Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 25 October 2014

HAQQ MEHAR K MASA'IL

HAQQ MEHAR K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem 

BEEWI KO HAQQ MEHAR ADA KARNA FARZ HAI 

"Phir jawaaz dawaji zindagi ka lutf tum unse uthao uske badley mein unke mehar bataur farz k ada karo". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 24) 


AURAT APNI KHUSHI SE SAARA MEHAR YA MEHAR KA KUCH HISSA MAAF KARNA CHAAHEY TO KAR SAKTI HAI 

"Aur aurato k mehar khush dili k saath (farz jaante hue) ada karo, albatta agar wo apni khushi se mehar ka koi hissa tumhe maaf karde to tum use maze se kha sakte ho". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 4) 


FARIQEEN KI BAAHAMI RAZAMANDI SE AURAT KA HAQQ MEHAR NIKAH K WAQT ADA KARNA YA MU'AKKHAR KARNA DONO JAYEZ HAI
NIKAH SE PEHLE FARIQEEN MEHAR TEY NA KAR SAKE TO NIKAH K BAAD BHI TEY KIYA JA SAKTA HAI
NIKAH K BAAD, AGAR SOHBAT KARNE SE PEHLE JABKE MEHAR BHI ABHI ADA NA HUA HO, KOI SHAKS APNI BEEWI KO TALAAQ DE TO USPAR MEHAR ADA KARNA WAJIB NAHI ALBATTA APNI ISTATA'AT K MUTABIQ AURAT KO KUCH NA KUCH HADYA DENA CHAHIYE
NIKAH K BAAD, AGAR SOHBAT KARNE SE PEHLE JABKE MEHAR TEY HO CHUKA HO, KOI SHAKS APNI BEEWI KO TALAAQ DE DE TO US PAR NISF MEHAR ADA KARNA WAJIB HAI 

"Tum par koi gunah nahi agar tum apni aurato ko haath lagane se pehle ya mehar muqarrar karne se pehle talaaq de do, is surat mein unhe kuch na kuch dena zaroor chahiye khush haal aadmi apni istata'at k mutabiq aur gareeb aadmi apni istata'at k mutabiq maroof tareeqey se de, ye haqq hai naik aadmiyo par aur agar tumne haath lagaane se pehle talaaq di ho lekin haqq mehar muqarrar kiya ja chuka ho to is soorat mein nisf haqq mehar dena hoga ye aur baat hai k aurat darguzar se kaam le (aur mehar na le) ya wo mard jiske ikhtayaar mein aqad nikah hai darguzar se kaam le (aur poora mehar de) aur tum (yaani mard) darguzar se kaam le to ye taqwa se zayada munasibat rakhta hai, aapas k muamalaat mein fayaazi ko na bhoolu, Allah tumhare aamaal dekh raha hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 236-237) 


HAQQ MEHAR K MIQDAAD MUQARRAR NAHI

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nikah kar khuwah loohey ki angoothi hi de kar". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah) 

Hazrat Abu Salma bin Abdur Rahmaan Rahimahullah se riwayat hai k unhone Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se pucha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ki Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha) ka haqq mehar kya tha, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya k baara (12) auqiya aur ek nash phir Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne pucha "Jaante ho nash kitna hota hai" Abu Salma Rahimahullah ne kaha "Nahi" Hazat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Nisf auqiya aur ye sara (yaani saade baara (12+1/2) auqiya) paanch soo (500) dirham banta hai ye Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha ka haqq mehar tha". (Sahih Muslim Kitabun Nikah) 

Wazahat: Saade baara (12+1/2) auqiya chaandi ya paanch soo (500) dirham mojoodah hisaab se saade das hazaar (10500) rupey banta hai. 

Hazrat Ummey Habeebah Razi Allahu Anha Ubaidullah bin Jahash Razi Allahu Anhu k nikah mein thi Ubaidullah (hijrat madeena k baad) Habsha mein faut ho gaye najaashi ne Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha ka Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se nikah kar diya aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf se chaar hazaar (4000) mehar muqarrar kiya gaya aur Ummey Habeeba Razi Allahu Anha ko Shar Habeel bin Hasnah Razi Allahu Anhu k saath Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein rawaana kar diya. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1853) 


KAM MEHAR MUQARRAR KARNA AFZAL HAI
NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI BEEWIYO AUR BAITIYO KA MEHAR BAARA AUQIYA (TAQREEBAN DAS HAZAAR RUPEY) THA 
 
Hazrat Abu Ajfa Salmi Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne hamey khutba diya aur farmaya "Loogo! suno aurato ka mehar zayada muqarrar na karo aur agar zayada mehar muqarrar karna dunya mein izzat ka baa'as hota aur Allah k han taqwey ka moojab hota to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa karne k sabse zayada haqdaar they Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni beewiyo ka mehar baara auqiya se zayada muqarrar nahi kiya aur na hi apni baitiyo ka mehar baara auqiya se zayada muqarrar farmaya". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1853) 

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(haqq mehar k aetabaar se) behtareen nikah wo hai jo aasaan ho". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1859) 


MEHAR K LIYE KOI CHEEZ BHI MUQARRAR KI JAA SAKTI HAI HATTA K MARD KA ISLAM QUBOOL KARNA AURAT KO KITAB WA SUNNAT KI TAALEEM DENA YA USE AZAAD KARNA BHI MEHAR MUQARRAR KIYA JA SAKTA HAI 

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Abu Talha Razi Allahu Anhu aur Hazrat Ummey Saleem Razi Allahu Anha ka nikah hua to unka mehar “islam” tha Hazrat Ummey Saleem Razi Allahu Anha Hazrat Talha Razi Allahu Anhu se pehle islam laayi Abu Talha Razi Allahu Anhu ne paighaam e nikah bheja to Ummey Saleem Razi Allahu Anha ne kaha mein islam laa chuki hu agar tum bhi islam le aao to mein tumse nikah kar lungi chunanchey Abu Talha Razi Allahu Anhu islam le aaye aur islam hi un dono k darmiyaan haqq mehar tha. (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3132) 


AGAR SHOHAR NIKAH K BAAD AUR HAMBISTARI SE PEHLE FAUT HO JAYE TO AURAT POORE HAQQ MEHAR KI MUSTAHIQ HOGI AUR WIRASAT SE BHI USE POORA HISSA MILEGA
HAQQ MEHAR NIKAH K WAQT ADA KARNA ZAROORI NAHI
NIKAH K WAQT FARIQEEN HAQQ MEHAR TEY NA KAR SAKE TO NIKAH K BAAD BHI TEY KIYA JA SAKTA HAI 

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne kisi aurat se nikah kiya aur mar gaya, aurat se hambistari ki na haqq mehar tey kiya, Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne uske baare mein ye faisla kiya k aurat k liye poora haqq mehar hai is par iddat (guzaarna bhi wajib) hai aur wirasat mein bhi uska hissa hai, Hazrat Maaqil bin Sunaan Razi Allahu Anhu ne kaha mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Biroo bintey Washiq k baare mein yahi faisla farmate hue suna hai. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1857) 

BATTEES (32) RUPEY MEHAR MUQARRAR KARNA SUNNAT SE SAABIT NAHI.

No comments:

Post a Comment