Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 1 January 2016

NAMAZ E EIDAIN - AHKAAM WA MASA'IL

NAMAZ E EIDAIN - AHKAAM WA MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena munawwarah tashreef laye to saal mein do din muqarrar they jin mein loog khelte aur khushiya manaate they aapne unse pucha k ye do din kese hai? unhone kaha k zamana e jahiliyat se hum in mein khelte chale aa rahe hai, aapne farmaya "Allah ta'ala ne tumko unke badley mein do behtareen din ata farmaye hai wo eid ul fitr aur eid ul azha k din hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1134)

Hazrat Nabeesha Al Huzli Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ayyaam e Tashreeq yaani: 11, 12 aur 13 zil hijjah khane peene aur Allah ta'ala k zikr k din hai". (Sahih Muslim Kitabus Siyam Hadees no. 1141)

Maloom hua k eid ul azha aur ayyaam e tashreeq k dono dino mein khane peene mein wus'at karna aur mubaah khel khood mein koi harj nahi.

Hazrat Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha k paas bacchiya daff baja kar jang e ba'aas ka qissa jo ansar ne ish'aar mein likha tha (jang e ba'aas aous aur khazraj k darmiyan halat e kufr mein hui thi) gaa rahi thi, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne unhey mana kiya, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Abu Bakr! inhey kuch na kaho beshak aaj eid ka din hai, bila shubah har qaum ki ek eid hoti hai aur aaj hamari eid hai". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 952, Sahih Muslim Kitabus Salatul Eidain Hadees no. 892)

Is Hadees se maloom hua k agar padhne wali chooti bacchiya ho, aalaat e mosiqi mein se sirf daff (ya us se kam-tar koi aala) ho neez ash'aar khilaf e shariyat na ho aur eid ka mouqa ho to aese ash'aar padhne ya sunney mein koi harj nahi hai lekin mufaad parast gawaiyyo ne is hadees shareef se apna ullu seedha karne mein koi kasar nahi utha rakkhi chunanchey unhoney bacchiyo se har umar ki paisha-war gulu ka ruh sabit kardi, daff se jumla aalaat e mosiqi jayez qarar diye, acchey ash'aar se gaano ka jo ashkasheed kiya aur eid k din se "ruh ki gizaiyat" (yani gaaney wa kawwali wagairah gaa kar rozi) dhoondh nikali aur ye na socha k Allah khaliq wa malik hai usne apne bando k liye jawaaz ki jo hadd chahi muqarrar kardi aur us se tajawuz ko haram kar diya.


MASA'IL WA AHKAAM:

1. Hazrat Ali Razi Allahu Anhu farmate hai: "Juma, arfa, qurbani aur eid ul fitr k din ghusal karna chahiye". (Behaqui 3:278, iski sanad sahih hai)'

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu eid k din eid-gaah ki taraf nikalne se pehle ghusal kiya karte they. (Muatta Imam Malik Kitabul Eidain Hadees no. 1:177, iski sanad sahih hai)

Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai k eid k din ghusal k masa'il mein Ibne Umar Razi Allahu Anhu k asar se istadlaal aur juma k ghusal par qayas kiya gaya hai.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya k eid ul fitr ki namaz k liye ghar se nikalne se pehle sadqa e fitr ada kiya jaye. (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat Hadees no. 1503, Sahih Muslim Kitabuz Zakaat Hadees no. 986)

Eid-gaah mein pahunch kar sadqa e fitr ada karna sahih nahi hai, balkey usey namaz e eid k liye nikalne se pehle ada karna chahiye.

3. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath eid ki namaz padhi aapne baghair azaan aur takbeer k khutba se pehle namaz padhaayi". (Sahih Muslim Hadees no. 885)

Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari Razi Allahu Anhu bayan karte hai k namaz e eid k liye azaan hai na takbeer, pukarna hai na koi aawaaz. (Sahih Bukhari Hadees no. 960, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 886)

4. Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne eid-gaah mein siwaaye eid ki do rakaato k na pehle nafil padhey na baad mein. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 964, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 884)

5. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr mein kuch khaa kar namaz ko nikalte, aur eid ul azha mein namaz padh kar khaate. (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 542, Ibne Maja Kitabus Siyaam Hadees no. 1756, Ibne Hibban Hadees no. 593, Ibne Khuzaima Hadees no. 1426, Ibne Qattan, Hakim 1:294 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr k rooz taaq khajoorey kha kar eid-gaah jaya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 953)

6. Anas bin Malik Razi Allahu Anhu jab shehar ja kar eid ki namaz ba-jamat ada na kar sakte to apne ghulaamo aur baccho ko jama karte aur apne ghulam Abdullah bin abi Atibbah ko shehar walo ki namaz ki tarah namaz padhane ka hukm dete. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain, Behaqui 3:305)

7. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek sawaar aaya usne gawahi di k unhone kal chand dekha tha to aapne hamey rooza iftar karne ka hukm diya aur doosre din eid ki namaz padhi, kyunki ruyat e hilal ki khabar itni dair mein pahunchi k namaz e eid ka waqt nikal chuka tha. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1157, Ibne Hazam aur Behaqui ne ise sahih kaha)

Is Hadees mein is baat ki daleel hai k agar kisi uzr ki bina par namaz e eid faut ho jaye to wo agley din eid ki namaz k liye nikley.

8. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya k "Eid k din sodaan dhaalo aur naizo se khelte they Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse pucha k kya tum isey dekhna chahti ho mene kaha han! mujhe aapne apne pichey khada kar liya aur mein un habshiyo ka tamasha dekh rahi thi jo eid k din masjid mein jangi khelo ka muzahirah kar rahe they". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 454, Sahih Muslim Kitabul Eidain Hadees no. 892)

9. Hazrat Abdullah bin Bashar Razi Allahu Anhu eid ul fitr k rooz namaz k liye gaye, imam ne namaz mein takheer kardi to wo farmaney lage "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein hum is waqt namaz se farigh ho chukey hote they, ravi kehta hai k ye chasht ka waqt tha". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1135, ise Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

10. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid k din eid-gaah aaney jaaney ka raasta tabdeel farmaya karte they". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 986)


EID-GAAH MEIN AURATEY:

11. Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha kehti hai k hamey hukm diya gaya k hum (sab aurato ko hatta k) haiz waliyo aur pardah waliyo ko (bhi) dono eidon mein (gharo se nikaley) takey wo (sab) musalmano ki jamaat (namaz) aur unki dua mein hazir ho, aur farmaya haiz waliya jaye-namaz se alag rahey (yani wo namaz na padhey) lekin musalmano ki duwaon aur takbeero mein shamil rahey, takey Allah ki rahmat aur bakshish se hissa paye, ek aurat ne arz kiya k agar hum mein se kisi k paas chadar na ho (to phir wo kese eid-gaah mein jaye?) farmaya "Usko uski saath wali aurat chadar utha de (yani kisi doosri aurat se chadar aariyatan le kar chaley)". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 351, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 890)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid-gaah ki taraf jaate, aapki eid-gaah masjid e nabwi se hazaar zaraa k fasila par thi, ye eid-gaah baqee ki taraf thi. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain Hadees no. 976)

No comments:

Post a Comment