Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 14 January 2016

DO NAMAZO KO JAMA KARNA

DO NAMAZO KA JAMA KARNA

Bismillahirrahmanirraheem

1. HAJJ K DORAAN MAIDAAN E ARFAAT MEIN

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Arfa k din zuhar aur asar ki namaz ko jama karna Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai". (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1662)


2. MAZDALFA MEIN

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hajja tul wida k moqey par mazdalfa mein maghrib aur isha ko jama kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1674, Sahih Muslim Hadees no. 1287)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hajja tul wida k mouqey par mazdalfa mein ek azaan aur do iqamato se namaz e maghrib aur isha jama ki aur darmiyaan mein sunnatey nahi padhi. (Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1218)


3. BARISH YA KHAUF K ILAWAH KISI ZAROORAT K TAHAT

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne madeena mein zuhar aur asar ko jama karke padha, halankey waha (dushman ka) khauf tha aur na hi barish, Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se pucha gaya k aapne aesa kyu kiya to unhone ye jawab diya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni ummat ko dushwaari mein nahi rakhna chahte they. (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 543, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 705)

Hazrat Adbullah bin Shafeeq se riwayat hai k ek martaba Hazrat ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne basrah mein asar k baad hamey khutba dena shuru kiya yaha tak k sooraj ghuroob ho gaya aur sitaarey chamakne lage, kisi ne kaha k namaz (maghrib) ka waqt ho chuka hai, aapne farmaya mujhe sunnat na sikhao, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko zuhar wa asar aur maghrib wa isha mila kar padhte hue dekha hai, Abdullah bin Shafeeq kehte hai k mujhe shubah paida hua mene Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se daryaft kiya to unhoney uski tasdeeq ki. (Sahih Muslim Hadees no. 705)

Beemari ki shiddat mein agar mareez ko namazo ki waqt par ada'igi mein takleef hoti ho ya jaan, maal ya izzat ka khauf ho to namazey jama ki ja sakti hai.

Iska ek tareeqa Abu Sha'asa Jabir Rahimahullah bayan karte hai k mein samajhata hu k aapne zuhar ko uske aakhiri waqt mein padha aur asar ko uske awwal waqt mein padh kar dono namazo ko jama kiya, isi tarah maghrib ko aakhiri waqt mein aur isha ko awwal waqt mein padh kar dono namazo ko jama kiya. (Sahih Bukhari Hadees no. 1174)

Yaani k na-gazeer qism k haalaat mein halat e iqamat mein bhi do namazey jama karke padhi ja sakti hai, ta-hum shadeed zaroorat k baghair aesa karna jayez nahi, jese karobaari loogo ka aam mamool hai k wo susti ya karobaari masroofiyat ki wajah se do namazo ko jama kar lete hai, ye sahih nahi, balke sakht gunah hai, har namaz ko uske waqt par hi padhna zaroori hai, siwa e na-gazeed halaat k.

No comments:

Post a Comment