Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 14 January 2016

NAMAZ E SAFAR

NAMAZ E SAFAR

Bismillahirrahmanirraheem

Safar mein zuhar, asar aur isha ki chaar chaar farz rakaato ko do do padhna qasar (kam karna) kehlata hai, fajar aur maghrib mein qasar nahi hai, jo shaks safar k iraadey se apne ghar se chaley aur gaon ya shehar ki aabaadi se nikal jaye to wo az-rooye shariyat musafir hai, aur apni farz namaz mein qasar kar sakta hai.


SAFAR KI MUSAFAT

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab teen meel ya teen farsang ki musafat par nikley to namaz do rakaatey padhte. (Sahih Muslim Hadees no. 491)

Is hadees mein raavi e hadees ne poori imaandari se kaam lete hue teen meel ya teen farsang kaha hai, yaani raavi ko shak hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam teen meel ki musafat par qasar karte they ya teen farsang (9 meel) par, pas musafir ko chahiye k apne shehar ki hadoon se nikalne k baad agar manzil e maqsood 9 meel ya us se ziyaada musafat par waqey ho to musafir qasar kar sakta hai.

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne madeena mein zuhar ki namaz chaar rakatey padhi aur zul haleefa mein asar ki namaz do rakatey padhi. (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1547, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 690)

Zul Haleefa ek muqaam ka naam hai jo madeena munawwarah se 6 meel k fasiley par hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam makka k liye rawaana hue to zul haleefa pahunch kar namaz e asar ka waqt ho gaya, pas aapne waha asar mein qasar karli.


MUSAFIR BAGHAIR KHAUF K QASAR KAREY

Yaala bin Umaiyya se riwayat hai k mene Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se pucha k Allah ta'ala to farmata hai:

"WA IZA ZARABTUM FIL ARZI FALAISA ALAIKUM JUNAHUN AN TAQSURU MINAS SALAATI IN KHIFTUM AYYAF TINAKUMUL LAZEENA KAFARO" (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 101)

"Aur jab tum safar mein ho aur agar tumhey kuffar se khauf ho to namaz qasar karlo tum par koi gunah nahi"

Aaj hum aman mein hai namaz qasar kyu karey?

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "K mujhe bhi yahi tajjub hua jese tumhey tajjub hua to mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha to aapne farmaya k (aman ki halat mein qasar ki ijazat dena) Allah ka ehsan hai isey qabool karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 486)

Hazrat Haarsa bin Wahab Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey mina mein qasar namaz padhaayi halankey hum tadaad mein ziyaadah aur haalat e aman mein they. (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1656, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 696)


QASAR KI HADD

Agar koi musafir kisi ilaaqey mein mutaraddud thehrey k aaj jao ya kal, to namaz e qasar karta rahey, khawah kayi maheeney lag jaye, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu Abdul Malak bin Marwaan k hamraah do maah (ba-hesiyat e mutaraddud musafir) shaam mein rahey aur namaz do rakaatey padhte rahey. (Behaqui 3:152)

Abu Jumrah Nasar bin Imraan se riwayat hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se sawal kiya k hum gazwa ki garz se kharasaan mein taweel qayaam karte hai, kya hum poori namaz padhey? Aapne farmaya "Do rakaatey hi padha karo khawah tumhey (kayi jagah mutaraddud musafir ki hesiyat se) 10 saal qayaam karna padey". (Musannaf ibne Ibi Shaiba)

Aur agar 19 din tak theharney ka iraadah ho to namaz mein qasar kare, aur agar 19 rooz se zayid theharney ka iraadah ho to phir namaz poori padhni chahiye.

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek safar kiya, phir aap 19 din thehrey aur do do rakaatey namaz padhte rahe, Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar hum kisi manzil mein 19 din theharte hai to do do rakaatey padhte hai aur jab is (19 din) se ziyaadah theharte hai to chaar rakaat padhte hai". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1080)


SAFAR MEIN AZAAN AUR JAMAAT

Hazrat Malik bin Huwairis Razi Allahu Anhu kehte hai k do aadmi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue jo safar par ja rahe they to aapne farmaya k "Jab tum safar par jao aur namaz ka waqt ho jaye to azaan aur iqamat kaho phir tum mein jo bada ho wo imamat karaaye". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 630)


SAFAR MEIN DO NAMAZEY JAMA KARNA

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam doraan e safar zuhar aur asar ko ikattha padhte aur maghrib aur isha ko jama karte they. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1107)

Jama ki do suratey hai:

1. Jama Taqdeem: Zuhar k saath asar aur maghrib k sath isha ki namaz padhna.
2. Jama Takheer: Yaani asar k saath zuhar aur isha k saath maghrib ki namaz padhna.

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa e tabook k moqey par agar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sooraj dhalne k baad safar shuru karte to zuhar aur asar ko us waqt jama fama lete aur agar sooraj dhalne se pehle safar shuru karte to zuhar ko mu'akkhar karke asar k saath ada farmate, isi tarah sooraj ghuroob hone k baad safar shuru karte to maghrib aur isha usi waqt padh lete aur agar sooraj ghuroob hone se pehle safar shuru karte to maghrib ko mu'akkhar karke isha k saath padhte. (Abu Dawood Kitabus Salaatus Safar Hadees no. 1220, Tirmizi Kitabuj Juma Hades no. 553, ise Imam Ibne Hibban 4:413, 414 ne sahih kaha)

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha jab aapko safar mein jaldi hoti to maghrib ki namaz mein takheer karte yaha tak k isha ka waqt dakhil ho jata phir aap maghrib aur isha ko ikattha padhte. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1091, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 703)


SAFAR MEIN SUNNATO KA BAYAN

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hamraah safar mein raha, magar aapne do rakaato se ziyaadah namaz na padhi yaha tak k Allah ta'ala ne aapki rooh qabz karli aur mein Abu Bakr, Umar Farooq aur Usman Ghani Razi Allahu Anhum k hamraah, safar mein raha, un sabne safar mein do rakaato se ziyaadah namaz nahi padhi, aur Allah ne irshad farmaya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba hi tumhare liye behtar hai". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1101, 1102, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 689)

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu do rakaatey (yani namaz e qasar) padh kar apne bistar par chale jaate they, Hafs kehte hai mene kaha chacha jaan! agar iske baad aap do rakaatey (sunnat) padh liya kare to kya harj hai? farmaya "Agar mujhe ye karna hota to (farz) namaz hi poori padh leta". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 694)

No comments:

Post a Comment