Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 10 August 2014

KHATNAH KA BAYAN

KHATNAH KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

KHATNA KARNA MASNOON HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai k "Paanch baatey insaan ki fitrat mein hai
1. Khatna Karana
2. Zair E Naaf Baal saaf karna
3. Moochey katarna
4. Nakhun Kaatna
5. Bagal k baal saaf karna". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

SAB SE PEHLE HAZRAT IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM NE KHATNA KIYA THA

Hazrat Saeed bin Musayyab Razi Allahu Anhu kehte hai k Ibraheem Alaihis Sallam ne sabse pehle mehmaan ki ziyafat ki, sabse pehle khatna kiya, sabse pehle mooche katarwayi, sabse pehle safaid baal dekhey aur arz kiya: "Ya Allah! ye kya hai?" Allah Ta'ala ne irshad farmaya: "Ye izzat aur waqaar hai" Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam ne farmaya "Mere Rabb! meri izzat aur waqaar mein izafa ata farma". (Muatta Imam Malik Kitab Sifatun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam)

No comments:

Post a Comment