Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 23 July 2014

NAMAZ E EIDAIN K MASA'IL

NAMAZ E EIDAIN K MASA'IL




Bismillahirrahmanirraheem

EID K DIN GUSAL KARNA, KHUSHBU LAGANA AUR MISWAAK KARNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Beshak Allah ta'ala ne us rooz (juma) ko musalmano k liye eid ka din banaya hai lihaza jo shaks juma k liye aye use chahiye k gusal kare agar shushbu mayassar ho to wo lagaye aur miswaak bhi kare". (Ibne Maja Abwab Iqamatus Salaat Hadees no. 1: 901)

EID K DIN ACCHE KAPDE PEHANNA MUSTAHAB HAI

Hazrat ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid k rooz surkh dhariyo wali chadar pehna karte they. (Tabraani, Silsila Ahadees E Sahiya Hadees no. 1279)

EID UL FITR KI NAMAZ K LIYE JANE SE PEHLE KOI MEETHI CHEEZ KHANA SUNNAT HAI

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr k din khajoorey khaye bagair eid-gaah ki taraf nahi jaate they aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khajoorey taaq khate they. (Sahih Bukhari Abwabul Eidain Hadees no. 1: 447)

EID UL AZHA K ROOZ APNI QURBAANI KA GOOSHT PAKA KAR KHANA AUR US SE PEHLE KOI CHEEZ NA KHANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Buraidah apne baap Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul fitr k rooz khaye bagair ghar se nahi nikalte they aur eid ul azha k rooz namaz (eid) se pehle koi cheez tanawul na farmate they. (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 447)

NAMAZ E EID BASTI SE BAHAR KHULEY MAIDAAN MEIN PADHNA SUNNAT HAI
NAMAZ E EID K LIYE KHAWATEEN KO BHI EID-GAAH MEIN JANA CHAHIYE

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya k "Dono eido k din hum haiz wali aur parda nasheen (yaani tamaam) aurato ko eid-gaah mein laye takey wo musalmano k saath namaz aur dua mein shirkat kare albatta haiz wali auratey namaz na padhey". (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 511)

NAMAZ E EID K LIYE PAIDAL JANA AUR WAPAS AANA SUNNAT HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid-gaah paidal jaate aur paidal hi wapas tashreef late. (Sahih Sunan ibne Maja Hadees no. 1071)

EID-GAAH JATE HUE BA'KASRAT TAKBEEREY KEHNA SUNNAT HAI
EID UL FITR MEIN IMAM K KHUTBEY K LIYE MIMBAR PAR BAITHNE TAK TAKBEEREY KEHTE REHNA CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu eid k din subah subah nikalte hi eid-gaah tashreef le jate aur eid-gaah tak takbeerey kehte jate, phir eid-gaah mein bhi takbeerey kehte rehte yaha tak k jab imam (khutbey k liye mimbar par) baith jata to takbeerey padhna chood dete. (Shafee Kitabus Salaat Hadees no. 442)

EID UL AZHA K MOUKEY PAR TASHREEQ K TAMAAM DINO MEIN KASRAT SE TAKBEEREY KEHNI CHAHIYE

Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu tashreek k tamaam dino mein namazo k baad apne bistar par, apne khaimey mein, apni majlis mein aur jalte phirte takbeerey kaha karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Eidain)

MASONOON TAKBEER K ALFAAZ DARJ ZAIL HAI

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ayyam e tashreeq (11,12,13 zill hijjah) mein ye takbeer padha karte they "ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WA LILLAHIL HAMD". (Musannaf ibne Abi Shaiba, Gulayl Hadees no. 3: 125)

EIDAIN KI NAMAZ TAKHEER SE PADHNA PASANDEEDAH HAI
EID UL FITR KI NAMAZ KA WAQT ISHRAAQ KI NAMAZ KA WAQT HAI

Hazrat Abdullah bin Basr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo khud eid ul fitr ya eid ul azha ki namaz k liye loogo k sath eid-gaah rawana hue to imam k dair karne par napasandeedgi ka izhaar kiya aur famaya: "Hum loog to us waqt namaz padh kar fariq bhi ho jaya karte they aur wo ishraaq ka waqt tha". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1005)

EID UL AZHA KI NAMAZ JALD AUR EID UL FITR KI NAMAZ NISBATAN DAIR SE PADHNA MASNOON HAI

Hazrat Abu Huwairis Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne najraan k governer Umar wa bin Hazam Razi Allahu Anhu ko tehreeri taur par ye hidayat farmayi "Eid ul azha ki namaz jaldi padho aur eid ul fitr ki namaz takheer se padho aur loogo ko khutba mein naiki ki naseehat karo". (Shafee Kitabus Salat, Kitabul Eidain Hadees no. 442)

KHULE MAIDAN MEIN NAMAZ PADHNE K LIYE SATRAH KA EHTAMAAM KARNA CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab eid ki namaz ya koi doosri namaz (khulley maidan mein) ada farmate to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne bhala ghaad diya jata aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske piche namaz ada farmate aur Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k piche hue. (Sunan Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1: 1078)

EID UL FITR AUR EID UL AZHA KI NAMAZ DO DO RAKAAT HAI

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k farmaan k mutabiq eid ul azha ki namaz do rakaat hai, eid ul fitr ki namaz do rakaat hai, musafir ki namaz do rakaat hai, juma ki namaz do rakaat hai aur ye mukammal namaz hai kam nahi. (Sunan Nasayi Kitabus Salatul Eidain Baab adad salatul eidain)

NAMAZ E EID K LIYE AZAAN HAI YA IQAMAT

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek do martaba nahi kayi martaba eidain ki namaz azaan aur iqamat k bagair padhi hai. (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 428)

