Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 31 July 2014

AURATO KA LIBAAS

AURATO KA LIBAAS



Bismillahirrahmanirraheem

GHAR K ANDAR AURATO KO MOOTEY KAPDE SE APNA SAR, SEENA AUR KAMAR DHAANK KAR RAKHNI CHAHIYE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Allah ta'ala reham farmaye un aurato par jinhone sab se pehle hijrat ki, jab quran ki ye aayat nazil hui ("WAL YAZRIBNA BI KHUMURI HINNA ALA JUYUBI HINNA" Tarjuma: "Aurato ko chahiye k wo apne daaman par apni chadarey lapait kar rakkhey". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 31) to unhone mootey kapdo k pardey phaad kar oudhniya banayi aur hukm par amal kiya. (Abu Dawood Kitabul Libaas 2: 3457)

Wazahat: Yaad rahe hamare han rayij bareek kapde ka dupatta sharayi taqazo ko poora nahi karta.

HAZRAT AYESHA RAZI ALLAHU ANHA NE APNI BHAANJI K SAR PAR BAREEK DUPATTA DEKHA TO USE UTAAR KAR PHAAD DIYA AUR USE MOOTE KAPDE KA DUPATTA BANA KAR DIYA

Hazrat Murjana Razi Allahu Anha kehti hai k hafsa binte Abdur Rahman Razi Allahu Anha (bin Abu Bakr Razi Allahu Anhu) Ummul Momineen Hazrat E Ayesha Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir hui us waqt Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ek bareek audhni liye hue thi, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne use phaad diya aur uski jagah ek mooti chadar udha di. (Muatta Imam Malik Kitabul Libaas)

GHAR K ANDAR HAATHO PAR CHEHREY K ALAWA AURAT KA SARA JISM SATAR HAI (WALLAHU AALAM BIS SAWAAB)

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aurat (poori ki poori) satar hai jab wo nikalti hai to shaitaan use accha (haseen wa jameel) karke dikhata hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 936)

AURAT KO NAMAZ K LIYE TEEN KAPDE PEHAN'NE CHAHIYE, QAMEES, IZAAR AUR AUDHNI
NAMAZ MEIN AURAT K PAAO BHI LAMBI QAMEEZ YA IZAAR SE DHAKEY HONE CHAHIYE

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft farmaya: "Aurat izaar k bagair kurte aur audhni mein namaz padh sakti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Agar kurta lamba ho jis se aurat k kadmo ki pusht dhaank jaye to jayez hai". (Mustadrak E Hakim, 1: 256)

Hazrat Ummey Haraam Razi Allahu Anha ne Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e Mohtarma Ummey Salma Razi Allahu Anha se daryaft farmaya: "Aurat ko kitne kapdo mein namaz padhni chahiye?" Hazrat Ummey Haraam Razi Allahu Anha ne jawab diya "Audhni aur lambe kurte mein ba'shart k kurta pao ki pusht dhaanp le". (Muatta Imam Malik Kitabus Salaat Abwabus Salaatul Juma'ah)

NAMAZ K LIYE AURAT KA APNE SAR KO MOOTE KAPDE SE DHAANPNA WAJIB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Baalig aurat ki namaz chadar k bagair nahi hoti". (Abu Dawood Kitabus Salaat 1: 596)

Wazahat: Yaad rahe umrah wa hajj k liye bhi aurat ka libaas wahi hai jo namaz k liye hai

AURAT K PAO BHI SATAR MEIN SHAMIL HAI

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e Mutah'hara ne izaar ki guftagu k doraan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft farmaya: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aurat apna izaar kaha tak latkaye? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (Pindli se) ek balisht niche karle, Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha ne arz kiya is tarah to uska satar khul jayega (yani kapda pao ko nahi dhaanpega (chupayega) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "To phir ek haath tak niche karle lekin us se zayada na kare". (Abu Dawood Kitabul Libaas 2: 3467)

GHAR MEIN AURAT KA IZAAR BALISHT BHAR AUR GHAR SE BAHAR HATH BHAR PINDLI SE NICHEY HONA CHAHIYE JIS SE USKE PAO KI PUSHT DHAKI RAHE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khawateen k izaar k baare mein irshad farmaya: "Ek balisht bhar (pindli se) niche hona chahiye" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz ki "Jab auratey bazaar jaye to phir kitna lamba hona chahiye?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Haath bhar". (Ibne Maja Kitabul Libaas 2: 2884)

No comments:

Post a Comment