Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 21 July 2014

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES (COMPLETE)

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES (COMPLETE)



Bismillahirrahmanirraheem

Ramazaanul Mubarak mein baaz ahadees wa riwayaat ka aksar zikr hota hai, halankey wo zaeef wa kamzoor aur na-kabil e hujjat wa istadlaal hai, jin mein se (76) riwayaat darj e zail hai:

1. Roozadaar ka soona ibadat, khamooshi tasbeeh, dua e maqbool aur ajr e amal kayi gunaa hai. (Zaeef Jamey Sageer 3: 270, Silsila Ahadees E Zaeefaah 3784)

2. Rooza rakkho sehat mand raho. (Zaeef Jamey 3: 273, Zaeefaah 253, Zaeefaah Targeeb 573)

3. Jisne bimaari ya uzr k bagair ramazaan ka ek bhi rooza chooda wo agar saari umar bhi roozey rakhta rahey uski kami poori nahi kar sakta. (Zaeef Jaymey 5: 174, Zaeef Targeeb wa Tarheeb 205)

4. Jise makka mein hote hue ramazaan aa gaya aur uss maah ka jitna hissa mumkin hua wo makka mein muqeem raha, Allah uske liye ek laakh ramazaan ka sawaab aur har din k badley ek gulaam aazaad karne ka sawaab aur har raat k badley mein ek gulaam aazaad karne ka sawaab likh deta hai. (Zaeef Jamey 5: 156)

5. Agar ibadat guzaaro ko pata chal jaye k ramazaanul mubarak mein kya (faza'il wa barkaat) hai to wo tamanna kare k kaash saara saal hi ramazaan ho. (Zaeef balke Mouzu ul hadees Al Mauzuaah safa no. 88)

6. Sirf "Ramazaan" na kaho kyunki "Ramazaan" to Allah k naamo mein se ek naam hai, tum "Maah E Ramazaan" kaha karo. (Ahadees E Mauzuaah Shokaani safa no. 87)

7. Har cheez ki zakaat hai aur jism ki zakaat rooza hai. (Ahadees e Mauzuaah Shokaani, Ahadees E Wahaiyaah 2: 49, Zaeef Jamey 3: 290)

8. Jab ramazaan ki pehli raat hoti hai to Allah ta'ala jannat k darbaan farishte "Rizwan" ko hukm deta hai k jannat k darwaaze khool do aur jahannam k darbaan farishte "Maalik" ko hukm deta hai k jahannam k darwaaze band kar de. (Al Mauzuaah Safa no. 87)

9. Allah ta'ala ramazaan ki pehli tareekh ko (istashna) tamaam musalmano ki bakhsish farma deta hai. (Al Mauzuaat La bin Jauzi 2: 190, Al alal mutanahiyaah la bin jauzi 2: 4)

10. Roozadaar k jism ka ruwa ruwa Allah ki tasbeeh bayan karta hai, Qayamat k din roozadaar mardo aur aurato k liye arsh e ilahi k nichey dastar-khuwaan lagaya jayega. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

11. Jo shaks ramazaan ka ek rooza chood de, wo kaffara mein ek aunth (camel) ki qurbaani kare aur agar us se ye mumkin na ho to phir 30 roozey daaro ko khajooro (30 saa'a yaani 75 kilo gram khajoor) ka khana khilaye. (Manghadat, Zaeef Jamey 5: 173, Silsila Ahadees E Zaeefaah 263)

12. Ramazaanul mubarak mein Allah ta'ala roozana 10 laakh (ek riwayat k mutabik 6 laakh) aese loogo ko jahannam se aazaad karta hai, jin k liye jahannam wajib ho chuki thi. (Baatil wala Asal Mauzuaat 2: 191)

13. Jisne maal e halaal se khajoor khareed kar uss se rooza iftaar kiya uski namaz ka sawaab 400 guna kar diya jata hai. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

14. Agar Allah ta'ala ahle aasmaan aur ahle zameen ko boolne ki ijazat de, to wo sab ramazaan ka rooza rakhne walo ko jannat ki basharat de. (Al Mauzuaat La bin Jauzi 2: 192, Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

