Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 12 August 2014

BAALO KA BAYAN

BAALO KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

SAR K BAAL KAANO AUR KANDHO K DARMIYAAN TAK RAKHNE MUSTAHAB HAI

Hazrat Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baalo k baare main pucha to Hazrat Anas Razi Allahu Anhu ne bataya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baal na to bilkul seedhey they na mukammal taur par ghunghraaley (balke zara kham liye hue) aur (lambayi mein) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k kaano aur kandho k darmiyaan tak they". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baal kaano ki looh tak they. (Abu Dawood Kitabul Tarjal 2: 3524)

SAR K BAALO KI MAANG DARMIYAAN SE NIKAALNI MUSTAHAB HAI

Hazrat e Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baalo ki maang nikaana chaahti to sar mubarak k darmiyan se nikaati, dono aankho k darmiyaan se, aadhey baad idhar, aadhey baal udhar. (Abu Dawood Kitabul Tarjal 2: 3529)

BAALO MEIN TAIL LAGANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu se Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baalo ki safaidi k baare mein pucha gaya to unhone farmaya "Jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne sar mubarak mein tail lagaate to safaidi maloom na hoti aur jab tail na lagate to safaidi maloom hoti". (Nasayi Abwabuz Zeenah 3: 4732)

Wazahat: Yaad rahe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar aur daadhi mubarak mein satrah se bees tak safaid baal they. (Tirmizi, Ibne Maja)

BAALO KO SAAF SUTHRA RAKHNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jin k baal ho wo unhe acchi tarah sawaar kar rakkhey". (Abu Dawood Kitabul Tarjal 2: 3509)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye aur ek aadmi ko dekha jiske baal purey gande they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya us aadmi se itna bhi nhi ho sakta k apne baal hi theek karle". (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 4832)

SAR K BAAL UTARWAATE HUE PEHLE DAAYI TARAF PHIR BAAYI TARAF SE UTARWAANE MASNOON HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (mazdalfah se mina aane k baad pehle) jumrah uqbah ko kankariya maari phir ountho ki taraf tashreef laye aur unhe zibah kiya (paas hi) hijaam baitha tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use haath k ishare se sar moondhne ka hukm diya, usne sar ka daaya hissa moond diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baal nazdeek baithey hue loogo mein taqseem kar diye phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hijaam ko sar ka baaya hissa moondhne ka hukm diya, phir poocha "Abu Talha Razi Allahu Anhu kaha hai?" (wo zahir hue to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wo baal unko inayat farma diye. (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

SAR K KUCH BAAL MOONDHWAANE AUR KUCH CHOOD DENE MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qaza'e se mana farmaya hai. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Wazahat: "Qaza'e" ka matlab ye hai k ek jagah se baal kaate jaye aur doosri jagah se chood diye jaye jese latt wagaira banana.

SAR YA DAADHI SE SAFAID BAAL UKHADNA MAKROOH HAI

Hazrat Umar bin Shuyeb Razi Allahu Anhu apne baap se aur wo apne dada se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Safaid baal mat ukhado, har musalman jiske halat e islam mein baal safaid hote hai wo qayamat k rooz uske liye noor honge" aur Yahya ki hadees mein hai, farmaya: "Allah ta'ala har safaid baal k badle mein uske nama e aamal mein ek naiki likhenge aur ek gunah maaf farmayenge". (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3539)

Hazrat Umar bin Shuyeb apne baap se aur wo apne dada se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame safaid baal nikaalne se mana famaya aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Safaid baal momin ka noor hai". (Ibne Maja Kitabul Adab 2: 2998)

SAR K BAAL KAANO KI LOO SE BADHANA NAHOOSAT HI NAHOOSAT HAI

Hazrat Wayeb bin Hujar Razi Allahu Anhu kehte hai k mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua us waqt mere sar k baal lambe they, jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe dekha to farmaya: "Nahoosat hi nahoosat" Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu kehte hai mein usi waqt wapas aya aur apne baal kaat kar choote kiye aur doosre rooz phir khidmat e aqdas mein hazir hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mene tere saath burayi nahi ki aur ab baal acche hai". (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3530)

NOO MOLOOD K BAAL SAATVI ROOZ MOONDHNA MASNOON HAI

Hazrat Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Baccha aqeeqah k badle rahan hota hai lihaza uski taraf se saatvi rooz jaanwar zibah kiya jaye, uska naam rakkha jaye aur uska sar moondha jaye". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1229)

AURAT KA SAR K BAAL KAATNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aurato se mushabahat ikhtiyaar karne wale mardo par aur mardo se mushabiyat ikhtiyaar karne wali aurato par lanat farmayi hai. (Sahih Bukhari Kitabl Libas)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(umrah ya hajj k baad) aurato k liye sar moondhaana nahi balke baal (ek poor k barabar) kaatna hai". (Abu Dawood Kitabul Manasik 1: 1748)

SAR K BAAL UTAARTE WAQT YA UTAARNE K BAAD KOI DUA MAANGNA SUNNAT SE SABIT NAHI
BAAL KAATNE K BAAD UNHE ZAMEEN MEIN DAFAN KARNA SUNNAT SE SABIT NAHI.

No comments:

Post a Comment