Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 17 January 2016

NAMAZ E KASOOF : (SOORAJ AUR CHAND GARHAN KI NAMAZ)

NAMAZ E KASOOF: (SOORAJ AUR CHAND GARHAN KI NAMAZ)

Bismillahirramanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Chand aur sooraj garhan aasaar e qudrat hai, kisi k marne, jeeney (ya kisi aur wajah) se namudaar nahi hote, balke Allah (apne) bando ko ibrat dilaane k liye zahir farmata hai, agar tum aese aasaar dekho to jaldi dua e astaghfaar aur yaad e ilahi ki taraf rujoo karo". (Sahih Bukhari Kitabul Kasoof Hadees no. 1059, Sahih Muslim Kitabul Kasoof Hadees no. 912)

Ahle jahiliyat ka aqeedah tha k sooraj ya chaand usi waqt garhan hote hai jab koi aham shaksiyat paida ho ya wafaat paye ya dunya mein koi aham waqiya runuma ho, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne isi baatil aqeedey ki nafi farmayi, yani sooraj aur chand k garhan hone ka talluq kayenaat ke waqiaat se nahi balke barahe-raast Allah ta'ala ki masheeyat aur qudrat se hai aur wo Allah jo tumhare saamne unhey be-noor kar sakta hai wo qayamat k qareeb bhi unhey be-noor karke lapait dene par qadir hai, lihaza us se darte raho. (Wallahu Aalam)

Hazrat Adbullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab sooraj garhan hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shaks ko ye aelaan karne ka hukm farmaya "ASSALATU JAAMIAH" "Namaz jama karne wali hai (tumhey bula rahi hai)". (Sahih Bukhari Kitabul Kasoof Hadees no. 1045, Sahih Muslim Hadees no. 910)


SOORAJ GARHAN KI NAMAZ KA TAREEQA

Hazrat Adbullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein sooraj garhan hua, aapne ba-jamaat do rakaat namaz padhi, Aapne Surah Baqarah tilawat karne ki miqdaar k qareeb lamba qayaam kiya phir lamba ruku kiya, phir sar utha kar lamba qayaam kiya (ruku k baad qauma karne ki bajaaye dobarah qiraat shuru kar dena ek hi rakaat ka tasalsul hai lihaza is mouqey par naye sirey se fatiha nahi padhi jayegi, Wallahu Aalam) phir pehle ruku se kam lamba ruku kiya, phir (qauma karke) do sajdey kiye, phir khade ho kar lamba qayaam kiya, phir do ruku kiye phir do sajdey karke aur tashahud padh kar salaam phaira, phir khutba diya jis mein Allah ki tareef aur sana bayan ki aur farmaya "Sooraj aur chand ki nishaniyo mein se do nishaniya hai, kisi k marne ya paida hone se us ko garhan nahi lagta, jab tum garhan dekho to Allah ka zikr karo (doraan e namaz) mene jannat dekhi, agar mein us mein se ek angoor ka goosha le leta to tum rehti dunya tak us mein se khaate rehte aur mene dozakh (bhi) dekhi, us se badh kar hoolnak manzar mene (kabhi) nahi dekha (aur) mene jahannam mein ziyaadah tadaad aurato ki dekhi arz kiya gaya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya wajah hai (auratey ziyaadah jahannam mein kyu hai) aapne farmaya "Wo kufr karti hai arz kiya gaya allah ka kufr karti hai? aapne farmaya "wo Khawind ki na-shukri karti hai, agar tu ek muddat tak uske saath acchayi karta rahe phir unki marzi k khilaf koi kaam kare to kehti hai k mene tujhse kabhi bhalaayi nahi dekhi". (Sahih Bukhari Kitabul Kasoof Hadees no. 1052, Sahih Muslim Kitabul Kasoof Hadees no. 907)

Is se maloom hua k kisi mohsin ki ehsaan faramooshi gunah e kabeerah hai, jab isi bandey ki ehsaan faramooshi kabeerah gunah hai to jo khaliq ki ehsan faramooshi karta hai uska gunah kis qadar khatarnaak hoga? Allah hum sabko hidayat de Aameen.

Sooraj aur chand k garhan jaane par Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghabra uthtey aur namaz padhte, Hazrat Asma Razi Allahu Anha bayan karti hai k aapke zamane mein (ek dafa) sooraj garhan hua to aap ghabra gaye aur ghabrahat mein ahle khaana mein se kisi ka kurta le liya, baad mein chadar mubarak aapko pahunchayi gayi, Hazrat Asma Razi Allahu Anha bhi masjid mein gayi aur aurato ki saff mein khadi ho gayi, aapne itna taweel qayaam kiya k unki niyat baithne ki ho gayi lekin unhone idhar udhar apne se kamzoor aurato ko khade dekha to wo bhi khadi rahi. (Sahih Muslim Hadees no. 906)

Aapka ghabraana Allah k darr ki wajha se tha, jab Aap Allah k piyaare Nabi ho kar ghabra uthte they to afsoos hai in ummatiyo par jo baar baar garhan k ba-wajood aese mouqey par Allah ki taraf ruju nhi karte.

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamane mein ek sakht garmi k din sooraj garhan hua, aapne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko saath le kar namaz padhi, aapne itna talweel qayam kiya k loog girne lagey. (Sahih Muslim Hadees no. 904)

Hazrat Asma Razi Allahu Anha kehti hai k Aapne itna lamba qayaam kiya k mujhe (aurato ki saff mein khade khade) ghash (chakkar) aa gaya, mene barabar mein apni mushak se paani le kar sar par daala. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 922, Sahih Muslim Hadees no. 905)

Qaariyeen e kiraam gaur farmaya aapne! k Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam kis qadar inhamaak aur ehtamaam se sooraj garhan ki namaz padhte they, lekin humne kabhi us namaz ki taraf tawajjah nahi ki, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pechey auratey bhi sooraj garhan ki namaz padhti thi, hamey bhi chahiye k hum masjid mein sooraj garhan ki namaz ba-jamaat ka ehtamaam kare aur hamari auratey bhi zaroor masajid mein ja kar namaz mein shamil ho.

No comments:

Post a Comment