Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 29 June 2014

RAKATUT TARAWEEH - ULAMA E AHNAAF KI SHAHADAT

RAKATUT TARAWEEH - ULAMA E AHNAAF KI SHAHADAT



Bismillahirrahmanirraheem


1. Imam Muhammad Rahimahullah Imam Abu Haneefa Rahimahullah k shagirdo mein se ek aham shagird shumaar kiye jaate hai aur hanafi maslak ka zayada tar daromadaar bhi Imam Muhammad Rahimahullah ki tasaneef par hi hai aur unki kitabo se aaj hanfiyat zinda hai unki mash'hoor tasneef "Muatta Imam Muhammad" hai aur ahnaaf mein ise khususi imtiyaaz haasil hai, Imam Muhammad Rahimahullah apni isi kitaab mein ek baab yu qaym karte hai "Baab Qayaam Shahar E Ramazaan" (safa no. 138) baab k hashiye par molana abdul hayi lakhnavi hanfi Rahimahullah ne likha hai k qayam Shahar E Ramazaan se muraad Taraweeh hai.

Imam Muhammad Rahimahullah is baab k zail mein sab se pehle Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki wo riwayat laye hai jisme teen rooz tak Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Taraweeh ba'jamaat ka zikr hai lekin chunkey us mein rakaat ki tadaad ka bayan nahi hai.
Isi liye is k baad hi Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki wo riwayat laye hai jisme rakaat ki tadaad ka bayan aur wo wahi riwayat hai jisko hamne 8 rakaat Taraweeh k saboot mein "Pehli Hadees" k unwaan se nakal kiya hai. (aur isi hadees ko imam bukhari hadees no. 2013 aur imam muslim hadees no. 738 mein laye hai)
Imam Muhammad Rahimahullah k is seeney se saaf maloom hota hai k unhone pehle Taraweeh ki jamaat ka masnoon hona saabit kiya hai, uske baad maa vitr uski 11 rakaato ka "Sunnat E Nabvi" hona sabit kiya hai.

2. Ibne Hamaam ne Fathul Qadeer par Sharah Hidaya mein fariqeen k dalail zikr kiye hai, 20 rakaat walli marfoo riwayat ko zaeef qaraar diya hai, is k baad Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki mazkoora baala riwayat ki bina par ye tasleem kiya hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat to maa vitr 11 hi rakaat hai han khulafa e rashideen ki sunnat 20 rakaat hai. (Fathul Qadeer Jild 1 Safa no. 334)

Tambiyaah: 20 rakaat k sunnat khulafa e rashideen hone ki tehqeeq ayenda ayegi yaha hamara maqsad sirf ye batana hai k ibne Hamaam wagaira ulama e hanfiya bhi 8 hi rakaat ko "Sunnat E Nabvi" hone k qayal hai 20 rakaat ko sunnat e nabvi wo bhi nahi maante.

3. Tathaavi ne bhi sharah Durre Mukhtaar mein yahi qaul nakal kiya hai aur 8 rakaat Taraweeh ko hi sunnat kaha hai.


4. Nafhaat Rasheedi mein hai: Yaani Taraweeh ki rakaato k baare mein ulama k ikhtilaaf hai k uski ginti tadaad mukhtaar hai is liye k is k mutalliq koi nas nahi hai baaz ne witr k alawa 20 rakaat ko pasand kiya hai aur baaz ne 36 ko yahi amr e qadeem hai isi par sadr e awwal k musalmano ka amal raha hai is k baare mein mera khayal ye hai k ye nafli namaz hai is liye iski koi khaas tadaad muqarrar nahi hai, lekin agar kisi ki iqtada karna zaruri hai to phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki iqtada karni chahiye kyunki Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sahih taur par saabit hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne maa vitr 11 rakaato se zayada nahi padha hai, albatta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye namaz lambi hoti thi, mein isi ko pasand karta hu is liye k is par amal karne se qayam e ramazaan (Taraweeh) aur itteba e nabvi dono ka haq ada ho jata hai neez Allah ta'ala ne hum ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hi ki pairvi aur iqtada ka hukm diya hai jesa k irshaad hai: LAQAD KANA LAKUM FI RASULILLAHI USWATUN HASANA yani tumhare liye Rasool ki zindagi namoona (ideal) hai. (Mazkoor wa maskal khitaam mutarjim safa no. 288)


5. Allama Aeni Hanfi likhte hai agar koi kahe k (bukhari ki) in riwayato mein jinme Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Taraweeh padhaane ka zikr hai, rakaato ki tadaad nahi ki gayi hai to iske jawab me mein ye kahunga k sahih ibne khuzaima aur sahih ibne hibbaan ki riwayao mein uska bayan aa gaya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (un raato mein) Sahaba Razi Allahu Anhum ko 8 rakaatey padhayi thi alawa witr. (Umdatul Qaari Jild 3 Safa no. 597)


