Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 31 July 2014

MARDO KA LIBAAS

MARDO KA LIBAAS



Bismillahirrahmanirraheem

MARD K LIBAAS MEIN KAMEES AUR PAGDI (YA TOPI), TEHBAND (YA SHALWAAR) AUR JOOTEY SHAMIL HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mohrim kaun se kapde pehney?" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Qamees, Pagdiya, Paijaamey, Topiya pehno aur moozey na pehno" han, agar kisi k paas jootey na ho to wo moozo ko takhno k nichey se kaat kar pehan le. (Sahih Bukhari Kitabul Libaas)

DOORAN E NAMAZ KANDHO KA DHAANPNA ZARURI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum mein se koi shaks ek kapde mein is tarah namaz na padhey k uske dono kandho k darmiyaan koi cheez na ho". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat)

AGAR KISI WAQT PAGDI YA TOPI MAYASSAR NA HO TO USKE BAGAIR ADA KI GAYI NAMAZ DURUST HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ek kapde mein namaz ada karne k baare mein sawal kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya tum mein se har shaks ko 2 kapde mayassar hai?". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat)

UMRAH YA HAJJ K LIYE MARD KA LIBAAS 2 ANSILI CHADARO AUR JOOTO PAR MUSHTAMIL HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhe tehband, chadar aur jooto mein ehraam baandhna chahiye agar jootey na ho to moozey pehan lo lekin unhe takhno se nichey tak kaat lo". (Musnad Ahmad, Muntaqul Akhbar Kitabul Hajj)

No comments:

Post a Comment