liye hai Allah ta'ala ne unke liye koi sanad nazil nahi ki". (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40) 


HAZRAT ISA ALIHIS SALAAM 

"Haqeeqat ye hai k Allah ta'ala mera bhi rabb hai aur tumhara bhi rabb hai lihaza usi ki tum ibadat karo yahi seedha raasta hai". (Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 64)


HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM 

"Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) keh dijiye mein to bas khabardaar karne wala hu k koi haqeeqi mabood nahi magar Allah ta'ala k alawa, jo yakta (akela) hai, sab par gaalib, aasmano aur zameen ka malik aur un saari cheezo ka malik jo unke darmiyaan hai wo zabardast bhi hai aur bakshne wala bhi". (Surah Saad Surah no. 38 Ayat no. 65, 66) 


DIGAR TAMAAM AMBIYA E KIRAAM AUR RASOOL

"Humne tumse pehle jo rasool bhi bheja hai usko yahi "wahi" ki hai k mere siwa koi ila (mabood) nahi pas tum loog meri hi bandagi karo". (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 25) 


KISI NABI NE ALLAH TA'ALA KI SIWA APNI YA KISI DOOSRE KI BANDAGI KI DAAWAT NAHI DI 

"Kisi insaan ka ye kaam nahi k Allah ta'ala use kitaab aur nabuwat ata farmaye aur wo loogo se kahe k Allah ta'ala ki bajaye tum mere bande ban jao wo to yahi kahega sacchey rabbani bano jesa k uski kitab ki taleem ka taqaaza hai jise tum padhte aur padhaate ho". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 79) 


AQEEDAH E TAUHEED INSAAN KI FITRAT MEIN SHAMIL HAI 

"(Ae Nabi!) yakso (ek) ho kar apna rukh uske deen (islam) ki simt jama do aur qayem ho jao uski fitrat par jis par Allah ta'ala ne insaano ko paida kiya hai Allah ta'ala ki banayi hui saakht badli nahi ja sakti yahi seedha deen hai lekin aksar loog nahi jaante". (Surah Room surah no. 30 Ayat no. 30) 


KHALIS AQEEDAH E TAUHEED HI DUNYA WA AKHIRAT MEIN AMAN WA SALAMATI KA ZAAMAN HAI 

"Jo loog emaan laye aur apne emaan ko zulm (shirk) k saath aalood (alag) nahi kiya unhi k liye aman hai aur wahi raah e raast par hai". (Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 82) 


AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN LAANE WALE HAMESHA HAMESHA JANNAT MEIN RAHENGE

"Wo loog jo emaan le aaye aur naik amal kare to unhe hum aese baago mein dakhil karenge jinke nichey nehrey behti hongi aur wo waha hamesha hamesha rahenge ye Allah ta'ala ka saccha wada hai aur Allah ta'ala se badh kar kaun apni baat mein saccha hoga?". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 122) 


AQEEDAH E TAUHEED K LIYE SAARI DUNYA K INSAANO KO QURAN MAJEED KI DAWAT O FIKR 

"(Ae Nabi) unse keho kabhi tumne ye bhi soocha hai k agar Allah ta'ala tumhari beenaayi (aankho ki rooshni) aur tumhari sima'at (sun'na) tumse cheen le aur tumhare dilo par muhar laga de to Allah ta'ala k siwa konsa ila (mabood) hai jo ye quwwatey tumhey wapas dila sakta hai? dekho kis tarah baar baar hum apni dalail unke saamne paish karte hai phir bhi ye muh mood lete hai". (Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 46) 

"Ae Nabi! unse kaho kabhi tum loogo ne gaur kiya hai k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye raat taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey rooshni dila de kya tum sunte nahi ho? unse pucho, kabhi tumne soocha k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye din taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey raat dila de takey tum usme sakoon hasil kar sako kya tum dekhte nahi ho?". (Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 71, 72) 

"Kabhi tumne aankey khool kar dekha, ye paani jo tum peetey ho use humne baadal se barsaaya hai ya uske barsaane wale hum hai? hum chahey to use sakht khaari bana kar rakh de phir tum shukr guzaar kyu nahi bante". (Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 68-70) 

