Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 6 July 2014

TAHAJJUD AUR TARAWEEH K FARK KI BEHAS PART 1

TAHAJJUD AUR TARAWEEH K FARK KI BEHAS PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

Hadees e Ayesha Razi Allahu Anha par aetrazaat se faragat k baad hanafi hazraat ne ek shuba ka azaka k unwaan se tahajjud aur taraweeh k fark par behas ki hai aur apne za'am mein ye saabit karne ki koshish ki hai k tahajjud aur taraweeh bilkul alag alag 2 namazey hai:


Pehla (1st) Aetrazaat: Agar koi kehta hai k tahajjud aur taraweeh mein koi fark nahi hai namaz 1 hai naam 2 hai isi ko 11 maheeney tahajjud kehte hai aur isi ko ramazaan mein taraweeh k naam se yaad karte hai to ye sawal hai k is ki daleel kya hai?

Jawab: Molana ne apni aadat k mutabik is maukey par bhi kuch mugaaltey se kaam liya hai Ahle Hadees ye nahi kehte k tahajjud aur taraweeh mein koi fark nahi hai balke ye kehte hai k tahajjud fi ramazaan aur taraweeh mein koi fark nahi hai, tafseer, hadees, fiqah in se ye baat wazey ho jaati hai k tahajjud aur salatul layl aur qayamul layl ye teeno alfaaz ek hi namaz par booley jaate hai. (Fathul qadeer jild 1 safa no. 319, 320 Bahrul rayik jild 2 safa no. 52)

Lihaza ramazaan k aetabaar se jis tarah salatul layl aur qayam ul layl ki 2 kismey ya 2 sooratey hongi isi tarah tahajjud ki bhi hongi ek tahajjud fi ramazaan aur doosri tahajjud fi gair ramazaan, tahajjud fi ramazaan ya yu kahiye k salatul layl aur qayamul layl fi ramazaan, isi ko taraweeh bhi kehte hai, (ba alfaaz degar) tahajjud (bila taqeed) aam hai aur taraweeh (tahajjud fi ramazaan) khaas hai, albatta taraweeh aur tahajjud fi ramazaan, salatul layl fi ramazaan wa qayamul layl fi ramazaan, ye charo alfaaz mutradaf hai, namaz ek hai aur naam chaar hai.

Hamari ye tafseel se wazey ho gaya k jis tarah ye kehna galat hai k tahajjud (bila taqeed) aur taraweeh mein koi fark nahi hai usi tarah ye kehna bhi galat hai k "Isi ko 11 maheeney tahajjud kehte hai aur isi ko ramazaan mein taraweeh k naam se yaad karte hai" kyunki dono mein amoom wa khasos ka fark hai, isi tarah jisko 11 maheene tahajjud kehte hai "usi" ko ramazaan mein taraweh k naam se yaad nahi karte kyunki ye to dono aapas mein kismey hai, ek kism doosrey qism par saadiq nahi ata, raha iski kya daleel hai k taraweeh hi tahajjud fi ramazaan hai to suniye:

1. Iski pehli daleel ye hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ramazaan ki raato mein 3 rooz Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko padha kar is silsiley ko band farmaya tha (jesa k Bukhari Kitabul Azaan, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 781 mein aur Abu Dawood 1375, Tirmizi 806, Nasayi 1364, Hibbaan 919 aur Ibne Khuzaiam 2206 mein aya hai), to in raato ki namaz k mutalliq sab ka ittefaaq hai k ye taraweeh thi aur isi namaz ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne salatul layl aur qayam haza shahar farmaya hai (fathul mulham jild saani safa no. 322) aur ye pehle maloom ho chuka hai k salatul layl aur qayam ul layl hi ka naam tahajjud bhi hai, pas saabit ho gaya k taraweeh hi ramazaan mein salatul layl bhi hai, qalamul layl bhi hai aur tahajjud bhi hai.

2. Doosri daleel ye bhi hai k koi naam nihaad "muhaddis shaheer" to kya poori dunya e handiyat mil kar bhi kisi hadees se ye saabit nahi kar sakti k un teeno raato mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne taraweeh k alawa tahjjud bhi ada farmaya tha, isi tarah jin Sahaba Razi Allahu Anhum ne is jamaat mein shirkat ki thi unke mutaaliq bhi koi saboot nahi diya ja sakta k unhone is jamaat k alawa tahajjud bhi padha ho, is se saaf zaahir hota hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur un se hazraat Sahaba Razi Allahu Anhum ki wo namaz taraweeh hi tahajjud thi. pehla istadlaal qaul e nabvi se hai aur doosra istadlaal fail (amal) e nabvi aur taqreeri nabvi se hai.