15. Allah ta'ala ibadat guzaar nojawano par farishto mein fakr karta hai aur kehta hai: mere bande ki taraf dekho jisne meri khatir halaal taskeen e shahoot choodhi hui hai (aur apni jawani meri khatir sarf kar di hai) wo mere nazdeek mere baaz farishto jesa hai. (Zaeef Jamey 2: 190, Al Zaafaah ibne adi)

16. Paanch (5) cheezey rooza aur wuzu tood deti hai: jhoot, geebat, chugli, jhooti qasam aur shahwat k saath kisi ko dekhna. (Zaeef Jamey 2: 124, Silsila Ahadees E Zaeefaah 1708)

17. Roozadaar ibadat mein shumaar hota hai, jab tak k wo kisi musalman ki geebat na kare aur use azeeyat na pahunchaye. (Al alal Daare Qutni 3: 230)

18. Rooza dhaal hai, jab tak k jhoot ya geebat se wo use tood na le. (Zaeef Jamey 1: 35, 3: 219, Silsila Ahadees E Zaeefaah: 2642)

19. Agar koi juma ka din (gunah se) salamat raha to wo poora hafta salamat rahega, aur jab poora ramazaan salamat raha to sara saal hi salamat rahega. (Al Mauzuaat 2: 194, Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

20. Jannat saal bhar maah e ramazaan k liye sajti rehti hai. (Al alal Mutanahiyaah 2: 46)

21. Ramazaanul mubarak ki pehli raat Allah roozey daar bando par nazar daalta hai jab Allah kisi bandey par nazar daal de to phir use azaab nahi karta. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 88)

22. Teen aadmiyo se khane peene ki neemato k baare mein sawaal nahi hoga: Rooza iftaar karne wala , sehri khane wala aur maizabaan, aur teen aadmiyo se unki bad akhlaaqi par sawaal nahi hoga: Bimaar, roozadaar aur haakim aadil. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

23. Jisne rizk e halaal se kisi ka rooza iftaar karaya, uske liye farishte rahamat ki duaye karte hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

24. Allah ta'ala ne kiraaman katibeen ko hukm de rakkha hai k mere roozadaar bando k asar k baad k gunah na likhey jaye. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

25. Jisne maal e halaal ki khajoor se rooza iftaar kiya, uski namazo mein 400 namazo ka izafa kar diya jata hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

26. Jisne ramazaan ka 1 rooza bila uzr tark kiya, uske badle mein 30 roozey rakkhey, aur jo 2 roozey chood de, wo 60 roozey rakkhey, aur jisne 3 roozey tark kiye wo 90 roozey rakkhey. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 94)

27. Ayyaam e baiz (chaand ki 13,14,15 tareekh) k roozey rakkho, pehle din k roozey ka sawaab 3 hazaar saal k roozo k barabar hai, doosre din k roozey ka 10 hazaar saal k aur teesre din k roozey ka sawaab 20 hazaar saal k roozo k barabar hai, ek riwayat mein 10 hazaar, 1 laakh aur 30 laakh k barabar hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 95)

28. Rajab Allah ka maheena hai, Shabaan mera maheena hai, ramazaan meri ummat ka maheena hai aur jinse rajab k roozey rakkhey uske liye 2 guna ajr hai aur ek guna ka wazan ek pahaad k barabar hai. (Zaeef Jamey 3: 80. Al Mauzuaah safa no. 100)

29. Mera sab se piyaara banda wo hai jo sab se jaldi rooza iftaar karta hai. (Zaeef Jamey 4: 108, Mishkaat: 1989)

30. Teen aadmiyo ki dua Allah radd nahi karta, roozadaar, jab tak k iftaar na kar le, mazloom jab tak k wo galba na paley aur musafir jab tak k wo waapas na laut aye. (Zaeef Jamey 3: 49)

31. Jisne teen kaam kiye wo rooza rakhne ki taaqat paa leta hai, kuch peene se pehle khaale, sehri khaye, qailulah kare. (Zaeef Jamey 3: 55)

