Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 18 August 2014

KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI?

KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI?



Bismillahirrahmanirraheem

Ahle Hadees murawwajah mazhabo ki tarha koi mazhab nahi, na mukhtalif firqo ki tarha koi firqa hai balke Ahle Hadees ek jamaat aur tehreer ka naam hai aur wo tehreer hai zindagi k har shobey mein Quran wa Hadees k mutabik amal karna aur dusro ko un dono par amal karne ki targeeb dilana ya yuh keh dijiye k Ahle Hadees ka nisb wa ayen Kitab o Sunnat ki dawat aur Ahle Hadees ka manshoor Quran o Hadees hai.

“DASTOOR E AHLE HADEES K 2 USOOL”
     “ATI ULLAHA WA ATIUR RASOOL”

Kyunki Allah ne apne Nabi ko huqm diya: “IT'TABI O MA OUHIYA ILAIKA MIR RABBIKA” - yani ae Nabi tumhare paas jo wahi ki gayi hai uski itteba karo aur Nabi k sath sath Allah ne Nabi k pairokaro ko bhi huqm farmaya: “IT'TABI O MA UNZILA ILAIKUM MIR RABBIKUM WALA TAT'TABI O MIN DOONIHI AU’LIYA” - yani ae ummat e Muhammadiya tum sirf us ki itteba karo jo tumhare paas tumhare perokaro ki taraf se nazil kiya gaya hai aur uske alawa degar waliyo ki pervi mat karo.
Mazkura bala dono ayato se wazey hota hai k har musalman ko Allah ki taraf se nazil shuda ahkaam ki pervi karna chahiye aur gair Allah ki baato par dhayan na dena chahiye.
yaha ek sawal paida ho sakta hai k Allah ki taraf se nazil shuda cheez kya hai?
iske jawab mein khud Allah ta'ala ne farmaya: “WA ANZALALLAHU ALAIKAL KITAABA WAL HIKMAH” - yaani Allah ne tum par kitab aur hikmat utari hai.
yaha ye bhi sawal paida ho sakta hai k kitab se muraad kya hai?, iski tafseer tabayi k sardaar Hasan Basri Rahimahullah aur Katadah Rahimahullah ne farmaya k kitab se muraad Quran aur hikmat se muraad Sunnat hai. (Tafseer ibne kaseer jild 1 safa no. 185)

Is k alawa ek mash'hoor tabayi Hazrat Hassan bin Ateeya Rahimahullah se marvi hai k Jibraeel Alahis Salaam jis tarah Quran le kar naazil hue they isi tarah Sunnat le kar bhi utrey they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hadees ki taleem is tarah dete they jis tarah Quran ki taleem dete they. (Al Kifayah fi ilmur riwayah safa no. 14)

Khud Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: “ALA INNI OOTEETUL QUR'AANA WA MISLAHU MA'A'HU”, yaani tum loog jaan lo k mujhe Quran aur isi k saath isi k manind ek cheez di gayi hai. (Abu Dawood wa Ibne Maja)

Mazkoora baala Hadees e paak aur Tabaeen E Azaam ki tasrihaat se ye baat wazey ho gayi k Quran wa hadees dono nazil shuda hai

AHLE HADEES KA MANA (MEANING)

Ahle Hadees do lafzo se mil kar bana hai ek hai Ahle dosra hai Hadees, Ahle ka maana hai "wala" aur Hadees a mana "Quran o Hadees" isliye Ahle Hadees ka mana hua "Quran o Hadees wala"
Lafz Hadees ka mana Quran bhi hai aur Hadees bhi, Hadees ka lafz dono ko shamil hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Quran ko Hadees kaha hai jese har khutbe mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate they: “FA INNA KHAIRAL HADEESI KITABULLAH”, k sab se behtar Hadees Allah ki kitaab hai

Allah k kalaam k alawa Nabi k qaul wa kalaam ko bhi Hadees kaha gaya hai, jese Quran mein hai: “WA IZ ASARRAN NABIYU ILA BAAZI AZWAJIHI HADEESA”, k jab Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni baaz beewiyo se ek baat poshidah rakkhi yaha is ayat mein Hadees se muraad Rasool ki baat hai.

AHLE SUNNAT NAAM KI ZARURAT

Nabi paak ki rahmat k chabbees (26) saal k baad 37 hijri mein Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu aur Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu mein bamuqaam Siffeen badi zabardast jang hui is jang mein jab Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu ki fouj haarne lagi to unhone Quran ko neezo par utha liya, aur Qur'aani faislo k mutabiq jang bandi ki tajweez paish ki is tajweez ko Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne qubool farma liya aur sulah k zariye ladayi khatam ho gayi, is jang se bezaar ho kar hamiyaan e Ali Razi Allahu Anhu k 1200 ifraad Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki jamaat tark karke jamaat se nikal gaye ye loog khaarji kehlaye, in loogo ne Quran ko maan'ne k saath saath Hadeese ghadna shuru kar diya is liye in loogo ko musalmaan naam k saath saath Ahle Bida'at ka laqab de diya gaya, aur jo loog Quran maan'ne k saath saath Sunnat ko maante rahe unka laqab Ahle Sunnat pad gaya jesa k mash'hoor tabayi Muhammad bin Seereen Rahimahullah farmaate hai: “FA YUNZARU ILA AHLIS SUNNATI FAYU KHAZU HADEESUHUM WA YUNZARU ILA AHLIL BID'ATI FALA YOKHAZU HADEESUHUM”, yaani Ahle Sunnat ko dekh kar unki Hadeese qubool ki jaati thi aur Ahle Bida'at ko dekh kar unki Hadeese qubool nhi ki jaati thi. (Muqadma Muslim)