3. Teesri daleel ye hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu bhi isi baat k qayil they jesa k ulama e deoband mein ek bahut badey mumtaaz aalim molana anwar shah kashmeeri ka bayan hai: Is maslak ki taeed Hazrat Umar Razi Allahu Anhu k is fail se bhi hoti hai k wo taraweeh aakhir shab main apney ghar mein padha karte they halankey loogo ko ye hukm diya tha k wo jamaat k saath masjid mein padha kare, Hazrat Umar Razi Allhau Anhu khud us jamaat mein shareek nahi hua karte they, iski wajah ye hai k wo jaante they k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka tareeqa yahi tha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye namaz aakhir shab mein padha karte they, chunanchey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne loogo ko bhi keh diya k jo namaz tum awwal shab mein padhte ho usko agar aakhir shab mein padha karo to zayada behtar ho. (Bukhari Hadees no. 2009, 2010, Muslim Hadees no. 759) is se maloom hota hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne taraweeh aur tahajjud fi ramazaan dono ko ek hi namaz qaraar diya hai lekin aam taur par ulama ne iski muraad ko nahi samjha is liye ulta usko in dono namazo mein mufayirat numa ki daleel bana diya (yani alag alag namazo ki daleel bana diya) za'am kar (aur ye samajh) baithey k tahajjud aur tarweeh 2 namazey hai (Faizul Baari jild saani safa no. 420)

4. Choothi daleel ye hai k ba’qaul molana anwar shah kashmeeri sahab imam muhammad bin nasr maroozi ne apni kitab qayamul layl mein likha hai k baaz ulama e salaf is baat k qayil hai k jo shaks taraweeh padhey usko phir tahajjud nahi padhna chahiye aur baaz ulama k mutallilq nafil ki ijazat di hai, ulama e salaf k ye ikhtilaaf saaf daleel hai is baat ki k unke nazdeek ye dono namazey ek hi hai. (Faiz ul Baari safa mazkoora)

in dalail ki rooshni mein insaaf wa diyanat ki rooh se gaur karne wale k liye k is mein koi shubah nahi reh jata k taraweeh hi tahajjud fi ramazaan hai.

Anwar shah kashmiri kehte hai: aam taur par ulama (hanafiya) ye kehte hai k taraweeh aur salatul layl (tahajjud) dono namazey mukhtalif hai lekin mere nazdeek mukhtaar ye hai k dono namazey ek hai agarchey dono k ausaaf mein kuch ikhtalaaf hai magar sifaat ko navi ikhtalaaf ki daleel banana mere nazdeek theek nahi hai, haqeeqat mein ye dono namazey ek hi hai, awwal shab mein padhi gayi to uska naam taraweeh hua aur aakhir shab mein padhi gayi to uska naam tahajjud hua aur jab dono k ausaaf mein kuch ikhtalaaf bhi hai to is lihaaz se agar is k 2 naam bhi ho to kya tajjub hai? han! in dono namazo ka alag hona us waqt saabit hoga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne taraweeh k saath tahajjud bhi padhi ho. (Hawala e Mazkoora)


Doosra (2nd) Aetrazaat: Doosri wajah ye hai k tahajjud ki rakaat bila ittefaaq Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se manqool wa masoor hai aur wo zayada se zayada maa witr 13 aur kam se kam 7 maa witr hai, lekin taraweeh ka koi maeen adad allama ibne Taimiyah rahmahullah wagaira ki tasreeh k ba'mojab Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se manqool nahi hai.

Jawab: Guzishta post mein humne aapke is faraib ka parda chaak kar diya hai aur allama ibne Taimayah Rahimahullah wagaira ki ibarato se saabit kar diya hai k unke nazdeek tahajjud aur taraweeh dono ka adad maeen Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se manqool wa masoor hai aur zayada se zayada maa witr 13 hai. (Fatawa ibne taimiyah jild 1 safa no. 148), Allama ibne taimiyah ne to uski bhi tasreeh ki hai k baad mein rakaat ka jo izafa hua hai ye taweel qiraat ka auz (yaani lambi qiraat ki wajah se hua) hai. lihaza aapka ye heela bhi khatam ho gaya.


Teesra (3rd) Aetrazaat: Isi tarah tahajjud ki rakaatey bil ittefaaq a'imma k nazdeek witr k saath 7 se 13 tak hai aur taraweeh ki rakaat mein unka ikhtilaaf hai 20 se 47 tak is ka adad pahunch jata hai. (Safa no. 23)

Jawab: Tahajjud ka ye adad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fail se saabit hai is k ba'wajood is se zayada nafil k taur par padhne ko kisi ne mamnooh qaraar nahi diya hai isi tarah taraweeh k mutalliq bhi siwa e ziddi hanfiyo k khud akabir ulama e hanfiya ye tasleem karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fail se maa witr 11 ya 13 rakaat hi saabit hai is se zayada jin loogo ne padha hai wo nafli taur par padha hai ye kahi saabit nahi hai k 20 se le kar 47 tak k tamaam adaad ko ye loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki faili sunnat samajh kar padhte they, agar himmat ho to uska saboot dijiye.

To Be Continued……

No comments:

Post a Comment