6. Mulla Ali Qaari Hanfi imam ibne Taimiyah ka ye qaul bila kisi zarr inkaar k naqal karte hai: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Taraweeh ka koi khaas adad (qaulan) to muqarrar nahi farmaya lekin (amuman) 11 rakaat se zayada nahi padhte they. (Markaah safa no. 175)


7. Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi kehte hai muhadiseen k nazdeek sahih ye hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 11 rakaatey maa vitr padhi hai jesa k Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne bayan kiya aur manqool hai k Hazrat Umar bin Abdul Azeez k zamane mein baaz salaf ka isi par amal tha, sunnat e nabwi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba k shonk mein. (Ma sabta bis sunnah safa no. 122)


8. Abul Hasan Shar'nablaali likhte hai: Taraweeh ki namaz ba'jamaat sunnat e kifaya hai kyunki ye saabit hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aelaan aur jamaat k saath 11 rakaatey ba witr loogo ko padhayi thi. (Marati falah sharah noorul aezaah)


9. Molana Abdul Hayi Lakhnavi likhte hai: Aap ne (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne) Taraweeh 2 tarha ada ki hai, ek 20 rakaat ba jamaat lekin us riwayat ki sanad zaeef hai uski tafseel mene apne risala Tohfatul Akhyaar fi ahya sunnatul abraar mein acchi tarah ki hai, doosri 8 rakaatey aur 3 witr ba'jamaat aur ye tareeqa Hazoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam se 3 raato k alawa kisi raat mein manqool nahi hai aur ummat par ye namaz farz ho jaane k khauf se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne iska ehtamaam nahi kiya. (Majmua E Fatawa jild 1 safa no. 354)

Wazey rahe k molana abdul hayi lakhnavi ne 20 rakaat wali ko zaeef qaraar diya hai lekin 8 rakaat wali riwayat ko zaeef nahi kaha is se maloom hua k unke nazdeek bhi sahih hadees Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka 8 hi rakaat padhna saabit hai.

10. Molana Rasheed Ahmad Gangoohi likhte hai: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fail se mukhtalif adaad maloom hote hai, aza jumla ek dafa 11 rakaat ba'jamaat padhna hai, chunkey Jaabir Razi Allahu Anhu ne riwayat kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shab mein 11 rakaat Taraweeh ba'jamaat padhi. (Alraai Najeeh safa no. 13)

apne maslak aur aqeedey k mutabiq riwayaat mein tatbeeq dete hue doosre muqaam par likhte hai
Aur agar yu kaha jaye k awwal dafa 8 Taraweeh thi aur 3 vitr aur doosri dafa 8 Taraweeh aur 3 vitr aur teesri dafa 20 Taraweeh aur 3 vitr, durust hai har sa fail ba'waqaatey mukhtalfa sahaba ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se maloom they lihaza ye sab sunnat hai aur koi ma'aariz ek doosre k nahi. (Alraai Najeeh safa no. 18)
Is iktabaas se hamara mansha sirf ye dekhna hai k molana gangoohi ko bhi 8 rakaat Taraweeh ka "Sunnat E Nabvi" hona tasleem hai, baaqi jo baate khilaaf e tehqeeq hai aur apne maslak ko saabit karne ki wajah se kahi gayi hai unka jawab ayinda mubahis mein ayega (In Shaa Allah)

11. Aenul Hidaya mein hai: Taraweeh sahih sahih hadees se maa vitr 11 hi rakaat saabit hai (Aenul Hidaya safa no. 563)


12. Darul Uloom Deoband K Sheikhul Hadees Molana Anwar Shah Kahmiri Sahab farmaate hai: Ulama e hanafiya khawah kitna hi haira pheri kare aur hazaar baatey banaye lekin sach to ye hai k is k tasleem kiye bagair hamare liye kahi panah nahi hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Taraweeh to 8 hi rakaat thi aur kisi riwayat mein qata'an ye baat saabit nahi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Taraweeh aur tahajjud alag alag padhi ho, agey likhte hai sahih baat ye hi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e Taraweeh sirf 8 rakaat hi thi aur 20 rakaat wali riwayat zaeef hai aur uske zaeef hone par sabka ittefaaq hai. (Al Arfush shazi safa no. 309 aur 329)


Tambiyaah: Is maukey par ye baat qabil e zikr hai k akabir hanfiyah ki in shahadato k bawajood na maloom kis tarah darul uloom deoband k mohtamim ko ye juraat hoti hai k wo har saal ramazaan shareef k mouqey par ye aelaan kar diya karte hai k baaz loog 8 rakaat Taraweeh ko sunnat kehte hai ye durust nahi, yahi fitna angaiz ishtihaar ishta'aal ka baa'as hota hai, kaash mohtamim darul uloom deoband apne akabir ki baato ka adab wa ehtaraam karte aur ye fasaad angaiz mashgala chood dete.

No comments:

Post a Comment