Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 24 January 2016

AHKAAM E JANA'IZ

AHKAAM E JANA'IZ

Bismillahirrahmanirraheem

BEEMAAR PURSI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Musalman k musalman par 5 huqooq hai:

1. (Jab miley to usey salaam kahe ya uske) Salaam ka jawab de
2. Jab beemaar ho to uski iyadat kare
3. Jab mar jaye to uska janazah padhey
4. Jab dawat de to usey qabool kare
5. Agar wo cheenk par (ALHAMDULILLAH) kahe to jawab mein (YAR HAMU KALLAH) kahe". (Sahih Bukhari Kitabul Jaza'iz Hadees no. 1240, Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2162)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo musalman doosre musalman ki din k awwal hissey mein (dopahar se pehle) iyadat karta hai to 70 hazaar farishte uske liye shaam tak rahmat wa maghfirat ki dua karte hai aur jo musalman din k aakhiri hissey mein (dopahar k baad) iyadat karta hai to 70 hazaar farishte uske liye subah tak rahmat aur maghfirat ki dua karte hai neez uske liye bahisht mein baagh hai". (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 969, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3099, Ise Ibne Hibban 710, Imam Hakim 1:341, 342 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai "Musalman jab apne musalman bhai ki timaardaari k liye jata hai to wo wapas lootney tak jannat k maivey chunta hai". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah Hadees no. 2568)

BEEMARI SE GUNAH DOOR HOTE HAI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala jis shaks k saath bhalaayi ka iraadah karta hai usey takleef mein mubtala kar deta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Marz Hadees no. 5645)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Musalman ko ranj, dukh, fikr aur gham pahunchta hai yaha tak k agar usey kaanta (bhi) lagta hai to wo takleef uske gunaho ka kaffarah ban jaati hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 564, Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah Hadees no. 2572)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi musalman ko koi takleef pahunchti hai to Allah ta'ala uski wajah se uske gunaaho ko is tarah mita deta hai jis tarah darakht k pattey jhadte hai". (Sahih Bukhari Kitabul Marz Hadees no. 5647, Sahih Muslim Hadees no. 2571)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Bukhar (ho jaye to us) ko bura na kaho kyunki bukhar aadmi k gunah is tarah door karta hai jis tarah bhatti loohey k mail ko door karti hai". (Sahih Muslim Hadees no. 2575)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad hai "Allah ta'ala musafir aur mareez ko un aamaal k barabar ajr deta hai jo wo ghar mein aur tandrusti ki halat mein kiya karta tha". (Sahih Bukhari Kitabul Jihad was Siyar Hadees no. 2996)

BEEMARI MEIN SABAR KI FAZILAT

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k Allah ta'ala farmata hai "Jab mein kisi bandey ko uski do mehboob cheezo (aankho) mein aazmata hu (usey beenaayi se mehroom karta hu) phir agar wo sabr kare to uske badley mein usey jannat dunga". (Sahih Bukhari Kitabul Marz Hadees no. 5653)

Ata riwayat karte hai k mujhe Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne kaha mein tujhe jannati aurat dikhlau? mene kaha dikhlao to Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ye kaali aurat aayi aur arz kiya k mujhe mirgi ka doorah padta hai aur mera satar khul jata hai, aap mere liye Allah se dua kare, Aapne farmaya "Agar tu sabar karegi to tere liye jannat hai aur agar chaahey to dua kiye deta hu" wo kehne lagi "mein sabar karungi" phir kaha "mera satar khul jata hai Allah ta'ala se dua kare k wo na khuley (takey mein be-pardah na ho jau) chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske liye dua farmaayi". (Sahih Bukhari Kitabul Marz Hadees no. 5652, Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah Hadees no. 2576)

No comments:

Post a Comment