32. Teen cheeze rooza nahi toodti: Qasad, Qey, Ehtalaam. (Zaeef Jamey 3: 61)

33. Teen aadmi agar maal e halaal se khaye peeye to unka is silsiley mein koi hisaab kitaab nahi liya jayega: Rooza iftaar karne wala, sehri khane wala, Allah ki raah mein pehra dene wala. (Zaeef Jamey 3: 65, Silsila Ahadees E Zaeefaah 631)

34. Jisne ramazaan ka ek rooza chood diya aur uski qaza karne se pehle faut ho gaya, us par har din k badle ek miskeen k liye ek mudda galla dena zaruri hai. (Zaeef Jamey 5: 173)

35. Ramazaan k roozey rakkho aur uske baad wale maheeney k aur har budh (wednesday) wa juma-raat (thursday) k, tab tum hamesha k roozadaar shumaar hogne. (Zaeef Jamey 3: 269, Mishkaat 2061, Zaeef Targeeb)

36. Hazrat Dawood Alaihis Salaam wala rooza rakkho, ek din rooza ek din chutti ye Allah k nazdeek sab se zayada pasandeeda roozey hai, aur wo waada karke waada khilaafi nahi kiya karte they, aur jab kisi se milte hai to raah e firaad ikhtiyaar nahi kiya karte they. (Zaeef Jamey 3: 270)

37. Maah e sabr "Ramazaan" k roozey rakkho aur har maah k teen roozey rakkho aur hurmat wale maheeno (muharram, rajab, zill qaada, zill hijjah) ka ek din rooza aur ek din chutti karo. (Zaeef Jamey 3: 270, Zaeef Targeeb)


38. Jisne ramazaan ko paya aur us par saabaqa ramazaan k kuch roozo ki qaza baaqi hai, uska koi amal qubool nahi kiya jayega jab tak k wo saabaqa roozey qaza na kar le (yani jo uske roozey chootey they wo unko poora na karle). (Zaeef Jamey 5: 157, Silsila Ahdees E Zaeefaah 840)

39. Shawwaal k roozey rakkho. (Zaeef Jamey 3: 269, Zaeef Targeeb)

40. Safar mein ramazaan ka rooza rakhne wala aesa hi hai jesa k usne rooza nahi rakkha hua. (Zaeef Jamey 3: 262, Silsila Ahadees E Zaeefaah 498, Zaeef Targeeb)

41. Hazrat Nooh Alaihis salaam ne ayyaam e eid ul fitr wa eid ul azha k siwa hamesha rooza rakkha hai. (Zaeef Jamey 3: 264, Silsila Ahadees E Zaeefaah 459)

42. Hazrat Nooh Alaihis salaam ne eid ul firt aur eid ul azha ko chood kar hamesha rooza rakkha, hazrat Dawood alaihs Salaam ne aadhi umar rooza rakkha, Hazrat Ibrahem Alaihis Salaam har maah k teen roozey rakhtey they. (Zaeef Jamey 3: 264, Silsila Ahadees E Zaeefaah 459)

43. Rooza aanto ko tang, mootapa ko kam aur bandey ko jahannam se door karta hai, aur Allah ta'ala ka ek dastarkhuwaan hai jiski neemato ko na kisi aankh ne dekha hai, na kisi kaan ne suna hai aur na kisi bashar k dil par unka guzar hua hai, aur us par sirf roozadaar hi baithengey. (Zaeef Jamey 3: 285)

44. Rooza jahannam se hifazat karne wali dhaal hai. (Zaeef Jamaey 3: 289, Zaeef Targeeb)

45. Roozey mein koi riyakaari nahi hai, isi liye Allah ta'ala ne farmaya: "Rooza mere liye hai aur iski jaza bhi mein hi dunga" kyunki banda meri khatir khana peena choodta hai. (Zaeefaa Jamey 3: 290)

