Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 25 July 2014

DHADHI KA BAYAN

DHADHI KA BAYAN




Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "10 baate fitrat mai se hai"
1. Muchey katarna
2. Dadhi Badhana
3. Miswaak Karna
4. Naak mai paani daalna
5. Nakhoon kaatna
6. Ungliyo ki pusht saaf karna
7. Bagal k baal saaf karna
8. Zair E Naaf baal moondhna
9. Paani se istanja karna (Hadees k raavi) Hazrat Mus'ab Razi Allahu Anhu kethe hai dasvi baat mai bhool gaya mumkin hai wo
10. Kulli Karna ho. (Tirmizi Jild 2 hadees no. 2214)

DHADHI BADHANA AUR MOOCHEY KATARNA WAJIB HAI
MOOCHEY KATARWANA YA MOONDHNA DONO DURUST HAI

Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moochey katarwane ya moondhane aur daadhi choodne ka hukm diya hai. (Abu Dawood Hadees no. 3537)

DAADHI MOODNA AUR MOOCHEY BADHANA MUSHRIKEEN AUR MAJOOS KA TAREEKA HAI, MUSALMANO KO UNKI MUSHABIHAT IKHTIYAAR NA KARNE KA HUKM HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne majoos (aatish parast) ka zikr kiya gaya to Aap  Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Ye loog moochey badhate hai aur daadhiya mudaatey (kaat'te) hai, inki mukhalifat kiya karo", Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu apni moochey is tarah kaat'te jis tarah bakri ya ounth (camel) ki awan (acchi tarah) kaati jati hai. (Ibne Hibban kitabuz zeenat wal tateeb hadees no. 5476)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Mushrikeen ki mukhalifat karo, daadhi badhao aur moochey katarwao". (Sahih Bukhari Kitabul Libaas)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Moochey kartarwao aur daadhi badhao aur majoosiyo ki mukhalifat karo". (Sahih Muslim Kitabul Taharah)

DAADHI KARTARNA AUR MOOCHEY BADHANA YAHOOD WA NASARA KA TAREEQA HAI LIHAZA MUSALMANO KO UNKI MUSHABIHAT IKHTIYAAR KARNE SE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE MANA FARMAYA HAI

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu kehte hai humne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ahle kitab (yaani yahood wa nasara) apni daadhiya chooti karte hai aur moochey badhate hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Tum apni moochey katarwao aur daadhi badhao aur ahle kitab ki mukhalifat karo". (Musnad Ahmad 36: 613 tehqeeq shuyaib arnaoot Hadees no. 22283)

DAADHI MOONDHNE WALO K LIYE "WAIL" HAI

Hazrat Zaid bin Habeeb Razi Allah Anhu (kasra k naam dawat naama irsaal karne k waqiya mein bayan karte hai k khusro parvaiz k numaindey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko giraftaar karne k liye madeena munawwara gaye) jab wo dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne un dono ki taraf dekhna pasand na farmaya kyunki dono ne apni daadhiya mundhaa rakkhi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Tum dono k liye wail hai kisne tumhe daadhi moondhane aur moochey badhane ka hukm diya hai? dono ne jawab mein kaha hame hamare rabb yaani kasra ne hukm de rakkha hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: mere rabb ne mujhe apni daadhi badhane aur moochey katraane ka hukm diya hai". (Al bidaya wan nihaya safa no. 663)

Wazahat: Wail jahannam ki ek waadi ka naam hai aur uska mana "halakat aur barbaadi" hai, dono aetabaar se anjaam ek hi hai "Jahannam"

MOOCHEY BADHAANE WALA HUM MEIN SE NAHI

Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Jo moochey na katarwaye wo hum mein se nahi". (Tirmizi Abwabul Adab an Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hadees no. 2: 2217)

DAADHI KO BALL DE KAR CHOTA ZAHIR KARNA BHI MANA HAI

Hazrat Ruwaif bin Saabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ae Ruwaif! mumkin hai mere baad teri zindagi lambi ho lihaza logo ko bata dena jisne apni daadhi ko girhey (gaanth lagayi, ya mooda) di (taakey chooti nazar aye) ya ghoode k gale mein dhaga baandha (takey nazar na lage) ya kisi jaanwar ki leed ya haddi se istanja kiya, us se Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam baizaar hai". (Sunan Nasayi Kitabuz Zeenat Hadees no. 3: 4692)

JUMA K DIN MOOCHEY KATARNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo har juma ko apne nakhoon kaat'te aur moochey katarwaate. (Sharah Sunnah Kitabul Libaas 12: 114)

DAADHI K BAAL CHOOTE KARNE MEIN EK MAUZU (MANGHADAT) HADEES

Hazrat Umar bin Shuyeb apne baap se aur wo apne dada se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni raish mubarak k taul aur arz se baal chootey farmaya karte they. (Tirmzi Abwabul Istaazaan wal adab)

Wazahat: Is hadees ko sheikh muhammad nasiruddin al baani Rahimahullah ne zaeef sunan tirmizi mein mauzu kaha hai safa no. 331 hadees no. 525

No comments:

Post a Comment