Hazrat Peerane Peer Abdul Qadir Jeelaani Rahimahullah farmaate hai: “AHLUS SUNNATI LA ISLA LAHUM ILLA ISMUN WAAHIDUN WA HUA ASHAABUL HADEES”, yaani Ahle Sunnat ka ek hi naam hai aur wo hai Ahle Hadees. (Gunyatut Talibeen Matbua E Karachi Safa no. 710)

Bade peer sahab ki is tashreeh se pata chala k Ahle Sunnat ka doosra naam sirf aur sirf Ahle Hadees hai aur doosra koi naam nahi

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu farmaate hai k tumhare paas shareer qaum ayegi, shubhaat e Quraan ko paish kar k jhagdegi tum unse Sunnat E Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath mubahasa karo, kyunki Ahle Hadees kitab Allah aur Sunnat E Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada aagah hai.

Imam Khataabi Rahimahullah farmaate hai k Ashaab E Sunan Ahle Hadees hai. (Sheraani Meezan ul Kubra jild 1 safa no. 46)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate hai jab shaami loog fasaad karenge us waqt tum mein kuch bhi bhalayi nahi rahegi, meri ummat se ek jamaat hamesha haq par rahegi kisi ki mukhalifat usko nuksaan nahi pahuncha sakegi.
imam Ali bin Madeeni Rahimahullah (Imam Bukhari Rahimahullah K ustaad) farmaate hai k wo jamaat Ahle Hadees hai. (Tirmizi Baabul Fitan)



IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Kisi ne Sufyaan bin Uyeyna Rahimahullah se pucha k tum Ahle Hadees kese hue to unhone jawab diya k mujhe Imam Abu Hanifa Rahimahullah ne Ahle Hadees banaya. (Hada'iqul hanafiah)

mazkoora bala waqiya se ye maloom hua k jis raah par Hazoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum chalte they Imam Sahab bhi usi raaste par gaamzan they aur doosro ko bhi usi raaste par chalne ki talqeen karte they.

IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Imam Shafa'i Rahimahullah farmaate hai k Ahle Hadees har zamaney mein mojood rahenge maanind sahaba Razi Allahu Anhum k, aur farmaate they k jab mein Ahle Hadees ko dekhta hu to gooya Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekhta hu. (Meezaanul Kubra Sheraani)

IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "LA TAZAALU TAA IFATUM MIN UMMATI MANSOOREENA LA YAZURRUHUM MANA KHAZA LAHUM HATTA TAQOOMAS SAA'AH" yani meri ummat mein se ek garoh hamesha gaalib rahega jo loog unko ruswa karna chahenge unko nuksaan nahi pahuncha sakenge. (Tirmizi Jild 2 Safa no. 42)

Is Hadees se maloom hua k Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam k daur e mubarak se qayamat tak ek jama'at haqq par qayam rahegi.

Ab sawaal paida hota hai k wo konsi jama'at hai?, Imam Hakim Rahimahullah ne Uloom E Hadees mein Sahih Sanad se Imam Ahamad bin Hambal Rahimahullah se naqal kiya hai k Imam mosoof Rahimahullah farmaate hai k agar us Hadees (FALA YAZAALU TAA IFATUN) se muraad Ahle Hadees nahi hai to mein nahi jaanta k wo kaun hai?

IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Imam Ku-bani Rahimahullah kehte hai k Imam Malik Rahimahullah maut k waqt roone lage mene pucha k aap kyu roote hai kaha kyu na roouo mene bahut se fatwe apni raaye se de diye kaash mein aesa na karta aaj mujhe uska ranj hai mein pasand karta hu k har fatwe k badle jo mene apni raaye se diye ek ek maar kha kar choot jao. (Ibne Khalkaan jild 2 safa no. 11)

Hazrat Imam Malik Rahimahullah ye batana chahte they k raaye wa qayaas koi achhi cheez nahi, asal cheez Quran o Hadees hai isi par loogo ka amal hona chahiye aur un dono par amal karne wale Ahle Hadees na kahe jaye to aur kya kahe jaye?



IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN

"WA KANA ABU BAKRIBNI AYAASHIN YAQOOLU AHLUL HADEESI FI KULLI ZAMAAB" k Abu Bakr bin Ayaash kehte hai k Ahle Hadees har zamaane mein mojood rahenge. (Meezaan Sheranai jild 1 safa no. 48)

BADE PEER SAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA FARMAAN

Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jeelani Rahimahullah farmate hai k bida'atiyo ki nishaani ye hai k wo Ahle Hadees ki bad gumaani karte hai. (Gunyatut Talibeen)

Sun liya aapne shah jeelani Rahimahullah ki zubaani se k bida'ati loog Ahle Hadees k liye burey burey alqaab ghadhte hai, azrah bugz wa hasad kabhi unko wahabi, Najdi kaha jata hai kabhi la-mazhab aur Gair Muqallid kaha jata hai kabhi 24 number k laqab se pukara jata hai.

"TABSIRA JAB KISI PAR KIYA KIJIYE
AYEENA SAAMNE RAKH LIYA KIJIYE"

1 comment:

  1. Thanks for sharing such a great blog... I am impressed with you taking time to post a nice info.
    https://faizanquranacademy.com/our-courses/
    Learn Quran online

    ReplyDelete