Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 14 August 2014

KHUSHBU KA BAYAN

KHUSHBU KA BAYAN




Bismillahirrahamanirraheem

KHUSHBU LAGANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k ahraam baandhney se pehle mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko mayassar behtareen khushbu lagati thi. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI PASANDEEDAH KHUSHBU MUSK THI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Bani israeel ki ek aurat ne sooney ki ek angoothi banayi aur usme usne musk ki khushbu bhari" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Musk behtareen khushbu hai". (Nasayi Abwabuz Zeenah 3: 4736)

MARKAB KHUSHBU LAGANA BHI MUSTAHAB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k mene hajjatul wida mein ahraam khoolte aur baandhte hue apne haatho se Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko zareerah (markab khushbu ka naam hai) lagayi. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k haan markab khushbu thi jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam istemaal farmate they. (Tirmizi, Mukhtasar Shamail Muhammadiya Hadees no. 185)

JUMA K ROOZ KHUSHBU LAGANA MASNOON HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Juma k rooz har baalig musalman ko gusal karna chahiye, miswaak karni chahiye, aur jitni khushbu mayassar aa sake lagani chahiye". (Sahih Muslim Kitabul Juma)

KHUSHBU KA TOHFA QUBOOL KARNA MUSTAHAB  HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu khushbu ka tohfa kabhi wapas na karte aur farmate k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kabhi khushbu ka tohfa wapas nahi kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allahu Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jise khushbu ka tohfa paish kiya jaye use wapas nahi karna chahiye is liye k khushbu khushgawaar aur boojh kam hai". (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3515)

MARDO KO NUMAYA KHUSHBU AUR GAIR NUMAYA RANG WALE ATR  ISTEMAAL KARNE CHAHIYE JABKE AURATO KO NUMAYA RANG AUR GAIR NUMAYA KHUSHBU WALE ATR ISTEMAAL KARNE CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mardo ki khushu wo hai jo numaya ho aur rang makhfi ho aur aurato ki khushbu wo hai jis ka rang numaya ho aur booh makhfi ho". (Nasayi Abwabuz Zeenah 3: 4734)

TAIZ KHUSHBU K SAATH GHAR SE NIKAL KAR GAIR MAHRAM MARDO K PAAS SE GUZARNE WALI AURAT ZANIYA K HUKM MEIN HAI

Hazrat Abu Moosa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Har aankh zaani hai, aurat jab khushbu laga kar mardo ki mehfil k paas se guzarti hai to wo aesi aur aesi hai yaani zaniya hai". (Tirmizi Abwabul Adab man Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam 2: 2237)

No comments:

Post a Comment