Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 1 July 2014

8 RAKAAT TARAWEEH KI PEHLI HADEES PAR AETRAZAAT AUR USKA JAWAB PART 1

8 RAKAAT TARAWEEH KI PEHLI HADEES PAR AETRAZAAT AUR USKA JAWAB PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

8 rakaat k saboot k zail mein humne 3 hadeese paish ki hai pehli hadees jo Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se marvi hai jisme Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha k Allah k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ramazaan aur gair ramaazaan mein 11 rakaat se zayada nahi padhte they. (Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2013, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 738) 

Us par kayi aetraaz kiye gaye hai jo darz e zail hai.


Pehla (1st) Aetraaz: Habibur Rahman Aazmi apni kitab rakatut taraweeh k safa no. 18 par likhta hai: Ahle Hadees ka ye istadlaal bilkul be mahal hai aur kisi tarah saabit nahi, awwalan iske k guftagu taraweeh ki rakaat mein hai aur taraweeh khaas ramazaan ki namaz hai, jesa k ibne hajar, hafiz abdullah gazipuri aur qastalaani ne likha hai, aur hadees e Ayesha Razi Allahu Anha mein us namaz ka zikr hai jo gair ramazaan mein bhi padhi jaati thi to isko taraweeh aur Ahle Hadees k mad'aa se kya talluq hai?

Jawab: Molana ne yaha bhi hadees k shuru k alfaaz maslahatan hazaf kar diye hai, shuru k hissey se maloom hota hai k Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se sawal kiya tha: yaani ramazaan shareef mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki raat ki namaz kya kefiyat thi?, sayil ne khaas ramazaan ki namaz ki baabat sawal kiya tha aur baqaul aapke "Taraweeh khaas ramazan ki namaz hai" to goya in alfaaz k sayil ne "Taraweeh" ki baabat pucha tha.

Ab 2 hi sooratey hai ya to ye kahiye k Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ka jawab sawal k mutabiq nahi tha, sayil ne taraweeh ka haal daryaft kiya tha, Aur Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne usko tahajjud ka haal bataya, ya ye kahiye tahajjud k saath taraweeh ka koi lagao nahi ye dono namazey alag alag hai.

Ya ye kahiye k nahi Ayesha Razi Allahu Anha ka jawab sawaal k mutabiq tha, yaani sayil ne agarchey ramazaan ki namaz (taraweeh) ki baabat sawal kiya tha magar Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne usko gari ramazaan (taraveeh aur tahajjud) dono ki namazo ka haal bataya, kyunki taraweeh aur tahajjud dono be lagao nahi hai balkey wahi namaz jo gair ramazaan mein tahajjud kahi jaati hai uska naam ramazaan mein taraveeh hai.

Aap zidd aur inaad mein pehli surat ko ikhtiyaar kare to karle magar Ahle Hadees usko gawara nahi kar sakte, unke nazdeek Ayesha Siddiqa Razi Allahu Anha jesi sahib e fazl wa kamaal shaksiyat k mutalliq uska tassawur bhi jayez nahi hai k sawal kuch aur pucha ho aur jawab kuch aur diya ho, lihaza yaha doosri hi soorat mutaeen hai ab jab ye soorat mutaeen hai to Ahle Hadees ka mad'aa saabit aur istadlaal bilkul sahih hai.


Doosra (2nd) Aetraaz: Is hadees ko tahajjud qaraar de kar hafiz ibne hajar ka qaul paish kiya jata hai k wo Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k is bayan ko tahajjud se mutalliq qaraar de kar tahajjud ma vitr ki rakaato k 11 hone ki hikmat zikr ki hai (is se mera maksad ye hai k is hadees ka tahajjud k baab mein hona saabit hai)

Jawab: Agar itna hi maqsad tha phir itni fuzool daraazi se kya hasil?, kaun kehta hai k ye hadees tahajjud k baab mein nhi hai, hum to ye maante hai k is hadees hadees ka talluq baab tahajjud aur baab taraweeh dono se hai isi liye Ameerul Momineen bil Hadees Hazrat Imam Bukhari Rahimahullah ne is hadees ko in dono abwaab k zail mein zikr kiya hai Imam bukhari jese azeem muhaddis ye jaante hai k is hadees ka talluq tahajjud aur taraweeh dono se hai tabhi unhone ye hadees kitabut tahajjud aur kitabus salatut taraweeh dono kitabo mein bayan ki hai (Mohtaaj e daleel to aapka ye daawa hai k is hadees ka talluq taraweeh se nahi hai iski aapne koi daleel nahi di, in shaa Allah qayamat tak bhi nahi de paoge)

Agar aap ye samajhte hai k hafiz ibne hajar k kaul ka mansha ye hai k Hadees e Ayesha Razi Allahu Anha ka talluq taraweeh se nhi hai to ye aapki bahut badi bhool hai, Hafiz ibne hajar is baat k qayil nahi they iska sabse bada saboot ye hai k yahi hafiz ibne hajar jinhone Hazrat Ibne Abbaas Razi Allahu Anhu ki us hadees ko jo ba riwayat abu shaiba 20 rakaat taraweeh k saboot mein paish ki jaati hai: 2 wajah se majrooh hai ek to ye k uski asnaad zaeef hai aur doosri k ye Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha  ki us sahih hadees k mukhalif hai jo sahiheen mein unse marvi hai. (Fathul baari safa no. 205 aur 206)

ab aap ye bataiye agar Hadees e Ayesha Razi Allahu Anha ka talluq taraweeh se nahi hai to ye hadees abu shaiba k ma'aariz kese ho gayi ab aap hafiz ibne hajar ki dono taqreero ko saamne rakhiye ek wo jo bataur e aetraaz aapne paish ki hai aur ek wo jo humne paish ki hai, nateeja iske siwa aur kuch nahi niklega k Hafiz ibne hajar ki tehqeeq mein hadees e Ayesha Razi Allahu Anha ka talluq dono se tha tahajjud se bhi aur taraweeh se bhi, yahi Ahle Hadees bhi kehta hai phir hafiz ibne hajar ki is taqreer se aapko kya faida pahuncha?


Teesra (3rd) Aetraaz: Agey safa no. 11 par kehte hai k allama ibne taimiyah aur allama shokaani wagaira taraweeh ka koi adad (yaani rakaat) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se saabit nahi hai.

Jawab: Humne aapke is aetraaz ka jawab bhi de diya hai k ulama ki tehqeeq ye hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fail (amal) se taraweeh ka adad maeen saabit hai aur wo hai 8 rakaat bila witr aur 11 rakaat maa witr. (Sahih Bukhari Kitabus Salatut Taraveeh Hadees no. 2013, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 738, Sahih ibne Khuzaima Hadees no. 1070, Sahih Ibne Hibbaan Hadees no. 920, 2401, 2406, Tabraani fis Sageer Safa no. 108, Muhammad bin nasrul Maroozi fi qayamul laiyl Safa no. 90)

To Be Continued……

No comments:

Post a Comment