EIDAIN KI NAMAZ MEIN PEHLE NAMAZ AUR PHIR KHUTBA MASNOON HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu namaz eidain khutba se pehle ada farmate they. (Al loo loo Wal Marjaan Hadees no. 509)

EIDAIN KI NAMAZ MEIN 12 TAKBEEREY MASNOON HAI, PEHLI RAKAAT MEIN QIRAAT SE PEHLE 7 AUR DOOSRI RAKAAT MEIN QIRAAT SE PEHLE 5 TAKBEEREY KEHNI CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k aazaad karda gulaam Hazrat Nafey Razi Allahu Anhu kehte hai "Mene Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu k saath eid ul fitr aur eid ul azha dono ki namaz padhi, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne pehli rakaat mein qiraat se pehle 7 takbeerey aur doosri rakaat mein qiraat se pehle 5 takbeerey kahi". (Muatta Imam Malik Kitabus Salaat)

NAMAZ E EID KI ZAYID TAKBEERO MEIN HAATH UTHANE CHAHIYE

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allahu Sallallahu Alaihi Wa Sallam har takbeer k saath haath uthate they. (Musnad Ahmad, Gulayl Hadees no. 641)

NAMAZ E EIDAIN KI DO RAKAATO MEIN SE PEHLI RAKAAT MEIN SURAH UL AALA AUR DOOSRI RAKAAT MEIN SURATUL GASHIYAH PADHNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Naumaan bin Basheer Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allahu Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e eidain aur namaz e juma mein "SABBIHISMA RABBIKAL AALA" (Pehli rakaat mein) aur "HAL ATAAKA HADEESUL GASHIYAH" (Doosri rakaat mein) padhte. (Sahih Muslim Kitabul Juma)

NAMAZ E EIDAIN SE PEHLE YA BAAD KOI (NAFIL YA SUNNAT) NAMAZ NAHI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid ul azha ya eid ul fitr k rooz (ghar se nikle) do rakaat namaz eid ul fitr ada farmayi aur us se pehle ya baad koi namaz nahi padhi." (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 430)

NAMAZ E EID K BAAD TAQABBALLAHU MINNA WA MINKA K ALFAAZ SE EK DOOSRE K AAMAAL E SALEHA KI QABOOLIYAT KI DUA MAANGNA DURUST HAI

Hazrat Jubair bin Nazeer Razi Allahu Anhu kehte hai k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum eid k rooz jab aapas mein milte to ek doosre ko "TAQABBALLAHU MINNA WA MINKA" kehte. (Fathul Baari Kitabul Eidain)

EID-GAAH JAANE AUR AANE KA RAASTA BADALNA SUNNAT HAI

Hazrat Jaabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam eid k rooz eid-gaah mein aane jaane ka raasta tabdeel farmate they". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain)

AGAR JUMA K ROOZ EID AA JAYE TO DONO PADHNI BEHTAR HAI LEKIN EID PADHNE K BAAD AGAR JUMA KI BAJAYE SIRF NAMAZ E ZUHAR ADA KI JAYE TO BHI DURUST HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat kiya hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhare aaj k din mein do eidey (ek eid, doosra juma) ikatthi ho gayi hai jo chahey usk liye juma k badle eid hi kaafi hai lekin hum dono (yaani juma aur eid) ada karenge". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1083)

ABR KI WAJAH SE SHAWWAAL KA CHAND DIKHAYI NA DE AUR ROOZA RAKH LENE K BAAD MALOOM HO JAYE K CHAND NAZAR AA CHUKA HAI TO ROOZA KHOOL DENA CHAHIYE
AGAR CHAND KI ITTELA ZAWAAL SE QABL MILE TO NAMAZ E EID USI ROOZ ADA KAR LENI CHAHIYE AGAR ZAWAAL K BAAD ITTELA MILE TO NAMAZ E EID DOOSRE ROOZ ADA KI JAYEGI

Hazrat Abu Umair bin Anas Razi Allahu Anhu apne chacho se jo ashaab e Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam mein se they, riwayat karte hai k baaz sawaar Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur gawahi di k unhone guzishta rooz (Shawwaal ka) chand dekha hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko hukm diya k wo rooza tood de aur farmaya "Kal subah (namaz e eid k liye) eid-gaah aayen". (Sahih Sunan Abu Dawood Hades no. 1026)

AGAR KISI KO EID KI NAMAZ MIL SAKE YA BEEMARI KI WAJAH SE EID-GAAH NA JA SAKE TO USE DO RAKAAT TANHA ADA KAR LENI CHAHIYE
GAON MEIN BHI NAMAZ E EID PADHNI CHAHIYE

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu ne apne gulaam ibne abi ateeba ko zaviya gaon mein namaz padhane ka hukm diya to ibne abi ateeba ne Hazrat Anas Razi Allahu Anhu k ghar walo aur baito ko jama kiya aur sab ne shahar walo ki takbeer ki tarah takbeer aur namaz ki tarah namaz padhi aur Akrama Razi Allahu Anhu ne kaha "Gaon k loog eid k rooz jama huo aur do rakaat namaz padhey jis tarah imam padhata hai" aur Ata Rahimahullah ne kaha "Jab kisi ki namaz faut ho jaye to wo do rakaat namaz ada karle". (Sahih Bukhari Kitabul Eidain)

EID K ROOZ ROOZA RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Ubaid Razi Allahu Anhu kehte hai mene Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k saath namaz e eid ada ki, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "in do, dono k roozey rakhne se Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya pehla din jab tum apne roozey khatam karo (yani eid ul fitr), doosra din jab tum qurbaani ka goosht khate ho (Yaani eid ul azha)". (Sahih Bukhari Kitabus Saum Baab Saum Yaumul fitr)

No comments:

Post a Comment