46. Rooza aadha sabar hai. (Zaeef Jamey 3: 290)

47. (Shabaan k aakhiri din, khutba irshaad farmate hue) ek maheena jisme ek nafli naiki farz k barabar aur ek farz 70 farz k barabar hai, uska pehla tihaayi hissa rahmat, doosra istagfaar aur teesra jahannam se nijaat ka hai. (Munkir)

48. Ramzaaan ko is liye Ramaazan kaha jata hai k is mein gunah jala diye jaate hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 91)

49. Ek din ka nafli rooza rakne wale ko agar zameen bhar k barabar bhi soona de diya jaye tab bhi uska haq poora nahi hota. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

50. Jisne kisi gair mahram aurat ko itna gaur se dekha k us par uske jism k kapdo k andar se uske aaza ka hajam wazey ho gaya (yani uske dil mein ehsaal paida ho gaya), uska rooza toot gaya. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 94)

51. Jisne zill hijjah k pehle 10 dino k roozey rakkhey, use har din k badle ek maah k roozo ka sawaab milega aur yaum e tarviyah (8 zill hijjah) k badle ek saal k roozo ka aur yam e arfa (9 zill hijjah) k badle 2 saal k roozo ka sawaab milega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

52. Jisne Muharram aur zill hijjah k aakhiri din ka rooza rakkha, usne saal ka awwal wa aakhir rooza se kiya, Allah use uske 50 saalo ka kaffara bana deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

53. Jisne muharram se pehle 9 din roozey rakkhey Allah uske liye ek marbee meel ka ghar hawa mein bana deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

54. Jisne Yaum E Aashura (10 muharram)  ka rooza rakkha Allah use 10 hazaar farishto ka sawaab ata karta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

55. Allah ne Bani Israeel par saal mein sirf ek din aashura (10 muharaam) ka rooza farz kiya tha, tum bhi ye rooza rakkho, aur is din apne ghar waalo par khane peene mein wus'at karo, isi din Allah ne hazrat Aadam Alaihis Salaam ki tauba qubool ki thi. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

56. Jisne rajab k 3 roozey rakkhey, use ek maah k roozo ka sawaab milega, jisne 7 roozey rakkhey, us par Allah jahannam k saato darwaazey band kar dega, aur jo 8 roozey rakkhey uske liye Allah jannam k aatho darwaazey khool deta hai, aur jo 15 roozey rakkhey Allah uska hisaab aasaan kar deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 100)

57. Rajab bada azmat wala maheena hai, jisne iska ek rooza rakkha use har saal k roozo ka sawaab milta rahega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)

58. Jisne rajab ka ek din ka rooza rakkha, use ek maah (ek riwayat mein ek saal) k roozo ka sawaab milega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)


59. Jisne rajab ki ek raat ka qayaam aur din ka rooza rakkha Allah use jannat k phaloo mein se phal khilayega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)

60. Jab ramazaan aata to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tamaam qaidiyo ko chood dete, aur har saayil ko kuch na kuch zaroor dete. (Alal Mutnahiyah fi ahadeesul wa’hiyaah 2: 39)

61. Jisne shuru se lekar aakhir ramazaan tak bajamaat namaz padhi, ude lailatul qadr se hissa milga. (Ahadeesul Wa’hiyaah 2: 40)

62. Jab Ramazaan ki pehli raat hoti hai to aasmaan par ek munadi ye aawaaz lagata hai: "koi tauba karne wala hai k uski tauba qubool ki jaye? koi dua karne wala hai k uski dua qubool ki jaye? koi mazloom hai k uski madad ki jaye? koi magfirat talab karne wala hai k uski magfirat ki jaye? koi sawal karne karne wala hai k uska mutalaba poora kiya jaye?, har raat poora maheena khud Allah ta'ala ye aawaaz lagata hai: Ae mere bando aur bandiyo! khushkhabri pao, sabr karo aur us par qayam raho, qareeb hai k mein tum se sakhti khatam karke tum par apna raham karu". (Ahadeesul Wahaiyaah 3: 41)

