Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 15 August 2014

MOOZO (SOCKS) KA BAYAN

MOOZO (SOCKS) KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

MOOZEY PEHAN'NA MUSTAHAB HAI

Hazrat Mugeera bin Shubah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Dahyah kalbi Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko moozo ka tohfa bheja jinhe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne istemaal farmaya. (Tirmizi Abwabul Libas 2: 1448)

Hazrat ibne Buraidah Razi Allahu Anhu apne baap (Hazrat Buraidah Razi Allahu Anhu) se riwayat karte hai k najashi (shah habsh) ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye do saada siyaah rang k mooze tohfatan bheje, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wo istemaal farmaye. (Ibne Maja Abwabul Libas 2: 2917)

MOOZO PAR MASAAH KARNA JAYEZ HAI

Hazrat Jafar bin Umar Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k unhone kaha mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pagdi aur moozo par masaah karte hue dekha. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu)

Hazrat Mugeerah Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moozo par, paishani par aur pagdi par masaah kiya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

Hazat Bilal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moozo aur pagdi par masaah kiya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

No comments:

Post a Comment