Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 28 October 2014

MANGAITAR KO DEKHNE K MASA'IL

MANGAITAR KO DEKHNE K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH SE QABL MANGAITAR KO DEKHNA JAYEZ HAI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi shaks aurat se nikah ka iradah kare to use chahiye k agar mumkin ho to aurat ko ek nazar dekh le". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1832)


GHAR KI ROOZ-MARRA ZINDAGI MEIN AAP SE AAP ZAHIR HONE WALE AAZAA YANI HAATH AUR CHEHREY K ALAWAH MANGAITAR K BAAQI KISI HISSEY KO DEKHNA YA DIKHANA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k ek aadmi meri mojoodgi mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya k usne ansaar ki ek aurat se nikah kiya hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tooney use dekha hai?" usne arz kiya "Nahi!" to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ja aur use dekh ansaar ki aurato mein kuch (nuks) hota hai". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)


GAIR MAHRAM AURAT (MANGAITAR) SE TANHAAYI MEIN MULAQAAT KARNA, GUFTAGU KARNA YA PAAS BAITHNA MANA HAI

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurato k saath tanhaayi mein mulaqaat karne se baaz raho" ek ansaar ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Daiwar (ya jaith) k baare mein kya hukm hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "wo maut hai". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Wazahat: Arbi zubaan mein "Hamu" ka lafz shohar k tamaam qareebi aazaa k liye boola jata hai, jese k shohar k haqeeqi bhai, chachazaad bhai, maamuzaad bhai wagairah.

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi mard kisi aurat k saath jama nahi hota magar unke saath teesra shaitan hota hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 937)


GAIR MAHRAM AURAT (MANGAITAR) SE HAATH MILAANA MANA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka haath mubarak kabhi kisi aurat se nahi laga albatta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam zubaan se aurato se baat karte jab auratey zubaan se (qubool e islaam ka) qaul wa iqraar kar leti to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate "Jao mene tumse baiyat le li". (Sahih Muslim Kitabul Imaarah)


JAB AURAT BANAO SHINGAAR KARKE BE-PARDAH MARDO K SAAMNE AATI HAI TO SHAITAN K LIYE FITNA KARNA AASAAN HO JATA HAI

Hazrat Abdullah (bin Mas'ood Razi Allahu Anhu) se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurat (poori ki poori) satar hai jab wo nikalti hai to shaitan use accha (haseen wa jameel) karke dikhaata hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 936)

No comments:

Post a Comment