Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 19 January 2016

NAMAZ E ISTASQA

NAMAZ E ISTASQA

Bismillahirrahmanirraheem

Agar qahat sali ho jaye, barish na barsey to us waqt musalmano ko chahiye k ek din tajweez karke sooraj nikalte hi purane kapde pehan kar aajazi aur giryzari karte hue aabaadi se bahar kisi khuli jagah mein nikle aur mimber bhi rakkha jaye.

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam purane kapde pehne, khushu aur aahistagi se chalte hue, aajazi aur giryazari karte hue nikle aur namaz (istasqa) ki jagah pahunchey". (Abu Dawood Kitabus Salaatul Istasqa Hadees no. 1165, Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 557, Imam Tirmizi, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1405, 1408, 1419, Imam Ibne Hibban Hadees no. 603, Imam Hakim 1:326 aur Imam Nawawi ne ise sahih kaha)

Hazrat Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha se riwayat hai k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se qahat saali ki shikayat ki to aapne eid-gaah mein mimbar rakhne ka hukm diya, jab sooraj ka kinaarah zahir hua to aap nikle aur mimbar par baithey, Allah ki badhaayi aur hamd bayan ki phir farmaya "Tumne apne ghulamo mein qahat saali aur bar waqt barish na hone ki shikayat ki hai, jabke Allah ta'ala ki taraf se tumko hukm hai k tum usko pukaro aur usne tumhari dua qabool karne ka wada kiya hai" phir farmaya:

"ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN AR-RAHMA NIR RAHEEM MALIKI YAUMID DEEN, LA ILAHA ILLALLAHU YAF'ALU MA YUREED, ALLHUMMA ANTA, ALLHU LA ILAHA ILLA ANTAL GHANEEYU WA NAHNUL FUQARA'U ANZIL ALAINAL GHAISA WAJ'AL MA ANZALTA LANA QUWWATAU WA BALAGHAN ILA HEEN"

"Sab tareef Allah k liye hai jo tamaam jahaano ka parwardigaar hai, bahut raham karne wala nihayat meharbaan hai, rooz e jaza ka malik hai, jo chahta hai wo karta hai, Ae Allah tu (saccha) mabood hai, tere siwa koi mabood nahi, tu sakhi aur be-parwah hai aur hum (tere) mohtaj aur faqeer (bande) hai hum par barish barsa aur jo barish tu nazil farmaye usey hamare liye ek muddat tak quwwat aur (maqasid tak) pahunchane ka zariya bana". (Abu Dawood Kitabul Istasqa Hadees no. 1173, Imam Hakim 1:268, ibne Hibban 604 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Is se maloom hua k Sayyadul Mursaleen Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur unke paak-baaz Sahaba Razi Allahu Anhum bhi apna sachi aur data sirf Allah hi ko samajhte they, wo usi k darr k mohtaj, usi se darne wale baraahe-raast usi se duwaye maangte rahe. Quran Majeed ne bhi isi aqeedey ki taleem di hai (Surah Fatir Surah no. 35 Ayat no. 14 aur 15) lihaza hum gunahgaaro ko bhi chahiye k kitab o sunnat k mutabiq sirf Allah hi ho apna sakhi aur daata maney aur us se baraahe raast duwaye maange, yahi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sacchi muhabbat aur unki ita'at ka taqaaza hai.

