Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 24 January 2016

IYADAT KI DUWAYE

IYADAT KI DUWAYE

Bismillahirrahmanirraheem

Jab mareez ki iyadat k liye jaye to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zuban e mubarak se nikli hui mardarja zail duwaye uske haqq mein kare:


PEHLI (1ST) DUA

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks apne musalman bhai ki timaardaari k liye jata hai aur uske sar ke paas baith kar 7 martaba ye kalmaat padhta hai to wo shifayaat ho jata hai illa ye k uski maut ka waqt hi aa chuka ho"

"AS ALULLAHAL AZEEMA RABBAL ARSHIL AZEEMI AY-YASH FIYAKA"

"Mein azeem wa bartar Allah, arsh e azeem k rabb se sawab karta hu k mujhe shifa se nawazey". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3102, ise Ibne Hibban, Imam Hakim 1:342, 4:416, aur Imam Nawawi ne sahih kaha)


DOOSRI (2ND) DUA

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek aarabi ki iyadat k liye tashreef le gaye aur us se ye kalmaat kahe:

"LA B'ASA ZUHOORUN IN SHA ALLAH"

"Dar nahi (gham na kar) agar Allah ne chaha to (yahi beemari tujhe gunaho se) paak karne wali hai". (Sahih Bukhari Kitabul Marz Hadees no. 5656)


TEESRI (3RD) DUA

Hazrat Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha farmati hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam mareez (k jism) par apna daaya hath pherte aur ye dua padhte they:

"AZHIBIL B'ASA RABBAN NAASI WASHFI ANTASH SHAAFI LA SHIFA'A ILLA SHIFA'UKA SHIFA'AN LA YUGHADIRU SAQAMA"

"Ae insan k rabb! beemari ko door kar aur shifa de, tu hi shifa dene wala hai, teri shifa k siwa koi shifa nahi aesi shifa (de) jo kisi beemari ko nahi choudti". (Sahih Bukhari Kitabut Tibb Hadees no. 5750, Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2191)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab kisi musalman ko takleef (museebat ya nuksan) pahunchey to ye dua kahe:

"INNA LILLAHI INNA ILAIHI RAJI'OON, ALLAHUMMA AJOONI FI MUSEEBATI WA AKHLIF LI KHAIRAN MINHA"

"Hum sab Allah k liye hai aur usi ki taraf laut kar jaane wale hai, Ae Allah mujhe meri museebat mein ajr aur namul badal (dono) ata farma, to Allah ta'ala uske badle mein us se acchi cheez inayat farma deta hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 918)


CHOUTHI (4TH) DUA - MAUZAAT KA DAMM

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam beemar hote to apne aap par mauzaat se (quran ki aakhiri do suratey) damm karte aur apne jism par apna haath pherte, jab aap bahut beemar hue to mein mauzaat padh kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par beemari ki halat mein phoonkti aur aap hi ka haath aap par phair deti kyunki aapke haath mubarak mein mere haath se ziyaadah barkat thi. (Sahih Bukhari Kitabul Fazail E Quran Hadees no. 5016, Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2192)


PAANCHVI (5TH) DUA

Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhoney Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se jism k dard ki shikayat ki, aapne farmaya: Apna haath dard ki jagah par rakkho phir BISMILLAH kaho aur 7 dafa ye kalmaat padho:

"A'OUZU BILLHI WA QUDRATIHI MIN SHARRI MA AJIDU WA UHAZIRU"

"Mein Allah aur uski qudrat k saath panah maangta hu us cheez ki buraayi se jo mein paata (mehsoos karta) ho aur us se darta hu"

(Hazrat Usman Razi Allahu Anhu farmate hai) mene isi tarah kiya to Allah ta'ala ne meri takleef door kardi. (Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2202)


CHATHI (6TH) DUA

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hasan aur Hussain Razi Allahu Anhuma ko in alfaaz k saath damm kiya karte they:

"A'OUZU BI KALIMAA TILLAHIT TAAMMATI MIN KULLI SHAITAANIU WA HAAMMATIN WA MIN KULLI AYNIL LAAMMATIN"

"Mein tum dono ko Allah k poorey kalmaat k saath (uski) panah mein deta hu har shaitan aur zehriley jaanwar aur har nazar e badd ki buraayi se"

phir farmaya "Tumhare baap Hazrat Ibraheem Alihis Salaam (bhi) in kalmaat k saath Ismaeel aur Is’haaq Alaihis Salaam k liye (Allah ki) panah talab kiya karte they (unhey damm karte they)". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Ambiya Hadees no. 3371)


SAATVI (7TH) DUA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ne kaha ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap beemar hai? aapne farmaya "han" to Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ne (ye) padh kar (aap par damm kiya):

"BISMILLAHI ARQEEKA MIN KULLI SHAI'IN YUZEEKA MIN SHARRI KULLI NAFSIN AU AYNIN HAASIDIN, ALLAHU YASHFEEKA BISMILLAHI ARQEEKA"

"Allah ta'ala ka naam le kar mein aap par damm karta hu har us cheez se jo aapko takleef de,har nafs aur har hasad karne wali aankh k sharr se, Allah ta'ala aapko shifa de, mein allah ka naam le kar aap par damm karta hu". (Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2186)


In Ahadees se maloom hua k:

1. Apne aap par khud damm karna
2. Jo damm karwaane aaye usey damm sikhana takey wo khud hi apne aap par damm kare
3. Mareez k mutalabey k baghair usey damm karna
4. Ya mareez ka kisi se damm karwana sab jayez hai
Lekin afsoos k musalman sirf aakhir jayez (damm karwaney) par hi amal karte hai apne aapko damm karne ki sunnat taqreeban mafqood ho chuki hai kyunki is mein ek aadh dua yaad karni padti hai, yaad rakhiye, barahe raast Allah ta'ala se maangana intihaayi sa'aadat ki baat hai, ye ayen ibadat hai aur mareez ki dua to wese bhi bahut qabool hoti hai lihaza usey chahiye k na sirf khud damm kare balkey astaghfaar ko mamool banaaye is se takleef se jald nijaat milegi ya darjaat badhenge neez khud duwaye kare Allah qabool karega In Sha Allah.

No comments:

Post a Comment