Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 7 October 2014

NIKAH KI FAZILAT

NIKAH KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH INSAAN MEIN SHARM WA HAYA PAIDA KARTA HAI
NIKAH AADMI KO BADKAARI SE BACHATA HAI

Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne hum se farmaya "Ae jawan loog! tum mein se jo istata'at rakkhey wo nikah kare is liye k nikah aankho mein sharam paida kar deta hai aur sharam-gaah ko (zina se) bachata hai aur jo shaks kharch ki taakat na rakkhey wo roozey rakkhey kyunki rooza uski khawahishaat e nafs khatam kar dega". (Sahih Muslim Kitabul Nikah)


NIKAH JINSI AALOODGI AUR SHAITAANI KHAYALAAT WA AF'AAL SE MEHFOOZ RAKHTA HAI

Hazat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alailhi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k jab kisi aadmi ko koi aurat khoobsurat lage aur uske dil mein uski muhabbat aye to use apni beewi k paas jaana chahiye aur us'se sohbat karni chahiye aesa karne se aadmi k dil se us aurat ka khayaal jata rahega. (Sahih Muslim Kitabun Nikah)


Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Jab aurat (be pardah) saamne aati hai to shaitaan ki soorat mein aati hai, lihaza jab tum mein se koi aurat ko dekhe aur wo use acchi lage to use chahiye k apni beewi k paas aye kyunki uski beewi k paas bhi wahi cheez hai jo us aurat k paas hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 925)


NIKAH BAAHAMI MUHABBAT KA MAUSAR TAREEN ZARIYA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Humne muhabbat karne walo k liye nikah se zayada koi cheez mausar nahi dekhi". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1498)


NIKAH INSAAN K LIYE IBADAT, RAAHAT WA SUKOON HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "(Mere dil mein) aurato aur khushbu ki muhabbat daali gayi hai aur meri aankh ki thandak namaz hai". (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3681)


NIKAH SE DEEN MUKAMMAL HO JATA HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi shaks nikah kar leta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai lihaza use chahiye k baaqi aadhey deen k muamaley mein Allah se darta rahey". (Behaqui, Mishkatul Masabeeh Kitabun Nikah)


JO SHAKS GUNAH SE BACHNE K LIYE NIKAH KA IRADAH KARE, ALLAH TA'ALA USKI ZAROOR MADAD FARMATA HAI

Hazat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Teen aadmiyo ki madad karna Allah ta'ala k zimmey hai:
1. Wo gulam jo aazaadi hasil karne k liye apne malik se mua'hida karna chahey
2. Buraayi se bachne ki niyat se nikah karne wala
3. Allah ki raah mein jihad karne wala". (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3017)


NIKAH NASAL INSAANI KI BAQA KA ZARIYA HAI
QAYAMAT K ROOZ RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KI KASRAT PAR FAKHR FARMAYENGE

Hazat Maaqil bin Yasaar Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alailhi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya "Ek khoobsurat aur acche hasb o nisaab wali aurat hai lekin uske han aulaad nahi hoti kya us'se nikah karu" Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Na karo" phir wo doosri martaba hazir hua Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne phir use mana farma diya phir wo teesri martaba (ijazat lene) hazir hua to Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne irshad farmaya "Muhabbat karne wali aur zayada bacche paida karne wali aurat se nikah karo kyunki mein apni ummat ko tum loogo (yaani musalmaano) ki wajah se badhaana chahta hu". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1705)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Muhabbat karne wali aur zayda bacche jan'ne (paida) wali aurat se nikah karo kyunki mein qayamat k rooz doosre anbiya Alaihis Salaam k muqabiley mein tumhari wajah se apni ummat ki kasrat chahta hu". (Tabraani, Aadaab Zifaf Safa no. 89)

No comments:

Post a Comment