Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 18 October 2014

NIKAH K AHKAAM

NIKAH K AHKAAM

Bismillahirrahmanirraheem

MARD WA AURAT KA AEJAAB WA QUBOOL NIKAH KA RUKUN HAI ISKE BAGAIR NIKAH NAHI HOTA

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya ki mein apni jaan aapko hiba karti hu (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uski paishkash qubool nahi ki aur khamoosh rahe) wo aurat dair tak (jawab k intazaar mein) khadi rahi (itne mein) ek aadmi khada hua aur kehne laga iska nikah mujhse kara dijiye (yaani mujhe qubool hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha "Tere paas kuch hai" usne arz kiya "Mere paas to kuch nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi cheez talaash kar k lao, khawah loohey ki ek angoothi hi ho" wo aadmi gaya aur use koi cheez na mili, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha "Kya tujhe quran aata hai" usne arz kiya "Han, ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! fala fala surah aati hai" us aadmi ne un soorato k naam liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene quran majeed ki surato k badle mein us aurat ka nikah tere saath kar diya". (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3149)

Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne Ummey hakeem binte Qaariz se pucha "Kya tu mujhe apne nikah k baare mein ikhtayaar deti hai" Ummey Hakeem ne kaha "Han" Hazrat Abdur Rahman ne kaha "Mene tujhe qubool kiya (aur nikah ho gaya)". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Hazrat Ata Razi Allahu Anhu kehte hai mard ko gawaho k saamne yu kehna chahiye "Mene tujh se nikah kiya (yaani tujhe qubool kiya)". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)


DEEN-DAARI MEIN KAFU KA LIHAAZ RAKHNA WAJIB WA FARZ HAI
HASB WA NASB SHAKAL WA SOORAT AUR MAAL WA DOLAT MEIN KAFU KA LIHAAZ RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurat se chaar cheezo k paish e nazar nikah kiya jata hai uske maal wa dolat ki wajah se ya uske hasb wa nasb ki wajah se ya uski khoobsurati ki wajah se ya uski deendaari ki wajah se (ae insaan!) tere haath khaak aalood ho, deendaar aurat se nikah karne mein kaamyaabi hai". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)


NIKAH K LIYE KAM AZ KAM DO PARHAIZGAAR AUR AADIL GAWAHO KI SHAHADAT WA GAWAHI ZAROORI HAI

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya wali, haqq mehar aur do aadil gawaho k bagair nikah nahi hota. (Behaqui, Gulail Safa no. 269)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai "Gawaho k bagair nikah nahi hota". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 881)


NIKAH K BAAD KISI JAYEZ TAREEQEY SE NIKAH KA AELAAN KARNA CHAHIYE

Hazrat Muhammad bin Hatib Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Halaal aur haraam nikah k darmiyaan fark karne wali cheez daff bajana aur uska aelaan karna hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1865)


SHAB AROOSI BEEWI KO HADIYA DENA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne Hazrat Fatima Razi Allahu Anha se nikah kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe kaha "Ali! Fatima ko koi cheez (hadya) do" Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Mere paas koi cheez nahi", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "wo tumhari hatmi ziraah kaha hai? (yaani wo hi de do)". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1865)


NIKAH SE QABL KI GAYI JAYEZ SHARA'IT PAR NIKAH K BAAD AMAL KARNA WAJIB HAI

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jin shara'it par tumne sharmgaaho ko halaal banaya hai unhe poora karna degar shara'it ki nisbat zayada zaroori hai". (Muttafiqun Alaih, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 1857)


GAIR SHARA’I AUR NAJAYEZ SHARA'IT TEY KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kisi aurat k liye jayez nahi k wo (apne nikah k liye) apni behan ki talaaq ka mutaalba kare aur uska bartan khaali karde uski qismat mein jo kuch hai wo use mil jayega". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 1852)


HAD ISTATA'AT SE BAAHAR POORI NA KARNE KI NIYAT SE SHARA'IT TASLEEM KARNA YA KARWAANA HARAAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne dhooka diya wo hum mein se nahi". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1060)

No comments:

Post a Comment