Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 5 January 2016

NAMAZ E EID KA TAREEQA

NAMAZ E EID KA TAREEQA

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr aur eid ul azha k din eid-gaah jaate, sabse pehle namaz padhte, phir khutba dete jabke loog safoo mein baithey rehte, khutba mein loogo ko naseehat aur waseeyat karte aur hukm detey phir wapas laut'tey. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 956, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 889)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k beshak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr aur eid ul azha ki namaz ki awwal rakaat mein saat (7) takbeeraat kehte aur doosri rakaat mein paanch (5) takbeeraat kehte. (Abu Dawood Kitabuj Juma, Baab - Takbeer fil Eidain Hadees no. 1149, Tirmizi Hadees no. 536, ise Imam Ahmad aur Ali bin Madeeni ne sahih kaha)

Har takbeer par rafulyadain kare aur har takbeer k baad hath baandhey, Imam unchi aawaaz se aur muqtadi aahista alhamdu shareef padhey, phir imam unchi aawaaz se qiraat padhey, aur muqtadi chup chaap suney.

Imam Behaqui Rahimahullah ne namaz e eidain ki zaayid takbeeraat mein rafulyadain karne par jin hadees se istadlaal kiya hai us mein Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har us takbeer mein hath uthaatey jo ruku mein jaane se pehle kehte, yaha tak k aapki namaz mukammal ho jaati. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 722, Ibne Jarood ne ise sahih kaha, Musnad Ahmad 2:133, 134, 6175 aur Daare Qutni 1:289)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Abu Bakr, Umar wa Usman Razi Allahu Anhum pehle namaz padhte phir khutba dete. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 884)

Eidain ka khutba mimbar par na padhey, Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ki hadees se maloom hota hai k eid-gaah mein mimbar ka ehtamaam Marwan bin Hakam k ahad mein kiya gaya. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 956, Sahih Muslim Kitabul Salaatul Eidain Hadees no. 889)

Ek shaks ne Marwan k is fail (amal) par aetraaz karte hue kaha "Tumne eid k rooz mimbar la kar sunnat ki mukhalifat ki kyunki is rooz isey nahi laya jata tha, aur tumne khutba ko namaz se pehle padh kar (sunnat ki mukhalifat ki)". (Abu Dawood Kitabus Salaat, Baab - Khutba yaum e eid Hadees no. 1140, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1275)


EID UL AZHA K DIN NAMAZ E EID PADH KAR QURBANI KARNI CHAHIYE:

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz k baad qurbani ki uski qurbani ho gayi aur usne musalmano k tareeqey ko apna liya aur jisne namaz se pehle qurbani ki uski qurbani nahi hogi wo mehaz goosht ki ek bakri hai jo usne apne ghar waalo k liye zibah ki hai". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 965, Sahih Muslim Kitabul Azahi, Baab - Waqtaha Hadees no. 1961)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz e eid se pehle qurbani ki wo namaz k baad doosri qurbani karey". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 975, Sahih Muslim Kitabul Azahi Hadees no. 1960)

No comments:

Post a Comment