Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 6 August 2014

IZAAR KA BAYAN

IZAAR KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

QAMEES K NICHE IZAAR (YA TAHBAND, LUNGI) PEHAN'NA BHI MASNOON HAI

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai ek aurat hashiya-daar chadar le kar hazir hui aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye chadar mene apne haath se buni hai takey Aap ise istemaal farmaye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us waqt chadar ki zarurat na thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us aurat se chadar le li phir jab Aap bahar tashreef laye to use izaar k taur par baandhey hue they. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

WAFAT K WAQT BHI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM IZAAR (TAHBAND) PEHNE HUE THEY

Hazrat Abu Burdah Razi Allahu Anhu kehte hai mein Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir hua to wo ek mootey kapde ka tahband nikaal laayi jo yaman mein banta tha aur ek kambal laayi jis mein paiband lage hue they aur Allah ki qasam kha kar farmane lagi k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne in 2 kapdo mein wafaat payi. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3405)

PAIJAMA PEHAN'NA BHI MUSTAHAB HAI

Hazrat Suwaid bin Qais Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare han tashreef laye aur paijama khareed farmaya. (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2880)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jise tahband na mile wo paijama pehan le aur jise joote na mile wo moozey pehan le". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

IZAAR NISF PINDLI TAK PEHAN'NA AFZAL HAI, TAKHNO SE UPER TAK PEHAN'NE MEIN RUKHSAT HAI, TAKHNO SE NICHE PEHAN'NE WALE K LIYE AAG HAI

Hazrat Ala bin Abdur Rahman Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k unhone Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se izaar k baare mein sawaal kiya to Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehne lage tune waqayi aalim se masla pucha hai (suno) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is baare mein irshad farmaya: "Musalmano ka izaar aadhi pindli tak hai aur agar pindli aur takhno k darmiyan ho tab bhi koi harj nahi lekin takhno se jo niche hoga wo aag mein jayega jisne apna izaar takabbur ki wajah se latkaya, Allah ta'ala qayamat k rooz uski taraf nazar e karam nahi farmayenge". (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3449)

TAKHNO SE NICHE LATKA HUA IZAAR APNE PEHAN'NE WALE SAMAIT AAG MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Takhno se niche pehna hua kapda aag mein hai". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Abdul Azeez bin Abu Rawwad ne Nafey Rahimahullah se kaha Aap ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is qaul par gaur kiya hai k takhno se niche izaar aag mein jayega se kya muraad hai? kya kapda aag mein jayega ya wo pao? Hazrat Nafaey Rahimahullah ne farmaya "Kapde ka kya gunah hai?". (Sharah Sunnah Kitabul Libas)

TAKHNO SE NICHE IZAAR LATKANE WALE K LIYE AZAAB E ALEEM HAI

Hazrat Abuzar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Teen aadmiyo se Allah ta'ala qayamat k rooz na kalaam farmayega na unhe paak karega aur unke liye azaab e aleem hai" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! halaak aur barbad ho wo kaun loog hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: Apna izaar takhno se niche latkane wala, ehsaan kar k jataane wala, jhooti qasam kha kar apna maal baichne wala" Ya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qasam kha kar maal baichne wala fajir". (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3444)

TAKBEER KI WAJAH SE IZAAR LATKANE WALE PAR ALLAH TA'ALA QAYAMAT K ROOZ NAZAR E KARAM NAHI FARMAYENGE

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne takbeer ki wajah se apna izaar niche latkaya qayamat k rooz Allah ta'ala uski taraf nazar e karam nahi farmayenge". (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2876)

HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUI RAZI ALLAHU ANHU MOOTAPE KI WAJAH SE KOSHIH K BA'WAJOOD APNA IZAAR TAKHNO SE UPER RAKHNE PAR QADIR NAHI THEY, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE UNKO IS HUKM SE MUSTASHNA QARAR DIYA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram  ne farmaya: "Jo shaks takbeer ki wajah se apna izaar latkayega qayamat k din Allah ta'ala uski taraf nazar e karam nahi farmayenge" Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere izaar ka ek hisaa bila irada niche latak jata hai kya mein har waqt is taraf dhayan rakkhu" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum un mein se nahi ho jo takbeer ki wajah se izaar latkate ho". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

SAHABI NE IZAAR NICHE RAKHNE K LIYE APNE PAO KI BADSOORATI KA UZR PAISH KIYA TO AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE QUBOOL NAHI FARMAYA AUR USE IZAAR UNCHA RAKHNE KA HUKM DIYA

Hazrat Umar bin Shareed Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam banu saqeef k ek aadmi k pichey taiz taiz qadmo se tashreef laye aur uska izaar pakad kar farmaya "Apna izaar takhno se uncha kar" aadmi ne apna izaar takhno se hataya aur arz kiya k "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere pao taidhey hai aur dono takhne (chalte hue) aapas mein takraate hai (is liye mein apna izaar nicha rakhta hu)" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah azz wa jall ki sari kainaat khoobsurat hai" ravi kehte hai k iske baad maut tak us aadmi ka izaar nisf pindli tak hi nazar aya. (Musnad Ahmad Hadees no. 19472)

TAKBEER SE IZAAR LATKANE WALE KO ALLAH TA'ALA NE ZAMEEN MEIN DHANSA DIYA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek aadmi takbeer se apna izaar latkaye ja raha tha Allah ta'ala ne use zameen mein dhansa diya ab wo qayamat tak zameen mein dhansta chala jayega". (Nasayi Kitabuz Zeenah)

IZAAR KA TAKHNO SE NICHE BAANDH'NA HI TAKBEER HAI

Hazrat Abu Jurayi Mujaimi Razi Allahu Anhu kehte hai Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya k "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum daihaati loog hai hame kuch aesi baatey sikhaiye jin se Allah ta'ala hame faida pahunchaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kisi naiki ko hakeer na samjho, khawah wo apne dool se kisi piyase aadmi k bartan mein paani undailna hi ho, khawah wo apne bhai se muskurate hue chehre k saath baat karna ho aur izaar takhno se niche latkane se bach kyunki yahi takbeer hai aur ise Allah pasand nahi farmata". (Ibne Hibbaan Hadees no. 522)

No comments:

Post a Comment