Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 25 July 2014

QURBANI K MASA'IL

QURBANI K MASA'IL




Bismillahirrahmanirraheem

EID UL AZHA KI NAMAZ PADHNE AUR KHUTBA SUN'NE K BAAD ISTATA'AT RAKHNE WALE PAR QURBANI SUNNAT E MOKKADA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo aadmi qurbani karne ki istata'at rakhta ho phir bhi qurbani na kare wo hamari masjid mein na aye". (At Targeebut Tahzeeb Hadees no. 1079)

JISE QURBANI DENA HO WO ZILL HIJJAH KA CHAND DEKHNE K BAAD QURBANI KARNE TAK NAKHOON AUR BAAL WAGAIRAH NA KAATE

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab ko aadmi zill hijjah ki dasvi (eid ul azha) ko qurbani dene ka irada rakhta ho to wo apne jism k kisi bhi hissey k baad na kaate aur na hi nakhoon kaate". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2548)

GAAYE (COW) KI QURBANI MEIN 7 AUR OUNTH (CAMEL) KI QURBANI MEIN 10 IFRAAD SHAREEK HO SAKTE HAI

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek safar mein they k eid ul azha ka din aa gaya to hum mein se gaaye ki qurbani mein 7,7 aur ounth ki qurbani mein 10,10 ifraad shareek hue. (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1501)

EK HI NAFLI QURBANI MEIN AESAAL E SAWAB K LIYE EK YA DO YA USE SE ZAAYID IFRAAD KO APNE SAATH SHAREEK KARNA JAYEZ HAI
KHASSI JANWAR KI QURBANI JAYEZ HAI
MAYYAT KI TARAF SE QURBANI KI JAYE TO MAYYAT KO SAWAB PAHUNCH JATA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha aur Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab qurbani ka irada farmate to 2 maindhey mootey taazey, seengh wale, chitkabrey aur khassi, un mein se ek apni ummat k har us aadmi ki taraf se karte jo Allah ki toheed aur Rasool ki risalat ki gawahi deta hua aur doosra Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf se zibah farmate. (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2531)

DO DAANT WALA JANWAR ZIBAH KARNA LAZIM HAI, AGAR DO DAANT WALA JANWAR MILEY HI NA TO PHIR DO DAANTO SE KAM UMAR WALI BHAID YA DUMBA ZIBAH KARNE KI RUKHSAT HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Do daant wale janwar k alawa kisi aur janwar ki qurbani na karo albatta agar mushkil paish aye to phir do daant se kam umar ki bhaid (Dumba) zibah karlo". (Sahih Mulim Kitabul Azha)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath do daanto se kam umar wale dumba ki qurbani di. (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 4080)

Wazahat: Do daant se kam umar wala dumba ya bhaid wo hai jiski umar ek saal se kam ho (wallahu Aalam bis sawaab), Qurabani k liye do daant wala janwar hona zaruri hai

EID UL AZHA K MAUQEY PAR CHAAR DIN TAK QURBANI KARNA JAYEZ HAI, EID KA DIN AUR AYYAM E TASHREEQ (11, 12 AUR 13 ZILL HIJJAH) K TEEN DIN

Hazrat Jubair bin Mut'am Razi Allah Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya (eid k baad) tamaam ayyaam e tashreeq (janwar) zibah karne k din hai. (Musnad Ahmad, Nailul Autaar 5:215)

EID UL AZHA KI NAMAZ SE QABL AGAR KISI NE JANWAR ZIBAH KAR DIYA TO WO QURBANI SHUMAR NAHI HOGI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne eid ul azha k rooz farmaya: "Jisne namaz se qabl janwar zibah kar diya, use dobara qurbani deni chahiye". (Al loo loo wal Marjaab Hadees no. 1282)

APNE HAATH SE QURBANI KARNA MUSTAHAB HAI, LEKIN KISI DOOSRE SE KARANA BHI JAYEZ HAI

Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu se hajjatul wida ki hadees mein riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam qurban-gaah tashreef laye aur taresath (63) ounth apne wast e mubarak se zibah kiye, baaki ounth (37) Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko diye jinhe Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne zibah kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko bhi apni qurbani mein shareek kiya phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne har ounth ka tukda lene ka hukm diya jise handiya mein daal kar pakaya gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu dono ne us mein se goosht khaya aur shorba piya. (Sahih Muslim Kitabul Hajj baab Hajjatun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam)