"Kabhi tumne gaur kiya, ye nutfa jo tum daalte ho, us'se baccha tum banaate ho ya uske banane wale hum hai? humne tumhare darmiyaan maut ko taqseem kiya hai, aur hum uske aajiz nahi k tumhari shakley badal de aur kisi aesi shakal mein tumhey paida karde jisko tum nahi jaante, apni pehli paidaish par tum jaante hi ho, phir kyu sabaq nahi lete". (Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 58-62) 

"Kabhi tumne soocha ye beej jo tum bootey ho, unsey khaitiya tum ugaate ho ya unke ugaane wale hum hai?, hum chahey to un khaitiyo ko bhus bana de aur tum tarah tarah ki baatey banate rah jaoge k hum par to ulti chatti pad gayi, balkey hamare to naseeb hi phoot padey". (Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 63-67) 

"Aur tumhare liye mawaishiyo mein bhi ek sabaq mojood hai unke pait se gobar aur khoon k darmiyaan se hum ek cheez tumhe pilaate hai yaani k khalis doodh jo peene walo k liye nihayat khushgawaar hai". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 66) 

"Ab agar tum kisi k makoom nahi ho aur apne is khayaal mein sacchey ho to jab marne wale ki jaan halaq tak pahunch chuki hoti hai aur tum aankho se dekh rahe hote ho k wo mar raha hai, us waqt uski nikli hui jaan ko wapas kyu nhi le aatey?". (Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 83-87)

Tuesday 9 September 2014

TAUHEED KI AHMIYAT

TAUHEED KI AHMIYAT

Bismillahirrahamanirraheem

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA LAANE WALE JAHANNAM MEIN JAYENGE

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mare k Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraaya tha wo aag mein dakhil hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jisne Allah ta'ala se is haal mein mulaqaat ki k uske saath kisi ko shareek nahi thehraaya wo jannat mein dakhil hoga, jo Allah ta'ala se is haal mein mila k usne Allah ta'ala k saath shirk kiya ho wo jahnnam mein jayega". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

TAUHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO KO NABI SE QURABAT-DARI BHI JAHANNAM K AZAAB SE NAHI BACHA SAKTI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jahannamiyo mein se sabse halka azaab Abu Talib ko hoga wo aag ki 2 jootiya pehne honge jis'se unka dimaag khool raha hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HAZRAT MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KO SHIRK KARNE KI BAJAYE QATAL HO JAANE YA AAG MEIN JALL JAANE KI NASIHAT FARMAYI

Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe 10 baato ki takeed farmayi:
1. Allah ta'ala k saath kisi ko shareek na karna khawah tumhey qatal kar diya jaye ya aag mein jala diya jaye.
2. Apne walidayen ki nafarmaani na karna khawah tumhey tumhare ahal aur maal se alag hone ka hukm de.
3. Jaan-boojh kar farz namaz tark na karna kyunki jisne farz namaz jaan-boojh kar tark ki wo Allah ta'ala ki hifazat ya bakhshish k zimmey se nikal gaya.
4. Sharaab na peena kyunki ye tamaam be hayaiyo ka sar chashma (ya jadd) hai.
5. Gunah se bachna kyunki gunah se Allah ta'ala ka gazab nazil hota hai.
6. Maidaan e jang se bhaagne se guraiz karna khawah loog mar rahey ho.
7. Jab (kisi jagah ya baya beemari k baa'as) loog marne lagey aur tum pehle se waha muqeem ho to wahi thehrey rehna.
8. Apne ahle wa ayaal par tofeeq k mutabiq kharch karna.
9. Apne ahle wa ayaal ko (deen par chalne k liye) laathi k istemaal se guraiz na karna.
10. Aur Allah ta'ala k baare mein unhe daraatey rehna. (Musnad Ahmad, Tabraani, Sahih Targeeb wa Tarheeb Kitabus Salaat)


AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO USKE NAIK AAMAAL QAYAMAT K DIN KOI FAIDA NAHI DENGE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya k "Jud'aan ka baita zamana e jahiliyat mein sila rahmi karta tha miskeen ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: "Ae mere rabb! qayamat k din mere gunah maaf farmana". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO MARNE K BAAD KISI DOOSRE SHAKS KI DUA YA NAIK AMAL KA SAWAAB NAHI PAHUNCHTA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Aas bin Wayel ne jahiliyat mein 100 ounth qurbaan karne ki nazar maani thi Hishaam bin Aas ne apne hissey k 50 ounth zibah kar diye lekin Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar tumhara baap tauheed parast hota aur tum uski taraf se roozey rakhte ya sadqa karte ho use sawaab mil jaata". (Musnad Ahmad, Muntaful Akhbaar Kitabul Janaiz)

TAUHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO K KHILAAF HAKOOMAT E WAQT KO JANG KARNE KA HUKM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhey loogo se ladne ka hukm diya gaya hai yaha tak k wo "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar kare, mujh par emaan laye, meri layi hui talimaat par emaan laye agar wo aesa kare to unhone apne khoon (yaani jaaney) aur apne maal mujhse bacha liye magar haqq k badley aur unke amaal ka hisaab Allah ta'ala k zimmey hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: 1. Magar haqq k badley ka matalab ye hai k agar wo koi aesa kaam kare jiski saza qatal ho masalan qatal ya zina murtad hona wagairah to phir unhe shariyat k mutabiq qatal ki saza di jayegi, 2. Tauheed ka iqraar na karne wale agar islaami haqoomat k tahat zayy ban kar rehna qubool karle to phir unke khilaaf jang nahi hogi (yaani islami huqumat k mutabiq rahey).

Monday 8 September 2014

TAUHEED KI FAZILAT

TAUHEED KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

KALMA E TAUHEED KA IQRAAR DEEN E ISLAM KA SABSE PEHLA BUNYAADI RUKUN HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ko haakim e yaman bheja to farmaya "Loogo ko (pehle) "LA ILAHA ILLALLAH" aur phir ye k mein yaani (Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah ka Rasool hu uski taraf dawat dena" agar wo maan le to phir unhe batana k Allah ta'la ne har din raat mein unpar paanch namazey farz ki hai agar wo use bhi maan le to phir unhe batado k Allah ta'ala ne unke maalo par zakaat farz ki hai jo unke maaldaro se wasool ki jayegi aur unke faqra ko di jayegi". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)

GAIR MUSLIM KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KAR LE TO USE QATAL KARNA MANA HAI

Hazrat Usaama bin Zaid Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey ek lashkar mein bheja harkaat (ek gaon ka naam) mein humne juhaina (qabeela ka naam) se subah k waqt jang ki ek aadmi se mera saamna hua to usne "LA ILAHA ILLALLAH" padha lekin mene use barchi se maar dala, (baad mein) mere din mein tashweesh paida hui (k mene galat kiya ya sahih) to mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se uska tazkira kiya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya usne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur toone use qatal kar dala?" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! usne hathyaar k darr se kalma padha tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone uska din cheer kar dekh liya tha k tujhe pata chal gaya usne khuloos dil se padha ya nahi?" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baar baar yahi irshad farmate rahey yaha tak k mene aarzoo ki kaash mein aaj k rooz musalman hua hota. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