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e istasqa k alawah kisi dua mein apne dono haath nahi uthaate they, Aapne dono haath uthaaye, haatho ko daraaz kiya, hatta k baghley dikhaayi di. (Sahih Bukhari Kitabul Istasqa Hadees no. 1031, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Istasqa Hadees no. 895)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam barish k liye dua kar rahe they aap khade hue they aur aapne apne haatho ko chehrey k saamne kiya hua tha aur haath sar se unhey nahi they. (Abu Dawood Kitabul Istasqa Hadees no. 1168, Imam Ibne Hibban Hadees no. 601 aur 602 ne ise sahih kaha)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k haatho ki pusht aasmaan ki taraf thi. (Sahih Muslim Hadees no. 895)

Phir imam loogo ki taraf peeth karke qibla rukh ho jaye (aur haath uthaaye rakkhey) aur mandarja zail duwaye badi aajazi se roo roo kar padhey, aur sab loog bhi badey khuzu se aabadeedah ho kar haatho ko ulta karke uthaiye aur dua maangey dua ye hai:

"ALLHUM MASQINA, ALLHUM MASQINA, ALLHUM MASQINA"

"Ae Allah! hamey paani pila, Ae Allah! hamey paani pila, Ae Allah! hamey paani pila". (Sahih Bukhari Kitabul Istasqa Hadees no. 1013)

"ALLHUM MAQINA GHAISHAN MUGHEESHAN MAREE'AM MAREE'AN GHAIRA ZAAAARIN AAJILAN GHAIRA AAJILIN"

"Ae Allah! hamey paani pila, hum par aesi baarish nazil farma jo hamari tashnagi baja de, halki phuwaarey bin kar galla gaaney wali, nafa dene wali ho na k nuksan pahunchane wali, jald aaney wali ho na k dair lagaaney wali". (Abu Dawood Hadees no. 1169, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1416, Imam Hakim 1:327 aur Zahbi ne ise sahih kaha)

"ALLAHUMMA ASQI IBADAKA WA BAHA IMAKA WA ANSHUR RAHMATAKA WA AHYI BALADAKAL MAYYITA"

"Ae Allah! apne badno aur janwaro ko sairaab kar, apni rahmat ko phela aur apne murda shehro ko zinda karde". (Abu Dawood Hadees no. 1176, iski sanad hasan hai)

Salaatul Istasqa mein ek aham masla chadar ka palatna hai, Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam istasqa k liye eid-gaah ki taraf nikle, aapne apni peeth logoo ki taraf ki aur qibla rukh ho kar dua karne lage phir apni chadar ko palta phir unko do rakaatey namaz padhaayi aur us mein buland aawaaz se qiraat ki. (Sahih Bukhari Kitabul Istasqa Hadees no. 1025, Sahih Muslim Salaatul Istasqa Hadees no. 894)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par siyaah chadar thi aapne uska nichla hissa uper lana chaha magar mushkil paish aayi to aapne usey apne kandho par hi ulat diya. (Abu Dawood Kitabus Salaatul Istasqa Hadees no. 1164, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1416aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Yaani chadar palat'te waqt chadar ka daaya kinaarah baaye kandhey par uar baaya kinaara daaye kandhey par daal diya.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qibla rukh ho kar chadar ko palta, uske andar ka hissa bahar ki taraf kiya aur Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi aapke saath chaadaro ko palta. (Musnad Ahmad 4:41, 16579, Ibne Daqeeq ul eid ne ise sahih kaha)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e eid ki tarah loogo ko do rakaatey namaz e istasqa padhaayi. (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 55, Abu Dawood Kitabul Istasqa Hadees no. 1165, ise Imam Tirmizi, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1405 aur Imam Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Zaid bin Aasim Maazani Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khutbey se pehle namaz padhaayi. (Musnad Imam Ahmad 4:16580)

Jamhoor ka amal isi par hai magar khutba namaz se pehle bhi jayez hai. (Ibne Khuzaima Jama Abwabus Salaatul Istasqa Hadees no. 1407)

Hazrat Adbullah bin Yazeed Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne do rakaatey (istasqa) ki padhaayi aur un mein tilawat buland aawaaz se ki aur namaz e istasqa baghair azaan aur iqamat k padhaayi. (Sahih Bukhari Kitabul Istasqa Hadees no.1022)

Ibne Bilal ne kaha k ulama ka is baat par ijma hai k namaz e istasqa mein azaan aur iqamat nahi hai.

No comments:

Post a Comment