63. Jab Eid k din loog eid gaah mein jama hote hai to Allah farishto se puchta hai: Ae mere farishto! jab koi mazdoor ijrat karke faariq ho jaye to uski jaza kya hai? farishte kehte hai: Ae Allah hamare rabb! uski jaza ye hai k unhey unki poori poori mazdoori di jaye, Allah kehta hai ye mere bade aur mere bando ki aulaad hai, mene inhe roozo ka hukm farmaya inhoney meri ita'at ki aur fareeza poora kiya, phir ek munadi aawaaz lagata hai: Ae ummat e Muhammadiya Sallallahu Alaihi Wa Sallam! rashd o hidayat k saath waapas laut jao mene tumhe baksh diya hai. (Al alal 2: 43)

64. Jannat saare saal maah e ramazaan k liye sajti rehti hai aur hoorey kehti hai: Ae Allah! apney bando mein se hamare shohar bana, jin se hum apni aur humse wo apni aankhey thandi kare. (Al wahaiyaah 2: 46)

65. Ramazaan mein gunah karne se bacho ramazaan mein naikiya bhi kayi guna ki jaati hai aur isi tarah gunah bhi kayi guna kar diye jaate hai. (Al Wahaiyaah 2: 48)

66. Jisne khamooshi k saath ramazaan ka rooza rakkha aur apne kaan, aankhey aur tamaam aaza e jism ko haraam aur jhoot se bachaya wo qayamat k din Allah k itna qareeb hoga k unka ghutna Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam k ghutney se chooyega (yani touch hoye ga). (Al Wahaiyaah 2: 50)

67. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jaafar bin abu taalib Razi Allahu Anhu ko kisi ko seenghi lagate dekh kar farmaya: un doono ka rooza toot gaya, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uski ijazat farmayi. (Al Wahaiyaah 2: 51)

68. Seenghi lagane aur lagwaane wale doono ka rooza toot gaya. (Al Wahaiyaah 2: 52)

69. Jinse (roozey ki halat mein apni beewi ka) boosa kiya, jabke wo bhi roozey se hai to dono ka rooza toot gaya. (Al Wahaiyaah 2: 53)

70. Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha ne nafli rooza tood diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey uski qaza karne ka hukm farmaya. (Al Wahaiyaah 2: 54)

71. Roozey daar k liye tohfa tail aur angeethi hai. (Al Wahaiyaah 2: 55)

72. Jisne rooza rakkha uske liye aasmaan k darwaazey khool diye jaate hai, uske aaza Allah ki tasbeeh bayan karte hai tamaam ahle aasmaan uske liye magfirat ki duaye karte hai aur hoorey kehti hai: Ae Allah! ise jald hamare paas le aa, hum ise dekhne k mushtaaq hai. (Al Wahaiyaah 2: 56)

73. Jisne Eid ul Fitr k din rooza rakkha usne gooya umar bhar rooza rakkha. (Al Wahaiyaah 2: 57)

74. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kabhi juma ka rooza nahi chooda. (Al Wahaiyaah 2: 59)

75. Jisne kisi hurmat waale maheene ki juma-raat, juma aur hafta k rooz roozey rakkhey Allah uske liye 9 saal ki ibadat likh deta hai. (Al Wahaiyaah 2: 164)

76. Jannat mein rajab naam ki ek nahar hai, jis ne maah e rajab ka ek din ka rooza rakkha, Allah use us nahar ka paani pilayega. (Al Wahaiyaah 2: 65)

Humne yaha baaz riwayato k sirf maroof hissey zikr kiye hai, jabke wo ahadees labmi hai, albatta jo hawala-jaat darj kar diye hai, taakey bahas wa tehqeeq aur murajaat karne walo k liye aasaani rahe, Zaeef riwayaat ko daleel bana kar bayan karna to ahle ilm k nazdeek jayez nahi, albatta unke zaeef wa kamzoori ko wazey karne k liye unka bayan jayez hai aur is saani zikr maqsad k tahat hum ne darj baala riwayaat zikr kar di hai, taakey unhe ma'ariz istadlaal mein laaney se guraiz kiya jaye. 
 
 


No comments:

Post a Comment