KALMA E TAUHEED PAR EMAAN GUNAHO K KAFFARAH KA BAA'AS (SABAB) BANEGA

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek safaid kapde mein soo rehey they mein dobara hazir hua tab bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahey they mein teesri baar aya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jaag rahey they mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur usi par mara wo jannat mein dakhil hoga" mene arz kiya "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho" ye baat Aapne teen baar irshad farmayi, phir choothi (4th) martaba Aapne farmaya "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho" pas jab Abuzar Razi Allahu Anhu (Aapki majlis se uth kar) bahar aaye to keh rehey they "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko famate hue suna hai k qayamat k din Allah ta'ala saari makhlooq k saamne meri ummat k ek aadmi ko layega aur uske saamne (gunaho) k ninaavey (99) daftar rakh diye jayenge har daftar har nigah tak faila hoga, phir Allah ta'ala us aadmi se puchega "Tu apne in aamaal mein se kiska inkaar karta hai" kya (naama e aamaal tayyar karne wale) mere kaatibo ne tujh par zulm to nahi kiya? wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala puchega (un gunaho k baare mein) "tere paas koi uzr hai?" wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala phir irshad farmayega "Accha thehro (ruko) hamare paas tumhari ek naiki bhi hai aur aaj tum par koi zulm nahi hoga chunanchey ek kaagaz ka tukda laya jayega jisme "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU" tehreer (likha) hoga, Allah ta'ala irshad farmayega "naama e aamaal wazan hone ki jagah chale jao" banda arz karega "ya Allah is chootey se kaagaz k tukdey ko mere gunaho k dhair se kya nisbat ho sakti hai?" Allah irshad farmayega "Bandey! aaj tum par koi zulm nahi kiya jayega" (yaani har chootey bade amal ka hisaab zaroor hoga) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gunaho k dhair taraazu k ek paldey mein aur kaagaz ka tukda doosre paldey mein rakh diya jayega gunaho k daftar halkey saabit honge aur kaagaz ka tukda bhaari ho jayega, (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya) "Allah ta'ala k naam se zayada koi cheez bhari nahi ho sakti". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2127)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai Allah ta'ala farmata hai "Ae ibne Aadam! tu jab tak mujhe pukaarta rahega aur mujhse bakhshish ki ummed rakkhega mein tujhse sarzad hone wala har gunah bakshta rahunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasmaan k kinare tak pahunch jaye aur tu mujhse bakshish talab kare to mein tujhe baksh dunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tu rooh e zameen k barabar gunah le kar aye aur mujhe is haal mein mile k kisi ko mere saath shareek na kiya ho to mein rooh e zameen k barabar hi tujhe magfirat ata karunga (yaani saare gunah maaf karunga)". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2805)

KHULOOS E DIL SE KALAM E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALE K LIYE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SIFARISH KARENGE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz meri sifarish se faiz-yaab hone wale loog wo hai jinhone sacchey dil se ya (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) ji jaan se "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar kiya hai". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Har nabi k liye ek dua aesi hai jo zaroor qubool hoti hai, tamaam Ambiya Alaihis Salaam ne wo dua maangli lekin mene apni dua qamayat k din apni ummat ki shifa'at k liye mehfooz kar rakkhi hai meri shifa'at in Sha Allah har us shaks k liye hogi jo is haal mein mara k usne kisi ko Allah ta'ala k saath shareek nahi kiya". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

AQEEDAH E TAUHEED PAR MARNE WALA JANNAT MEIN DAKHIL HOGA

Hazrat Usmaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein marey k use "LA ILAHA ILLALLAH" ka ilm (yaqeen) ho to wo jannat mein jayega". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR ARSH E ILAHI SE QURBAT KA ZARIYA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab banda sacchey dil se "LA ILAHA ILLALLAH" kehta hai to uske liye aasman k darwazey khool diye jaate hai yaha tak k wo arsh tak pahunch jata hai ba'shart k kabeera gunah se bachta rahey". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2839)

KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KI GAWAHI DENE WALE PAR JAHANNAM HARAAM HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey sawari par baithey they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ka farma-bardaar hazir hai" Aapne phir farmaya "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aapka farma-bardaar hazir hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmya "Jo shaks gawahi de k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske bandey aur uske Rasool hai Allah ta'ala usko jahannam par haraam kar dega" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya mein loogo ko us se aagah na karu takey wo khush ho jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir to loog sirf isi par takeeya kar lenge (aamaal ki fikr nahi karenge) chunanchey Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne gunah se bachne k liye marte waqt ye hadees bayan ki". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mara k sacchey dil se gawahi deta tha k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k Rasool hai wo jannat mein dakhil hoga". (Silsila Ahadees E Saheeya juzz e Khasaami Safa no. 348)

Wazahat: Tauheed ki fazilat k baare mein mazkoora bala tamaam Ahadees mein muahid k jannat mein jaane ki zamanat ka matlab ye hargiz nahi k muahid jese amal chahey karta rahey, wo gunaho ki saza paye bagair sidha jannat mein chala jayega, balkey un tamaam Ahadees ka mafhoom ye hai k muahid apne gunaho ki saza bhugatne k baad ya Allah ta'ala ki taraf se gunah maaf kiye jaane k baad jannat mein zaroor jayega, aur jis tarah mushrik ka daaimi thikana jahannam hai usi tarah muahid ka daaimi thikana jannat hoga.