GHAR K SARPARAST KI TARAF SE DI GAYI QURBANI SAARE GHAR WALO KI TARAF SE KAAFI HAI

Hazrat Ata bin Yasaar Rahimahullah kehte hai mene Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu se darwaft kiya k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamane mein tum loog qurbani kis tarah karte they, to unhone kaha k ahad e risalat mein har aadmi apni taraf se aur apne ghar walo ki taraf se ek hi qurbani diya karta tha. (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2546)

QURBANI KA JANWAR ZIBAH KARNE SE PEHLE "BISMILLAHI WALLAHU AKBAR" KEHNA MASNOON HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne do safaid rang k aur seengho wale maindhey zibah kiye mene dekha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apna pao uski gardan par rakkhey hue they aur "BISMILLAHI, ALLAHU AKBAR" padh kar apne haath se zibah farma rahe they. (Mishkaat ul Masabeeh Hadees no. 1453)

KISI DOOSRE AADMI KI TARAF SE QURBANI K WAQT US AADMI KA NAAM LENA SUNNAT HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai (k qurbani k waqt) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne maindhey ko pakda, use litaya phir use zibah kiya aur farmaya: "Allah k naam se, ya Allah! Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur ummat e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf se qubool farmaya". (Sahih Muslim Kitabul Azha)

QURBANI K JANWAR KO JALDI JALDI AUR ACCHE TAREEQEY SE ZIBAH KARNA CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya k "(Jab qurbani karo to) churiya khoob taiz karo, janwar se chipa kar rakkho aur jab zibah karne lago to jaldi zibah karo". (At Targeeb ut Tahzeeb Hadees no. 1083)

OUNTH KI BAAYI TAANG BAANDH KAR KHADE KHADE ZIBAH KARNA CHAHIYE

Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ounth ko is halat mein zibah karte k uska baya paao bandha hota aur wo baaqi teen pao par khada hota. (Abu Dawood Kitabul Manakib 1: 1767)

QURBANI K LIYE ZIBAH SHUDA JANWAR K PAIT SE NIKALNE WALA MURDA BACCHA ZIBAH KIYE BAGAIR KHANA JAYEZ HAI
JO SHAKS MURDA BACCHA KHANA PASAND NA KARE WO NA KHAYE TO KOI HARJ NAHI

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum (baad aukaat) apni ounthni ya bakri zibah karte hai to uske pait mein (murda) baccha paate hai, use phaink de ya kha le?, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar chaho to khalo kyunki uski maa ko zibah karna usko zibah karna hai". (Abu Dawood Kitabul Zahaya)

Wazahat: Agar jaanwar zibah karne k baad pait se zinda baccha nikle to use zibah karna zaruri hai

QURBANI KA GOOSHT HASB E ZARURAT KHANA, SADQA KARNA AUR ZAKHEERA JAYEZ HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "mene tumhe (madeena) mein (baaz) mohtaaj loogo k aane ki wajah se (qurbani ka goosht zakheerah karne se) rooka tha lihaza ab khao, zakheerah karo aur sadqa karo". (Sahih Muslim Kitabul Azha)

Wazahat: Qurbani ka goosht zarurat k mutabiq agar koi sara istemaal karna chahey to kar sakta hai lekin us se kuch sadqa karna mustahab hai, goosht k do ya teen masaavi hissey kar k ek khud khana ek rishtedaar ko taqseem karna aur teesra sadqa karna zaruri nahi. wallahu alam bis sawaab

QURBANI K JANWAR SE KOI CHEEZ QASAAB KO BATAUR UJRAT DENA MANA HAI

Hazat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe qurbani k ounth par (nigraani k liye) khada hone aur zibah karne k badle mein (qasaab ko) us se kuch na dena ka hukm diya. (Sahih Bukhari Kitabul Hajj)

KANA, BEEMAR, LANGDA AUR BOODHA JANWAR QURBANI K LIYE ZIBAH KARNA MANA HAI

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya chaar qism k janwaro ki qurbani jayez nahi, kana janwar jis ka kanaparn bilkul wazey ho, beemar janwar jis ki beemari wazey ho aur langda janwar jiska langda-pan wazey ho aur boodha (ya dubla patla) janwar jiski haddiyo mein gooda na ho. (Abu Dawood Kitabul Azhaya)

No comments:

Post a Comment